Apr 26, 2016

Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main


" Janay kitnay saal lagein gay "

Lafaz ko samjhnay main 
Khawaish bhulanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main 
Sahil-e-samandar par pyasi man kharri hoon main 
Aur bikharti jaa rahi hai rait meray haath se
Dil ko samjhanay main 
Khud ko behlanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main 
Paniyon par rastay to pal main toot jatay hain 
Par dil ki chahatein , chahatein hi rehti hain 
Gehray zakham bharnay main 
Mujh ko phir sambhalnay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main  
Chahaton ki manzil jab door hoti jati hai 
Faaslay mitanay main umar beet jati hai 
Dard ki samaitnay main 
Khawab ko mitanay main 
Janay kitnay saal lagein gay tum ko bhool janay main

Us ko kya khabar Aansu'on ki larzish ki


" Toot'ta rishta "

Us ko kya khabar !
Aansu'on ki larzish ki 
Chahaton ki bandish ki 
Daastan adhoori hai

Us ki aankhon main mohabbat ka sitara ho ga


Us ki aankhon main mohabbat ka sitara ho ga 
Aik din aaye ga woh shakhs hamara ho ga

Tum jahan meray liye seepiyan chunti ho gi 
Woh kisi aur hi duniya ka kinara ho ga 

Zindagi ! ab kay mera naam na shamil karna 
Gar yeh teh hai keh yahi khel dobara ho ga 

Jis kay honay se meri saans chala karti thi 
Kis tarah us kay baghair apna guzara ho ga 

Yeh achanak jo ujaala sa hua jaata hai 
Dil ne chupkay se tera naam pukara ho ga 

Ishq karna hai to din raat ussay sochna hai 
aur kuch zehan main aaya to khasara ho ga 

Yeh jo pani main chala aaya sunehri sa gharoor 
Us ne dariya main kahin paon utara ho ga 

Kon rota hai yahan raat kay sanaton main 
Meray jaisa hi koi hijar ka mara ho ga 

Mujh ko maloom hai joun hi main qadam rakhon ga 
Zindagi tera koi aur kinara ho ga 

Jo meri rooh main badal se garajtay hain Wasi 
Us ne seenay main koi dard utaara ho ga 

Kaam mushkil hai magar jeet hi loon ga us ko 
Meray Mola ka Wasi joun hi ishara ho ga

Hosh walon ko khabar kya be'khudi kya cheez hai


Hosh walon ko khabar kya be'khudi kya cheez hai 
Ishq keejiye phir samjhiye zindagi kya cheez hai 

Un se nazrein kya milein roshan fizaein ho gayein 
Aaj jana pyar ki jadu'gari kya cheez hai 

Khulti zulfon se sikhaai  mousamon ki shairy 
Jhukti aankhon ne bataya may'kashi kya cheez hai 

Hum labon se keh na paye un se haal-e-dil kabhi 
Aur woh samjhay nahin khamoshi kya cheez hai 

Apni batein kab dariya se kehti hai


Apni batein kab dariya se kehti hai 
Woh nadiya jo sehra sehra behti hai 

Kya kuch dab jata hai us kay malbay main 
Woh dewaar jo dil kay andar dehti hai 

Raat se pehlay raat ki batein karta hai 
Meray din ko kitni ujlat rehti hai 

Reh jaye gar shaakh phoolon se khaali to 
Her mousam kay tahnay tanha sehti hai 

Ghazlein kehna main ne bhi ab chor diya
Aur woh bhi ab paar samandar rehti hai 

Mohabbat ki aseeri se rihaai maangtay rehna


Mohabbat ki aseeri se rihaai maangtay rehna 
Bhout asaan nahin hota judai maangtay rehna  

Zara sa ishq kar lena , zara si aankh bhar lena 
Iwaz is kay magar sari khudai maangtay rehna 

Kabhi mehroom honton par dua ka harf rakh dena 
Kabhi wehshat main us ki na'risaai maangtay rehna 

Wafaon kay tasalsul se mohabbat rooth jati hai 
Kahani main zara si be'wafai maangtay rehna 

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi keh aadat ho gayi dil ki 
Sakoot-e-sham-e-gham se hum'nawai maangtay rehna 

Kabhi bachay ka nanhay haath par titli kay par rakhna 
Kabhi phir us kay rangon se rihaai maangtay rehna 

Kissay khabar thi keh dil ka yeh haal hona tha


Kissay khabar thi keh dil ka yeh haal hona tha 
Tumhein ganwaa kay hamein bhi malaal hona tha 

Hamaray wastay rasta koi bacha kab hai 
Wahin thay zakham wahin ind'maal hona tha 

Main tera naam likhon khushbuein si jal uthein 
Yeh mohjaza bhi meray khush jamaal hona tha 

Yeh woh badan keh jissay tazgi muqaddar thi 
Kissay khabar thi keh youn pai'maal hona tha 

Kabhi gulaab se mehakein kabhi chragh jalein 
Sukhan kay baab main  yeh bhi kamaal hona tha 

Kamaal-e-sada dili hai keh bad'gumani hai 
Tumharay lab pe bhi koi sawal hona tha 

Hawa-e-shaher ne rakha bhout udaas magar 
Mera yaqeen-e-mohabbat ba'haal hona tha

Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se


Musalsal rokti hoon us ko shaher-e-dil main aanay se
Magar woh koh'kan rukta nahin dewaar dhanay se

Bhala kya dukh kay aangan main sulagti larkiyan janein 
Kahin chuptay hain aansu aanchalon main munh chupanay se

Abhi to fasal taza hai hamaray harf-o-mahni ki 
Abhi dartay nahin hum mousamon kay aanay janay se

Abhi to ishq main aankhein bichi hain , dil salamat hai 
Zameenein banjh hoti hain kabhi faslein jalanay se 

Tujhay tanha mohabbat ka yeh dariya paar karna hai 
Nadamat ho gi us kay hoslon ko azmanay se

Hamein kis zarf kay kirdaar kay qissay sunata hai 
Tujhay Ae shaher hum bhi jantay hain ik zamanay se

Tujhay bhi zabat-e-gham kay shouq ne pathar bana dala
Tujhay Ae dil bhout roka tha rasm-o-rah nibhanay se

Chasham-e-baidaar main aa saktay thay


Chasham-e-baidaar main aa saktay thay 
Gul to gulzar main aa saktay thay 

Biknay walon main nahin thay warna 
Roz bazar main aa saktay thay 

Hum bhi gar teri tarah kay hotay 
Hum bhi darbaar main aa saktay thay 

Kha gayi hai jo sukhan khamoshi 
Kunj-e-izhaar main aa saktay thay 

Teegh-e-aabru ki khata thi sari
Husan kay waar main aa saktay thay

Aaina-e-ehsaas ko maila nahin kartay


Aaina-e-ehsaas ko maila nahin kartay 
Her baat pe her shakhs se uljha nahin kartay 

Paigham mila hai hamein khushbu ki zubani 
Chalnay ka irada ho to thehra nahin kartay 

Her dard-e-judai ki nu'maish nahin hoti 
Her zakham-e-tamana ka tamasha nahin kartay 

Haq baat sar-e-daar kahay apna qabeela 
Ho mout muqabal bhi to socha nahin kartay 

Hairat to kahin gum hai pas-e-chasham-e-tamasha 
" Zaahie ka yeh parda hai keh parwah nahin kartay "

Be'wajha thehrtay nahin rastay main kahin par 
Be'naam musafat ki tamana nahin kartay 

Ik pal main wajood un ka zameen bos ho Mola 
Jo pairr ghannay ho kay bhi saya nahin kartay 

Milnay ka khayal us ko kabhi aaye bhi kaisay 
Rukh-e-jaanib-e-sehra kabhi dariya nahin kartay

Mujhay is shaher-e-khu'ban ki fizaon se mohabbat hai


Mujhay tum se mohabbat hai 

Mujhay is shaher-e-khu'ban ki fizaon se mohabbat hai 
Jahan tum saans leti ho 
Jinhein tum dekhti ho
Un fizaon se mohabbat hai 
Jo tum ko chu kay aati hain 
Tumhari ungliyon ki naram aahat se mohabbat hai 
Keh jin se holay holay tum mera dar khat'ka'tati  ho 
Mujhay un raaston se bhi mohabbat hai jahan se tum guzarti ho 
Kitabein jin ko parhti ho
Jo ghazlein gun'gunati ho
Jo baatein sochti ho
Doston main baith kar jo behas karti ho 
Adhooray khat jinhein arsaal karna bhool jati ho 
Ya jis andaz se meray liye cha'ey banati ho
Mujhay us se mohabbat hai 
Mujhay tum se mohabbat hai 

Nafrat to nafrat hai haqeer bana deti hai



Nafrat to nafrat hai haqeer bana deti hai 

Mohabbat bhi aashiq ko faqeer bana deti hai

Ishq woh samnadar hai keh sahil nahin jis ka


Ishq woh samnadar hai keh sahil nahin jis ka 

Mohabbat to sirf ik moj hai is ki 

Mujh main sirf main hoon


Mujh main sirf main hoon 

Koi aur hota to hum hotay

Dukh ki lehar ne chaira ho ga Yaad ne kan'kar phainka ho ga


Dukh ki lehar ne chaira ho ga 
Yaad ne kan'kar phainka ho ga 

Aaj to mera dil kehta hai 
Tu is waqat akela ho ga 

Meray choomay huye haathon se
Auron ko khat likhta ho ga 

Bheeg chalein ab raat ki palkein 
Tu ab thak kar soya ho ga 

Rail ki gehri seeti sun kar 
Raat ka jungle goonja ho ga 

Shaher kay khaali station par 
Koi musafir utra ho ga 

Aangan main phir chiriyan bolein 
Tu ab so kar utha ho ga 

Yaadon ki jalti shabnam se 
Phool sa mukhra dhoya ho ga 

Moti jaisi shakal bana kar 
Aainay ko takta ho ga 

Shaam hui ab tu bhi shayed 
Apnay ghar ko lota ho ga 

Neeli dhundli khamoshi main 
Taron ki dhun sunta ho ga 

Mera saathi shaam ka tara 
Tujh se aankh milata ho ga 

Shaam kay chaltay haath ne tujh ko 
Mera salam to bheja ho ga 

Pyasi kurlati koonjon ne 
Mera dukh to sunaya ho ga 

Main to aaj bhout roya hoon 
Tu bhi shayed roya ho ga 

"Nasir" tera meet purana 
Tujh ko yaad to aata ho ga 

Ae chand teri chandni youn jee ko jalaye


Ae chand teri chandni youn jee ko jalaye 
Jaisay meri aankhon main koi deep jalaye 

Raaton ko bhi is aas pe khulay rakhon dareechay 
Shayed keh woh rootha hua ghar dair se aaye 

Aanay ki khushi teri mujhay itni nahin hoti 
Janay ka magar ranj bari dair se jaye 

Ik aansu bhi tera nahin jis ko tha gawara 
Tanha kisi sawan main woh kis tarah nahaye 

Kaisay tu bhulaye ga woh sadiyon ki rafaqat 
Hum to teray janay ka woh lamha na bhula paye 

"Haseeb" apnay milan pe faqat yeh hi dua hai 
Hum jaisay milay hain Khuda sab ko youn milaye 

Kabhi chor aankhon se dekh liya


" Aik khush baash larki "

Kabhi chor aankhon se dekh liya 
Kabhi be'dhiyani ka zehar diya 

KAbhi honton se sar'goshi ki 
Kabhi chaal chali khamoshi ki 

Jab janay lagay to rok liya 
Jab barhnay lagay to tok diya 

Aur jab bhi koi sawal kiya 
Us ne hans kar taal diya

Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main


Likh likh kay tera naam mita'ta raha hoon main 
Kuch is tarah se tujh ko bhulata raha hoon main 

Dushman to meray paas se guzra nahin kabhi 
Yeh zakham doston se hi khaata raha hoon main 

Lutnay kay baad mujh ko yeh ehsaas ho gaya 
Loota usi ne jis ko bachata raha hoon main 

Jab mujh ko yeh pata tha  woh mera nahin hai phir 
Us ki gali main kis liye jata raha hoon main 

Janay woh kis kay khawab ki tabeer ho gaya 
Aankhon main jis kay khawab sajata raha hoon main 

"Manan " main bhi kis qadar sada mizaaj hoon 
Ik be'wafa ko apna banata raha hoon main 

Lagta hai dabo kar kabhi maaray gi mujhay tu


Lagta hai dabo kar kabhi maaray gi mujhay tu 
In jheel si aankhon main utaaray gi mujhay tu 

In achay dino main to bhout saath hain teray 
Jab waqat paray ga to pukaray gi mujhay tu 

Her chand tujhay meri wafa par bhi yaqeen hai 
Mushkil se magar phir bhi guzaray gi mujhay tu 

Toray gi sitam aisay keh jeeta bhi rahoon main 
Ehmaq nahin keh jaan se maaray gi mujhay tu 

Tu mujh se bhout toot kay karti thi mohabbat 
Tha kis ko pata dil se utaaray gi mujhay tu 

Manan bharosa tha mujhay zaat pe teri 
Bigron ga agar main tu sanwaray gi mujhay tu

Yeh jo zindagi hai ajeeb si , yeh jo roz-o-shab hain udas se


" Meray hum'safar meray hum sukhan "

Yeh jo zindagi hai ajeeb si 
Yeh jo roz-o-shab hain udas se 
Yeh jo sa'atein hain ruki hui 
Yeh jo dard meray naseeb kay 
Teray bakhat main bhi likhay gaye 
Yeh jo raabtay hain daray huye 
Yeh jo dooriyan si hain darmiyan 
Main agar tujhay jo sanwaar doon 
Teray roz-o-shab main nikhaar doon 
Mera haath thaam kay ehad do 
Mujhay aisay dil main rakho gay tum 
Meray saath saath raho gay tum 
Meray humsafar meray hum'sukhan 
Tujhay is qadar jo main pyar doon 
Keh yeh zindgani hi haar doon 
To batao na meray baad bhi 
Yahi ehad apna nibhao gay 
Ya keh mujh ko bhool hi jao gay

Resham zulfon , neelam aankhon walay chehray achay lagtay hain


Resham zulfon , neelam aankhon walay chehray achay lagtay hain  
Main shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain  

Tum khud socho , aadhi raat ko thanday chand ki chaon main 
Tanha rahon par hum dono kitnay achay lagtay hain 

Aakhir aakhir sachay qoal bhi chubhtay hain dil walon ko 
Pehlay pehlay payar kay jhootay waday achay lagtay hain 

Jab se woh pardes gaya hai shaher ki ronaq rooth gayi 
Ab to apnay ghar kay band dareechay achay lagtay hain 

Kaali raat main jag'mag kartay taaray kon bujhata hai 
Us dulhan ko yeh moti yeh gehnay , achay lagtay hain 

Kal us roothay roothay yaar ko dekha to mehsoos hua 
Mohsin ujlay jisam pe mailay kapray achay lagtay hain 

Koi ik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai


Koi ik aadh sapna ho to phir acha bhi lagta hai 
Hazaron khawab aankhon main saja kar kuch nahin milta 

Ussay kehna keh palkon par na taankay khawab ki jhalar 
Samnadar kay kinaray ghar bana kar kuch nahin milta

Shayed koi khawaish roti rehti hai


Shayed koi khawaish roti rehti hai 

Meray andar baarish hoti rehti hai

Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay


Rukay rukay se qadam ruk kay baar baar chalay 
Qaraar de kay teray dar se be'qaraar chalay 

Uthaye phirtay thay ehsaan jisam ka jaan par 
Chalay jahan se to yeh peh'rahan utaar chalay 

Na janay kon si matti watan ki matti thi 
Nazar main , dhool , jigar main liye ghubaar chalay 

Sehar na aayi kai baar neend se jaagay 
So raat raat ki yeh zindagi guzaar chalay 

Mili hai shamma se yeh rasm-e-aashiqui hum ko 
Gunnah haath pe lay kar gunnag gaar cahlay

Dil ka aangan raat andhera ,Jeewan gehri shaam


Shaam

Dil ka aangan raat andhera 
Jeewan gehri shaam 
Dukh kay mousam sukh aangan main 
Utray aayi shaam 
Rang , dhanak aur badal khushbu 
Qissay khawab huye
Sukh jeewan ka loot kay lay gayi 
Ghoor andheri shaam 
Pichli raat ka ujla mousam 
Rang bahaar kay din 
Roshan subhein nikhri batein
Pyar khumaar kay din 
Shabnam lehjay , resham batein 
Sab ka aik hi naam 
Tara si aankhon main bhar gayi
Dukh ka kajal shaam 
Jhoota roop dikha kar apna 
Aakhir kar gayi shaam 
Roshan , jag'mag kartay din se 
Dhoka kar gayi shaam 
Raat siyahi se aalam ka 
Soda kar gayi shaam

Shaam se aankh main nami si hai


Shaam se aankh main nami si hai 
Aaj phir raat ki kami si hai 

Dafan kar do hamein keh saans aaye 
Nabaz kuch dair se thami si hai 

Kon pathraa gaya hai aankhon main 
Barf palkon pe kiyon jami si hai 

Waqat rehta nahin kahin tik kar 
Aadat us ki bhi aadmi si hai 

Aaiye raastay alag kar lain 
Yeh zaroorat bhi bahami si hai 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...