Jun 18, 2014

Bicharna mout jaisa hai


Bicharna mout jaisa hai 

Bicharnay ki aziyat ko agar tum jaan'nana chahao
To kuch pal ko 
Zara yeh saan apni rok kar dekho 
Tumhein mehsoos yeh ho ga 
Bicharna mout jaisa hai 

Suna hai nosh woh hum se bichar janay ka talib hai


Suna hai nosh woh hum se bichar janay ka talib hai

Ussay yeh kon samjhaye bicharna mout hoti hai

Woh armano ki ujri hui basti phir aaj abaad hoti ja rahi hai


Pehla sajda


Woh armano ki ujjri hui basti 
Phir aaj abaad hoti ja rahi hai 
Jahan se karwaan-e-shouq guzray 
Na janay kitni muddat ho gayi hai 
Pala tha sohbat-e-ehal haram main 
Main barson se tabistaan-e-aashna tha 
Bani na lakin khuda se , na button se
Main dono aastano se khafa tha 
Magar kuch aur hi aalam hai ab to 
Main apni hairaton main kho gaya hoon 
Mujassam ho gaye hain husan-o-jabroot 
Mujhay lena main behka ja raha hoon 
Koi yazdaan ho butt ho aadmi ho
Izaafi qeematon se mawara hoon 
Main pehli baar sajda kar raha hoon 

Hai ussay door ka safar dar'paish


Hai ussay door ka safar dar'paish

Hum sambhalay nahin sambhaltay hain

Bichartay lamhay us ne kaha


Bichartay lamhay us ne kaha 
Jee na paaon gi 
Tumharay bin 
Phir aaj muddat baad 
Mehakti hawa
Suna gayi 
Haal us ka 

Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain


Garmi-e-hasrat-e-na'kaam se jal jatay hain 
Hum chraghon ki tarah shaam se jal jatay hain 

Shamh jis aag main jalti hai numaish kay liye
Hum usi aag main gum'naam se jal jatay hain 

Khus'numai to nahin shaiwa siyaal se hum 
Shola-e-aaraz-e-gulfaam se jal jatay hain 

Jab bhi ata hai mera naam teray naam ky sath 
janay kiyon log meray naam se jal jatay hain

Mohabbat ky parday ka yeh waar dekha


Mohabbat ky parday ka yeh waar dekha
Ajab hi zamanay ka fankaar dekha

Kaleesa ho mandar ho masjid keh kaaba 
Usi buut ko main ne nazar paar dekha

Her ik ja pe urti hui khaak pai
Yahi ik manzar her ik baar dekha

Ussay main ne socha to dharka laga hai
Bichar hi na jaye to la'chaar deka

Mohabbat mili hai mujhay aaj atif
To main ne bhi hans ky sooy-e-daar dekha

Jiis ki hathaili pe apna naseeb tha


Milna itifaaq to bicharna naseeb tha 

Ho gaya door door jo meray dil kay bhout qareeb tha 

Main us ko dekhnay ko tarasta reh gaya 

Jiis ki hathaili pe apna naseeb tha

Tumharay sath ka jab se mila hai sath mujhay


Tumharay sath ka jab se mila hai sath mujhay

Na janay kiyon mujhay khud se mohabbat honey lagi hai

Mera kiya haal hai teray bina kabhi dekh tu le


Mera kiya haal hai teray bina kabhi dekh tu le

Jee raha hoon tera bhoola hua wada ban kar

Lagi jab sawan rut ki jhari


Lagi jab sawan rut ki jhari 

Jal thal aankh thi bari

Teray samnay manzal thi

Aur meray paas 

Bas ik gharri

Sahil par ik tanha larki


Sahil par ik tanha larki

Sard hawa ka bazoo thamay 

Geeli rait pe ghoom rahi hai

Janay kis ko dhoond rahi hai

Bin kajal, be'kal aankhon se

Khulay samandar ky seenay par

Fraatay bharti kashti ky bad'baan ky lehranay ko

Kis hairat se dekh rahi hai

Kis hasrat se apna anchal masal rahi hai

Zindagi ky staye huywe


Zindagi ky staye huywe 

Mout ky dilnasheen qadmon main girtay hain 

Girr girratay hain 

Minatein kartay hain 

Hamain bhi apnay sath ly chalo

Un andheray raston par 

Ky jin se koi wapis nahin ata

Aankhon se parhi jati hai haya ki kahani


Aankhon se parhi jati hai haya ki kahani 

Niqaab daal kar koi parsa nahin hota

Chasham-e-saaqi ne yeh kiya khail racha rakha hai


Chasham-e-saaqi ne yeh kya khail racha rakha hai 
Koi zahid koi madhosh bana rakha hai 

Jo phansa phir na kabhi rihaai mangi 
Teri zulfon ne ajab jaal bicha rakha hai

Husan ho ishq ho dono ka asar yaksaan hai 
Cheez hai ik magar naam juda rakha hai

Rukh pe lehrati hain kabhi shano se uljh parti hain 
Tu ne zulfon ko bhout sar pe charha rakha hai

Teri makhmoor nighaon se hai ronaq sari
Warna saaqi teray mae'khanay main kiya rakha hai

Wajood-e-zan se hai tasveer-e-kainaat main rang


Wajood-e-zan se hai tasveer-e-kainaat main rang 

Isi kay saaz se hai zindagi ka sooz-e-rawan

Dil dhraknay ka sabab yaad aaya


Dil dhraknay ka sabab yaad aaya 
Woh teri yaad thi ab yaad aaya

Aaj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu museebat main ajab yaad aaya 

Din guzra tha bari mushkil se 
Phir tera wada-e-shab yaad aaya

Tera bhoola hua paimaan-e-wafa 
Mar rahain hain agar ab yaad aaya

Phir kai log nazar se guzray 
Phir koi shaher-e-tarab yaad aaya 

Haal-e-dil hum bhi sunatay lakin 
Jab woh rukhsat hua tab yaad aaya 

Baith kay saya-e-gul main nasir
Hum bhout roye woh jab yaad aaya

Kab se apni talash main gum hoon


Kab se apni talash main gum hoon 

Ae khuda mujh ko mujh par afshaa kar

Kon baantay ga dukh teray nasir

Doston se bhi chup kay roya kar

Zikar itna kiya tera hum ne


Zikar itna kiya tera hum ne 

Qabl-e-zikar ho gaye hum bhi

Tapish hy apny hi gunahon ki yaro


Tapish hy apny hi gunahon ki yaro

Mery shehr ka mosam khush gawaar nai hota

Din bhr kr k nafratain insano sy

Kehty hain k razi parwar digaar nai hota

Muhabbt kanch ka soda


Muhabbt kanch ka soda
Muhabbt aag ka darya
Muhabbt June jaisi hai,
Muhabbt barf jesi hai,
Muhabbt rat kali hai,
Muhabbt neela mosam hai,
Muhabbt kacha angan hai,
Muhabbt titliyon ka ghar,
Magr phir bhi, Muhabbt ho hi jati hy,
Kisi anjaan basti se,
Kisi anjaan hasti se,
Kisi kaghaz ki kashti se,
Kisi khirki ke manzar se,
Kisi dhundli si hasrat se,
Kisi jhooti tasalli se,
Muhabbt ho hi jati hai.
Muhabbt ho hi jati hai...

Zara jo door jaty ho


Zara jo door jaty ho
To tab ehsas hota hy
K baqi kuch nhi rhta
Mere jivan k angan mein
Meri khushion k daman mein
Tere bin kuch nhi rhta
Udasi chai rhti hy
Spne adhore se lgte hain
Din sadion se lgte hain
Umedain mrne lgti hain
Tere hathon se mere hath
Achanak choot jate hain
Mere arman rote hain
Tujhe awaz dete hain
Tujhe wapas bulate hain
k Tum bin Hm adhory hain

Suno Tum Ne Kabhi Sahil Pe Bikhri Rait Dekhi Hai?


Suno Tum Ne Kabhi Sahil Pe Bikhri Rait Dekhi Hai?
Samandar Sath Behta Hai
Magar Us K Muqaddar Main Hamesha Pyas Rehti Hai
Suno Tum Ne Kabhi Sehra Main Jaltay Pairh Dekhay Hain?
Sabhi Ko Chhaaon Daitey Hain
Mgr In Ko Silay Main Dhoop Milti Hai
Suno! Tum Ne Kabhi Shakhon Se Bichhartey Phool Dekhay Hain?
Wo Khushbu Baant Daitay Hain Bikhar Janay Talak,
Lekin Hawa Ka Sath Daitay Hain
Suno! Tum Ne Kabhi Mailay Main Bajtay Dhol Dekhay Hain?
Ajab Hai Almiya In Ka
Bohat Hi Shor Kartay Hain,
Mgr Andar Se Khaali Hain
Yehi Mera Fasana Hai
Bus Itni Si Paheli Hai
Yehi Meri Kahani Hai..

Jab woh mera naam


Jab woh mera naam 

Apnay hathon ki lakeeron main 

Talaash kar ky thak gayi

To dheeray se sar jhukaya 

Aur muskura ky kaha

Lakeerain jhoot bolti hain

Mujhay sab log kehtay hain


Mujhay sab log kehtay hain 

Mohabbat jantay ho tum 

Mohabbat mantay ho tum 

Mohabbat aag jaisi hai

Jo jalti hai to bujhti hai

Mohabbat geet jaisi hai

Kai sazoon pe mabni hai

Mohabbat rangon ki titli

Jo kushboo dhoond lete hai

Magar kiyon mujh ko lagta hai 

Yeh saray lafaz jhootay hain 

Agar sach hai 

To bas yeh hai

Mohabbat aap jaisi hai

Kabhi gum sum 
kabhi chanchal 
Kabhi jugnoo
Kabhi badal

Kabhi yeh need hai to

kabhi yeh khwaab jaisi hai

Mohabbat aap jaisi hai 

Mohabbat khaas tohfa hai


Mohabbat khaas tohfa hai

Mohabbat khaas logon ky liye

Ik khaas tohfa hai

Gulabon ki hai mehkahat to sharmahat kali ki hai

Agar yeh gul ki surat hai to narmahat kali ki hai

Yeh bhanwaray ki hai be'baaqi to ghabrahat kali ki hai

Hawaon ki hai khamoshi to yeh aahat kali ki hai

HAi chanda ki jhalak is main 

Sitaron ki chamak bhi hai

Kabhi suraj ki garmi si

sabaki si , dhanak bajti hai

Mohabbat khaas logon kay liye

Ik khaas tohfa hai

Sitary jo chamaktay hain kisi ky chasham-e-hairaan main


Sitary jo chamaktay hain kisi ky chasham-e-hairaan main 
Mulaqatain jo hoti hain jamal-e-abar-e-baaran main 
Yeh na abaad waqaton main 
dil-e-nashaad main ho gi
Mohabbat ab nahi ho gi
Yeh kuch din baad main ho gi
Guzar jayein gy jab yeh din
Yeh un ki yaad main ho gi
Mohabbat ab nahin ho gi
Yeh kuch din baad main ho gi

Tu agar dhoop banay apni amaan main rakh loon


Tu agar dhoop banay apni amaan main rakh loon 
Main teri sari tapish qariya-e-jaan main rakh loon

Janay phir teri yaad kon se pehlo se aye
Jee yeh kehta hai tujhay apnay gumaan main rakh loon 

Apnay logon main bhi kuch dost nikal atay hain 
Aakhri teer bacha keh apni kamaan main rakh loon

Meri neend main abhi aik khwaab baqi hai


Meri neend main abhi aik khwaab baqi hai
Meri mohabbat ka sawaal jawaab baaqi hai

Ankhon se izhaar-e-mohabbat kiya to hota 
Khamoshi ky ghamon ka hisaab baqi hai

Aap ki justago ne aisi aag laga di dil main
Ab bhi shama jalti hai aur iltihaab baaqi hai

Aap hi ki aankhon main gum madhosh rahoon 
Woh sunehra lamha shab-e-mehtaab baaqi hai

Murjha chuka hai waqat intizaar kartay kartay 
Lakin meri mohabbat ka woh gulaab baaqi hai

Ranga hai mujhay kuch aisay rangon main  
Ky wafa ki dastaan aik kitaab baaqi hai

Chuaa hai aap ky labon ko us paimaanay ne 
Jis main meri zindagi kuch shraab baaqi hai

Ab junoon kab kis ky bas main hai


Ab junoon kab kis ky bas main hai 
Us ki kushboo nafas nafas main hai

Haal us said ka sunaye kiya 
Jis ka sayaad khud qafas main hai

Kiya hai gar zindagi ka bas na chala
Zindagi kab kis ky bas  main hai

Ghair se to raha zara hoshiyaar
Woh teray jisam ki hawas main hai 

Pa shakista para hoon magar
Dil kisi naghma-e-jaras main hai 

June hum sab ki dastaras main hain 
Woh bhala kis ki dastaras main hai

Hum ko barbaad usi ne kiya jab jaan liya


Hum ko barbaad usi ne kiya jab jaan liya
Paniyon pe jo likha tha ussay sach maan liya

Hum ne dhoonda hi nahin dard ka darmaan hargiz
Aa pari jab koi mushkil ussay asaan liya

Baar ha jo hua barbaad aood ky hathon 
Hum ne her baar wohi gosha veeraan liya 

Jaan aankhon main simat ayi khabar us ko na di
Us ki purshish ka bhi hum ne kahan ehsaan liya

Ban ky anjaan mile jis ko ujalay main batool 
Usi chanada ko andheray main bhi pehchaan liya

Batain kartay huwey hont achanak ruk jatay


Batain kartay huwey hont achanak ruk jatay 

Aur aankhain  is ky peechay peechay  chal parti thein

Dehaan ka rasta kho jata tha 

Mehfil main jis simat woh jati 

Kamray ka woh hissa  jaisay ya'dam roshan ho jata tha 

Jado'gar thein aankhain us ki 

Palkain thein ik raaz

Rooh main jhil mil kar deti thein

Aisi thi awaaz

Zaahir kisi surat bhi kahin naam na karna


Zaahir kisi surat bhi kahin naam na karna
Hain log bhout khaas hamain aam na karna

Janay ki ijazat to diya detay hain lakin
Rastay main kahin atay huywe shaam na karna

Kuch roz se yeh haal hai furqat main tumhari
Be'kaar paray rehna koi kaam na karna

Hum bhi na dikhaein sar-e-raah giribaan 
Tum bhi meray wadon ko sar-e-aam na karna

Is shart pe hai tark-e-taaluq ki ijazat 
Bad'zamanay main mera naam na karna

Yadon ka nasha hosh urra deta hai arshad 
Saaqi se kaho samnay ab jaam na karna

Hum jo bichray to batao bhala kiya ho ga


Hum jo bichray to batao bhala kiya ho ga

Teri aankh main jalta hua

Meri yaad ka ik dia ho ga

Poochain gy log

Tujh se sabab teri udasi ka

Kahin palkon pe koi ansoo atka ho ga

Bhool jayein gy log rafta rafta 

Samjh kar ik hadsa is ko

In aankhon main magar 

Ik dard sa tehar gaya ho ga


Talaaq to de rahay ho gharoor-o-qehar kay saath


Talaaq to de rahay ho gharoor-o-qehar kay saath 

Mera shabaab bhi lota do meray mehar kay saath

Kisi ki yaad main ab aisa bhi haal kya karna


Kisi ki yaad main ab aisa bhi haal kya karna
Keh jo mila nahin us ka mal'laal kya karna

Ab aisa kiya hua tum jaan haar baithi ho
Zara se hijar pe khud ko nidhaal kya karna

Ussay bhulana bari baat to nahin phir bhi
Ussay bhulanay ka koi kamaal kya karna

Yeh zindagi to faqat rog ban gayi hai
Dil-e-tabbah ka her pal kya karna

Bhout mumkin hai duniya cheen le mujh se teri yadain


Bhout mumkin hai duniya cheen le mujh se teri yadain
Keh main ab aur teray gham ki hifazat kar nahin sakta

Mujhay azaad kar touq-e-aseeri bakshanay wale
Main zanjeeron main ilaan-e-bagawat kar nahin sakta

Meri mushkil yeh hai keh mujhay adakaari nahin ati 
Haqeeqi aadmi rasmi mohabbat kar nahin sakta

Hum ne khud main aap ko paroya hai


Hum ne khud main aap ko 

paroya hai aik tasbeeh ki tarah 

Agar hum tootay to 

Bikhar aap bhi jayein gay

Main ussay chor ayi hoon



Main ussay chor aayi hoon 

Main mohabbat ki ibtidaa aur 
Intihaa kay mutalaq nahin jaanti 
Main us kay mehni bhi samjhi nahin hoon 
Magar jis kay bina
Saans lena bhi mumkin nahin tha 
Jis kay bicharnay kay khayal se hi 
Dil ki sari ragein toot'ti thein 
Woh jis ki kaj'adaai
Sahi nahin jati thi 
Woh jis ki aik pal ki be'rukhi se 
Kamlaa si jati thi 
Woh jis ki halki si takleef
Mujhay bo'khalaa deti hai 
Woh jsi ki choti si farmaish
Poori karnay ko kya kya jatan karti thi 
Jis ki her baat seh jati thi 
Jissay roothnay nahin deti thi 
Aaj us ki aakhri tamana bhi 
Puri kar aayi hoon 
haan tum sahi samjhay ho 
Main us kay liye ussay chor aayi hoon 
jis kay na honay se 
Meray jeevan kay sab rang   khatam ho gaye hain
 

Kabhi daman , kabhi palkein bighona kis ko kehtay hain


Kabhi daman , kabhi palkein bighona kis ko kehtay hain 
Kisi mazloom se pocho keh rona kis ko kehtay hain 

Rafu karna jissay aata hai apnay dil kay zakhmon ko 
Tumhein bat'laye ga seena parona kis ko kehtay hain 

Kabhi meri jaga khud ko rakho phir jaan jaao gay 
Keh duniya bhar kay dukh dil main samona kis ko kehtay hain 

Na khawab awar dawaein kha kay bhi neend aa sakay tum ko 
Samjh lo gay keh kaanton ka bichona kis ko kehtay hain 

Meri aankhein meray chehray ko ik din ghour se dekho
Magar mat poochna , veeran hona kis ko kehtay hain 

Tumhara dil kabhi pighlay agar gham ki haraarat se 
Tumhein maloom ho jaye ga rona kis ko kehtay hain
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...