Jan 23, 2017

Yeh baat samajh me aayi nahin


Yeh baat samajh me aayi nahin
Aur mummy ne samajhai nahin

Main kaisay meethi baat karon
Jab meethi cheez koi khai nahin
Ye chand kaisay maamu hai?
Jab mummy ka wo bhai nahin

Kiyon lambay baal hain bhaalu kay
Kiyon us ne triming karai nahin
Kya woh bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahin

Nana ki biwi jab nani hai
Dada ki biwi jab dadi hai
Papa ki biwi kiyon papi nahi?

Samandar ka rang kiyon neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahin
Jab school me itni neend aati hai
To kiyon bed waha rakhwai nahin?

Yeh baat samajh mein aayi nahin
Aur mummy ne samjhai nhain


Kuch haadson se gir gaye Mohsin zameen par


Kuch haadson se gir gaye Mohsin zameen par 

Hum rashk-e-aasman thay abhi kal ki baat hai 


Woh jo aati hai to phir loat kay jati hi nahin


Woh jo aati hai to phir loat kay jati hi nahin 

Tum lipat jao kabhi aisi museebat ki tarah 


Meray lafzon pe bhaari hain tumharay hijar kay mousam


Meray lafzon pe bhaari hain 

Tumharay hijar kay mousam 

Meri ghazlein meri nazmein 

Meri Ashaar rotay hain 

November ki haseen sham'mein 

Zameen par jab utar'ti hain 

Meray chotay se kamray main 

Teray iqraar rotay hain  


Main na kehti thi waqat zaalim hai


Main na kehti thi waqat zaalim hai 

Daikh lo ... Khawab ho gaye tum bhi !!!


Suno mehfooz kar lo hamein khud main . . .


Suno mehfooz kar lo hamein khud main . . .

Keh bin teray be'wajah bikhar rahay hain hum 



Mohabbat bhi teri thi , woh shararat bhi teri thi


Mohabbat bhi teri thi 

Woh shararat bhi teri thi 

Agar kuch be'wafai thi

To woh be'wafai bhi teri thi 

Hum chor gaye tera shaher 

To woh hidayat bhi teri thi 

Aakhir kartay to kis se kartay shikayat 

Woh shaher bhi tera tha , woh adalat bhi teri thi 




Mout shayed issi ko kehtay hain ...!


Mout shayed issi ko kehtay hain ...!

Dil mera ab khawaish nahin karta 


Na janay kon tha woh , jo ban gaya manzil teri ....


Na janay kon tha woh , jo ban gaya manzil teri ....

Hum to raaston ki tarah teray qadmon main reh gaye ...!!


Labon se lab milanay ka ishara do to aa jaon


Labon se lab milanay ka ishara do to aa jaon 
Tum apnay phool chehray ka nazara do to aa jaon 

Guzri hai umar apni hijar kay sehraon main 
Apni jheel aankhon ka kinara do to aa jaon 

Jis kandhay pe sar rakh kar ghamon ko bhool jata tha 
Sar rakhnay ko woh kandha do to aa jaon 

Tera sharma kay chunri ko danton main daba lena 
Wohi pur kaif manzar tum dobara do to aa jaon 

Main jis aagosh kay liye sada be'taab rehta hoon 
Agar un narm baanhon ka sahara do to aa jaon 


Jab teray shaher se guzarta hoon


Jab teray shaher se guzarta hoon 

Teri ruswaiyon se darta hoon 


December jab bhi lota hai


December jab bhi lota hai 

Meray khamosh kamray main 

Meray bistar pe rakhi hui 

Kitabein bheeg jati hain 

Misal-e-libaas huye hain rishtay . . . !


Misal-e-libaas huye hain rishtay . . . !

Aik chora , Aik oorha ......................!

Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil


Kisi ko ghar se nikaltay hi mil gayi manzil 

Koi meri tarah umar bhar safar main raha 

Main khud yeh jaanta hoon keh halaat hon kharaab


Main khud yeh jaanta hoon keh halaat hon kharaab 

Meray khilaaf zehar ugalta phirray koi 

Aaj kay din meri bhi aik khawaish thi keh


Aaj kay din 
Meri bhi aik khawaish thi keh 
Main bhi sab ki tarah 
Khushiyon main ghirra rahon par 
Tum ko apnay paas na paa kar 
Meri aik aur khawaish ne 
Dam tor diya 
Youn ,,,, aaj ka din bhi yaad'gaar raha 
Khushiyon ka din bhi sogwaar raha 

Hina ka rang hoon main haath pe to ayon ga


Hina ka rang hoon main haath pe to ayon ga 
Utar gaya to mehak apni chor jayon ga 

Ghazal ka shair hoon , dil ki kitaab main rakh lo 
Bhula diya to kabhi yaad bhi na ayon ga 

Khaloos-e-dil se sada di agar kisi ne mujhay 
Gayi bahar ki maanind loat ayon ga 

Dilon ka dard agar koi nahin samjha 
Main pathron kay zamanay main loat jayon ga

Tum roothay ho , apnay bhi roothay hain , sapnay bhi roothay hain 
Tum hi kaho akela main kis kis ko mana'on ga  


Woh jaa raha tha


Woh jaa raha tha 
To door tak !!!
Ussay daikhtay rahya 
Nahin di sada 
Ussay roktay bhi 
To kis liye 

Gulaab chehray pe muskurahat


Gulaab chehray pe muskurahat 
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Woh jab bhi college ki seerihon se 
Sahaliyon ko liye utar'ti 
To aisa lagta keh jaisay dil main 
Utar rahi ho 
Kuch is teefan se baat karti 
Keh jaisay duniya ussi ki aankhon 
Se daikhti ho 
Woh apnay rastay pe dil bichaati 
Hui nigahon se hans kar kehti 
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein 
Bhout se barson se sun rahi hoon 
Main saahilon ki hawa hoon 
Neelay samandron kay liye bani hoon
Woh sahilon ki hawa si larki!
Jo kal mili to is tarah thi 
Gulaab chehray pe muskurahat 
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Keh jaisay chandni pighal rahi ho 
Magar jo boli to us kay lehjay main  woh thakan thi 
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main jal rahi ho !


Aye Khuda aaj yeh kaam kar de


Aye Khuda aaj yeh kaam kar de 
Taqdeer main meri thori rad-o-badal kar de 
Woh agar mera nahin hai to ussay 
Mera muqaddar kar de 
Safar-e-judai bhout khathan hai 
Raah sehal kar de , manzil paas kar de 
Nafrat jo bari hai , dooriyan bhi bhout hain 
Nafrat ko mohabbat kar 
Dooriyon ko qurbat kar de 
Nahin hai agar woh mera humsafar , , ,
Khatam yeh safar kar de , 
Aur 
Mujhay Fanaa kar de !!!


Haadsay bhi sha'oor rakhtay hain


Haadsay bhi sha'oor rakhtay hain 

Dhoond letay hain hum jaisay gham kay maaron ko 

Koi chand chehra Ku'shaa hua


Koi chand chehra Ku'shaa hua 

Woh jo dhund thi , woh bikhar gayi 
Woh jo habs tha , woh hawa hua 
Koi chand chehra Ku'shaa hua 

Tu simat gayi 
Woh jo tairagi thi , chaar su hui 
Woh jo barf thehri thi , ru-b'ru 
Woh jo be'dili thi, sadaf sadaf 
Woh jo khaak urrti thi , her taraf 

Magar ik nigah se jal uthay 
Jo chragh-e-jaan thay bujhay huye 
Magar ik sukhan se mehak uthay 
Meray gulistaan meray aainay 

Kisi khush nazar kay hisaar main 
Kisi khush qadam kay jawaar main 
Koi chand chehra Ku'shaa hua 
Mara sara baagh harra hua 


Aap Baithay hain balim pe meri (Dhani Title Song)



Raat yoon dil mein teri bhooli hui yaad aayi
Jiasay veeranay mein chupkay se bahar aa jaye
Jaisay sahraoun pe holay se chalay baad-e-naseem
Jaisay beemar ko be'wajah-e-qarar aa jaye

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai
Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai
Mot mujh ko gawara hai lekin

Mot mujh ko gawara hai lekin
Kiya karon dam nikalta nahin hai
Kiya karon dam nikalta nahin hai

Yeh ada ye nazakat bar'hasil
Mera dil tum pe qurban lekin
Yeh ada ye nazakat bar'hasil
Mera dil tum pe qurban lekin

Kiya sambhalo gay tum meray dil ko
Kiya sambhalo gay tum meray dil ko
Jab yeh aanchal sambhalta nahin hai

Kiya sambhalo gay tum mere dil ko
Jab yeh aanchal sambhalta nahin hai

Meray naalon ki sun kar zubanein
Ho gayi mom kitni chatanein
Meray naalon ki sun kar zubanein
Ho gayi mom kitni chatanein

Main ne  pighla diya patharon ko
Main ne  pighla diya patharon ko
Ik tera dil pighalta nahi hai

Maine pighla diya patharon ko
Ik tera dil pighalta nahin hai 

Meh'qaday kay sabhi peenay walay
Larkhara kar sambhaltay hain lekin
Teri nazron ka jo jaam pee lay
Teri nazron ka jo jaam pee lay
Umer bhar wo sambhalta nahi hai

Teri nazron ka jo jaam pee le
Umer bhar wo sambhalta nahi hai
Teri nazron ka jo jaam pee le
Umer bhar wo sambhalta nahin hai

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahi hai
Mot ka zor chalta nahi hai


Raat yoon dil mein teri bhooli hui yaad aayi



Raat yoon dil mein teri bhooli hui yaad aayi
Jiasay veeranay mein chupkay se bahar aa jaye
Jaisay sahraoun pe holay se chalay baad-e-naseem
Jaisay beemar ko be'wajah-e-qarar aa jaye

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai
Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahin hai
Mot mujh ko gawara hai lekin

Mot mujh ko gawara hai lekin
Kiya karon dam nikalta nahin hai
Kiya karon dam nikalta nahin hai

Yeh ada ye nazakat bar'hasil
Mera dil tum pe qurban lekin
Yeh ada ye nazakat bar'hasil
Mera dil tum pe qurban lekin

Kiya sambhalo gay tum meray dil ko
Kiya sambhalo gay tum meray dil ko
Jab yeh aanchal sambhalta nahin hai

Kiya sambhalo gay tum mere dil ko
Jab yeh aanchal sambhalta nahin hai

Meray naalon ki sun kar zubanein
Ho gayi mom kitni chatanein
Meray naalon ki sun kar zubanein
Ho gayi mom kitni chatanein

Main ne  pighla diya patharon ko
Main ne  pighla diya patharon ko
Ik tera dil pighalta nahi hai

Maine pighla diya patharon ko
Ik tera dil pighalta nahin hai 

Meh'qaday kay sabhi peenay walay
Larkhara kar sambhaltay hain lekin
Teri nazron ka jo jaam pee lay
Teri nazron ka jo jaam pee lay
Umer bhar wo sambhalta nahi hai

Teri nazron ka jo jaam pee le
Umer bhar wo sambhalta nahi hai
Teri nazron ka jo jaam pee le
Umer bhar wo sambhalta nahin hai

Aap Baithay hain balim pe meri
Mot ka zor chalta nahi hai
Mot ka zor chalta nahi hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...