Dec 16, 2014

Ab hawaon main hoon tehleel , chalo raqs karain


Ban kay khushboo ki hi tamseel , chalo raqs karain 
Ab hawaon main hoon tehleel , chalo raqs karain 

Tum andheron kay musaafir ho tumhain kiya matlab 
Aik thi bujh gayi qandeel , chalo raqs karain 

Na'rawa maal , kahan  kaisay banaya tum ne 
Kon poochay ga yeh tafseel , chalo raqs karain  

Woh nahin tab bhi shab-e-wasal mana letay hain 
Aaj hijraan ki hai tehleel , chalo raqs karain

Mutaqi aaj bhi maqbool teri qurbaani 
Dour-e-mojooda kay qabeel , chalo raqs karain 

Abraha waqat ka yalgaar karay ga phir se 
Aao Kaaba kay qabeel , chalo raqs karain 

Hukam haakam hai jahan marg-e-mufajaat bhi hai 
Tum bhi azhar karo tameel , chalo raqs karain

Suna hai raah teri subho shaam takta hai


Suna hai kho kay hamain woh udaas rehta hai 
Ajeeb aankh main us ki haraas rehta hai 

Woh chonk jaata hai sun kar zara si aahat ko
Hamesha mann main liye koi aas rehta hai 

Suna hai khud ussay dasti thi us ki bad'ehadi 
So is liye ussay waadon ka paas rehta hai 

Woh poochta hai bahaaron se teri aamand ka 
Woh lamha lamha bana prem daas rehta hai 

Suna hai raah teri subho shaam takta hai 
Suna hai is ko tera dard raas rehta hai

Aaj ki raat bhout bojhal hai


Aaj ghamgeen nahin hairaan hain hum 

Aaj ki raat bhout bojhal hai 
Koi batlaao keh yeh kaisay kattay
Khushk hain aankhon kay chashmay saaray 
Tishna samaani ki had hoti hai 
Ab kisi diyhaan ka saaya bhi 
Khaana-e-veeraani ki had hoti hai 
Hum ne pehlay suna tha keh yeh waqat 
taaray gin lo to guzar jaata hai 
Her woh lamha jo tehar jaanay ko ho 
Baat kar lo to bikhar jaata hai 
Aaj ghameen nahin hairaan hain hum 
Raaz is dard ka khulta hi nahin 
Aisi ujjri hai guzar'gaah-e-khayal 
Kaisi manzil , koi rasta hi nahin 
Aaj ki raat guzarain kaisay ?
Subha tak jaanay kiya kiya ho jaye 
Jis se ehsaas ki lo larzaan hai 
Woh tasawur na parishaan ho jaye 

Is khwaab main qiyaam bari dair tak raha


Haathon main ik jaam bari dair tak raha 
Is khwaab main qiyaam bari dair tak raha 

Yaadon ka azdo haam bari dair tak raha 
Tanhaiyon se kaam bari dair tak raha 

Us ne suna nahin to mera kiya qasoor hai 
Honton pe us ka naam bari dair tak raha 

Nazrain bhi us kay hussan ka gaati rahi hain geet 
Dil us se ham'kalaam bari dair tak raha

Tanhai main bhi wasal ki lazzat hui naseeb 
Woh mujh se hum'kalaam bari dair tak raha 

Yeh be'tawajhi ussay khud sar bana gayi 
Dil aap ka ghulaam bari dair tak raha 

Woh mujh ko chahta hai yeh sach to nahin "Faseeh"
Par yeh khyaal-e-khaam bari dair tak raha

Ab agar aur staayo gay to mar jaaon gi


Aisay tooti hoon keh choonay se bikhar jaaon gi 
Ab agar aur staayo gay to mar jaaon gi 

Jo sitam karna hai kar leejiye hum par jaana 
Gham ki baarish main to kuch aur nikhar jaaon gi 

Kitnay dhokay hain keh khud pe yaqeen jaata raha 
Aisa lagat hai keh sach se mukar jaaon gi 

Yeh alag baat keh na'kaam mohabbat hoon magar 
Tum sanwaaro gay jo mujh ko , to sanwar jaaon gi 

Ab mohabbat ki zaroorat hai na jeenay main maza 
Mujh ko jeenay ki dua do gay to mar jaaon gi 

Dost dushman ko parkhanay main bhout dair hui


Tera miyaar badalnay main bhout dair hui 
Dost dushman ko parkhanay main bhout dair hui 

Meri aankhon main nami dekh kay yeh us ne kaha 
Abar-e-baraan ko barasnay main bhout dair hui 

Muddaton baad yeh mehsoos kiya hai dil ne 
Gham ki yeh aag bharkanay main bhout dair hui 

Aakhri baar kaha us ne lab-e-saahil par 
Paar yeh naao ko lagnay main bhout dair hui 

Ban chuka hoon main yahan tum se bichar kar pathar 
Ae meray yaar palatnay main bhout dair hui 

Teray kehnay pe hua hoon main zamanay se alag 
Youn hua mujh ko sambhalnay main bhout dair hui 

Shikwa ab gardish-e-doraan se na karna "Jurrat"
Tera paimaana chalaknay main bhout dair hui

Be'sabab log parishaan hua kartay hain


Faaslay qurb ki pehchaan hua kartay hain 
Be'sabab log parishaan hua kartay hain 

Yeh haqeeqat hai jahaan toot kay chaha jaye 
Wahan bicharnay kay bhi imkaan hua kartay hain 

Meray phailay huye haathon ko haqarat se na dekho 
Maangnay walay bhi insaan hua kartay hain 

Hum be'sabar thay magar hum se bicharnay walay 
Hum teri zabt pe hairaan hua kartayhain 

Gham ki hiddat se kohsaar pighaltay dekhye 
Inssan to phir insaan hua kartayhain 

Zindagi jin kay liye jurm-o-saza ho "Natiq"
Ghar bhi un kay liye zindaan hua kartay hain

Woh badal gaya achanak , meri zindagi badal kay


Kabhi mujh ko saath lay kar , kabhi meray saath chal kay 
Woh badal gaya achanak , meri zindagi badal kay 

Huye jis pe meharbaan tum koi khush'naseeb ho ga 
Meri hasratain to niklein , meray aanso'on main dhal kay 

Teri zulf-o-rukh kay qurbaan dil-e-zaar dhoondta hai 
Wohi cham'pai ujaalay , wohi surmai dhundlakay 

Koi phool ban gaya hai , koi chaand , koi taara 
Jo chragh bujh gaye hain , teri anjuman main jal kay 

Meray dosto khudaara meray saath tum bhi dhoondo 
Woh yahin kahin chuppay hain meray gahm ka rukh badal kay 

Teri be'jih'jhak hansi se na kisi ka dil ho maila 
YEh nagar hai aainon ka , yahan saans lay sambhal kay

Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye hum


Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye hum

Gham hi ho jayein hamaray , keh tumharay huye hum

Ism-e-aazam sa koi apni zubaan par aaya

Aap ka naam liya charkh kay taaray huye hum

Sirf hamraah-e-haqeeqat to khathan tha hona

Safha-e-dehar pe khawaabon kay sahaaray huye hum

Ishq main ik zara maat hui hai ham ko

Aisay baithay hain keh jaan bhi haaray huye hum

Woh to khatray kay hawadis hi nikal jaatay hain

Warna her aan aadam ko hain sudhaaray huye hum

Jaan detay hain kahin hijar kay maaray huye log

Shair likhtay hain yahaan paaon pisaaray huye hum

Aakhri dour-e-zamana hai aur ab aye hain

Waqat-e-kohna  ki sadaaon kay pukaaray huye hum

Koi dushwaar zubaan hain , koi dushwaar sukhan

Khaam , be'fikar dimaaghon pe utaaray huye hum

Umar faysal ki nahin sirf shumaar-e-shab-o-roz

Ek jeevan hain mohabbat main guzaaray huye hum

Chraagh gar meray pehlu main sota raha , dard hota raha


Chraagh gar meray pehlu main sota raha , dard hota raha

Khud hi nashtar badan main chuboota raha , dard hota raha

Daal kar aaj baanhon main baanhain sabhi log hanstay rahay

Main akela hi kamray main rota raha , dard hota raha

Ishq ki daastaan main sunaon to kiya , sab ko maloom hai

Din-ba-din dam-ba-dam chain khota raha , dard hota raha

Youn hi ik ik kar kay bhalay kirchiyon main badaltay gaye

Phir bhi aankhon main khwaab boota raha , dard hota raha

Dil bhi aata raha , zakhm miltay rahay , saans chalti rahi Imran

Dard hota raha , dard hota raha , dard hota raha 

Aarizaa laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se


Aarizaa laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se

Bas usi ki soch main baithi hain tanha shaam se

Ishq ki baatain kiye jaatay ho khaas-o-aam se

Dar nahin lagta tumhain mansoor kay anjaam se

Shaher bhar kay aainay toray gi yeh be'pardagi

Ghar se mat niklay , kaho us aaina-e-andaam se

Pyaar dain gay , woh hamain kehtay hain , pehlay jaanay do

Main to muflis hi bhala aisay kisi ikraam se

Qissa-e-ulfat main zikar-e-sar'kushi , aasoodgi

Ishaq kay ilzaam tak hai , wasal kay ayaam se

Meray ghar main neem shab hoti hain mehav-e-gutagoo

Wehshtain , tanhiyaan , deewar-o-dar se baam se

Mai na ho to aansoo'on se bhar liya kartay hain hum

Kiya bataein , kis qadar uljhan hai khaali jaam se

Baada khwaari ki tawaqo aap se hargiz na thi

Haif zaamil , aap bhi ghabra gaye alaam se

Aao Imran se zara milwaein tum ko , yeh hain woh

Dehar main bad'naam se aur ishq main na'kaam se

Yaad hai na kuch gumaan-e-hijar hai



Yaad hai na kuch gumaan-e-hijar hai

Yeh bhi shayed imtihaan-e-hijar hai

Woh jo bichra hai to hai jaan par bani

Haan magar woh hi to jaan-e-hijar hai

Hai mujhay wehshat jo apnay aap se

Rog kab hai , yeh to shaam-e-hijar hai

Neem shab karni hain giriya'zaariyaan

Aao deewano ! Azaan-e-hijar hai

Woh to meray chaar soo hai jalwa gar

Kiyon bhala mujh ko gumaan-e-hijar hai

Dard le lo ! ashk le lo ! Khwaab le lo

Muft hai sab , yeh dukaan-e-hijar hai

Zulm yeh hai , jo gawah-e-wasal thi

Ab woh shab raazdaan-e-hijar hai

Ishq ka qissa wohi hai jaawidaan

Asal main jo daastaan-e-hijar hai

Saath Imran kay mana lo shaam-e-gham

Sar dhuno yaaro biyaan-e-hijar hai

Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi


Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi

Mujh ko pehchaan keh teri hi adaa hoon main bhi

Sabt hoon dasht-e-khamoshi pe hina ki surat

Na'shuneeda hi sahi tera kahan hoon main bhi

Mujh ko paana ho to her lamha talab kar na mujhay

Raat kay pichlay pehar maang dua hoon main bhi

Jaanay kis raah chalon kon se rukh mur jaayon "Imran"

Mujh se mat mil keh zamanay ki hawa hoon main bhi

Jaanay kiyon shakist ka azaab liye phirta hoon


Jaanay kiyon shakist ka azaab liye phirta hoon

MAin kiya hoon aur kiya khwaab liye phirta hoon

US ne ik baar kiya tha sawal-e-mohabbat

MAin her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon

Us ne poocha kab se nahin soye

MAin tab se rat'jagon ka hisaab liye phirta hoon

Us ki khwaish thi keh meri aankhon main paani dekhye

MAin us waqat se aanso'on ka sailaab liye phirta hoon

Afsoos kay woh phir bhi mera na hua "Faraz"

Main jis ki aarzoo ki kitaab liye phirta hoon

Be'naam musaafir hoon be'naam safar mera


Be'naam musaafir hoon be'naam safar mera

Kis raah se nikal jaaon kuch keh nahin sakti

Be'naam meri manzil , be'naam thikaana hai

Kis dar pe main ruk jaaon kuch keh nahin sakti

Is paar to roshni hai sara mera rasta

Us paar andhera ho kuch keh nahin sakti

Tinkay ki tarah main bhi jaaon samandar main

Mil jaye kinaara kuch keh nahin sakti

Mil jaye gi tabeer meray khwaabon ki aik din

yeh khwaab bikhar jayein kuch keh nahin sakti

Youn chahay mujhay aisi qismat kahan thi


Youn chahay mujhay aisi qismat kahan thi

Kahan main kahan tu yeh nisbat kahan thi

teri be'rukhi se yeh dil muztarib tha

Mera haal tu jaanay , tujhay fursat kahan thi

Meri chahaton ki tujhay kiya khabat thi

Tu sochay mujhay yeh teri fitrat kahan thi

Tujhay apnay mann se nikaalon to kaisay

Main paa loon tujhay yeh meri qismat kahan thi

Jo ban jaata mera kahin hamsafar to

Bhala aisi apni qismat kahan thi

Jissay sun kay tu ne nigahain jhuka lein

Yeh noha tha mera shikayat kahan thi

Tu jo kuch bhi tha ik veham tha mera

Fraib-e-nazar tha haqeeqat kahan thi

Uthay jo dard dheeray se muskuraa dena


Uthay jo dard dheeray se muskuraa dena

Milain jo gham to mohabbat in hain bana lena

Tumhain kahabr nahin is kam'feham zamanay ki

Machalti aarzo'on ko kahin chupa dena

Hai is ki bazam magar paas-e-adab bhi aisa

NA kuch bhi kehna aur sab kuch ussay suna lena

Samait kar tamaam dard is ki yaadon ka

Puraani qabar pe kutba naya laga dena

Dil kay sheshay pe nayi zarb laganay kay liye

Tum apnay haath main pathar bara utah lena

Zahay naseeb keh tum mujh ko yaad kartay ho

Warna mushkil to nahin tha mujhay bhula dena

Is se pehlay keh zamanay ko khabar ho jaye



Is se pehlay keh zamanay ko khabar ho jaye

Khuda karay keh shab-e-gham ki sehar ho jaye

Khula rahay ga yeh darwaza teray aanay tak

Loat kar aana kahin shaam agar ho jaye

Ab aas hai aarzoo karna bhi roshni ki

Yahan diya jalay to hawaon ki nazar ho jaye

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai

Raat atnha kabhi aye to basar ho jaye

Tu kabhi chasham-e-tasawur se unhain dekh zara

MAnzalon pe jinhain dar'paish safar ho jaye

Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay




Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay

Shaher ka shaher hi asaib zada ho jaisay

Raat kay pichlay pehar aati hain awazain si

Door sehraa main koi cheekh raha ho jaisay

Dar-o-dewaar pe chayi hai udaasi aisi

Aaj her ghar se janaaza sa utha ho jaisay

Muskuraata hoon Pa-e-khatar-e-ehbaab magar

Dukh to chehray ki lakeeron pe saja ho jaisay

Ab agar doob bhi gaya to maron ga na "Kamal"

Behtay paani pe mera naam likha ho jaisay

Ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi


Ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi

Ab to urooj pe poonchi hai us ki zaat wasi

Wohi waday hain aur rasmon ki zanjeerain baaqi

Kab badalti hain zamanay ki riwayaat wasi

Aik woh din thay keh ek doosray ko sochtay thay hum

Ab miltay nahin dono kay khiyalaat wasi

Meri her subha ka aaghaaz teray naam se ho

Teri yaadon main katti meri her ik raat wasi

Tum kahan aur meray pyaar ka miyaar kahan

Woh kitni saadgi se kar gaya yeh baat wasi

Ek aarzoo hai poori parwardigaar karay


Ek aarzoo hai poori parwardigaar karay

Main dair se jaaon woh mera intizaar karay

Apnay haathon se sanwaron zulfain us ki

Woh sharmaa kar mohabbat ka iqraar karay

Lipat jaye mujh se aalam-e-madhoshi main

Aur josh-e-junoon main mohabbat ka izhaar karay

Ho shab-e-wasal aisi Ya'Rab

Keh bheegi zulfon se mujhay be'daar karay

JAb ussay chor kay jaana chaaon Wasi

Woh rukay aur ik raat ka israar karay

Qasam khuda ki main kisi aur ki nahin ho sakti

Yeh wada-e-wafa woh baar baar karay

Diyaar-e-ghair main kaisay tujhay sada detay


Diyaar-e-ghair main kaisay tujhay sada detay

Tu mil bhi jaata to tujhay ganwa detay

Tumhi ne hum ko na sunaya apna dukh  warna

Dua woh kartay keh hum asmaan ko hila detay

Hamain yeh zoham raha ab keh woh pukaarain gay

Unhain yeh zid thi keh her baar hum sada detay

Woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki

Keh jis ko haal sunaatay ussay rula detay

Tumhain bhulaana hi awal to dastaras main nahin

Jo ikhtayaar bhi hota to kiya bhula detay

Tumhari yaad ne koi jawaab hi na diya

Meray khayal kay aansoo rahay sadaa detay

Sma'aton ko main ta'umar kosta Syed

Woh kuch na kehtay magar hont to hilaa detay

Chahye to kaam main laa, chahye nikama kar dy



Chahye to kaam main laa, chahye nikama kar dy

Main tera hoon , Teri marzi mujhay jaisa kar dy

MAin tera beemaar hoon azlon se , na mar jaaon kahin

Ek nazar dekh lay mujh ko mujhay acha kar dy

Tujh se bas itni hai khwaish meray maalik keh

Is kay dil ko main labho doon mujhay aisa kar dy

Jo tera ho zamanay se woh kat jaye ga

Tu to jis shakhs ko chahye tanha kar dy

Aisa noor aye keh duniya mera chehra dekhye

Tu jo palkon ka meray chehray pe saya kar dy

Woh khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai

Ussay kehna keh mujhay ishq main ruswa kar dy

Mujh ko deta hai woh izzat , yeh karam hai us ka

Teray bas main ho agar tu mujhay ruswa kar dy

Shaher-e-mohabbat hijar ka mousam , ehad-e-wafa aur main


 Shaher-e-mohabbat hijar ka mousam , ehad-e-wafa aur main

Tu to is basti se khush khush chala gaya , aur main ?

Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai

Aapas main kiya baatain kartay raat , diya aur main

Sehar-e-chaman pehlay aadat thi ab majboori hai

Teri talaash main chal partay hain , baad-e-saba aur main

Jis ko dekho teri hawa main apgal phirta hai

Warna hum mashrab to nahin thay Khalq-e-Khuda aur main

Aik to woh hamraaz mera hai phir tera mad'dah

Bas tera hi zikar kiya kartay hain Zia aur main

Aik zamanay bad "Faraz" yeh shair kahay main ne

Ik muddat se milay nahin yaar mera aur main

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai


Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai

Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai

Her aik lab par hain meri wafaon kay afsaanay

Teray sitam ko abhi la'zawaal hona hai

Tumhain khabar hi nahin , tum to loat jaao gay

Tumharay hijar main aik lamha saal hona hai

Hamari rooh pe jab bhi azaab utrain gay

Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki baanhon main

Kabhi to us ki hansi ko zawaal hona hai

Milay gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyaan

Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai

Her ik shakhs chalay ga hamari raahon par

Mohabbaton main hamain woh misaal hona hai

Zamana jis kay kham-o-paich main ulajh jaye

Hamari zaat ko aisa sawal hona hai

Yaqeen hai mujh ko keh woh loat aye ga

Ussay bhi apnay kiye ka malaal hona hai

Jaanay kis cheez ki woh mujh ko saza deta hai


 Jaanay kis cheez ki woh mujh ko saza deta hai

Meri hansti hui aankhon ko rula deta hai

Kis tarah baat likhon dil ki ussay , woh aksar

Doston ko meray khat parh kay suna deta hai

Samnay rakh kay nigahon kay woh tasveer meri

Apnay kamray kay chraghon ko bhujha deta hai

Muddaton se to khabar bhi nahin bhaigi us ne

Us ki aadat hai woh apno ko bhula deat hai 

Mujhay teri mohabbat main kho jaanay do


Mujhay teri mohabbat main kho jaanay do

Her lamha mar kay aaj phir jiye jaanay do

Isi mohabbat ne dil ko aaj phir dharkaya hai

Mujhay ishq ki baanhon main so jaanay do

Tarap ki aag hai judai ki baanhon main

Mujhay aaj is mohabbat se mil jaanay do

Meri saans chalti hai teray naam ki aahat pe

Mujh be'naam ko is naam main kho jaanay do

Kasam tujhay chalnay wali hawaon ki mehboob

Mujhay is mohabbat ki aag main jal jaanay do

Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon


Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon

Aaj pehlu main mujhay toot kay bikhar jaanay do
Kal ko shayed mumkin nahin keh main tum ko paaon

Tu ban jaye lehar aur main saahil ban jaaon
Ho ishq mera saahil to main roz tujh se takra'on

Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon

Main din ko kahoon raat woh iqraar karay


Main din ko kahoon raat woh iqraar karay
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhay pyaar karay

Meri khaatar woh sahay duniya kay taah'nay , dhak'kay
Nangay pairon se woh sehraaon kay kaantay chakhaye

Mujh ko paanay kay liye june kay rozay rakhaye
Main hoon dewaana , woh dewaano se izhaar karay

Main din ko kahoon raat woh iqraar karay
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhay pyaar karay

Tum naghma-e-maah-o-anjuman ho , tum soz-e-tamana kiya jaano


Tum naghma-e-maah-o-anjuman ho , tum soz-e-tamana kiya jaano
Tum dard-e-mohabbat kiya samjho , tum dil ka tarapna kiya jaano

KAb dard barha , kab hook uthi , kiyon ashk baha , kiyon aah khichi
Tum gum ho bahaaron main apni , tum gham ka fasaana kiya jaano

Ik moj-e-tabasam honton par , ik naghma rangeen aankhon main
Tum raqs-e-suriyaa kiya jaano , tum barbat-e-zohra kiya jaano

Tum rooth gaye jab jab hum se , hum tum ko manaa hi letay thay
Ik baar agar hum rooth gaye , tum hum ko manaana kiya jaano

Takhreeb-e-mohabbat asaan hai , tameer-e-mohabbat mushkil hai
Tum aag lagaana seekh gaye , tum aag bhujaana kiya jaano

Tum door kharay dekha hi kiyea aur doobnay wala doob gaya
Saahil hi ko tum manzil samjhay , tum lazat-e-dariya kiya jaano

Iqbaal ka gham tum kiyon samjho , aur us ka dilaasa kiya jaano
Tum husan-e-sraapa apni jaga aur husan-e-sraapa khud daari

Gham hi ho jayein hamaray , keh tumharay huye ham


Ab to yeh kehtay hain tanhai se haaray huye ham 
Gham hi ho jayein hamaray , keh tumharay huye ham 

Ism-e-aazam sa koi apni zubaan par aaya 
Aap ka naam liya charkh kay taaray huye ham 

Sirf hamraah-e-haqeeqat to khathan tha hona 
Safha-e-dehar pe khawaabon kay sahaaray huye hum 

Ishq main ik zara maat hui hai ham ko 
Aisay baithay hain keh jaan bhi haaray huye ham 

Woh to khatray kay hawadis hi nikal jaatay hain 
Warna her aan aadam ko hain sudhaaray huye ham 

Jaan detay hain kahin hijar kay maaray huye log 
Shair likhtay hain yahaan paaon pisaaray huye ham 

Aakhri dour-e-zamana hai aur ab aye hain 
Waqat-e-kohna  ki sadaaon kay pukaaray huye ham 

Koi dushwaar zubaan hain , koi dushwaar sukhan 
Khaam , be'fikar dimaaghon pe utaaray huye ham 

Umar faysal ki nahin sirf shumaar-e-shab-o-roz
Ek jeevan hain mohabbat main guzaaray huye ham 
 

Khud hi nashtar badan main chuboota raha , dard hota raha


Chraagh gar meray pehlu main sota raha , dard hota raha 
Khud hi nashtar badan main chuboota raha , dard hota raha 

Daal kar aaj baanhon main baanhain sabhi log hanstay rahay
Main akela hi kamray main rota raha , dard hota raha 

Ishq ki daastaan main sunaon to kiya , sab ko maloom hai 
Din-ba-din dam-ba-dam chain khota raha , dard hota raha 

Youn hi ik ik kar kay bhalay kirchiyon main badaltay gaye 
Phir bhi aankhon main khwaab boota raha , dard hota raha 

Dil bhi aata raha , zakhm miltay rahay , saans chalti rahi Imran
Dard hota raha , dard hota raha , dard hota raha 

Bas usi ki soch main baithi hain tanha shaam se



Aariza laahaq hua hai aariz-e-gulfaam se 
Bas usi ki soch main baithi hain tanha shaam se

Ishq ki baatain kiye jaatay ho khaas-o-aam se 
Dar nahin lagta tumhain mansoor kay anjaam se 

Shaher bhar kay aainay toray gi yeh be'pardagi 
Ghar se mat niklay , kaho us aaina-e-andaam se 

Pyaar dain gay , woh hamain kehtay hain , pehlay jaanay do
Main to muflis hi bhala aisay kisi ikraam se 

Qissa-e-ulfat main zikar-e-sar'kushi , aasoodgi
Ishaq kay ilzaam tak hai , wasal kay ayaam se 

Meray ghar main neem shab hoti hain mehav-e-gutagoo
Wehshtain , tanhiyaan , deewar-o-dar se baam se 

Mai na ho to aansoo'on se bhar liya kartay hain hum
Kiya bataein , kis qadar uljhan hai khaali jaam se

Baada khwaari ki tawaqo aap se hargiz na thi 
Haif zaamil , aap bhi ghabra gaye alaam se

Aao Imran se zara milwaein tum ko , yeh hain woh 
Dehar main bad'naam se aur ishq main na'kaam se 

Yeh bhi shayed imtihaan-e-hijar hai



Yaad hai na kuch gumaan-e-hijar hai 
Yeh bhi shayed imtihaan-e-hijar hai 

Woh jo bichra hai to hai jaan par bani 
Haan magar woh hi to jaan-e-hijar hai 

Hai mujhay wehshat jo apnay aap se 
Rog kab hai , yeh to shaam-e-hijar hai 

Neem shab karni hain giriya'zaariyaan 
Aao deewano ! Azaan-e-hijar hai 

Woh to meray chaar soo hai jalwa gar 
Kiyon bhala mujh ko gumaan-e-hijar hai 

Dard le lo ! ashk le lo ! Khwaab le lo 
Muft hai sab , yeh dukaan-e-hijar hai 

Zulm yeh hai , jo gawah-e-wasal thi
Ab woh shab raazdaan-e-hijar hai 

Ishq ka qissa wohi hai jaawidaan 
Asal main jo daastaan-e-hijar hai 

Saath Imran kay mana lo shaam-e-gham 
Sar dhuno yaaro biyaan-e-hijar hai


Khaima-e-dil ko thaam likhta hoon


Khaima-e-dil ko thaam likhta hoon 
Tujh ko duniya kay kaam likhta hoon 

Haan ba'sad ehtraam likhta hoon 
Yaar-e-yaaran! salaam likhta hoon 

Is muqarar-e-fikar-e-a'laa par 
Apna ad'naa kalaam likhta hoon 

Meri kam'zarfiyon ko jaanay do 
Youn hi tohfay pe naam likhta hoon 

Kho gaye kaaghazi khatton kay din 
Ab to barqi payaam likhta hoon 

Tum na suntay to main bhi kiyon likhta 
Yeh jo main subh-o-shaam likh raha hoon 

Kar kay naasir ka zikar , aaj Imran
Shair-e-aali maqaam likh raha hoon 


Mujh ko pehchaan keh teri hi adaa hoon main bhi


Tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hoon main bhi 
Mujh ko pehchaan keh teri hi adaa hoon main bhi 

Sabt hoon dasht-e-khamoshi pe hina ki surat 
Na'shuneeda hi sahi tera kahan hoon main bhi 

Mujh ko paana ho to her lamha talab kar na mujhay 
Raat kay pichlay pehar maang dua hoon main bhi 

Jaanay kis raah chalon kon se rukh mur jaayon "Imran"
Mujh se mat mil keh zamanay ki hawa hoon main bhi

MAin kiya hoon aur kiya khwaab liye phirta hoon


Jaanay kiyon shakist ka azaab liye phirta hoon 

MAin kiya hoon aur kiya khwaab liye phirta hoon 

US ne ik baar kiya tha sawal-e-mohabbat 

MAin her lamha wafa ka jawab liye phirta hoon 

Us ne poocha kab se nahin soye 

MAin tab se rat'jagon ka hisaab liye phirta hoon 

Us ki khwaish thi keh meri aankhon main paani dekhye 

MAin us waqat se aanso'on ka sailaab liye phirta hoon 

Afsoos kay woh phir bhi mera na hua "Faraz"

Main jis ki aarzoo ki kitaab liye phirta hoon

Mujhay roshni ki talab bhi thi


Mujhay roshni ki talab bhi thi 
Mujhay manzalon ka pata bhi tha 
Mujhay raaston ki kahbar bhi thi 
Main bashar jo tha , mera dil bhi tha 
Meray dil main rang bakhairti hui 
khwaishon ka hajoom bhi tha 
Meri zindagi kay khalaon main 
kiya tairtay huye khwaab thay 
Mujhay maangnay ka sha'oor tha 
Meray lab pe harf-e-dua bhi tha 
Main bashar jo tha 
Mujhay roshni ki talab jo thi 
Mujhay raaston ki kahbar to thi 
Mujhay manzalon ka gumaan to tha 
To nahin phir bhi kaisay samjh liya
Koi aarzoo koi raasta 
Koi roshni koi zindagi 
Mujhay tujh se barh kay aziz hai 
KAbhi is taraf se guzar hua 
To nazar bacha kay yeh dekhna 
Teray baad jitni basar hui 
Issat "Umar" kehna durust hai ?

Kis raah se nikal jaaon kuch keh nahin sakti



Be'naam musaafir hoon be'naam safar mera 
Kis raah se nikal jaaon kuch keh nahin sakti 

Be'naam meri manzil , be'naam thikaana hai 
Kis dar pe main ruk jaaon kuch keh nahin sakti 

Is paar to roshni hai sara mera rasta 
Us paar andhera ho kuch keh nahin sakti 

Tinkay ki tarah main bhi jaaon samandar main 
Mil jaye kinaara kuch keh nahin sakti 

Mil jaye gi tabeer meray khwaabon ki aik din 
yeh khwaab bikhar jayein kuch keh nahin sakti

Kahan main kahan tu yeh nisbat kahan thi


Youn chahay mujhay aisi qismat kahan thi 
Kahan main kahan tu yeh nisbat kahan thi 

teri be'rukhi se yeh dil muztarib tha 
Mera haal tu jaanay , tujhay fursat kahan thi 

Meri chahaton ki tujhay kiya khabat thi 
Tu sochay mujhay yeh teri fitrat kahan thi 

Tujhay apnay mann se nikaalon to kaisay 
Main paa loon tujhay yeh meri qismat kahan thi 

Jo ban jaata mera kahin hamsafar to 
Bhala aisi apni qismat kahan thi 

Jissay sun kay tu ne nigahain jhuka lein 
Yeh noha tha mera shikayat kahan thi 

Tu jo kuch bhi tha ik veham tha mera 
Fraib-e-nazar tha haqeeqat kahan thi 

Milain jo gham to mohabbat inhain bana lena


Uthay jo dard dheeray se muskuraa dena 
Milain jo gham to mohabbat in hain bana lena 

Tumhain kahabr nahin is kam'feham zamanay ki 
Machalti aarzo'on ko kahin chupa dena 

Hai is ki bazam magar paas-e-adab bhi aisa 
Na kuch bhi kehna aur sab kuch ussay suna lena

Samait kar tamaam dard is ki yaadon ka 
Puraani qabar pe kutba naya laga dena 

Dil kay sheshay pe nayi zarb laganay kay liye 
Tum apnay haath main pathar bara utah lena 

Zahay naseeb keh tum mujh ko yaad kartay ho 
Warna mushkil to nahin tha mujhay bhula dena 

Aur tujhay kiya jaan-e-wafa doon


Sab khushiyaan main tujh pe luta doon 
Aur tujhay kiya jaan-e-wafa doon 

Ta-ba-qayamat umar salaamat 
Umar da'raazi ki woh dua doon 

Tujh se jag mag mann ki nagri 
Suraj , taaray , chaand bujha doon 

Sang tera ho roop kumaari 
Raah ki her dewaar gira doon 

Tu jo na ho is jeewan rut main 
Sansoon ko bhi aag laga doon 

Chaar nafas ki kar dy inayat 
Teray liye jannat thukra doon

Ban ja :Abeer" is dil ki raahat 
Duniay kay sab dard bhulaa doon

Aao tum pe khud ko meharbaan kar dain


Khushiyaan tujh pe qurbaan kar dain 

Aao tum pe khud ko meharbaan kar dain 

Jeewan apna teray naam kar dain 

Tumhain ghamon ki khabar na ho 

Is tarah khushiyon se maang bhar dain 

Teri takleefain , parshaaniyaan  jhailain khud 

Apni khushiyaan tujh pe qurbaan kar dain

Pairr pe naam koi likh kay mitaana ho ga


Pairr pe naam koi likh kay mitaana ho ga

Bhool jaanay ka to bas aik bahaana ho ga 
Keh behar'tor ussay yaad to aana ho ga 

Koi mousam ho , mehakta rahay shadaab rahay 
Apni aankhon ko kanwal aisa banana ho ga 

Band muthi se jo urr jaati hai qismat ki pari 
Us hatheli main koi chaid puraana ho ga 

aablay paaon kay mehkain to magar dard na dain 
Dasht main rait kay zarron ko bataana ho ga

Zawiye us ki nigahon kay baray qaatil hain 
Samnay us kay bhout soch kay jaana ho ga 

Ghaao kitna bhi puraana ho beh'haal ussay 
KAchay mousam ki shraarat se bachaana ho ga 

Haath likhnay pe misar khour zamanay ka "Batool"
Pairr pe naam koi likh kay mitaana ho ga

Mohabbat youn nahin hoti


Suna hai tum yeh kehti ho , mohabbat kuch nahin hoti 
Koi jazba , koi wada , kabhi bhi sach nahin hota 
Yeh jo kehtay hain hum ko ishq hai , woh jhoot kehtay hain 
Kisi bhi heer ya raanjha , kisi mirza kisi sahiba
Kisi sassi , kisi punoon , kisi laila , kisi majnoon 
Ne dil choo kar nahin dekha , mohabbat kuch nahin hoti 

Mujhay hai yaad woh din bhi , hamesha tum yeh kehti thi 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti 
Main tum ko phool deta tha , tum aankhon main takti thein 
Bhout gehri si koi soch main tum yeh kehti thein 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti 
Main jab bhi aankh bhar laata , ya koi geet main gaata 
Tumhain jab pyaar se takta , koi jab aah main bharta 
Zer-e-lab liye muskaan , mujh ko tum yeh hi kehti thein 
Mohabbat youn nahin hoti , mohabbat youn nahin hoti

Bhout din ho gaye ab to ,bichar kar dono zinda hain 
Main ab bhi aahain bharta hoon , hamesha yaad karta hoon 
Yeh hi main gun'gunaat ahoon , mihabbat youn nahin hoti 
Suna hai tum yeh kehti ho , mohabbat kuch nahin hoti

Khuda karay keh shab-e-gham ki sehar ho jaye


Is se pehlay keh zamanay ko khabar ho jaye 
Khuda karay keh shab-e-gham ki sehar ho jaye

Khula rahay ga yeh darwaza teray aanay tak 
Loat kar aana kahin shaam agar ho jaye 

Ab aas hai aarzoo karna bhi roshni ki 
Yahan diya jalay to hawaon ki nazar ho jaye 

Jab bhi aati hai teri yaad liye aati hai 
Raat atnha kabhi aye to basar ho jaye 

Tu kabhi chasham-e-tasawur se unhain dekh zara 
MAnzalon pe jinhain dar'paish safar ho jaye

Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha


Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha 

Keh dil kay khail main khailnay walay bhi kiya jeetay hain 

Woh jin kay chashmay khud main , auron ko dekha nahin kartay 

Bhala kis gham kay taar main motti pirotay hain 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha 

Keh kiya maanind-e-sheesha pathar main baal aata hai 

Asar angaiz hai ab tak mohabbat ka wohi jazba 

Jo aisay hosh mandon ko bhi youn pagal banaata hai 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha 

Mizaaj-e-husan main youn yak-ba-yak inqalaab aya

Sitaara dekhon aur dekh kar afsurda ho jaana 

Bari ta'kheer se tum ko sitaaron ka hisaab aya 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha 

Kiya tark-e-rabt par kiya mujh se weh'see yaad aatay hain 

Taaluq torna aasaan tha to kiyon yeh aankh nam hai 

Tumhari bheegti palkon se main ne baar haa poocha 

Kiya jalnay aur jalaanay main bhala kiyon lutf aata hai 

Bas ik jhooti ana kay wastay bar''baad ho jaana

Khudi kay gham main insaan kitnay dukh uthaata hai 

Shaher ka shaher hi asaib zada ho jaisay


Ajnabi khouf fizaon main basa ho jaisay 
Shaher ka shaher hi asaib zada ho jaisay 

Raat kay pichlay pehar aati hain awazain si
Door sehraa main koi cheekh raha ho jaisay

Dar-o-dewaar pe chayi hai udaasi aisi 
Aaj her ghar se janaaza sa utha ho jaisay 

Muskuraata hoon Pa-e-khatar-e-ehbaab magar 
Dukh to chehray ki lakeeron pe saja ho jaisay 

Ab agar doob bhi gaya to maron ga na "Kamal"
Behtay paani pe mera naam likha ho jaisay

Ab to urooj pe poonchi hai us ki zaat wasi


Ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi
Ab to urooj pe poonchi hai us ki zaat wasi

Wohi waday hain aur rasmon ki zanjeerain baaqi
Kab badalti hain zamanay ki riwayaat wasi

Aik woh din thay keh ek doosray ko sochtay thay hum 
Ab miltay nahin dono kay khiyalaat wasi 

Meri her subha ka aaghaaz teray naam se ho 
Teri yaadon main katti meri her ik raat wasi

Tum kahan aur meray pyaar ka miyaar kahan 
Woh kitni saadgi se kar gaya yeh baat wasi

Main dair se jaaon woh mera intizaar karay


Ek aarzoo hai poori parwardigaar karay 
Main dair se jaaon woh mera intizaar karay 

Apnay haathon se sanwaron zulfain us ki 
Woh sharmaa kar mohabbat ka iqraar karay 

Lipat jaye mujh se aalam-e-madhoshi main 
Aur josh-e-junoon main mohabbat ka izhaar karay 

Ho shab-e-wasal aisi Ya'Rab
Keh bheegi zulfon se mujhay be'daar karay 

JAb ussay chor kay jaana chaaon Wasi
Woh rukay aur ik raat ka israar karay 

Qasam khuda ki main kisi aur ki nahin ho sakti 
Yeh wada-e-wafa woh baar baar karay

Tu mil bhi jaata to tujhay ganwa detay



Diyaar-e-ghair main kaisay tujhay sada detay 
Tu mil bhi jaata to tujhay ganwa detay 

Tumhi ne hum ko na sunaya apna dukh  warna 
Dua woh kartay keh hum asmaan ko hila detay 

Hamain yeh zoham raha ab keh woh pukaarain gay 
Unhain yeh zid thi keh her baar hum sada detay 

Woh tera gham tha keh taseer meray lehjay ki 
Keh jis ko haal sunaatay ussay rula detay 

Tumhain bhulaana hi awal to dastaras main nahin 
Jo ikhtayaar bhi hota to kiya bhula detay 

Tumhari yaad ne koi jawaab hi na diya 
Meray khayal kay aansoo rahay sadaa detay 

Sma'aton ko main ta'umar kosta Syed
Woh kuch na kehtay magar hont to hilaa detay

Main tera hoon , Teri marzi mujhay jaisa kar dy


Chahye to kaam main laa, chahye nikama kar dy 
Main tera hoon , Teri marzi mujhay jaisa kar dy 

MAin tera beemaar hoon azlon se , na mar jaaon kahin
Ek nazar dekh lay mujh ko mujhay acha kar dy 

Tujh se bas itni hai khwaish meray maalik keh 
Is kay dil ko main labho doon mujhay aisa kar dy 

Jo tera ho zamanay se woh kat jaye ga 
Tu to jis shakhs ko chahye tanha kar dy 

Aisa noor aye keh duniya mera chehra dekhye 
Tu jo palkon ka meray chehray pe saya kar dy

Woh khuda tujh se faqeeron ki to sun leta hai 
Ussay kehna keh mujhay ishq main ruswa kar dy 

Mujh ko deta hai woh izzat , yeh karam hai us ka 
Teray bas main ho agar tu mujhay ruswa kar dy 

Tu to is basti se khush khush chala gaya , aur main ?


Shaher-e-mohabbat hijar ka mousam , ehad-e-wafa aur main 
Tu to is basti se khush khush chala gaya , aur main ?

Tu jo na ho to jaisay sab ko chup lag jaati hai 
Aapas main kiya baatain kartay raat , diya aur main 

Sehar-e-chaman pehlay aadat thi ab majboori hai 
Teri talaash main chal partay hain , baad-e-saba aur main 

Jis ko dekho teri hawa main apgal phirta hai 
Warna hum mashrab to nahin thay Khalq-e-Khuda aur main

Aik to woh hamraaz mera hai phir tera mad'dah
Bas tera hi zikar kiya kartay hain Zia aur main 

Aik zamanay bad "Faraz" yeh shair kahay main ne 
Ik muddat se milay nahin yaar mera aur main

Meri hansti hui aankhon ko rula deta hai


Jaanay kis cheez ki woh mujh ko saza deta hai 
Meri hansti hui aankhon ko rula deta hai 

Kis tarah baat likhon dil ki ussay , woh aksar 
Doston ko meray khat parh kay suna deta hai 

Samnay rakh kay nigahon kay woh tasveer meri 
Apnay kamray kay chraghon ko bhujha deta hai 

Muddaton se to khabar bhi nahin bhaigi us ne
Us ki aadat hai woh apno ko bhula deat hai 

Milay gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyaan


Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hai 
Keh ashk rokna tum se mohaal hona hai 

Her aik lab par hain meri wafaon kay afsaanay 
Teray sitam ko abhi la'zawaal hona hai

Tumhain khabar hi nahin , tum to loat jaao gay 
Tumharay hijar main aik lamha saal hona hai 

Hamari rooh pe jab bhi azaab utrain gay 
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hai 

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki baanhon main 
Kabhi to us ki hansi ko zawaal hona hai 

Milay gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hai kab yeh kamaal hona hai 

Her ik shakhs chalay ga hamari raahon par 
Mohabbaton main hamain woh misaal hona hai 

Zamana jis kay kham-o-paich main ulajh jaye 
Hamari zaat ko aisa sawal hona hai 

Yaqeen hai mujh ko keh woh loat aye ga 
Ussay bhi apnay kiye ka malaal hona hai

Her lamha mar kay aaj phir jiye jaanay do


Mujhay teri mohabbat main kho jaanay do 
Her lamha mar kay aaj phir jiye jaanay do 

Isi mohabbat ne dil ko aaj phir dharkaya hai 
Mujhay ishq ki baanhon main so jaanay do 

Tarap ki aag hai judai ki baanhon main 
Mujhay aaj is mohabbat se mil jaanay do 

Meri saans chalti hai teray naam ki aahat pe 
Mujh be'naam ko is naam main kho jaanay do 

Kasam tujhay chalnay wali hawaon ki mehboob 
Mujhay is mohabbat ki aag main jal jaanay do

Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon


Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon 
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon 

Aaj pehlu main mujhay toot kay bikhar jaanay do 
Kal ko shayed mumkin nahin keh main tum ko paaon 

Tu ban jaye lehar aur main saahil ban jaaon 
Ho ishq mera saahil to main roz tujh se takra'on 

Main youn milon tujh se keh tera libaas ho jaaon 
Tujhay bana kay samandar aur khud pyaas ban jaaon

Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhay pyaar karay


Main din ko kahoon raat woh iqraar karay 
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhay pyaar karay 

Meri khaatar woh sahay duniya kay taah'nay , dhak'kay
Nangay pairon se woh sehraaon kay kaantay chakhaye

Mujh ko paanay kay liye june kay rozay rakhaye 
Main hoon dewaana , woh dewaano se izhaar karay 

Main din ko kahoon raat woh iqraar karay 
Mujh ko hasrat hai koi youn bhi mujhay pyaar karay

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...