Mar 27, 2015

Sab baatein fazool hon jaisay


Sab baatein fazool hon jaisay 

Kitni haseen hai us ki khamoshi

Ajnabi shaam , Dhund chaai hui hai jheelon par


Ajnabi shaam 

Dhund chaai hui hai jheelon par 
Urr rahay hain parinday teelon par
Sab ka rukh hai nashemano ki taraf
Bastiyon ki taraf , bano ki taraf

Apnay gal'lon ko le kar charwahay
Sarhadi bastiyon main ja ponchay
Dil-e-na'kaam ! main kahan jaaon ?
Ajnabi shaam ! main kahan jaaon 


Islaam ki hajoo main kahoon meri kya majaal


Islaam ki hajoo main kahoon meri kya majaal 

Haan ' dastaan-e-karb-o-bala likh raha hoon main

Naam hi naam chaar su , aik hajoom ru-ba-ru


Naam hi naam chaar su , aik hajoom ru-ba-ru

Koi to ho meray siwa , koi meray siwa nahin

Chand ne taan li hai chadar-e-abar


Chand ne taan li hai chadar-e-abar

Ab woh kapray badal rahi ho gi

Hai ajab kuch moamala dar'paish


Hai ajab kuch moamala dar'paish

Aqal ko aa'gahi se khatraa hai

Be'zaar ho gayi ho bhout zindagi se tum


Be'zaar ho gayi ho bhout zindagi se tum 

Jab bas main kuch nahin to be'zaar hi raho

Woh khuda ho keh adam-o-iblees


Woh khuda ho keh adam-o-iblees

sab kay sab azmaye jayein gay

Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki


Yeh kis maqaam pe soojhi tujhay bicharnay ki 

Keh ab to jaa kay kahin din sanwarnay walay thay

Ehad-e-rafaqat theek hai lakin , mujh ko aisa lagta hai


Ehad-e-rafaqat theek hai lakin , mujh ko aisa lagta hai 

Tum to meray saath raho gi , main tanha reh jaaon ga

Hai iktiyaar main teray to mojaza kar de


Hai iktiyaar main teray to mojaza kar de

Woh shakhs mera nahin , ussay mera kar de

Na koi chaap zinda hai , na dastak


Na koi chaap zinda hai , na dastak

To kya main ghar main darwaza na chahon

Jab mujhay bhi nahin koi ehsaas


Jab mujhay bhi nahin koi ehsaas

Tum ko mera azaab kya maloom

Tera khayal to hai par tera wajood nahin


Tera khayal to hai par tera wajood nahin 

Teray liye to yeh mehfil sajaai thi main ne

Kal par hi rakho wafa ki baatein


Kal par hi rakho wafa ki baatein 

Main aaj bhout bujha hau hoon

Gham Kay Maare jo Sada detay Hain


Gham Kay Maare jo Sada detay Hain

Takht Shaahon Kay Hila detay Hain

Bheegay MouSam Mein Sulagtay aansoo

Meri Aankh0n Ko jala detay Hain

Kitnay Zalim Hain Hawa K jhonkay

Soye Zakhmon Ko jaga detay Hain

Aisi Bakhshi Hai UdaaSi tu Ne

Ab Lateefay Bhi rula detay Hain

Teray Honto'n Se Woh jharrtay Mouti

Mujh Ko Neend0'n Se jaga detay Hain

Ab Na "Dost" Ko Sadayein daina

Hum Na Loutein Gain, Bta detay Hain..!

Bohat majbur hain hamdam na itna yaad aayo tum


Bohat majbur hain hamdam
Na itna yaad aoo tum
Na yun itna sataoo tum
keh itna yaad aa kr yun
hamen pagal bana k tum,
faqat itna bata do k,
hamari jaan lo ge kya?
magar ye bhi haqeeqat hai,
tuhmari yaad hi to hai,
jo har pal sath rehti hai,
khushi mein bhi,
ghamon mein bhi,
udasi k palon mein bhi,
tuhmari yaad hi to hai,
jo har pal ye batati hai,
mujhe ehsas dilati hai, K
hum TUM BIN adhure hain keh

HUM TUM SE HI POORY HAI

Ye Zindagi Bari Khubsurat Hai Par Mujhy Jeena Nahi Aata


Ye Zindagi Bari Khubsurat Hai Par Mujhy Jeena Nahi Aata

Har Cheez Me Nasha Hai Par Mujhy Peena Nahi Aata

Sab log Mere Bina Jee Skty Hain

Sirf Mujhy Hi Apno ky Bina Jeena Nahi Aata

Yeh Na Samaj k Bichra Hon To Bhol Gaya Hon Tujhe



Yeh Na Samaj k Bichra Hon To Bhol Gaya Hon Tujhe
Tare Hathon Ki Khoshbo Mare Hathon Main Aaj Bhi Hai

Ye Or Baat Hai Majboreyon Ne Nebhane Na Di Dosti
Warna Shamil Sachai Mari Wafaon Main Aaj Bhi Hai

Mohabat Say Barh Kr Tum Say Aaqedat Hai Mujhay
Yon Maqam Tera Boland Muj Main Aaj Bhi Hai

Har Lamha Zindagi Main Mohabaten Naseeb Hon Tujhe
Shamil Tu Mari Zindagi Ki Duaon Main Aaj Bhi Hai

Yunhi Doorion men guzar gayi zindgi


Yunhi Doorion men guzar gayi zindgi
Kbhi Wo Juda.
Kbhi Men Juda.
In Chahaton k morr pr.
Kbhi wo ruka.
Kbhi Men ruka.
Wohi Raaste.
Wohi manzilein.
Na use khaber.
Na mujhe pta.
Apni Apni anaa Ki Aag Men.
Kbhi Wo Jala.
Kbhi main Jala.
Ye Qudrat ka
Ajeeb sa khel tha
Na wo bewafa
Na men bewafa
Phir ye kesa insaf hy
Na mujy wo mila na me usy mila.

Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne


Jab kisi jaam ko honton se lgaya mein ne
Raqs krta howa dekha tera saya mein ne

Mujh se math pooch mere mohtasib-e-shehr se pooch
kiyon teri aankh pe paimaana banaya mein ne ?

Loog kehte hein qaseeda wo tere husn ka tha
Aam saa geet jo mehfil mein sunaya mein ne

Maikada bund tha laikin joon hee grja baadal
Apni tauba ko chatkh'ta howa paya mein ne

Shair-o-naghmaat ka rishta kbhi tota na qateel
Jab ghzal ban k wo aaya usay gaaya mein ne

Main To Awara Hun,,! Badnam Hun Zmaney Mein Magr..


Main To Awara Hun,,! Badnam Hun Zmaney Mein Magr..

Tum Log Tu Muqadas Ho, phir Wafa Q Nhi Karty........

Qafas Main Rehtay Rehtay Ho Gai Hai Mujhay Qaid Say Ulfat...


Qafas Main Rehtay Rehtay Ho Gai Hai Mujhay Qaid Say Ulfat...

Main Khud Hi Noch Leta Hoon, Meray Jab Parr Nikaltay Hein...!!!

Roz_o_shab youn naa aziy'yat mein guzaray hotay






Roz_o_shab youn naa aziy'yat mein guzaray hotay
Chain aa jaata agar khul k haaray hotay

Khud sy fursat hi muyas'sar nahi hoti warna
Hum kisi aur k hotay tu tumharay hotay

Tujhay bhi gham ny agar theek sy barta hota
Teray chehray py khad_o_khaal hamaray hotay

Aik bhi mouj agar hamari himayat karti
Main ne us paar kai log utaaray hotay

Lag gai aur kahin umar ki poonji warna
Zindagi hum teri dehleez pe haaray hotay

Kharch ho jatay isi ek muhabbat mein kiyon
Dil agar aur bhi seeney mein hmaray hotay

Basa kay khud ko meri aankhon main kahan chalay tum


Basa kay khud ko meri aankhon main kahan chalay tum 

Yeh shaher-e-ishq hai yahan hijrat ki ijaazat nahin hamein

Meray mizaaj pe hairaan hai zindagi ka shaoor


Meray mizaaj pe hairaan hai zindagi ka shaoor

Main apni mout aksar galay laga kay mila

Ba adab agar koi aik mil jaye


Ba adab agar koi aik mil jaye

Sab haseeno se munh mor loon

Hansanay pe bhi aa jatay hain be'saakhta aansoo


Hansanay pe bhi aa jatay hain be'saakhta aansoo

Kuch log mujhay aisi dua de kay gaye hain

Her ik pal ka taaluq teray khayal se hai


Her ik pal ka taaluq teray khayal se hai 
Meri ghazal ka taaluq teray khayal se hai 

Bandha hua hai teri aarzoo se sara badan
Her ik amal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh tishnagi to mujhay jaan se bhi pyaari hai 
Keh meray thal ka taaluq teray khayal se hai

Keh meri rooh ki saari bahaar tujh se hai 
Kanwal kanwal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh zindagi bhi hai teri ataa ae jaan-e-jaan 
Agar ajal ka taaluq teray khayal se hai 

Yeh meri rooh munaqish hai teri yaadon se
Keh is mehal ka taaluq teray khayal se hai 

Firaaq-o-hijar kay yeh jis qadar masaa'il hain
Sabhi kay hal ka taaluq teray khayal se hai 

De mujhay azeeyat jee bhar kay


De mujhay azeeyat jee bhar kay
Wehshat meri rag rag main tu rakh de
Phatt jayein meri aankhein dehshat se 
Kat jayein meray hont kisi haibat main 
Dil dharkay youn keh dhol bajay chorahay main 
Youn shor ho meri saanson main 
JAisay ghungroo tawaa'if kay paironkay
Dil aisay mujhay siskaata hai 
JAisay sifaak bhairiya jungle main 
Hirni ko paarr kay khaata hai 
Youn dard meray tan main uth'ta hai 
JAisay waqat-e-naazan mout ka ham'raahi 
Saanson ki loata de ik ik paai 
Tu jaan-e-ghazal , tu rooh-e-adab 
Tu meray liye wisaal ki shab 
De apna haath meray haathon main 
Keh aaye saans meri saanson main 

Sapnay kaisay baatein karein


Sapnay kaisay baatein karein 

Sapnay kaisay baatein karein 
Khadshon ki zanjeer pari hai 
Neend bhari sab aankhon main 
Sapnay kaisay baat karein 
Jin logon ka rasta taktay 
Umrain rizq khaak huwein 
Ab woh log aur un kay sapnay dekhnay wali 
Aankhein bujh kar raakh huwein 
Raakh kay is ambaar main hoon 
Kaisay kaisay zinda khawab 
Kahwabon ki is raakh ko lakin 
Chairay kon ?
Jis matti main rait mili ho
Us main kaisay baagh lagaein 
Dariya hi pa'yaab hon ! jab to
Is main kashti kya lay jayein 
Khushboo ik awara jhonka 
Is jhonkay ko ghairay kon 
Kaisay duniya ko batlaaon 
Tum hotay ho meray kon !!!

Mujhay tum se yeh kehna hai mujhay tum se mohabbat thi


Mujhay tum se yeh kehna hai 
Mujhay tum se mohabbat thi 
Mujhay tum se mohabbat hai 
Meray din raat main tum ho
Meri her baat main tum ho
Khushi kay jitnay mousam bhi
Tumharay saath dekhye hain 
Meray jeevan ka haasil hain 
Tumharay naam kay jugnoo
Tumharay lams ki khushboo
Tumharay pyaar ka jaadu
Meri rag rag main shamil hain 
Main apni zaat kay chahye kisi mousam main rehta hoon 
Her aik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Meray her pal main rehti ho 
Mera dil hai pagal sa
Isi pagal main rehti ho
Suno ! tum se yeh kehna hia 
Keh tum meri mohabbat se kabhi mat bad'gumaan hona 
Keh meri zindgaani kay sabhi rastay jo sach poocho
Tumhari simat aatay hain 
Main tum se door reh paaon ab yeh mumkin nahin jaana
Suno ! ehad-e-mohabbat ki mujhay tajdeed karni hai 
Purani baat hai lakin mujhay phir bhi yeh kehni hai 
Mujhay tum se mohabbat thi , mujhay tum se mohabbat hai 
Her ik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Suno ae hamsafar meri 

Poet :~ Atif saeed


Suno ae hamsafar meri


Suno ae hamsafar meri 

Mujhay tum se yeh kehna hai 
Mujhay tum se mohabbat thi 
Mujhay tum se mohabbat hai 
Meray din raat main tum ho
Meri her baat main tum ho
Khushi kay jitnay mousam bhi
Tumharay saath dekhye hain 
Meray jeevan ka haasil hain 
Tumharay naam kay jugnoo
Tumharay lams ki khushboo
Tumharay pyaar ka jaadu
Meri rag rag main shamil hain 
Main apni zaat kay chahye kisi mousam main rehta hoon 
Her aik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Meray her pal main rehti ho 
Mera dil hai pagal sa
Isi pagal main rehti ho
Suno ! tum se yeh kehna hia 
Keh tum meri mohabbat se kabhi mat bad'gumaan hona 
Keh meri zindgaani kay sabhi rastay jo sach poocho
Tumhari simat aatay hain 
Main tum se door reh paaon ab yeh mumkin nahin jaana
Suno ! ehad-e-mohabbat ki mujhay tajdeed karni hai 
Purani baat hai lakin mujhay phir bhi yeh kehni hai 
Mujhay tum se mohabbat thi , mujhay tum se mohabbat hai 
Her ik mousam tumhara hai 
Tumhara saath pyaara hai 
Suno ae hamsafar meri 

Poet :~ Atif saeed


Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs


Meray rag-o-pay main sama gaya woh shakhs
Meri zindagi main chaa gaya woh shakhs

Meray dil se dil mila gay awoh shakhs
Mujhay khush'naseeb bana gaya woh shakhs 

Mujhay de gaya apni her khushi 
Meri aankhon se neend chura gaya woh shakhs 

Janay kya baat thi us main aisi
Mujhay mohabbat karna sikha gaya woh shakhs

Kehnay ko saath apnay aik duniya chalti hai



Kehnay ko saath apnay aik duniya chalti hai 

Par chup kay is dil main tanhai palti hai 

Bas yaad saath hai 

Teri yaad saath hai , , , , , !

Pehlay dil ki ujrri zameen par khawaab mohabbat kay sajaye


Pehlay dil ki ujrri zameen par 
Khawaab mohabbat kay sajaye
Phir , ,  , ,  ,!
Meri aankhon main kuch deep jalaye
Kabhi cyhaand , kabhi gulaab kaha 
To , ,  , , ,!
KAbhi sapno ki raani kaha 
Phir , , , ,  ,!
Woh meri zindagi ban gaya 
Aur , ,  , ,!
Jab us ki mohabbat meri rooh ko deemak ki tarah lag gayi
To , , , , , ,  , ,!
Us ne mujhay chor diya

Tum ko maloom hai keh shaam-o-sehar


Tum ko maloom hai keh shaam-o-sehar 

Bas tumhein sochta raha hai koi

Raat akaash par ghatta thi bhout Chaand aankhon main aa gaya logo


Raat akaash par ghatta thi bhout 
Chaand aankhon main aa gaya logo
Us ne dukh sukh hazaar keh daalay 
Mujh se kuch na kaha gaya logo
Keh raha tha keh dard ne mujh ko 
Sakhat pathar bana diya kab ka 
Jheel aankhon ne Orh kar kaai 
Mujh ko ghar bana diya kab ka 
Keh raha tha keh ab mera sagar 
Meri jaanib kashish nahin karta 
Dukh ki hairat main doobi kirno ko 
Apni baanhon main ab nahin bharna 
Keh raha tha keh ab meri kirnein 
Be'ghar ka azaab sehti hain 
Orhay kaali ghatta sisakti hai 
Wasal rut ko sairaab kehti hai 
Keh raha tha keh aasmaan dil ka 
Shab ka aalma hai gham ki sill jaisa
Subha ka chehra zard hota hai 
Main ne chup chaap
Saray dukh sun kar 
Apnay sar ko jhuka diya logo
Aankh se behtay sill dard kay saath 
Chand ko bhi baha diya logo
Apna sapna mitta diya logo
Chand main ne baha diya logo

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...