Apr 1, 2016

Ghamon se is qadar hai dosti ab


Ghamon se is qadar hai dosti ab 
Khushi ki bhi nahin mujh ko khushi ab 

Khuda janay issay kya ho gaya hai 
Bhout hi bolti hai khamoshi ab 

Karon ga yaad jo fursat mili to 
Bari masroof hai yeh zindagi ab 

Qana'at seekh li hai meray dil ne 
Kami lagti nahin mujh ko kami ab 

Kabhi jin ki talab hi zindagi thi 
Zaroorat hi nahin us ki rahi ab 

Kabhi kehtay to kitni eham hoti 
Wohi ik baat jo tum ne kahi ab 

Jissay tareekiyan raas aa gayi hain 
Ussay kiyon dhoondti hai roshni ab 

Main kab ka bo chuka takiya main taray 
Dilaasa de rahi hai chandani ab 

Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga


Main shaam yaadon kay junglon main guzarta hoon keh kuch likhon ga  
Yeh shaher sara hi so chuka hai main jaagta hoon keh kuch likhon ga  

Bahar rut kay woh khawab saray jo meri palkon pe aa sajay thay 
Woh khawab aankhon main jal chukay hain main jal raha hoon keh kuch likhon ga  

Main pichlay mousamon ki barishon ko phir apni aankhon main laa raha hoon 
Keh ab kay sawan ki rut main , main bhi yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Ajeeb rut hai judaiyon ki , azab din hain azab raatein 
Main chand meh'mal se lafz likh kar yeh sochta hoon keh kuch likhon ga  

Main lafz palkon se chun raha hoon , main khawab kaghaz pe bun raha hoon 
Main teri aahat bhi sun raha hoon main jaanta hoon keh kuch likhon ga  

Woh saray rastay keh jin pe hum tum chalay thay chahat kay sang "Atif
Main ab jo un par kabhi gaya to yeh jaanta hoon keh kuch likhon ga 
 

Meray andar saans lena chor de


Meray andar saans lena chor de 
Ae udasi ! mera peecha chor de
Chand kya aangan main utra hai kabhi 
Sun meri jaan yeh tamana chor de
Tu kabho sookhay huye paton pe likh 
Sabz shakhon ka qaseeda chor de
Aik din rakha meray shanay pe sar 
"Aur yeh boli keh " duniya chor de 
Zindagi ab thak gaya hoon main bhout 
Ab khudara yeh tamasha chor de
Yeh mohabbat hai tijarat to nahin 
Kya kisi kay haath aaya chor de
Us ki ulfat main na itni door ja 
Wapsi ka ik rasta chor de
 
 

Kuch khushi kay saa'iy main aur kuch ghamon kay sath sath


Kuch khushi kay saa'iy main aur kuch ghamon kay sath sath 
Zindagi kat hi gayi hai uljhano kay sath sath 

Aaj tak us ki thakan se dukh raha hai yeh badan 
Ik safar main ne kiya tha khwaishon kay sath sath 

Kis tarah khaya hai dhoka kya bataon main tumhein 
Doston kay mashwaray thay , sazishon kay sath sath 

Kis tarah rakhey huye hain chand suraj ik jaga 
Nafratein bhi pal rahi hain chahaton kay sath sath 

Is dafa sawan main teri yaad kay badal rahay 
Is dafa main khoob roya barishon kay sath sath 

Woh jinhein main dost kehta tha baray hi maan se
Saf-ba-saf woh bhi kharay thay dushmano kay sath sath 

Kaash phir se loat ayein phir wohi bachpan kay din 
Bhaagna phoolon ki khatar titliyon kay sath sath 

Shaher main kuch log meray chahnay walay bhi hain 
Phool mujh ko lag rahay hain pathron kay sath sath 
 


Tamana'on kay sab dar kholta hai, teri aankhon ka lehja bolta hai


Tamana'on kay sab dar kholta hai 
teri aankhon ka lehja bolta hai 

Chupanay ki koi surat nahin hai 
Koi oper se sab kuch dekhta hai 

Suna hai bheegti hain us ki palkein 
Woh jab bhi kuch Khuda se maangta hai 

Kahin se roshni laao Khudara  
Meray ghar main andhera bolta hai 

Meray charon taraf phaili hai khushbu
Yeh lagta hai woh mujh ko sochta hai 

Na janay kiyon mujhay lagta hai aisa 
Keh woh kuch mujh se kehna chahata hai

Kitni muddat baad tumhari yaad aayi hai


Celebration

Kitni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay dil yeh ruk jaye ga 
Youn lagta hai jaisay aankhein 
Apnay saray aansoo ro kar
Bilkul banjar ho jayein gi 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam phir se loat aaye hain 
Janaa ! yeh dil khush rehnay kay 
Tor tareeqay bhool chuka hai
Us apr teri yaad ki dastak 
Youn lagta hai jaisay dil par
Aik qayamat guzar rahi ho 
Koi toofan aan khara ho 
Jaisay aik akeli naao 
Beech bhanwar kay aan phansi ho 
Youn lagta hai jaisay sapnay 
Aik haqeeqat ban baithay hon 
Itni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Soch raha hoon kya us ki tazeem karon main 
Palkon par ashkon kay deep jala leta hoon 
Dil kay ujray aangan ko mehkaa leta hoon 
Dil kehta hai phir khud ko taqseem karon main 
Itni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam phir se loat aaye hon

Yeh soch hai deewangi keh taptay suraj kay talay main ghar bana'on moom ka


Deewangi 

Yeh soch hai deewangi 
keh taptay suraj kay talay 
main ghar bana'on moom ka  
Kab milay ghair ki panahon se
Dard miltay hain Aashna'on se
Khushk patton ko naachtay dekha 
Geet sunta raha hawaon se
Maal-o-zar ki talab nahin hai mujhay 
Meri jholi bhar do dua'on se
Aur kitna chalo gay tum aakhir
Aablon ne kaha yeh paaon se
Jin ko aadat hai be'wafaai ki 
Aao jeetein unhein wafaon se
Aao un ko qareeb se dekhein 
Jal gaye hain jo log chaaon se
Ho maseeha ya phir dua "Atif"
Dard ghat'tay hain kab duaon se


Mujhay khabar hai keh tum main , mujh main jo dooriyan hain


Mujhay khabar hai 
Keh tum main , mujh main jo dooriyan hain 
Hamari qismat main woh likhi thein 
Main qismaton kay likhay huay ko 
Mit'taon kaisay?
Bichar kay tum se , jo aag seenay main jal rahi hai 
Batao us ki bujhaon kaisay ?
Keh tum to waqif ho is hunar se

Mujhay khabar hai 
Tumhari aankhon main palnay wala her aik sapna 
Tumhara kal hai ,
Woh kal keh jis ki her aik aahat 
Tum apni dharkan se sun rahi ho 
Magar tumhara jo aik kal tha 
Tumhein khabar hai woh kal kahan hai ?
Tum is ko maazi bana chuki ho 
Her aik rishta bhula chuki ho 
Her aik lamhay ka aks dil se mitta chuki ho 
Magar tumhara woh kal abhi bhi 
Meri nigahon main jal raha hai 
Hawa ka rukh to badal raha hai 
Magar ajab yeh mohabbatein hain  
Keh dil abhi tak !
Tumhari raahon pe chal raha hai 
Tumhari khatar machal raha hai 
Batao ! is ko bataon kaisay ?
Tumhari aankhon main palnay wala 
Koi bhi sapna mera nahin hai 
Main aik kal jo guzar chuka hoon 
Mujhay batao main kaisay dil se 
Tumharay naqsh-e-qadam mitaon 
Batao kaisay tumhein bhulaon 
Keh tum to waqif ho is hunar se 

Yehi hua na keh tum ne mujh ko bhula diya hai


"Yehi hua naa"

Yehi hua na 
keh tum ne mujh ko bhula diya hai 
Jo naqsh-e-ulfat , tumharay dil pe khud'da  hua tha 
Ussay khurach kay mitta diya hai 

Main dosti kay ajab mousamon main rehta hoon


Main dosti kay ajab mousamon main rehta hoon 
Kabhi dua'on , kabhi sazishon main rehta hoon 

Jo tum zara sa bhi badlay to jaan le lo gay 
Main kuch dino se ajab wahimon main rehta hoon 

Main jsi tarah se kabhi dushmano main rehta tha 
Usi tarah se abhi doston main rehta hoon 

Qadam qadam pe hain bikhray huye naqoosh meray 
Main teray shaher kay sab raaston main rehta hoon 

Kiya hai faisala jab se chragh ban'nanay ka 
Main Aitmaad se ab aandhiyon main rehta hoon 

Tumharay baad yeh din to guzar hi jata hai 
Main shab ko dair talak aanso'on main rehta hoon 


Lamhon ko sadiyon main dhaltay dekha


Main ne dekha 

Lamhon ko sadiyon main dhaltay dekha 
Suraj ko seenay main jaltay 
Dukh ko dil kay andar paltay 
Khud ko jaltay main ne dekha 
Jab se tujh se nata toota


Jis din tujh se baat nahin hoti


 Aik sms

Jis din tujh se baat nahin hoti 

Youn lagta hai din nahin charhta 

Youn lagta hai raat nahin hoti

Mohabbat ko bhulana chahiye tha


Mohabbat ko bhulana chahiye tha
Mujhay jee kar dikhana chahiye tha

Mujhay to saath us ka bhi bhout tha 
Ussay sara zamana chahiye tha

Prinda is liye be'kal tha itna 
Ussay bhi aashiyana chahiye tha

Tum us kay bin adhooray ho gaye ho 
Tumhein us ko batana chahiye tha

Bhour phirta raha tha dar'ba'dar main 
Mujhay bhi ik thikana chahiye tha

Chraghan ho raha tha shaher bhar main 
Hamein bhi dil jalana chahiye tha

Mohabbat ko bhulana chahiye tha
Mujhay jee kar dikhana chahiye tha


Suno itni guzarish hai


Suno! 

itni guzarish hai ,

Keh jab yeh naam tera , naam mera jur nahin sakta 

To apnay naam kay sang naam jora mat karo koi
 

Bicharnay walay tujhay khabar hai ?




Bicharnay walay 

Bicharnay walay tujhay khabar hai ?
Keh teray janay se mera jeewan 
Hazar khano main bat gaya hai 
Tujhay khabar hai bicharnay walay 
Keh meri khushiyan hi kho gayi hain 
Main kitna tnaha sa ho gaya hoon 
Wajood mera to is safar main 
Yeh dekh zakhmon se att gaya hai 
Main sochta hoon 
Magar yeh sochein 
Kiyon ik nuqtay pe jam gayi hain 
Kiyon lag raha hai 
Keh jaisay saansein hi tham gayi hain 
Mujhay bata de bicharnay walay 
Keh kaisay khud ko sambhalna hai 
Hijar kay rastay pe chaltay chaltay 
Yeh meray paon lahu lahu hain 
Yaqeen kar le main thak gaya hoon 
Bicharnay walay tujhay khabar hai 
Main kab ka khud se bichar chuka hoon 
 
 


Ussay kehna abhi tak dil dharakta hai


" Hawa kay haath aik paighaam "

Ussay kehna 
abhi tak dil dharakta hai 
Abhi tak saans chalti hai 
Abhi tak yeh meri aankhein 
Sohanay khawab bunti hain 
Meray honton ki jumbish main 
Tumhara naam rehta hai 
Abhi baarish ki boondon main 
Tumhara pyar baqi hai 
Ussay yeh bhi bata dena 
Abhi izhaar baqi hai 
Abhi yaadon kay kaanton se 
Mera daman ulajhta hai 
Tumhara pyar seenay main 
Kahin ab bhi dharakta hai 
Hawa ab bhi mawafiq hai 
Hamaray saath chalti hai 
Ussay kehna 
Judai ka abhi mousam nahin aaya 
Mohabbat ki kahani main
Kahin par gham nahin aaya 
Magar sab kuch badalnay main  
Bhala kya dair lagti hai 
Kisi ki yaad dhalnay main 
Bhala kya dair lagti hai 
Nayi subha nikalnay main  
Bhala kya dair lagti hai 
Ussay kehna 
Woh jaldi faisala kar lay 
Naye raston pe chalnay main 
Bhala kya dair lagti hai

 
 

Mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahin hoti




Mohabbat kuch nahin hoti 

Mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahin hoti 
Hijar ka khouf be'matlab , wasal kay khawab be'mahni 
Koi surat nigahon main kahan din raat rehti hai 
Ussay kiyon khamoshi kehiye keh jis main baat rehti hai 
Yeh aansoo , be'zuban aansoo , bhala kiyon bol saktay hain 
Kahan dil main kisi ki yaad se toofan uth'tay hain 
Kahan palkon kay saa'iye main nami din raat rehti hai 
Kahan hoti hain woh aankhein  jahan barsaat rehti hai 
Mujhay aksar yeh kehti thi mohabbat kuch nahin hoti 

Magar jab aaj barson baad main ne us ko dekha hai 
Keh us ki jheel aankhon main hijar ka khouf rehta hai 
Wasal kay khawab rehtay hain wahan barsaat rehti hai 
Youn lagta hai kai raaton se woh soyi nahin shayed 
Youn lagta hai kisi ki yaad ab din raat rehti hai 
Aur us ki narm palkon kay haseen saa'iye bhi geelay hain 
Aur us ki khamoshi aisi keh jis main baat rehti hai 
Mujhay ab woh nahin kehti mohabbat kuch nahin hoti 
Keh ab shayed mohabbat ki woh sab ram'zain samajhti hai
 

Apna dil thaam kisi yaad ki dehleez pe aa


Apna dil thaam kisi yaad ki dehleez pe aa
"Aa kisi shaam kisi yaad ki dehleez pe aa"

Dekh aatay hain nazar tujh ko manazir kaisay 
Le mera naam kisi yaad ki dehleez pe aa

 Ab to her gaam zaroorat hai teri yaadon ki 
Ab to her gaam kisi yaad ki dehleez pe aa

Gham-e-duniya na kahin cheen lay tujh ko mujh se
Chor sab kaam kisi yaad ki dehleez pe aa

Aaj ki shaam mana'na hai teray gahm ko mujhay 
 Aaj ki shaam kisi yaad ki dehleez pe aa

Jo samjho pyar mohabbat ka itna afsana hota hai


Jo samjho pyar mohabbat ka itna afsana hota hai 

Kuch aankhein pagal hoti hain , kuch dil deewana hota hai

Yeh aansoo , shikway , aahein , sab be'mahni si zanjeerain hain


Yeh aansoo , shikway , aahein , sab be'mahni si zanjeerain hain 

Kab in kay baandhay rukta hai , woh jis ko jana hota hai 

Main tujh ko kaisay bhoolon ga ? Tu mujh ko kaisay bhoolay gi ?

Kiyon aankhein chokhat par rakh kar tum duniya bhool kay baithay ho 


Mohabbaton ka bharam kholtay hain sanatay


Mohabbaton ka bharam kholtay hain sanatay 
Hijar ki shab main bhout boltay hain sanatay 

Kisi kisi ko yeh itna nawaz detay hain 
 Kisi kisi ko bhout roltay hain sanatay 

Rakhay hain chand sitaron ne haath kaano par 
Suna tha main ne bhout boltay hain sanatay 

Tumharay bas main agar ho to jaan lo in ko 
Kisi pe khud ko kahan kholtay hain sanatay 

Suna hain main ne yeh tanhaiyon kay dushman hain 
Suna hai un main zehar gholtay hain sanatay 

 Yeh meri shairy un hi ki ik adaa samjho 
Keh meri soch kay dar kholtay hain sanatay

Ajnabiyat bhi aik rishta hai dard hi dard ko samajhta hai




Ajnabiyat bhi aik rishta hai 
Dard hi dard ko samajhta hai 
Main bhi tayaar hoon saza kay liye
Khawab main ne bhi aik dekha hai 
Main to jis raastay pe chalta hoon 
Woh teri simt jaa nikalta hai 
Tu bhi duniya kaafir dahi nikla 
Tu bhi mujh ko kahan samajhta hai 
Dekh aankhein chamak rahi hain meri 
Dekh aik shair mujh pe utra hai 
Aaj phir reh gaya hoon main tanha 
Aaj phir main ne tum ko socha hai 
Ae gham-e-yaar bakhash de mujh ko 
Kiyon mujhay tu udaas karta hai 
Itna veeran , is qadar khamosh 
Mera chehra hai yeh , keh sehraa hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...