Dec 25, 2014

Dard ki dastaan abhi baaqi hai


Dard ki dastaan abhi baaqi hai 
Mohabbat ka imtihaan abhi baaqi hai 

Dil karay phir wafa karnay aa jaana 
Dil hi to toota hai , jaan abhi baaqi hai

Talaash kar na saka phir mujhay wahan ja kar


Talaash kar na saka phir mujhay wahan ja kar 

Ghalat samjh kay jahan us ne kho diya tha mujhay

Main likhon to kiya likhon teri tareef main


Main likhon to kiya likhon teri tareef main

Meri soch kay dairay se bahir hai tameer teray husn ki

Lagta hai raqeebon ki baaton main aa gaye ho tum


Lagta hai raqeebon ki baaton main aa gaye ho  tum 

Milna to bhout door ab guftagoo karna bhi gawara nahin samjhtay


Baarish ki awargi ne her rut badal daali


Baarish ki awargi ne her rut badal daali

Jinhain mushkil se bhoolay thay woh phir yaad aanay lagay

Hansaata tha phir mujhay rula bhi deta tha


Hansaata tha phir mujhay rula bhi deta tha 
Kar kay aksar waday mujh se bhula bhi deta tha 

Be'wafa tha magar acha lagta tha dil ko 
Kabhi kabhi baatain mohabbat ki suna bhi deta tha 

Thaam leta tha haath mera kabhi youn hi khud 
Kabhi haath apna meray haath se chura bhi leta tha 

Kabhi be'waqat chala aata tha milnay ko 
Kabhi qeemti pal mohabbat kay ganwaa bhi deta tha 

Ajab dhoop chaaon sa mijaaz tha us ka 
Moh'tabar bhi karta tha nazron se gira bhi deta tha

De diya ishq ki nokri se isteefa main ne


De diya ishq ki nokri se isteefa main ne 

Keh abhi umar nahin meri itnay gham uthanay ki

Yahan pal pal jalna parta hai


Yahan pal pal jalna parta hai 
Her rang main dhalna parta hai 
Her mor pe thokar lagti hai 
Her haal mainchalna parta hai 
Her dil ko samjhanay kay liye khud se larna parta hai 
Kabhi kabhi khud ko khona parta hai 
Kabhi chup chup kay rona parta hai 
Kabhi neend na aaye phoolon pe 
Kabhi kaanton pe sona parta hai 
Kabhi mar kay jeena parta hai 
Kabhi jee kay ,arna parta hai 
Kabhi to khushiyaan loat kay aayein gi 
Is aas pe jeena parta hai

Ajab hai uljan meri , ajab tarz-e-zindagi hai


Ajab hai uljan meri , ajab tarz-e-zindagi hai 
Kabhi gham hai apna saaya 
Kabhi be'naam se khushi hai 
Kis pe karon bharosa 
Kis se karon main shikwa
Sab naam kay hain rishtay 
Baraf chehron pe jami hai 
Chaha to hai sabhi ne 
Par apnay apnay dhang se 
Jana nahin kisi ne 
Meri zaat ki jo kami hai 
Main ne to jaan-o-dil se nibhaye saaray rishtay dost
Is ka sila to dekho aankhon main bas nami hai 
Khud ko bana lo sang'dil 
Yahi seekha hai is chaman se
Yahi dastaan-e-zindagi hai
Duniya lafzon se bas saji hai

Nafrat ki aag ko mohabbat kay lahoo se bhujha dena fitrat hai hamari


Nafrat ki aag ko mohabbat kay lahoo se bhujha dena fitrat hai hamari 

Hum woh pagal log hain jinhain kisi ki be'wafai se bhi pyaar ho jaata hai

Tujhay paanay ki hasrat main kab tak tarasta rahoon


Tujhay paanay ki hasrat main kab tak tarasta rahoon 

Koi aisa de dhoka keh meri saans toot jaye aur teri jaan choot jaye

Khuda ka shukar hai jo us ne khwaab bana diya


Khuda ka shukar hai jo us ne khwaab bana diya 

Warna us se milnay ki tamana kabhi poori na hoti

Hoti jo agar mohabbat to woh poochtay zaroor haal hamara Dost


Hoti jo agar mohabbat to woh poochtay zaroor haal hamara Dost 

Hum itnay khush naseeb kahan keh koi hamain dil se yaad karay

Karni hai khuda se ik guzarish


Karni hai khuda se ik guzarish 

Keh teray pyaar kay siwa koi bandagi na milay 

Her zindagi main milay teray jaisa dost 

Yaar phir kabhi zindagi na milay 

Khush mizaaji bhi mashoor thi hamari


Khush mizaaji bhi mashoor thi hamari 

Saadgi bhi kamaal hai 

Hum shareer bhi intiha kay thay 

Ab sanjeeda bhi be'misaal hain

Woh ik shakhs jo hamain zindagi se pyaara hai


Woh ik shakhs jo hamain zindagi se pyaara hai 
Baghair us kay veraan yeh jahan saara hai 
Woh nahin janat keh us ki zaat kiya hai 
Wohi to hai jo mohabbat ka ik sitaara hai 
Nahin milta to dil ki halat ajeeb hoti hai 
Keh is main mera nahin dil ka qasoor sara hai 
Woh apni sab baaton ko chup chup kay biyaan karta hai 
Yahi to ada hai jis ne hamain maara hai 
Woh kiya tha 
Kiya hai 
Kiya ho ga 
Kiya khabar 
Yahi pata hai keh woh jaisa bhi hai 
Bas hamara hai 

Main ne ilaaj-e-ishq jo poocha tabeeb se


Main ne ilaaj-e-ishq jo poocha tabeeb se 

Dheemay se lehjay main bola 'zara piya karo '

Chalo hum maan letay hain


Chalo hum maan letay hain 
Tumhain hum kho chukay lakin 
Tumhari yaad ab tak bhi 
Hamain be'taab rakhti hai 
Hamari saans ab tak bhi 
Tumhari aas rakhti hai 
Magar ab yeh bhi suntay hain 
Tumhain bhi mil gaya koi 
Magar afsoos hum jaisa 
Agar paao kahin tum to 
Mujhay do harf likh dena 
Manzil mil gayi mujh ko

Uljhay huye halaat kay shikwa na kiya kar


Uljhay huye halaat kay shikwa na kiya kar 
Khairaat main khushiyon ki tamana na kiya kar 

So baar kaha itni mohabbat nahin achi 
So baar kaha itna bharosa na kiya kar 

Halaat tujh ko mujh se na milnay kabhi dain gay 
Ae mehboob meray , meri tamana na kiya kar 

Kiya jannay yeh kis mor pe lay jaye zamana 
Tu mujh ko kisi pal bhi elehda na kiya kar 

Mumkin hai kisi roz mar jaaon achanak
Tu mujh se pyaar itna ziyada na kiya kar

Ae zindagi ja dhoond koi kho gaya mujh se


Ae zindagi ja dhoond koi kho gaya mujh se 

Woh nahin mila to sun tujhay bhi khuda hafiz

Bari tabdiliyaan laye hain apnay aap main lakin


Bari tabdiliyaan laye hain apnay aap main lakin 

Tumhain bas yaad rakhnay ki woh aadat ab bhi baaqi hai

Darja'bandi dekhi jaye to hamara yaar awwal hai


Darja'bandi dekhi jaye to hamara yaar awwal hai 

Rooth janay main , dil jalanay main , bhool janay main

Ab kay zikar mera un kay hawalon main nahin tha


Ab kay zikar mera un kay hawalon main nahin tha 
Shyed main kahin chahnay walon main nahin tha 

Lagta hai keh qismat main andheray hi likhaye thay 
MAin raat ka jugnoo tha ujaalon main nahin tha 

Kiyon ppochtay phirtay ho meray pyaar ka qissa
Kirdaar main shamil tha misaalon main nahin tha 

Ghairon ki tarah un kay rawaye thay meray saath 
Main ab kay baras un kay khayalon main nahin tha 

BAnn thann kay guzarta tha woh zulfon ko sanwaray
Is bahar koi phool to us kay baalon main nahin tha 

MAin us ki isi baat pe hairaan hua hoon 
Pehlay sa maza us kay sawalon main nahin tha 

Hairat se meray dost mujhay dekh rahay hain 
Yeh zakham to guzray huye saalon main nahin tha

Ussay kehna gilay un se hotay hain


Ussay kehna gilay un se hotay hain 
Jo dil kay paas hotay hain 
Shikayat us se hoti hai 
Jo be'had khaas hotay hain 
Mera tujh se gila karna 
Tumhain youn hi rula dena 
Khafa karna 
Teri ta'eed kay badlay jafa karna 
Mohabbat ki alaamat hai 
Mohabbat main kabhi hargiz 
Issay dil par nahin lena 
Ussay kehna mohabbat ki 
Tawaqo un se hoti hai 
Keh jin se aas hoti hai 
Gilay un hi se hotay hain 
Jo dil kay paas hotay hain

Baaz aa jayo apni be'rukhi se warna



Baaz aa jayo apni be'rukhi se warna 

Jissay hum bhool jaatay hain to bas phir bhool hi jaatay hain

Dekhna tum meri mout ka sun kar bhi bhi na aayo gay


Dekhna tum meri mout ka sun kar bhi bhi na aayo gay 

Tum samjh baitho gay yeh koi aur bahana hai phir se milnay ka

Yahan khamosh nazron ka nazara kon banta hai


Yahan khamosh  nazron ka nazara kon banta hai 

Bhout gehray samandar ka kinara kon banta hai 

Chalo hum dekhtay hain ab khud ko barbaad kar kay bhi 

Hamari bar'badiyon main bhi hamara kon banta hai 

Koi sheesha agar tootay to wapis jurr nahin sakta 

Mohabbat main fanaa ho kar dobara kon banta hai 

Chalo phir azmaa lo tum sabhi apnay paraon ko 

Tumharay dard main dekhain tumhara kon banta hai


Kamzor par gaya hai mujh se tumhara taaluq


Kamzor par gaya hai mujh se tumhara taaluq 

Ya phir , kahin aur silsaly mazboot ho gaye hain 

Meri chahaton main shikwaye


Meri chahaton main shikwaye

Teray raabton amin waqfay 

Haan yahi nishaaniyaan hain 

Keh tu door ho raha hai

Elaaj-e-dard-e-dil tum se


Elaaj-e-dard-e-dil tum se 

Maseeha tum se ho nahin sakta 

Tum acha kar nahin saktay 

MAin acha ho nahin sakta 

Ussay kehna keh us ki yaad main be'had azziyat hai


Ussay kehna keh us ki yaad main be'had azziyat hai 

Ya apna naqsh dho jaye , ya phir se mera ho jaye

Tumhain jo yaad rakha hai yahi apni mohabbat hai


Tumhain jo yaad rakha hai 
Yahi apni mohabbat hai 

Mohabbat karnay walon ki 
Mohabbat kab badalti hai 

Jo dil main naqsh ho jaye 
Aur nigahon main simat aaye 

Alaamat hai yeh chahat ki 
To chahat kab badalti hai 

Tum hi ko chahtay hain hum 
Tum hi se pyaar kartay hain 

Yehi barson se aadat hai 
Aur aadat kab badalti hai

Yeh ek lafaz shayed ban gaya hai zindagi meri


Woh ik masoom si chahat 
Woh ik be'naam si ulfat 

Woh meri zaat ka hissa
Woh meri zeest ka qissa

Mujhay mehsoos hota hai 
Woh meray paas hai ab bhi 

Woh jab jab yaad aata hai 
Nigahon main samaata hai 

Zubaan khamosh hoti hai 
Magar yeh aankh roti hai 

Main khud se pooch leta hoon 
Jissay main yaad karta hoon 

Ussay kiy apyaar tha mujh se 
Jawaban soch leta hoon 

Ussay bhi pyaar tha shyed 
Isi Shayed se wabasta hai ab to her khushi meri

Yeh ek lafaz shayed 
ban gaya hai zindagi meri 

Tumhain chaand kahon ya chaand jaisa kahon


Teray hi khayal main raat guzar jaati hai 

Be'basi kay haal main raat guzar jaati hai 

Tu mujhay yaad karta hai keh nahin

Isi sawal main raat guzar jaati hai 

Teray chehray ka aks zehan main banaata hoon 

Tasawur-e-hilaal main raat guzar jaati hai 

Tumhain chaand kahon ya chaand jaisa  kahon

Sochon kay jaal main raat guzar jaati hai 

Kaash keh tu her waqat meray saath rahay 

Khwaish-e-kamal main raat guzar jaati hai

Raat ki tanhai main , meri aankhon se girtay aansoo bhi bol uthaye


Raat ki tanhai main , meri aankhon se girtay aansoo bhi bol uthaye

Mat baha hamain itna , keh hum teri aankhon main aana hi chor dain

Ek dojay kay ho jayein hamain aisi haseen ek raat chahiye


Ek dojay kay ho jayein hamain aisi haseen ek raat chahiye

Jaisay phool se juda hoti nahin khushboo 

Mujhay aisa tera saath chahiye

Meray liye na sahi zamanay kay liye sahi 

Meray haathon main hona tera haath chahiye

Dil se mil jaye dil sada kay liye

Haan aisi hi haseen mulaqaat 

Raat to aati hai her subha kay baad 

Raat main bhi honi kuch baat chahiye

Zabardati ka pyaar bhala kis kaam  ka 

Tera pyaar mujhay dil se din raat chahiye

 




Hum tum se bhout mohabbat kartay hain


Teri la'jawab chahat ko hum bhulayein kaisay 

Tum ko bhool kar khud ko chain dilaein kaisay 

NA janay kon si kashish teray paas lay aati hai 

Teray paas aa kar tujh main samyein kaisay 

Hum ne dil se chaha hai tujhay magar 

Teri chahat kay qabil khud ko banayein kaisay

Kiyon poochtay ho hum se aanso'on ki shiddat 

Hum in main tera aks tujhay dikhaein kaisay 

Hum tum se bhout mohabbat kartay hain 

Magar tumhain yeh ehsaas dilaein kaisay

Unhain hum se shikayat hai keh hum her kisi ko dil main basaatay hain Dost


Unhain hum se shikayat hai keh hum her kisi ko dil main basaatay hain Dost

NA samjh hain woh nahin samjhein gay keh hamain her chehray main wohi woh nazar aatay hain

Jeetay thay kabhi hum bhi shaan se


Jeetay thay kabhi hum bhi shaan se 

Mehak uth'ti thi fiza kisi kay naam se 

Magar guzray hain kuch aisay maqaam se 

Keh nafrat si ho gayi hai mohabbat kay naam se

Bas dua karna meray liye


Bas dua karna meray liye 
Kuch din jee loon teray liye 
Saans chalay saath saath 
Meray haath main ho tera haath
Meri her khushi teray liye 
Tera her dukh ho meray liye 
Mehsoos ho yahi tamaam umar
Tum jee rahay ho meray liye 
Main jee rahi hoon teray liye 
Chalo keh dain zamanay bhar se 
Keh tum ho meray liye 
Main hoon teray liye 
Bas dua karna meray liye
Kuch din jee loon teray liye

Dil behal jaye to chor detay hain log


Dil behal jaye to chor detay hain log 
Koi aur mil jaye to chor detay hain log 

Char din ki chandani ki qadar karna dosto 
Chandani chal jaye to chor detay hain log 

Qasmain to khaatay hain log sadaa jeenay ki 
Zehan badal jaye to chor detay hain log 

Din badal jayein to jazbaat badal jaatay hain 
Halaat badal jayein to chor detay hain log 

Log mohabbat kartay hain matlab kay liye 
Matlab nikal jaye to chor detay hain log
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...