Jun 30, 2014

Tum ne apni chahaton ka iqraar maanga hai


Tum ne apni chahaton ka iqraar maanga hai 

To suno 
Dil ke sache jazbe
Izhaar ky mohtaaj nahin hotay 

Yeh to woh jazbay hain Jo jugnoo ban kar
Aankhon main damaktay hain 
Honton ke naran goshon main reh kar 
Dil main bastay hain 
Tum mujh main is tarah samaye huwey ho 
Keh jaisay 
Phool main kushboo
Taron main chamak 
Titli main rang 

Mera tumhara rishta atoot hai 
Jism-o-jaan ka hai 
Jo jurra raha to zindagi 
Aur toot jaye to mout

Chalo tum theek kehtay ho


Chalo tum theek kehtay ho 

Mohabbat aur siyasat main 

Sab atwaar jaiz hain 

Chalo hum maan letay hain 

Magar yeh jung kaisi hai 

Tum hi mere muqabal ho 

Chalo hum jeet ki khwaish

tum hi pe waar detay hain 

Dhanak ky pull pe chal ky hum 

Gagan ky paar jatay hain 

Chalo hum haar jatay hain

Chalo ik aur dunia main tumharay sath chalty hain


Chalo ik aur dunia main 
Tumharay sath chalty hain 
Jahan halaat kuch bhi hoon 
Magar hum sath rehtay hon 

Jahan mousam koi bhi ho judai ka na ho lekin

Jahan ka chaand bhi tum ho 
jahan suraj
Hawa
Kushboo
Aur gullon ka rang tum se hi ho 

JAhan par dil dharakney ka her ik ehsaas tum se ho 

Jahan par mere jeenay ki 
Saari aas tum se ho 
Chalo ik duniya main 
Tumharay sath chaltay hain 

Maan liya sach kehti ho mujh se mohabbat karti ho


Maan liya sach kehti ho 
Mujh se mohabbar karti ho 

Mere khawabon ki duniya main rehti ho 
Meri yaad ky aalam 
Door khilaa main 
Aksar takti rehti ho 
Din sochon main kat jata hai 
raat ko neend nahin ati 
Ek ek tara ginti ho 
Yeh bhi sach hai 
Apney hussan ki baarish se
Meri zeest ka sehra 
jal'thal kar do gi 
Jeevan bhar sukh banto gi 
Lekin 
Ae masoom larki 
Main be'bas hoon 
Chahon bhi to 
Sath tumhara de nahin sakta 
Mere dukh ki duniya tanha 
Meray sukh ki baat alag hai

Kis umeed pe Kis barta (bhrosa) par
Mera daman thamo gi 
Mere hath ki tooti phooti 
Tirchi lakeerain ghour se dekho 
In main tumhara naam nahin hai 

Ashiyaane ki baat kartay ho dil jalanay ki baat kartay ho


Ashiyaane ki baat kartay ho 
Dil jalaney ki baat kartay ho 

Saari dunia ky rang-o-gham de kar 
Muskurane ki baat kartay ho 

Hum ko apni khabar nahin yaro 
Tum zamaney ki baat kartay ho 

Zikar mera suna to chir kar kaha
Kis deewane ki baat kartay ho 

Hadsa tha guzar gaya ho ga 
Kis ke jaane ki baat kartay ho 

Saath lamhon ka yaad barson ki


Saath lamhon ka yaad barson ki 

Achay logon ki yahi baat burri lagti hai 

Main khawab ban kay usay neend main dekhai doon


Main khawab ban kay usay neend main dekhai doon 
Woh jo mera qurab chahey to main ussay judai doon 

Kuch is tarah se mujhay chahye keh har gharri 
Main dharkano ki tarah ussay qalb main sunnai doon 

Tarap tarap kar mujhe maangta rahe lakin 
Siwaye apne main ussay sari khudai doon 

Kitaab khol ky dekhon to mera chahera hi 
Main warq warq main us ko dikhai doon


Raat kat'ti rahi chaand dhalta raha


Raat kat'ti rahi  chaand dhalta raha 
Aatish-e-hijar main koi jalta raha 

Ghar ki tanhaiyaan dil ko dasti rahein
Koi be'chain karwat badalta raha 

Aas-o-umeed ki shamma roshan rahi 
Ghar ki dehleez koi takta raha 

Askh palkon pe aa ky ruktay rahay 
Naam lab pe kisi ka larazta raha 

Aaj phir raat basar ho gayi 
Aaj phir koi khuda se ulajta raha

Ek khwaab ajab sa dekha tha


Ek khwaab ajab sa dekha tha 
Hum us din se be'zaar piya 

Ab neend bhi hum se rooth gayi 
Phir kaisay ho dildaar piya 

Ab keh dalo to behtar hai 
Jo karna hai iqraar piya 

Dil gham se hi phatt jaye ga 
Kar dena na inkaar piya 

Un ashkon ko un aankhon ki 
Na roke sake dewaar piya

Agar raastay seedhay saadhay hain 
To chalna kiyon dushwaar piya 

Haan jisam to apna lut gaya 
Par bhatky rooh us paar piya

Woh kam sukhan , woh kaj ada , woh be'wafa acha laga


Woh kam sukhan , woh kaj ada , woh be'wafa acha laga 

JAb bhi mila rootha hua jab bhi mila acha laga 

Woh zulam pe mayel bhout , woh jabar ky qayal bhout 

Us ka sitam , Her ik sitam mujh ko sada acha laga 

Tum pyaar ky qabal nahin , tum pyaar ky laaiq nahin 

Us ne kaha , hum ne kaha , hum ne suna acha laga

Ishaq ky baab main kuch youn hai tumhara mera


Ishaq ky baab main kuch youn hai tumhara mera
Faiday saray tumharay hain khasara mera 

Sukh jazeeron pe utarty huwey us ne yeh kaha 
Gham ky darmiyaan ky saahil ka kinara mera 

Gar piayada bhi koi jeet ky nikla to tera 
Aur baazi main koi shah bhi haara mera 

Dil bharosa jo bhout karney laga hai us par 
Mujh ko ik roz daboye ga ,sahara mera 

Jeetney wale sabhi tere taraf daar huwey 
Aur is khel main jo bhi koi haara , mera

Teri haseen aankh ky jaal main aa jaon ga main


Teri haseen aankh ky jaal main aa jaon ga main 
Mujh ko lagta hai teri chaal main aa jaon ga main 

Zindagi baad tere hona thi mushkil lakin 
Yeh na socha tha keh is haal main aa jaon ga main 

Dekh kar us ko mujhe yaad kare gi duniya 
Aik din us ky khad-o-khaal main aa jaon ga main 

Kitne masoom thay jo de kar mujhe tahnay guzray 
Tum ko kehtay thay keh ik saal main aa jaon ga main 

Sur main aa jaye ga jeewan tere jane se
Tere anay se kisi taal main aa jaon ga main

Ek masoom taqadus main bhigoya hua lams


Ek masoom taqadus main bhigoya hua lams
Kitna pakeeza hai ehsaas main dhoya hua lams

Yeh tere jisam ki kushboo ka sunehra ehsaas
Jis tarah chaand ky haale main paroya hua lams

Us ky honton ko main choo loon to gumaan hota hai 
Jaisay kainaat ky guloon main daboya hua lams


Jo meri rooh main utray hi chale jatay ho 
Ik naye rang main ubhray ga yeh boya hua lams

Bheegi kushboo main basa , wasal main bheega bheega 
Kitna masoom hai pehloo main yeh soya hua lams

Tishnagi aan basi hai mere pooron main imran 
Dhoondta phirta hoon muddaton se main khoya hua lams


Mehfil main teri sitaron ki roshni bhout hai


Mehfil main teri sitaron ki roshni bhout hai 
Is liye alwida teri mehfil ko kar hum chale

Jane dil ky kisi kone main andhera bhout hai 
Dil ko roshan khuda ki ibaadat se karne hum chale

Khuda ko pane ki chah is dil main bhout hai 
Do hathon se dua mangney hum chale

Teri aankhon ain basey motiyon ki chamak bhout hai 
Khuda se apne motiyon ka hisaab mangney hum chale

Pathar na kehna jis dil main armaan bhout hain 
Pathron se ik jharney ka rukh morney hum chale

Phool na kehna jis phool main kaante bhout hain 
Phoolon ko kaanton se sajaney hin chale

Chaand ky noor main chandani bhout hai 
Hum ik taaray main apni yaad basa kar chale

Karvaan zindagi ka youn hi barhta jaye ga 
Hum asmaan tere hathon main somp kar chale
 

Yeh zara zara si baat pe tarah tarah ke azaab kiyon


Yeh zara zara si baat pe tarah tarah ke azaab kiyon 

Jo kisi se bhi khafa na ho mujhay us khuda ki talaash hai 

Mujhay larzashon pe her gharri koi tokta hai baar baar

Jissay kar ky dil ko dukh na ho mujhay us gunnah ki talaash hai 

Bina hamsafar ky kab talab koi musafton main laga rahe

Jahan koi kisi se juda na ho mujhay us raah ki talaash hai 

Mujhay dekh kar jo ik nazar mere saray dard samjh sake 

Jo is qadar ho chara gar mujhay us nigha ki talaash hai 

Karta ussay be'qaraar kuch dair

Karta ussay be'qaraar kuch dair
Hota agar ikhtiyaar kuch dair

Kiya roein fraib-e-asmaan ko 
Apna nahin aitabaar kuch dair

Aankhon main katti pahaar si raat 
Soo ja dil-e-be'qaraar  kuch dair

Ae shaher-e-tarb ko jane walon 
Karna mera intizaar kuch dair

Takleef-e-gham-e-firaaq daa'im 
Taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch dair

Yeh guncha-o-gul hain sab musafir
Hai kaafila-e-bahaar kuch dair

Duniya to sada rahae gi imran 
Hum log hain yaad'gaar kuch dair
 

Unhain nafrat thi hum se to izhaar kiyon kiya


Unhain nafrat thi hum se to izhaar kiyon kiya 

Dena tha zehar to pyaar kiyon kiya

De kar zehar bolay peena ho ga 

JAb pee gaye to bole tumhain meri qasam jeena ho ga

Na hai hum ko gham se pyaar



Na hai hum ko gham se pyaar  

Na hai ab kisi pe aitabaar 

Chalo chalein ab is jahan se 

Na raha ab kisi ka intizaar

Tarapta hai dil tere pyaar ko


Tarapta hai dil tere pyaar ko

Machalta hai dil main milne  se yaar ko

Tum kahan ho hamain bata do sanam

Dhoond lain gy tumhain tumhari qasam

Museebat main tum hamain chor chale


Museebat main tum hamain chor chale 

Jo thi yum par umeed woh tor chale

Kaisay karain ab tum pe yaqeen 

YAkeen karna ab hum chor chale

Rehta hai tum se shikwa her baar


Rehta hai tum se shikwa her baar

Kiyon kartay nahin tum mohabbat ka iqraar 

Hum to hain sirf tere liye 

Ab nahin hota hum se intizaar 

Jis ne bulaya hum ko


Jis ne bulaya hum ko 

us ki yaad kiyon sataye 

Kiyon bhula na sake us ko 

kiya us ki koi dua hai

Un ko chahna meri kamzori thi


Un ko chahna meri kamzori thi 

Unhain keh na pana meri majboori thi 

Woh khud kiyon nahin samjhta  mere dil ky armaano ko 

Kiya piyaar ka izhaar karna zaroori hai 

Mujhe ab kuch sujhai nahin deta


Mujhe ab kuch sujhai nahin deta 

Woh apney tak risaai nahin deta 

Main takti rehto hoon paaglon ki tarah 

Woh zaalim kiyon dekhei nahin deta

Haseen khwaab dekha ky bhool jate hain


Haseen khwaab dekha ky bhool jate hain 

Log apna bana ky bhool jate hain 

Judai ka naam sun kar roney wale

Kuch door ja ky bhool jate hain

sasakte dil ko samjhon kaisay


sasakte  dil ko samjhon kaisay 

Sulagte dil ko bhujhaon kaisay

Kaisay rokon meri nazron ko 

Jo her dam tera raah dekhti hain

Woh judai bhi kitni ajeeb thi


Woh judai bhi kitni ajeeb thi 

Tujhay alwida bhi na keh sake

Tere dil main rehnay ka khyal tha 

tere shaher main bhi na reh sake

Ansoo aa jatay hain aankhon main


Ansoo aa jatay hain aankhon main 

Per labon pe hansi lani parti hai

Yeh mohabbat bhi kiya cheez hai 

Jis se kartay ho usi se chupani parti hai

Toot jate hain , bikhar jate hain


Toot jate hain , bikhar jate hain 

Kaanch ky ghar main muqaddar apna 

Ajnabi to sada pyaar se milte hain 

Bhool jate hain to aksar apney

Her ik jazbaat ko zubaan nahin milti


Her ik jazbaat ko zubaan nahin milti 

Her ik aarzoo ko dua nahin milti 

Muskurahat banaye rakho to duniya hai sath 

Ansoo ko to aankh main bhi pannah nahin milti

KAb talak tujh pe inhisaar karain


KAb talak tujh pe inhisaar karain 

Kiyon na ab doosron se pyaar karain 

Tu kabhi waqat par nahin poncha 

Kis tarah tera aitbaar karain

Kis ne kaha tujh se anjaan ban kar aya kar


Kis ne kaha tujh se anjaan ban kar aya kar 

Mere dil ky aainay main mehmaan ban kar aya kar 

Ek tu hi to hai jissy bakhshi hai dil ki hakumat 

Yeh teri saltanat hai sultan ban kar aya kar 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...