Jan 25, 2017

Rail ke dibbay mein yeh qissaa huwa


Rail ke dibbay mein yeh qissaa huwa
Ek bachchaa zor se ronay lagaa

Maa ne samajhanay ki koshish ki bhout
Us ko bahalanay ki koshish ki bhout

Thak kay aakhir loriyaan gaanay lagi
Bijaliyaan kaano par barasaanay lagi

10 minute tak loriiyaan jab woh gaa chuki
Til-milaa kar bol utha ek aadmi

behan ji, itna karam ab keejiye
Aap is bachay ko rone dijiiye!


Aur bhi kuch dard hain dil ke lut jaanay kay baad


Aur bhi kuch dard hain dil ke lut jaanay kay baad
Yeh bataaya doston ne ishq farmaane kay baad

Is liye kamre ki ik ik cheeze check karta hoon main
Ik tere aanay se pahlay ik tere jaane kay baad




Rishta bahaal kaash phir us ki gali se ho


Rishta bahaal kaash phir us ki gali se ho 

Jee chahta hai , ishq dobara ussi se ho 


Samajhta hi nahin woh meray alfazon ki gehraai



Samajhta hi nahin woh meray alfazon ki gehraai 

Main ne her woh lafz keh diya jissay mohabbat kehtay hain 


Talab aisi keh basa loon dil-o-jaan main


Talab aisi keh basa loon dil-o-jaan main 

Naseeb aisa keh muyasar deedaar bhi nahin 


December ki thandi raaton main



December ki thandi raaton main 
Teri yaad orh kay naachon main 


Imkaan ho agar teray aanay ka 
Raston pe akhiyaan bichaa doon main 

Likhi hai tum pe taza ghazal 
Tum kaho to sari suna doon main 

Hooron kay muntazir wa'iz ko 
Jee chahay tum se mila doon main 


Dil pe lagay waisay to ghaao bhout


Dil pe lagay waisay to ghaao bhout 

Ik tera bicharna mujhay khamosh kar gaya 


Zindagi teray tasal'sul main hum ne


Zindagi teray tasal'sul main hum ne 

Woh log bhi khoye jo saans ki maanind thay !!


Kabhi kabhi hamari chup


Kabhi kabhi hamari chup 
Aur khamoshi kay peechay 
Baaton aur jazbon ka 
Poora samandar hota hai 
Magar hum kuch nahin keh paatay 
Na kehna chahtay hain 
Kiyon keh jis insaan par  
Hamari khamoshi koi asar na karti ho 
Us insaan par 
Hamaray alfaaz kya asar karein gay 


Bas ik lamha-e-hijraan thehr gaya hai mujh main


Bas ik lamha-e-hijraan thehr gaya hai mujh main 

Na waqiya na koi saniha , tumharay baad


Sard mousam main bhout yaad aatay hain


Sard mousam main bhout yaad aatay hain 

Dhund main liptay huye waday us kay


Yaad to hon gi woh baatein tujhay ab bhi lakin


Yaad to hon gi woh baatein tujhay ab bhi lakin 
Shelf main rakhi hui band kitabon ki tarah 

Kon janay keh naye saal main tu kis ko parhay 
Tera miyaar badalta hai .....nisabon ki tarah 


Khuda karay ho koi , aisa haadsa keh ...!!



Khuda karay ho koi , aisa haadsa keh ...!!

Tujhay jeenay kay liye , meri zaroorat paray


Kal jab milay thay to dil main hua ik sound


Kal jab milay thay to dil main hua ik sound
Or aaj milay to kehtay ho your file not found

Jo muddat se hota aaya hai wo repeat kar doon ga
Tu na mili to apni zindagi ctrl+alt+delete kar doon ga

Shayad meray pyar ko taste karna bhool gaye
Dil se aisa cut kia ke paste karna bhool gaye

Lakhon hon gay nigah main, kabhi mjhay bhi pick karo
Mere pyar kay icon pe kabhi to double click karo


Hai aap kay honton pe jo muskaan waghera


Hai aap kay honton pe jo muskaan waghera
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan waghera

Billi to youn hi muft main badnaam hui
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagehra

Be’hirss-o-gharz faraz adaa ki jiye apna
Jis tarah police karti hai chalaan waghera

Ab hosh nahin koi keh badaam kahan hai
Ab apni hatheli pe hain dandaan waghera

Har shirt ki bushratt bana dali hai anwar
Youn chaak kiya hum ne girebaan wahgera


Duniya ko ajab rang dikhaati hain yeh ladkiyaan



Duniya ko ajab rang dikhaati hain yeh ladkiyaan
Mardon ko hathon pe nachati hain ladkiyaan

Make up kay bagair yeh mukammal nahin ab to
Chehray pe ik chehra charhati hain yeh ladkiyaan

Budiyon ne bhi bana rakha hai ik ajab tamasha
Baal kata kar yeh bhi kehlaati hain ladkiyaan

Bhoolay se agar kisi ko jo keh diya amma
Khandaan ki taeeikh batati hain yeh ladkiyaan

Mill jaye gar yeh to ban jati hain toofan
Ladkon ko bhi badnaam karti hain yeh ladkiyaan

Duniya kay har ik mozu pe kar leti hain batein
Bolnay mein kabhi maar na khaati hain ladkiyaan

Daikh daikh kar ik dosray ko hoti hain jealous
Tareef kisi ki na kar pati hain ladkiyaan

Tamanna yehi rehti hai keh ho jaye inki shadi
Rone ka phir drama rachati hain ladkiyaan

Choti choti baton pe ho jati hain naraz
Magarmach kay phir ansoo bahati hain ladkiyaan

Acting karnay main koi sani nahi in ka
Actron ki bhi chutti karati hain ladkiyaan

Din raat suna kar masa'il ki woh bhar maar
Mardon ko bhi ganja banati hai yeh ladkiyaan

Ik dojay se bhi bana kar rakhti nahin yeh to
Chugli pe chugliyaan lagati hain ladkiyaan

Lag jaye koi mazloom agar in kay haath
Jutoon se tawaza farmati hain ladkiyaan

Zar, zan, zameen ka jhagra azal se hai mojood
Mazloom ko bhi zalim banati hain ladkiyaan

Rishtay dariyon ko bhi khatam karwa deti hain yeh to
Phir aag kuch Aasi bharkati hain ladkiyaan

Aey Imran bhout nadan hai abhi tu
Nako chanay bhi chabwati hain yeh ladkiyaan


Youn fail jo kerna tha, pehly say bata dety


Student

Youn fail jo kerna tha, pehly say bata dety

Hum saari kitabon ko chulhy main jala dety

Koshish to bhout ki thi na-kaam huway phir bhi

Haan! Pass to ho jaty jo naqal kara dety

Perchy jo milly hum ko sab khali diye hum nay

Ay kash! Safaai kay number hi dila dety

Teacher

Yun fail jo hona tha, pehly hi bata dety

Abba say kaha hota t'hella hi laga dety

Naql to ki tum nay mager ghalat jawabon ki

Koshish to bhout ki na-kaam huway phir bhi

Hum pass to ker dety jo aqal laraa lety

Perchy jo milly tum ko sab khali diye tum nay

Ay kash! Siyahi say dhabby hi bana dety


Abhi abhi to payar ka pc kiya hai chaloo


Abhi abhi to payar ka pc kiya hai chaloo
Apnay dil ki hard disk pe aur kitni files daloon

Roz raat aap meray sapney main aatey ho
Mujhay pyaar ka mouse bana ker ungaliyon per nachatay ho

Teray pyaar ka email meray dil ko lubhaata hai
Per beech main teray baap ka virus aa jata hai

Aur karvaoo gay hum sey kitnaa intizaar
Humarey dil pe kabhi enter to maro yaar

Aisa bhi nahin hai keh, i don’t like your face
Par dil kay computer mein, nahin hai enough disk space

Tumhaara intezaar kartay kartay, main so gaya
Yeh dekho mera connection, time out ho gaya

Kya chaal hai tumhari, jaisay chalti hai koi cat
What is your icq number, aao karein chat


Biwiyan Aati hain heer ki tarah


Funny ghazal

Biwiyan Aati hain heer ki tarah

Meethi hoti hai kheer ki tarah

Namkeen hoti hain paneer ki tarah

Aur phir kuch maah baad

Chubhti hain teer ki tarah

Hukum chalati hain peer ki tarah

Waday karti hain kisi wazeer ki tarah

Kar deti hain haal fakeer ki tarah

Nazar rakhti hain express kay shabbeer ki tarah


Aur phir shohar k hathon mari jati hain be-nazir ki tarah


Main ne zardari ko salam likh bheja



Main ne  zardari ko salam likh bheja

Mulk ka haal tamam likh bheja

Main ne  poocha tum sadar kaisay banay ?

Uss ne zoja ka qatal-e-aam likh bheja

Main ne  poocha sab se zayda loota kis ko

Uss ne pakistan ka naam likh bheja

Maine poocha kiyon chamaktay hain har waqat daant teray

Uss ne colgate subh shaam likh bheja

Maine poocha keh hukumat kab choro gay

Uss ne qayamt ki shaam likh bheja

Maine poocha is dafa zakat kis ko doon

Beghairat ne apna hi naam likh bheja


Ghazal ka unwaan hai 32 chali gayi



Ghazal ka unwaan hai 32 chali gayi

5 din milay zindagi kay magar

Guzray thay abhi 4 keh 32 chali gayi

Kal wapda kay dafter meeting thi kuch khas

Honay lagi takrar keh 32 chali gayi

Mout ki tarah is ka bhi waqat na raha

Eid ki shopping aur bhara bazaar keh 32 chali gayi

School time aur wapda ki zahant

Nashta honay laga tayaar keh 32 chali gayi

Shadi wale din baray khush thay hum

Galay parnay lagay thay noton kay haar keh 32 chali gayi

Zindagi rahi te fer milaan gay yaar

Kyon keh hunay hunay saadi vi 32 chali gayi


Aik chadar ko rah-e-mehboob mein bichaa dena


Aik chadar ko rah-e-mehboob mein bichaa dena

Main mar jaon to ussay mera kafan bana dena

Bohat roye ga mujhe dekh kar wo shakhs

Is liye dair na lagana mujhe jaldi dafna dena

Lagana aik poda meri qabar kay sirhanay

Meray yaar kay ansoo uss ko pila dena

Agar bohat roye meri qabar pe to

Mujhe nikal kar usse dafna dena

Or kehna

Lay tu mar jaa manhooos


Marna haram kar dita


Yeh zara zara si baat par tarha tarha kay azaab kiyon


Yeh zara zara si baat par
Tarha tarha kay azaab kiyon?
Jo kisi say bhi khafa na ho
Mujhey us khuda ki talash hai
Mujhey laghzishon pay her ghari
Koi tokta hay baar baar
Jisay ker kay dil ko dukh na ho
Mujhey us gunah ki talaash hai
Bina humsafar kay kab talak
Koi musafaton main laga rahay
Jahan koi kisi se juda na ho
Mujhey us raah ki talash hai
Mujhey daikh ker jo aik nazar
Meray saray dard samajh sakay
Jo is qadar ho chara-e-gar
Mujhey us nigaah ki talaash hai


Bohat dub'li bohat patli hayaati hoti jaati hai


Bohat dub'li bohat patli hayaati hoti jaati hai
Chapaati rafta rafta kagzaati hoti jaati hai

Hamaray gaal bhi pichkay huwe amrood jaisay hain
Aur un ki naak hai keh naashpaati hoti jaati hai

Maidaan-e-jang ho mehfil-e-amn-o-amaan koi
Musalsal musalmaano ki nukaati hoti jaati hai

Woh london main hai aur main cheechon ki malyaan
Hamari dosti qalmi dawaati hoti jaati hai

Mili hai hukumraani dais ki ab paarsaaon ko
Magar yeh qoum hai ke waardaati hoti jaati hai


Pani aanay ki baat kartay ho



Pani aanay ki baat kartay ho
dil jalane ki baat kartay ho

char din se moo nahin dhoya
tum nahanay ki baat kartay ho


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...