Mar 6, 2014

Mujh se bichar kay khush rehtay ho



Mujh se bichar kay khush rehtay ho
Meri tarah tum bhe jhootay ho

Ik tehni par chaand tika tha
Main yeh samjha tum bethay ho

Ujlay ujlay phool khilay thay
Bilkul jaisay tum hansaty ho

Mujh ko shaam bata dati hai
Tum kaisay kapray pehnay ho

Tum tanha duniya se laro ge
Bachon se batain kartay ho

Poet : Bashir Badar

Woh chandani ka badan kushboaon ka saya hai



Woh chandani ka badan kushboaon ka saya hai 
Bhout Aziz humain hai magar paraya hai

Tum itni door sitaron ke paas rehtay ho 
Tumhain khuda ne hamaray liye banaya hai

Ussay kisi ki mohabbat ka aitabaar nahin
Ussay zamaney ne shyed bhout sataya hai

Kahan se aye yeh kushboo yeh ghar ki kushbo hai
Is ajnabi se andheray main kon aya hai

Tamam umar mera dam isi dhuaien main ghuta
Woh ik chragh tha main ne ussay bhujhaya hai

Poet : Bashir Badar

Youn hi be sabab na phira karo koi shaam ghar bhe raha karo



Youn hi be sabab na phira karo koi shaam ghar bhe raha karo
Woh ghazal ki sachi kitaab hai ussay chupkay chupkay parha karo

Koi hath bhe na milaye ga jo gale milo ge tabaak se
Yeh naye mizaaj ka shaher hai zara fasley se mila karo

Abhi raah main kai mor hain koi aye ga koi jaye ga
Tumhain jis ne dil se bhula diya ussay bholney ki dua karo

Mujhay istihaar si lagi hain yeh mohabton ki kahaniyaan 
Jo kaha nahin woh suna karo Jo suna nahin woh kaha karo

Kabhi husan parda naseen bhe ho zara aashqana libaas main
Jo main ban sanwar ke kahin chalon meray sath tum bhe chala karo

ANhin be hijaab woh chaand sa keh nazar ka koi asar na ho
Ussay itni Garm-e-shauq se bari der tak taka  karo

Yeh khizaan ki zard se shaal main jo udaas pair ke pass hai
Yeh tumharay ghar ki bahaar hai issay Ansoaon se hara karo

Poet : Bashir Badar

Daag-e-Dil hum ko yaad Aney lage



Daag-e-Dil hum ko yaad Aney lage
Log apney diye jalaney lagay

Kuch na pa kar bhe mutmain hain hum
Ishq main haath kiya khazaney lagay 

Khud frabi se khud frabi hai
Paas ke dhol bhe suhaney lagay

Ab to hota hai her qadam pe gumaan
Hum yeh kaisa qadam uthaney lagay

Is badaltay huye zamaney main
Teray qissay bhe kuch puraney lagay

Aik pal main wahan se hum uthay
Baithney main jahan zamaney lagay

Apni qismat se hai mufar kis ko
teer par urr ke bhe nishaney lagay

Shaam ka waqat ho gaya baqi 
Bastiyon main shraar Aney lagay

Poet : Baqi Sadiqui

Baat karni Mujhay Mushkil kabhi aisi to na thi


Baat karni Mujhay Mushkil kabhi aisi to na thi
Jaisi ab hai teri mehfil kabhi aisi tona thi

Le gaya cheen ke kon tera sabr-o-qarar
Be-qarari tujhay Ae dil kabhi aisi to na thi

Teri Aankhon ne khuda janey kiya kiya jadoo
Keh tabiyat meri mayal kabhi aisi to na thi

Aks-e-ruksaar ne kis ke hai tujhay chamkiya
Taab tujh main Mae_e_kamil kabhi aisi to na thi

Kiya sabab tu jo bigarta hai zafar se her yaar
Khoo teri Hoor-e_shamiyal kabhi aisi to na thi

Poet : Bahadur Shah Zafar

Mujhay Ik Nazam Likhni Hai





Mujhay Ik Nazam Likhni Hai

Kisi bhe khoobsurat shaam main milney chalay ayo
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Sunehri dhoop ke jaisa tera rang roop ujla sa
Dhulay barish se dekho to haseen piyaray nazaray hain
Falak ke istaaray hain
Yeh teri aankh jaisay hain
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Teri zulfain hai gehri jhoomti phirti ghatayon si 
Nasheeli Aankh main teri shraboan ki si masti hai
Tumhari naram palkon par jo roshan se sitaray hain
Mujhay un ko bhe choona hai
Teray in band honthon main chupi jo muskurahat hai
Yehi to shairy hai bas
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Teri aankhain bhout kuch bolti hain
Teri batain shahad sa gholti hain
Yeh phoolon pe giri shabnam taray galon ki jaisi hai
chamakti chandani jaisi teri roshan jabeen par bhe
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Ghani shakhon ke paton main chupa woh chaand piyara sa
Teray chaheray ke jaisa hai 
Teray is chaand chaharay par
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Kisi bhe khoobsurat shaam main milney chale ayo

Poet : Arshad Malik

Jab bhe ati hai khyalon main tumhari Aankhain



Jab bhe ati hai khyalon main tumhari Aankhain
Bheeg jati hain kisi gham se hamari Aankhain

Dhal gayi shaam andheray ne tanabaien garaien 
so gayein thak ke teray hijar ki mari aankhain

Tum meray pass nahin phir bhe tumhara chahera
Sochti rahti hain yeh dard ki mari aankhain

Silsala toot bhe sakta tha basarat ka kabhi
thaam lati na agar aankh tumhari aankhain

Hum isi ass pe Aankhon ko khula rakhtay hain
 Loat ayein na kisi roz tumhari Aankhain

Gatay gatay humain ik shaks ki yaad ati hai
Bheeg jati hain sae-e-bazam hamari Aankhain

Janey kiya baat hai kyn dekhti rahte hain umar
Meri Aankhon ki taraf shaher ki sari aankhain

Poet : Abrar Umar

Koi chaudavein raat ka chaand ban kar tumharay tasawar main aya to ho ga



Koi chaudavein raat ka chaand ban kar tumharay tasawar main aya to ho ga
kisi se ti ki ho ge tum ne mohabbat kisi ko gale se lagaya to ho ga

Labon se mohabbat ka jado jaga kar bhari bazam main sab se nazrain chra kar
Nighahon ki rahoon se dil main utar kar kisi ne tumhain  bhe churaaya to ho ga

kabhi Ainay se nighahain mila kar jo li ho ge bharpoor angrai tum ne
to ghabra ke teri in angraiyon ne teray husan ko gud gudaya to ho ga

Tumharay khyalon ki angnayiyon main meri yaad ke phool mehakay to hon ge
Kabhi apni Aankhon ke kajal se tum ne mera naam likh kar mitaya to ho ga

Nighahon main shamaa-e-tamana jala kar taki to hon ge tum ne bhe rahain kisi ki
kisi ne to tum se kiya ho ga wada kisi ne tumhain bhe rulaya ho   

Poet : Akhtar Azaad
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...