May 21, 2014

khuda aur mohabbat




karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat



khuda ke naam pe sajday main sir jhukna ibadat hai
woh dil Allah ka ghar hai keh jis dil main mohabbat hai
khuda ke naam

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat


parho ayat koi surat sanam ke naam ka kalma
wafa ke 2 dano par tasbeeh to mukamal hai
woh jannat ho ya yeh duniya inhi lafzon ki chahat hai
mohabbat hai khuda jaisi khuda hi to mohabbat hai
khuda ke naam

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat

meray mehboob ki surat main rab dekhon to kiya samjon
yeh emaan hai , bagawat hai , junoon hai , ya haqeeqat hai
mera qibla mera  kaaba hai mera taveez manat hai
khuda ke roop main pinhaan meray dil main mohabbat hai
khuda ke naam


karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat


yeh dil main kaisi uljahan hai
main kiya mangon khuda janay mohabbat to gunnah hi hai
mohabbat hi khuda bhi hai
main mar jayon na is gham main
na keh payon yeh chahat hai
mera jeena ibadat hai mera marna mohabbat hai
Khuda ke naam
khuda aur mohabbat

karon sajda aik khuda ko
parhon kalma ya main dua doon
dono hi aik khuda aur mohabbat


door tak chaye thay badal aur kahin saya na tha


door tak chaye thay badal aur kahin saya na tha

is tarah barsaat ka mousam kabhi aya na tha

kiya mila aakhir tujhsy sayon ke peechay bhaag kar

ae dil-e-nadaan tujhay kiya hum ne samjhaya na tha

uff yeh snata keh aahat tak na ho jis main mukhil

zindagi main is qadar  hum ne sukoon paya na tha

khoob roye chup ke ghar ki chaar devaari main hum

haal-e-dil kehnay ke qabil koi ham'saya na tha

ho gaye qalash jab se ass ki daulat luti

paas apnay aur to koi bhi sarmaya na tha

woh payamber ho ke aashiq qatl-e-gaah-e-shauq main

taaj kanton ka duniya ne pehnaya na tha

ab khula jhonkon ke peechay chal rahi thi andhiyaan 

ab jo manzar hai woh pehlay to nazar aya na tha

sirf kushboo ki kami thi ghour ke qabil qateel

warna gulshan main koi bhi phool murjhaya na tha

kon kehta hai mout ayi to mar jayon ga




kon kehta hai mout ayi to mar jayon ga

main to dariya hon samandar main utar jayon ga

tera dar chor ke main aur kidher jayon ga

ghar main ghir jayon ga sehra main bikhar jayon ga

teray pehlo se jo uthon ga to mushkil yeh hai

sirf ik shaks ko payon ga jidher jayon ga

ab teray shaher main ayon ga musafir ki tarah 

saya-e-abar ki manind guzar jayon ga

tera paymaan wafa-e-raah ki dewaar bana

warna socha tha keh jab chyon ga mar jayon ga

chara sazon se alag hai mera mayar keh main

zakham khayon ga to kuch aur sanwar jayon ga

ab to kurasheed ko doobay huye sadiyan guzrein

ab ussay dhoondnay main ta'basar jayon ga

zindagi shamma ki manind jalata hoon nadeem

bujh to jayon ga magar subha to kar jayon ga

dil ko dil hi rehnay de ibadat gaah na kar




dil ko dil hi rehnay de ibadat gaah na kar

judai hai mohabbat ki rait panay ki chah na kar

mehfal abadrahay gi tehray us ke mehboob bhout

na tarpa apni tanhai ko youn ussay gumraah na kar

us nargasi nazar se chandani tak shrma gaye

jo chahera madhosh kar de ussay panay ki chah na kar 

rehnay de parda nasheen ab yeh haal dil jana

beh jayon gi ishq-e-junoon is tarah na kar

lutf-e-gunnah ka maza hai thora shokh mizaaj

meri hasrat na kar zabat ko meray tabaah na kar

raat ki tareeki main chaand ki gawahi main




raat ki tareeki main 

chaand ki gawahi main

asmaan ke chaheray par

apni ankhon ko rakh kar

sheron main basney wali

sanson ki is taar ko

apnay saray piyaar ko 

rooh main chupay dard ko

kushi main khilay gulaab ko

apnay saray khwaab ko

in ankhon ki neend bhi

naam tumharay kar di hai

kabhi chupaya nahin jo gunnah mujh se hua



kabhi chupaya nahin jo gunnah mujh se hua

bata diya jo siyah-o-safaid mujh se hua 

yeh bar-e hijar bhi teray supurd kar deta

bas ik yahi na meray kaj kalaa mujh se hua

meray khilaf gaye aakhri shahadat bhi

keh munhiraf bhi hua to gawah mujh se hua

bas ik tu tha jissay raigaan kiya main ne

aur aik ishq tha jo be'pnah mujh se hua

saleem jeet bhi meri thi haar bhi meri

ajab muqabala az-o-jaah mujh se hua

Tumhain bakshi hai dil par hukam'rani aur kiya detay




Tumhain bakshi hai dil par hukam'rani aur kiya detay

yahi thi hamari raaj'dhani aur kiya detay

saja kar sar hathaili par gaye thay ko-e-jaana main

hum apnay ishq main un ko nishani aur kiya detay

woh hum se mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa

na detay us ko hum apni jawani aur kiya detay

sitaron se kisi ki maang bharna ik fasana hai

tumharay naam likh di zind'gani aur kiya detay

bichartay waqat us ko ik na ik tohfa to dena tha

hamaray pass tha ankhon main pani aur kiya detay

lab-o-guftaar ki imran mojein muskurati rahein

hum is behr-e-mohabbat ko rawani aur kiya detay

suntay aye hain keh dastaat par sar jatay thay





suntay aye hain keh dastaat par sar jatay thay
zindagi kay liye kiya log thay keh mar jatay thay

baith kar chaand ki kashti main kahin jheel ke paar 
hum sar-e-shaam kisi khwaab nagar jatay thay

aglay waqaton main suna hai keh puranay kuch log
ankhon ankhon main jahano se guzar jatay thay

apni ankhin main tapish aik jahan ki le kar 
wusat-e-neend main kuch log utar jatay thay

mudat'ton tak dar-o-dewaar balyein letay 
jab woh awara loat kar ghar jatay thay

mohabbat ki talash main


mohabbat ki talash main

bhataknay wali larki

bhool gaye thi keh

mohabbat her aik ko nahin milti

kuch log sada bhataktay hi rehtay hain

keh jin ki ankhain to

jagti rehti hain

par muqadar soye rehtay hain


bheega bheeg sa yeh december hai



bheega bheeg sa yeh december hai
bheegi bheegi se yeh tanhai hai
in kitabon main jee nahin lagta
hum ko sajni ki yaad ayi hai
bheega bheeg sa yeh december hai


shaam ki kali ankhain jab palkon ko chapkati hain
kisi pair ke neechay kuch yadain gun'gunati hain
kuch pyar ke adhay nagmay
aadhi pyar ki kahani
aik shaher ka raja
aur ik gaon ki rani
dono baray par'rami thay
bn main aya kartay thay
un ke piyar ke methay naghmay
punchi gaya kartay thay
ab na praimi hain
na woh batain hain
aur yadain bhi apni kamaei hain
in kitabon main jee nahin lagta 
hum ko sajni ki yaad aaie hai


is kamray ki khirki barish ka shor sunati hai
aur tumhari aahat hum ko yeh rog laga'ti hai
ab ke saal december main jab bn main ayon ga
neeli jheel darakton ke saye aur sookhay patay
saray tera poochain ge
kahan hai tera poonchain ge
tera parami yaar kahan hai
saray tera poonchain ge
kiya batayon ga
kiya kahani hai
ab to qismat main apni judai hai
in kitabon main jee nahin lagta 
hum ko sajni ki yaad aai hai


shaam dhalay jab panchi 
apnay apnay ghar jatay hain
koi mujhay batla'ye
mujh ko yeh kyn tar'patay hain
main ne bhi ik sapna dekha tha apnay gahr ka
kho na jaye mera panchi
lakin mujh ko dar tha
mera yeh afsana hai
sara yeh afsana hai
 mera panchi rasta bhoola
pagal hai anjana hai
tu gaya hai to
main ne jana hai
mera dil ab bhi tera dewana hai
in kitabon main jee nahin lagta 
hum ko sajni ki yaad aai hai


bheega bheeg sa yeh december hai
bheegi bheegi se yeh tanhai hai
in kitabon main jee nahin lagta
hum ko sajni ki yaad ayi hai

yeh saal bhi udaas raha rooth kar gaya



yeh saal bhi udaas raha rooth kar gaya
tujh se milay bagair december guzar gaya

umre-e-rawaan khizaan ki hawa se bhi tez thi
 her lamha barg-e-zard ki surat bikhar gaya

dil main cht'taktay cht'takty wehmon ke bojh se
woh khauf tha keh raat ko sotay main dar gaya

jo baat mo'tabar thi woh sar se guzar gaye
 jo harf sar sari thi woh dil main utar gaya

hum aks-e-khoon-e-dil hi lutatay phiray magar
woh shaks anso'on ki shanak main nikhar gaya

mohsin yeh rang-o-roop yeh ronaq baja magar
main zinda kiya rahon keh mera jee to bhar gaya

Poet : Mohsin Naqvi


kabhi daman agar na chura sako



kabhi daman agar na chura sako 

zamanay ke khud gharz mohabbaton se 

aur december ki sard udaas raton main

chaand apni chandani ki banhon main

ban'hain  dalay

teri balkuni main utray

to baith kar tanhai main

kabhi ghour karna..... tumhain

meray adhooray afsano 

aur tootay phootay jumlon main 

khoye khoye se lafzon main

ik be'zubaan mohabbat ka izhaar milay ga

Aah december loat aya hai



Aah december loat aya hai

yak'basta that'thrti hui taveel ratain

yadon ka anchal oorh kar 

meray dil ke taq'chon main

ash'aon ke deep jalati hai

meray mann main bajti ghantiyon ne 

baraf ki chadar oorhi hai

rooh par phailay khawabon par

kohar ka parda chya'ya hai

hijar ki lambi raton main

chat par tanha teh,latay huye

shaal ka kona dhalak gaya hai

bal'koni ke hairaan chaand par

meray anso'on ka saya hai

Aah december loat aya 

december ab bhi tera muntazer hai


december ab bhi tera muntazer hai

woh lamhay

soch ki dehleez pe tehray huye hain

december ke mahenay main

hazaron saal pehlay jab

teray waday ke honton ne

meri ankhon se behti zindagi ke hath choomay thay

meri be'rang baton ke kinaray

tum ne khawabon ke saharay aur ashkon ke sitaray rakh diye thay

aur

hawa ko apni chahat ki hifazat ka ishara kar diya tha

hawa ki khunkiyon main ab bhi teri naram batain

ahaton ka jaal bunti hain

sma'at ab bhi teray qeh'qahon ka shor sunti hai

khyal ab tak tumhari ungliyon se

meray dil ke surkh ansoo ponchta hai

nigahaein baraf ke phailay chamkeelay canvas par ja baja

teri zaroorat paint karti hain

that'thartay paniyon ke tan par bikhri dhoop

tera hijar rehti hai

kahan hoti hai tu

mohabbat ki sulagti raah'guzaron ke kinaray par

december ab bhi tera muntazir hai

 

hum ne socha to tha


hijar ke teer maan main utar jayein ge, hum ne socha na tha

un ke jatay hi itnay bikhar jayein ge hum ne socha na tha

hum ne socha to tha tum se milnay ke lamhay zaroor ayein ge

itni jaldi yeh lamhay guzar jayein ge , hum ne socha na tha

hum ne socha to tha chaak saray giribaan to hon ge zaroor

itni choti se batob par sar jayein ge, hum ne socha na tha

hum ne socha to tha be'irada inhain hum milain ge magar

un se milnay ko hum soch kar jayein ge , hum ne socha na tha

hum ne socha to tha aik lamhay ko hum na rukain ge wahan 

umar sari wahan par tehar jayein hum ne socha na tha

hum ne socha to tha woh idher jayein ge hum udahar jayein ge

dil udhar jaye ga woh jidhar jayein ge  hum ne socha na tha

hum ne socha to tha apnay saray hunar sath le jayein ge

is zamanay se youn be;hunar jayein ge hum ne soch na tha

hum ne socha to tha tera milna to hai zindagi , zindagi

 tujh se miltay hi hamaad mar jayein ge , hum ne socha na tha

hijar ke teer maan main utar jayein ge, hum ne socha na tha


hijar ke teer maan main utar jayein ge, hum ne socha na tha

un ke jatay hi itnay bikhar jayein ge hum ne socha na tha

hum ne socha to tha tum se milnay ke lamhay zaroor ayein ge

itni jaldi yeh lamhay guzar jayein ge , hum ne socha na tha

hum ne socha to tha chaak saray giribaan to hon ge zaroor

itni choti se batob par sar jayein ge, hum ne socha na tha

hum ne socha to tha be'irada inhain hum milain ge magar

un se milnay ko hum soch kar jayein ge , hum ne socha na tha

hum ne socha to tha aik lamhay ko hum na rukain ge wahan 

umar sari wahan par tehar jayein hum ne socha na tha

hum ne socha to tha woh idher jayein ge hum udahar jayein ge

dil udhar jaye ga woh jidhar jayein ge  hum ne socha na tha

hum ne socha to tha apnay saray hunar sath le jayein ge

is zamanay se youn be;hunar jayein ge hum ne soch na tha

hum ne socha to tha tera milna to hai zindagi , zindagi

 tujh se miltay hi hamaad mar jayein ge , hum ne socha na tha

kab talak tujh par inhisaar karain



kab talak tujh par inhisaar karain 

kyn na ab dosaron se piyaar karain

tu kabhi waqat par nahin poncha

kis tarah tera  aitabaar karain

isi liye koi ziada rukta nahin hai yahan



isi liye koi ziada rukta nahin hai yahan

log kehtay hain meray dil pe tera saya hai

kis qadar zulam dhaya kartay ho



kis qadar zulam dhaya kartay ho

yeh jo tum bhool jaya kartay ho

kis ka ab hath rakh ke seenay pe

dil ki dharkan sunaya kartay ho

hum jahan chaye peenay jatay hain

kiya woh ab bhi aya kartay hain

kon hai ab keh jis ke chaheray par

apni palkon ka saya kartay ho

kyn meray dil main rakh nahin detay

kis liye gham uthaya kartay ho

phone par geet jo sunatay thay

ab woh kis ko sunaya kartay ho

akhrai khat main us ne likha tha

tum mujhay yaad aya kartay ho

hawaein loat ati hain



hawaein loat ati hain

agarcha main samjhta hoon

keh koi rasta loata nahin kartay

na darya mur ke atay hain

na shamein wapisi ki soch par emaan rakhti hain

agarcha main samjhta hoon

keh lamhay to faqat agay hi barhtay hain

magar afsurdagi ki is purani ro se lagta hai

(jo meray dil pe chai hai)

mohabbat main to khuch bhi teh nahin hota

mohabbat kab kisi bhi teh shuda rastay pe chalti hai

meri afsurdagi chupkay se meray kaan main kehti hai

farhat sochtay kiya ho

yeh dekho....!

yeh bhala kiya hai

zara ankhain to kholo

neend main doobaye huye gham ki

hawain loat ati hain

Poet : Farhat Abaas Shah

sab main shamil ho magar sab se juda lagti ho




sab main shamil ho magar sab se juda lagti ho

sirf hum se hi nahin khud se bhi khafa lagti ho

ankh uth'ti hai na jukhti hai kisi kikhatar

saans charti hai na rukti hai kisi ki khatar

jo kisi dar pe na tehray woh hawa lagti ho

zulf lehraey to anchal main chupa leti ho

honth thar'tharaey to danton main daba lati ho

jo kabhi khul ke na barsay woh ghata lagti ho

jagi jagi nazar ati ho na soi soi

tum jo ho apnay khayalat main khoi khoi

kisi mayoos musawar ki dua lagti ho

Rab-e-Kareem sunta hai her maan ki baat ko


Rab-e-Kareem sunta hai her maan ki baat ko 
Khaliq hi jaanta hai sab is ki sifaat ko 

Us ka jawab aata hai arsh-e-bareen se phir 
Maan jab pukarti hai kabhi paak zaat ko 

Aankhon main apnay bachon kay aansoo ko dekh kar 
Aahon se hila deti hai maa kainaat ko 

Bachon kay dukh main maa nahin soti raat bhar 
Uth uth kay choomti hai unhein aadhi raat ko 

Bacha koi jahan main un'parh na reh sakay 
Ghar ghar main ayo rakhein qalam aur dawaat ko 

Koi to "Fozia" unhein jaa kar khabar karay 
KAb se taras rahi hoon teray ittafaat ko 


Yeh kaam'ya'bian , izzat yeh naam tum se hai


Yeh kaam'ya'bian , izzat yeh naam tum se hai 
Khuda ne jo bhi diya hai maqaam tum se hai 

Tumharay dam se hain meray lahu main khiltay gulaab 
Meray wajood ka sara nizaam tum se hai 

Kahan bisaat-e-jahan aur main kam sin-o-nadan 
Yeh meri jeet ka sab ehtamaam tum se hai 

Jahan jahan hai meri dushmani sabab main hoon 
JAhan jahan hai mera ehtraam tum se hai

Meri zindagi main bas ik kitab hai ik chragh hai


Meri zindagi main bas ik kitab hai ik chragh hai 
Ik khawab hai aur tum ho 
Yeh kitab-o-khawab kay darmiyan jo manzilin hain , main chahta hoon 
Tumharay saath basar karon 
Yahi kul asasa-e-zindagi hai , isi ko zaad-e-safar karon 
Kisi aur simt nazar karon to meri dua main asar na ho 
Meray dil kay jaada-e-khush'khabar pe ba'juz tumharay kabhi kisi ka guzar na ho 
Magar is tarah keh tumhein bhi is ki khabar na ho 
Isi ehtiyaat main sari umar guzar gayi 
Woh jo aarzoo thi kitab-o-khawab kay saath tum bhi shareek ho wohi mar gayi
Isi kash'ma'kash ne kai sawal uthaye hain 
Woh sawal jin ka jawab meri kitab main hai na khawab main 
Meray dil kay jada-e-khush'khabar kay rafeeq 
Tum hi batao phir keh yeh kar-o-baar-e-hayat kis kay hisaab main 
Meri zindagi main bas ik kitab ik chragh hai 
Ik khawab hai aur tum

Woh jissay neend kaha kartay hain , sab chain ki neend


Woh jissay neend kaha kartay hain , sab chain ki neend 

Woh teray baad kabhi aankh main utri hi nahin

Jab tumhari aankh ho gehray samandar ki tarah


Jab tumhari aankh ho gehray samandar ki tarah 
Kiyon na lagta ho samnadar deeda-e-tar ki tarah 

Is liye roshan kiya hai teray chehray ka chragh 
Dopehar tareek hai meray muqaddar ki tarah 

Na'shanasa jis ki dewarein hain , dar ajnabi 
Woh mila mujh ko hamesha ik naye ghar ki tarah

Dil main afsoos ankhon main nami si rehti hai



Dil main afsoos ankhon main nami si rehti hai

zindagi main shayed koi kami si rehti hai

mujh se rooth jatay hain aksar apnay wasi 

shayed meray khaloos main kami si rehti hai

ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi



ab to mumkin hi nahin un se mulaqaat wasi 

ab to urooj pe ponchi hai us ki zaat wasi

wohi waday hain aur rasmon ki zangerain baqi

kab badal'ti hain zamanay ki riviyaat wasi

aik woh din thay keh aik dosray ko sochtay thay hum

ab miltay nahin 2no ke khayalaat wasi

meri her subha ka aaghaz teray naam se ho

teri yadon main kati meri her aik raat wasi

tum kahan aur meray piyaar ka mayaar kahan

woh kitni sadgi se keh gaye yeh baat wasi

Poet : Wasi Shah

hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain


hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain

teray loat anay ki din raat dua kartay hain

ab koi honth nahin in ko churanay atay 

meri ankhon main agar ashak hua kartay hain

teri tu janay , par ae jan-e-tamana hum to

saans ke sath tujhay yaad kiya kartay hain

teri tasveer laga letay hain hum seenay se

phir teray khat se teri baat kiya kartay hain

gar tujhay chornay ki soch bhi aye dil main

hum to khud ko bhi wahin chor diya kartay hain

jab teri yaad main misra koi likhnay betha




jab teri yaad main misra koi likhnay betha

main ne kaghaz pe bhi chalon ka gulistaan dekha

tu ne dekha hai mundairon pe chraghon ko faqat

main ne jalta hua ! her daur main insaan dekha hai

Meri ankhon main ansoo pighalta raha , chaand jatla raha



Meri ankhon main ansoo pighalta raha , chaand jatla raha
teri yaad ka suraj nikalta raha , chaand jalta raha

koi bistar par shabnam lapetay huye khwaab dekha kiya 
koi yadon main karwat badal;ta raha, chand jalta raha

meri ankhon main campus ki sab sa'atain jagti hain abhi
nehar par to meray sath chalta raha , chaand jalta raha

main to yeh janta hoon keh jis shab mujhay chor kar tum gaye
asmano se shola nikalta raha , chaand jalta raha

raat aye to kiya kiya tamashay huye tujh ko maloom hai ?
teri yaad ka suraj ubal'ta raha , chaand jalta raha

 yeh december keh jis main kari dhoop bhi meethi lagnay lagay
tum nahin to december sulagta raha , chaand jalta raha

aj bhi woh taqadus bhari raat mehaki hui hai wasi
main kisi main , koi mujh main dhalta raha , chaand jalta raha





ik khwaab hai aur tum ho



meri zindagi main bas ik kitaab hai ik chragh hai

ik khwaab hai aur tum ho

yeh kitaab-o-khwaab ke darmiyan jo manzalain hain 

main chahta hoon

tumharay sath basar karon

yahi kul asas-e-zindagi hai , isi ko zaad-e-safar karon

kisi aur simit nazar karon to meri dua main asar na ho

meray dil ke jada-e-kush'khabar pe bajaz tumharay kabhi kisi ka guzar na ho

magar is tarh keh tumhain bhi is ki khabar na ho

isi ehtiyat main sari umar guzar gaye

woh jo arzoo thi kitaab-o-khwaab ke sath tum bhi shreek ho wohi mar gaye

isi kash'makash ne kai sawal uthaye hain 

woh sawal jin ka jawaab meri kitaab main hai na khwaab main

meray dil ke jada-e-kush'khabar ke rafeeq

tum hi batayo phir keh yeh karo'baar-e-hayat kis ke hisaab main

meri zindagi main bas ik kitaab ik chraagh hai

ik khwaab hai aur tum..........!

Poet : Iftikhaar Arif

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...