Jan 8, 2015

Ek khoobsurat dil


Ek khoobsurat dil 

Hazaar khoobsurat chehron se ziyada behtar hota hai 

Is liye zindagi main hamesha 

Achay log chuno 

Jin ka dil , chehray se ziyada khoobsurat ho

MAin paa kar shayed tumhain kuch ehsaas na ho lakin ik din


MAin paa kar shayed tumhain kuch ehsaas na ho lakin ik din 

Mujhay khonay ka gham tumhain bhout tarpaye ga

Bikhra hua gulaab koi dekhta nahin


Bikhra hua gulaab koi dekhta nahin 
MAin woh hoon jis ka haal koi dekhta nahin 

Itna to sochtay hain sabhi , main udaas hoon 
MAin kiyon udaas hoon koi poochta nahin

YEh aansoo yeh gham kam nahin hon gay


YEh aansoo yeh gham kam nahin hon gay 

Yeh yaadain yeh lamhay her pal nahin hon gay

Bita liya karo kuch pal hamaray saath

Bhout yaad karo gay jab hum nahin hon gay

MAin mar jaaon to mera dil nikaal kar us be'wafa ko dy dena


MAin mar jaaon to mera dil nikaal kar us be'wafa ko dy dena

Main nahin chahta meray marnay kay baad woh khelna chor dy

Hum to bichray thay tumhain apni yaad dilaanay kay liye


Hum to bichray thay tumhain apni yaad dilaanay kay liye 

Magar tum ne to hamaray bina jeena seekh liya

Unhain tafseel se kaisay suna'ein yeh qissa mohabbat ka "Mohsin"


Unhain tafseel se kaisay suna'ein yeh qissa mohabbat ka "Mohsin"

Keh woh masroof hain ab tak hamara dil dukhaanay main

Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon


Subaq raftaar lamhon ki haddain tarteeb deta hoon 
Sehar ki saans ginta hoon shabbain tarteeb deta hoon

MAin aab-e-zarr likhta hoon usi ka naam shairon main 
Sunehray lafz bunta hoon unhain tarteeb deta hoon 

Ussay sochon to pehlu se sirak jaata hai dil mera 
MAin dil pe haath rakh kar dharkanain tarteeb deta hoon 

Meray logon ki niyat main yazeedi wasf hai "Haseeb"
Wohi mujh ko mitaatay hain jinhain tarteeb deta hoon

Phir nahin bastay woh dil jo ik baar ujar jaatay hain


Phir nahin bastay woh dil jo ik baar ujar jaatay hain 

Qabrain jitni bhi sanwaro, koi zinda nahin hota

Churao nazrain , churaao daman , badal kay rasta , barhaao uljhan


Churao nazrain , churaao daman , badal kay rasta , barhaao uljhan

Tumhain duaon se phir bhi main ne , jo paa liya to kiya karo gay

Kiya ajeeb sila mila hai mujhay kisi ki chahat main


Kiya ajeeb sila mila hai mujhay kisi ki chahat main

Keh judai jeenay nahin deti , aur pyaar marnay nahin deta


Manzoor ho to meray dil main reh jaao


Manzoor ho to meray dil main reh jaao

Meray paas is se behtar koi aur ghar nahin

Hum ne bhi chaha hai aik aisay shakhs ko


Hum ne bhi chaha hai aik aisay shakhs ko 

Jo aainay se bhi nazuk hai , magar hai kisi pathar se bana

Zindagi bhar koi saath nahin deta yeh jaan liya main ne


Zindagi bhar koi saath nahin deta yeh jaan liya main ne 

Log to tab yaad kartay hain , jab woh khud akelay hon

Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main


Ojhal sahi nigah se , dooba nahin hoon main 
Ae raat khabardaar keh haara nahin hoon main 

Dar'paish subh-o-shaam yahi kash'makash hai ab 
US ka bano main kaisay keh apna nahin hoon main 

Mujh ko farishta honay ka dawa nahin magar
Jitna bura samjhtay ho , utna nahin hoon main 

IS tarah phair phiar kay baatain na keejiye 
Lehjay ka rujh samjhta hoon bacha nahin hoon main 

Mumkin nahin hai mujh se yeh tarz-e-munafqat 
Duniya teray mizaaj ka banda nahin hoon main

Her kisi ko duniya main shohratein nahin milti


Her kisi ko duniya main shohratein nahin milti
Zindagi kay lamhon ki qeemtain nahin militi 

Fatah ki khwaish main amal bhi to lazim hai 
Sirf kuch iraadon se manzalain nahin milti 

Faisalay yeh chahat kay Aasmaano pe hotay hain 
2 dilon kay milnay se qismatein nahin milti

Deen aur duniya ko saath rakhna parta hai 
MAsjadon main rehnay se janatein nahin milti 

Maan lo is zamanay main aur bhi hain mujh jaisay 
Hasab-e-arzoo jinhain  chahatein nahin milti

Bhout arsa hua ek din bataya tha mujhay us ne


Bhout arsa hua ek din bataya tha mujhay us ne 
Banana kuch nahin aata 
Agar main kuch banati hoon 
To bas chaye banati hoon 
Peeo gay na ?
Aur main is baat pe 
Muskuraata hi raha tha 
KEh banana kuch nahin aata 
BAnati ho to bas chaye 
Mujhay chaye se uljhan hai 
NAhin peeta nahin peeta 
Aur ab is baat ko guzray 
Zamanay ho gaye kitnay 
Nahin maloom woh kaisi hai 
Kahan pe hai 
Magar ab chaye peeta hoon 
Bari kasrat se peeta hoon 
Bari hasrat se peeta hoon

Maloom hota tujhay chahnay ki itni bari saza ho gi


Maloom hota tujhay chahnay ki itni bari saza ho gi 

Teri qasam pehlay saza letay phir tujhay apna bana letay

Main us ka hoon , woh is ehsaas se inkaar karta hai


Main us ka hoon , woh is ehsaas se inkaar karta hai

Bhari mehfil main bhi ruswa mujhay her baar karta hai 

Yaqeen hai sari duniya ko khafa hai mujh se woh lakin 

Mujhay maloom hai phir bhi mujhi se pyaar karta hai

Hum is be'basi ki duniya main kaisay jeeyein


Hum is be'basi ki duniya main kaisay jeeyein

Yahan sakoon to milta hai , magar saans ruk janay kay baad

Waqat to hamain bhula chuka hai muqaddar bhi na bhula dy


Waqat to hamain bhula chuka hai muqaddar bhi na bhula dy

Mohabbat hum is dar se nahin kartay keh koi phir se na rula dy

Ab koi hasrat nahin rahi kisi se wafa panay ki


Ab koi hasrat nahin rahi kisi se wafa panay ki 

Dil is qadar toot chuka hai keh mujhya sirf tanhai achi lagti hai

Woh mera ho ga to loat aaye ga aik din meray paas


Woh mera ho ga to loat aaye ga aik din meray paas 

Hum jis se pyaar kartay hain ussay qaid nahin kartay

Honton pe kisi ka naam hota hai


Honton pe kisi ka naam hota hai 

Aankhon main chalakta jaam hota hai 

Talwaron ki zaroorat wahan kiya 

Jahan nazron se qatl-e-aam hota hai

Na janay kiyon maghroor hain is jhooti duniya kay jhootay log


Na janay kiyon maghroor hain is jhooti duniya kay jhootay log 

Wafaein kar nahin saktay waday hazaar kartay hain

Teray aansoo zindagi se ziada qeemti hain


Teray aansoo zindagi se ziada qeemti hain 

Teri plakon pe in ka aana mujhay acha nahin lagta

Dil kay dariya main mohabbat ki kashti hai


Dil kay dariya main mohabbat ki kashti hai 

Sapno ki duniya main yaadon ki basti hai 

Mohabbat kay bazar main chahat ka kiya soda

Wafa ki qeemat se be'wafai sasti hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...