Kisi ki aankh kay aansu
mujhay ronay nahin detay
Kisi kay bheegtay lehjay
Mujhay khonay nahin detay
Kisi kay reshmi gaysu
Mujhay sonay nahin detay
Mujhay her pal sata'tay hain
Mujhay her dam jagaatay hain
Kabhi jo oongh jaaon to
Kisi dam bhool jaon to
Kisi ki narm si aahat
Kabhi anjaan lagti hai
Kabhi paighaam lagti hai
Bhala sa naam lagti hai
Kabhi ronay nahin deti
Kabhi sonay nahin deti
Magar yeh sach meri jaana !
Tujhay main ne nahin jaana
Magar aansu jo behtay hain
Jinhein hum aam sehtay hain
Bhout takleef detay hain
Kabhi tootein jo nazron se
Kabhi chootein jo palkon se
Bhout hasaas lagtay hain
Kisi ki aas lagtay hain
Magar jab gir hi jayein to
Zameen main mitt hi ho jayein to
Kisi ko kuch nahin hota
Magar phir kuch nahin rehta
Magar jab ho kabhi aisa
Kisi ki aankh kay aansu
Meri jab aankh main aayein
To phir main
Main nahin rehta
Mera phir dil yeh kehta hai
Kisi seepi main band ho kar
Banu moti ki surat main
Dhalon matti ki surat main
Kisi ki aankh ka aansu
Bahay jab aankh se meri
Laga de aag hasti main
Rahoon phir kiyon uss basti main
Jissay sab log kehtay hain
"Mohabbat Lok: kehtay hain
Koi jo aankh pur'nam hai
Koi jo zulf barham hai
Yeh sab meri wajah se hai
Yeh jo aansu chalaktay hain
Meray dil main dehaktay hain
Ussi dam hum behaktay hain
Magar yeh sarhadein jaana
Hamaray beech main hayel
Karein kaisay unhein qayel
Jo hum ko rog detay hain
Milan ko jog detay hain
Yeh aansu kab hamaray hain
Yeh aansu log detay hain
Yeh aansu log detay hain .....!!