Jun 10, 2016

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono




Khoobsurat morr

Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 
Na main tum se koi umeed rakhon dil'nawazi ki 
Na tum meri taraf daikho ghalt andaaz nazron se
Na meray dil ki dharkan larr'kharaye teri baton se
Na zahir ho tumhari kash'ma'kash ka raaz nazron se
Tumhein bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se 
Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalway par'raiye hain 
Meray hum'raah bhi ruswaiyan hain meray mazi ki 
Tumharay saath bhi guzri hui  raaton kay saye hain 
Ta'aruf rog ho jaye to is ka bhoolna behtar 
Taluq bojh ban jaye to is ka torna acha 
Woh afsana jissay anjaam tak laana na ho mumkin 
Ussay aik khoobsurat morr de kar chorna acha 
Chalo aik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono 

Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne


Fiza'ein soch rahi hain keh ibn-e-adam ne 
Khird ganwa kay junoon aazma kay kya paya 

Wohi shakist-e-tamana wohi gham-e-ayaam 
Nigaar-e-zeest ne sab kuch luta kay kya paya 


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye


Faraib-e-jannat farda kay jaal toot gaye 
Hayat apni umeedon pe sharam'saar si hai 

Chaman main jashan-e-darood-e-bahar ho bhi chuka 
Magar nigah-e-gul-o-lala so'gawar si hai 

Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai


Fiza main garam bagulon ka raqs jaari hai 
Ufaq pe khoon ki meena chalak rahi hai abhi 

Kahan ka mehar munawar , kahan ki tanveer'ein 
Keh baam-o-dar pe siyahi jhalak rahi hai abhi 

Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai


Umar bhar reengtay rehnay se kahin behtar hai 
Aik lamha jo teri rooh main wusat bhar de 

Aik lamha jo teray geet ko shokhi de day 
Aik lamha jo teri lay main mussarat bhar de 

Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri


Zakham khurda hain takhyul ki uranein teri 
Teray geeton main teri rooh kay gahm paltay hain 

Sar'mageen aankhon main youn hasratein lo deti hain 
Jaisay veeran mizaron pe diye jaltay hain 

Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh


Teray nazuk se paron par yeh zar-o-seem ka bojh 
Teri parwaz ko azaad na honay de ga 

Tu ne rahat ki tamana main jo gham pala hai 
Woh teri rooh ko abaad na honay de ga 

Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli


Ae tarb zaar-e-jawani ki parishan titli 
Tu bhi ik bu-e-giraftaar hai maloom na tha 

Teray jalwon main baharein nazar ati thein mujhay 
Tu sitam khurda-e-adbaar hai maloom na tha 

Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha


Main ne jis waqat tujhay pehlay pehal daikha tha 
Tu jawani ka koi khawab nazar aayi thi 

Husan ka naghma-e-javed hui thi maloom 
Ishq ka jazba-e-be'taab nazar aayi thi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...