Showing posts with label Jaan Nisar Akhtar Poetry. Show all posts
Showing posts with label Jaan Nisar Akhtar Poetry. Show all posts

Apr 21, 2016

Her simat latafat hi latafat si lagay hai


Her simat latafat hi latafat si lagay hai 
Tu hai to yeh duniya mujhay jannat si lagay hai

Her baar to is tarah dhalakta nahin aanchal 
Kuch is main mujhay teri sharaarat si lagay hai 

Kya tujh ko zaroorat kisi andaz-o-ada ki 
Tu youn hi mujhay aik qayamat si lagay hai

Aankhein jo uthaye to mohabbat ka gumaan ho 
Nazron ko jhukaye  to shikayat si lagay hai 

Yeh teray khad-o-kaal main mariyam ka taqadus 
Aankhon ko jhukaon to ibadat si lagay hai

Feb 27, 2015

Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho


Zindagi yeh to nahin tujh ko sanwara hi na ho 
Kuch na kuch tera ehsaan utaara hi ho 

Koo-e-qatil ki bari dhoom hai , chal kar dekhein 
Kya khabar koocha-e-dil'daar se payara hi na ho 

Dil ko choo jaati hai raat ki awaz kabhi 
Chonk uth'ta hoon kahin tum ne pukara hi na ho 

KAbhi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer 
Sochta hoon teray aanchal ka kinara hi na ho 

Zindagi ik khalish de kay na reh ja mujh ko 
Dard woh dy jo kisi surat gawara hi na ho 

Sharam aati hai keh us shaher main hum hain keh jahan 
Na milay bheek to laakhon ka guzara hi na ho 



Aug 23, 2014

Hum ne kaati hain teri yaad main raatein aksar



Hum ne kaati hain teri yaad main raatein aksar 
Dil se guzri hain sitaron ki baratein aksar 

Ishq raah'zan na sahi , ishq kay hathon phir bhi
Hum ne lut'ti hui dekhi hain baratein aksar 

Hum se ik baar bhi jeeta hai , na jeetay ga koi 
Woh to hum jaan kay khaa letay hain maatein aksar 

Un se poocho kabhi chehray bhi parhay hain tum ne 
Jo kitabon ki kiya kartay hain baatein aksar 

Hum ne tund hawaon main jalaye hain chragh 
Jin hawaon ne ulat di hain bisaatein aksar 

Aur to koi nahin hai jo mujh ko tasali deta 
Haath rakh deti hai dil par teri yaadain aksar 

Haal kehna hai kisi se to mukhatab hai koi 
Kitni dil'chasp hua karti hain baatein aksar


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...