Nov 17, 2014

Takhreeb-e-mohabbat asaan hai , tameer-e-mohabbat mushkil hai


Tum naghma-e-maah-o-anjuman ho , tum soz-e-tamana kiya jaano 
Tum dard-e-mohabbat kiya samjho , tum dil ka tarapna kiya jaano 

KAb dard barha , kab hook uthi , kiyon ashk baha , kiyon aah khichi 
Tum gum ho bahaaron main apni , tum gham ka fasaana kiya jaano 

Ik moj-e-tabasam honton par , ik naghma rangeen aankhon main 
Tum raqs-e-suriyaa kiya jaano , tum barbat-e-zohra kiya jaano 

Tum rooth gaye jab jab hum se , hum tum ko manaa hi letay thay 
Ik baar agar hum rooth gaye , tum hum ko manaana kiya jaano 

Takhreeb-e-mohabbat asaan hai , tameer-e-mohabbat mushkil hai 
Tum aag lagaana seekh gaye , tum aag bhujaana kiya jaano 

Tum door kharay dekha hi kiyea aur doobnay wala doob gaya 
Saahil hi ko tum manzil samjhay , tum lazat-e-dariya kiya jaano 

Iqbaal ka gham tum kiyon samjho , aur us ka dilaasa kiya jaano 
Tum husan-e-sraapa apni jaga aur husan-e-sraapa khud daari 

Kabhi be'niqaab ho kar meray saamnay na aana


Mujhay laakh ho bhrosa meray dil ka kiya thikaana 
Kabhi be'niqaab ho kar meray saamnay na aana 

Sar-e-bazam tum khudaara mujhay youn na azmaana 
Meri simat is ada se kabhi ab na muskuraana 

Gham-e-zindagi se mumkin na hua nibaah mera 
YEh karam hai teray gham ka mujhay ajnabi na jaana

Teray raaz ka tahafuz meray bas main ab nahin hai 
Keh nikhar kay ho gayi hai meri her nazar faana 

YEh hansi , hansi nahin hai , yeh fraib hai hansi ka 
Na issay samjh sakay tum , na samjh saka zamana 

Koi taaza haadsa phir meri raah tak raha hai 
Meri simat uth rahi hai woh nigaah-e-dilbraana 

Teray gham ki yaad'gaarain meray shair , meri ghazlain 
Teri ik nazar ka haasil meri zouq-e-shairaana 


Youn ada hoti hai arbaab-e-mohabbat ki nimaz


Aik sajda sar faroshaana basad ajz-o-niyaaz
Youn ada hoti hai arbaab-e-mohabbat ki nimaz

Arzoo , ilzaam , shikwa , jurm , mayoosi , ginnah 
Ho saza maqsood to shar bahaanay so jawaaz 

Ba'wajood-e-zabat-e-gham , ba'wasaf-e-tark-e-guftagoo 
Khul hi jaatay hain nigaahon se dilon kay chand raaz

Kon sunta hai kisi ki is khraaba baad main 
Muktasir lamhaat-e-fursat aur afsaanay da'raaz

Ehal-e-mehfil yeh bhula detay hain fart-e-shouq main 
Gul bhi ho sakti hain shamain , toot bhi saktay hain saaz

Ishq main pindaar-e-sultaani bhi khaa jaata hai maat 
Aik mard-e-butt shikan aur banda zulf-e-ayaaz

Mil gaye aankhon hi aankhon main , sawalon kay jawaab 
Youn bhari mehfil main bhi jaari rahay raaz-o-niyaaz


Chaman ki khaak tajdeed-e-bahaaran chahti hai


Chaman ki khaak tajdeed-e-bahaaran chahti hai 
Naye haathon se tehzeeb-e-gulistaan chahti hai 

Bahaaran , saaz-o-samaan-e-bahaaran chahti hai 
Naye daaman , naye chaak-e-giribaan chahti hai 

Faqat zikar-e-sehar se taba keh taskeen-e-khaatar 
Sehar, sach much sehar , shaam-e-ghreebaan chahti hai

Chragon kay iwaz dozakh kay sholay bhi gawara 
Keh ab zulmat behar qeemat chragh chahti hai 

Azaaim se tabasum maangti hai chsham-e-giriyaan 
Tabasum aur tabasum barq samaan chahti hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...