Oct 31, 2016

Chalo baad-e-bahaari jaa rahi hai


Chalo baad-e-bahaari jaa rahi hai 
Piya jee ki sawari jaa rahi hai 

Shumaal-e-jawidaan-e-sabz jaan se 
Tamana ki amaari jaa rahi hai 

Faghan ae dushmani daar-e-dil-o-jaan 
Meri haalat sudhaari jaa rahi hai 

Jo in rozon mera gham hai woh yeh hai 
Keh gham se burd'bari jaa rahi hai 

Hai seenay main ajab ik hashar bar'pa
Keh dil se be'qaraari jaa rahi hai 

Main peh'ham haar kar yeh sochta hoon 
Woh kya shay hai jo haari jaa rahi hai 

Dil us kay ru-ba-ru hai aur gum sum 
Koi arzi guzari jaa rahi hai 

Woh syed bacha ho aur shaikh kay saath 
Miyan izzat hamari jaa rahi hai 

Hai bar'pa her gali main shor-e-naghma
Meri fariyaad maari jaa rahi hai 

Woh ya'daab ho rahi hai dil se rukhsat
Miyan piyaron ki piyari jaa rahi hai 

Bhout bad'haal hain basti yeh teray log 
to phir tu kiyon sanwari jaa rahi hai 

Teri marham nigahi ae maseeha !
Kharaash-e-dil pe waari jaa rahi hai 

Kharabay main ajab tha shor bar'pa
Dilon se intizari jaa rahi hai 

Nahin nibahi khushi se ghami ko chor diya


Nahin nibahi khushi se ghami ko chor diya 
Tumharay baad bhi main ne kai ko chor diya 

Hon jo bhi jaan ki jaan woh gumaan hotay hain 
Sab hi thay jaan ki jaan aur sab ko chor diya

Shaoor aik shaoor-e-faraib hai so to hai 
Gharz keh aagahi , na aagahi ko chor diya 

Khayal-o-khawab ki andeshgi kay sukh jhailay 
Khayal-o-khawab ki andeshgi ko chor diya 


Ajab halat hamari ho gayi hai


Ajab halat hamari ho gayi hai
Yeh duniya ab tumhari ho gayi hai

Sukhan mera udaasi hai sar-e-shaam
Jo khamoshi pe taari ho gayi hai

Bhout hi khush hai dil apnay kiye par
Zamanay bhar main khawari ho gayi hai

Woh nazuk lab hai ab janay hi wala
Meri awaaz bhaari ho gayi hai

Dil ab duniya pe lanat kar keh is ki
Bhout khidmat guzaari ho gayi hai

Yaqeen mazoor hai ab aur gumaan bhi
Bari be'rozgari ho gayi hai

Woh ik baad-e-shumaali rang jo thi
Shameem us ki sawari ho gayi hai

Meray paas aa kay khanjar ghomp de tu
Bhout neza guzari ho gayi hai 

Ik dil hai jo her lamha jalanay kay liye hai


Ik dil hai jo her lamha jalanay kay liye hai 
Jo kuch hai yahan aag laganay kay liye hai 

Ik baat hi kehni hai mujhya tujh se , bas ik baat 
Is shaher main to sirf ganwanay kay liye hai 

Her shakhs meri zaat se janay kay liye tha 
Tu bhi to meri zaat se janay kay liye hai 

Bu'dash jo hai woh aik tamasha hai gumaan ka 
Hai jo bhi haqeeqat woh fasanay kay liye hai 

Han'sanay se kabhi khush nahin hota hai mera dil 
Yahan mujh ko hansana bhi rulanay kay liye hai 

Qaatil ko meray mujh se nahin hai koi pur'khaash
Qaatil to mera rang jamanay kay liye hai 

Zaat apni gawah ki jaye


Zaat apni gawah ki jaye 
Band aankhon nigah ki jaye 

Hum to bas apni chah main hain magan 
Kuch to us ki bhi chah ki jaye 

Aik naatak hai zindagi jis main 
Aah ki jaye , wah ki jaye 

Dil ! hai is main tera bhala keh teri 
Mumlikat be'sipah ki jaye 

Malka jo bhi apnay dil ki na ho 
Jon ! woh be'kal'lah ki jaye 

Dil se ab rasm-o-raah ki jaye


Dil se ab rasm-o-raah ki jaye 
Lab se kam hi nibah ki jaye 

Guftagoo main zar'rar hai mahni ka 
Guftagoo gaah gaah ki jaye 

Aik hi to hawas rahi hai hamein 
Apni haalat tabah ki jaye 

Hawas ang'aiz hon badan jin kay 
Un main sab se nibah ki jaye 

Apnay dil ki pan,nah main aa kar 
Zindagi be'pan'nah ki jaye  
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...