Jun 14, 2014

Laaon kahan se dhoond kay yaadon ki roshni


Laaon kahan se dhoond kay yaadon ki roshni
Tareek ho gaya hai mohabbat ka yeh safar 

Andheray mangnay aye thay roshni ki bheek 
Hum apna ghar na jalatay to aur kiya kartay 

Resham hoon roshni ka hawaon main urr na jayon 
Tu mujh ko apnay lams ky anchal main de pannah 

Tum bhi denay lagi duniya ko andheron ka pata 
Roshni bhi to thi ek zamanay kay liye 

Yeh kiya kahabar thi keh daka paray ga aankhon par 
Hamaray ghar main hamain roshni ne loota hai

Milti hai mujh ko is ki lakeeron main roshni 
Main jab shafeeq dekhta hoon apnay hath ko

Ussay dekho jo tumhari taraf dekhta hai


Ussay dekho jo tumhari taraf dekhta hai 

Us se mohabbat karo jo tum se mohabbat karta hai 

Us ki suno jo tumhari sunta hai 

Aur apna hath ussay jo thamna chahta hai

Jo umda guftagoo karta hai 

Woh mohabbat karnay main dair nahin karta 

Afreen hai us mohabbat par jo izhaar 

Jo izhaar se qabool ho jaye

Mohabbat apnay aap  ko paish karti hai 

Issay khreeda nahin ja sakta 

Mohabbat aik aisi cheez hai 

Jo seekhnay aur batanay ki nahin 

Mohabbat aur shak 

Aik dil main jama nahin hotay 

Mohabbat dukhon ki sar zameen 

Aur ansoo'on ka samandar hai 

Yeh mout ky waday aur zindagi ka khatama hai 

Mohabbat agar sachi ho to manzal tak

Ponchana asaan hai 

Mohabbat kartay hain to zindagi

Bahaar kay liye karo

Chand dino kay liye nahin 

Jazbaat , ehsaasat , azmaishon 

Aur khwaishaat se mat khelo

Us ne bhi loat ky anay main umar ganwa di



Us ne bhi loat kay anay main umar ganwa di

Jis ko so baar kaha shaam na honay dena

Be'khawabi kay aadi hum bhi jab se huye hain


Be'khawabi kay aadi hum bhi 
Jab se huye hain 
Khawab sohanay bikar gaye hain 
Guriyan aur patolay jab se
Chootay tab se ....
Meet puranay bichar gaye hain 
Sach poocho to ..............
Dil to apna ab bhi chahye 
Mazi apna palat kay aaye 
Raat ko saray bachay phir se 
Aankh macholi khelein phir se
Lakin jana .......
Ab yeh sab kuch kab mumkin hai 
Umar kay pal kay neechay se to 
Khasa pani guzar chuka hai
Charhta dariya utar chuka hai

Hasti apni habaab ki si hai


Hasti apni habaab ki si hai 

Yeh numaish saraab ki si hai 

Naazki us ky lab ki kiya kehyea 

Pankhari ik gulaab ki si hai 

Bar bar us ky dar pe jata hoon 

Halat ab iztraab ki si hai 

Mir un neem'baaz aankhon main 

Sari masti shraab ki si hai

Ik jhonka choo kar guzra hai


Ik jhonka choo kar guzra hai
Koi yaar purana guzar gaya

Phir yadain dil main jagi hain 
Koi kushboo ly kar guzra hai 

Phir zindagi yahan par tehar gai
Koi waqat thaam kar guzar gaya

Phir beeti batain yaad ayein 
Koi sapna dekha kar guzar gaya

Phir teri be'wafai yaad ayi 
Koi rukh mor kar guzar gaya

Phir pairr hara sa gir gaya 
Koi dil tor kar guzar gaya

Zara si baat pe her rasam tor aya tha

Zara si baat pe her rasam tor aya tha 
Dil-e-tabaah ne bhi kiya mizaaj paya tha 

Mauaaf kar na saki meri zindagi mujh ko 
Woh ik lamhay main tujh se tang aya tha 

Shagufta phool smait kar khali banay jaisay 
Kuch is tarah se tu ne badan churaya tha 

Guzar gaya hai koi Lamha-e-shaher ki tarah 
Abhi to main ussay pehchaan bhi na paya tha 

Pata nahin keh meray baad un pe kiya guzri 
MAin chand khwaab zamanay main chor aya tha 


Khamosh ho khoye khoye ho


Khamosh ho khoye khoye ho 
Us shakhs ki yaad main roye ho

Woh jis ne tumhain barbaad kiya
Bhoolay sy nakabhi yaad kiya 

Woh jis ky piyaar main barson se
Tum jagay aur na soye ho 

Jo saray rishtay chor gaya 
Aur tanha tum ko chor gaya 

Tum ab dil ki duniya main 
Us shakhs ki yaad samoye ho

Dil ki baat zubaan tak lana kitna mushkil hai


Dil ki baat zubaan tak lana kitna mushkil hai 
Haal-e-dil aur'on ko sunana kitna mushkil hai 

Aik hamain hai teri chahat ' aik duniya ki majboori 
Beech samandar dia jalana kitna mushkil hai 

Tum duniya ky shaidai ho , main sapno ka bashinda 
Sath hamain youn tera nibhana kitna mushkil hai 

Aik nayi duniya ki chahat liye , aya hai kitni door
Wapis loat ky ghar ko jana kitna mushkil hai 

Wehsahat ky saaz pe raksaan maatam ky kuch alfaaz
In honton pe geet sajana kitna mushkil hai 

Ab to her aik hi hum ko dard ka mara lagta hai 
Apnay zakham logon ko dekhana kitna mushkil hai 

Roz mujh se aik nayi tamana karta hai yeh mera dil
Is nadaan bachay ko samjhna kitna mushkil hai 

Hum aankhon se kehnay wale , tum hontonko sunanay wale
Apni chahat youn tumhain batana kitna mushkil hai 

Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab


Us ne phir poocha meri khamoshi ka sabab 

Is rangeen duniya main udasi ka sabab 

Is  tarah toot ky chahnay ka sabab 

Youn apnay dil main basanay ka sabab 

Her lamha us ko sochnay ka sabab 

Apnay naam se youn jurnay ka sabab 

Bahnon main rakhnay ki tamana ka sabab 

Labon se choonay ki tamana ka sabab 

Juda ho janay ky dar ka sabab 

Kho janay ky dar ka sabab 

Bichar janay ky dar ka sabab 

Bhool janay ky dar ka sabab 

Kiya kahoon main , kiya kehta 

Bas yahi keh saka ,keh 

Tum meri ho 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Sochti hoon janay kaisay ? keh paaon gi main ussay


Sochti hoon janay kaisay ? keh paaon gi main ussay 
Milti hoon to dil ki sari batain badal jati hain 

Chahaye manzal dushwaar ho aur door bhi 
Hamsafar us jaisa ho to musaftaein badal jati hain 

Youn to raat ka aalam haseen hota hai , madhosh bhi 
Magar chaand dekhon to meri raatein badal jati hain

Mat chaho keh mujhay aadat nahin itnay chahnay walon ki 
Yeh na hon log kahin , jald hi aadatain badal jati hain 

Yeh jo ik pyara sa rishta hai kuch tera hai kuch mera hai


Yeh jo ik pyara sa rishta hai 
Kuch tera hai , kuch mera hai 

Kahin likha nahin kahin parha nahin 
Kahin dekha nahin , kahin suna nahin 

Phir bhi jaan pehchaan hai 
Kuch tera hai , kuch mera hai

Kuch mousam sa , kuch albela 
Kuch apna sa kuch begana sa 

Kuch chanchal sa kuch sharmeela
Kuch sukh sa , kuch sanjeeda hai 

Kuch uljha hua , kuch suljha hua
Kuch masti bhara kuch khafa khafa hai

Kuch mera hai kuch tera hai 
Yeh piyara sa jo rishta hai 

Kabhi karri dhoop main saya hai 
KAbhi andheri raat main jugnoo hai 

KAbhi bin badal barasta hai
Kabhi bhatkay huuon ka rah'bar hai 

Kabhi rasta kabhi manza hai 
Kuch tera hai kuch maera hai 

Yeh piyaar sa jo rishta hai 
Kabhi dhaagay se issay baanda nahin 

Kabhi ehad-o-piaymaan main jakra nahin 
Kabhi haq bhi to apna jataya nahin 

phir bhi yeh kitna piyara hai 
Jisay hum ne sachay moti ki tarah 

Dil ki seep main qaid kiya 
Sab ki nazron se dhaanmp liya 

Kabhi maan diya , kabhi aitabaar kiya 
Sab kuch hi is par waar diya 

Kuch Mera hai kuch tera hai 
Yeh piyara sa jo rishta hai

Bhout door hai tu magar phir bhi hum ko


Bhout door hai tu magar phir bhi hum ko 
Teray paas anay ko dil chahata hai 

Dosti tujh se nahin teri seerat sy ki hai 
Is liye dost bananay ko dil chahata hai 

Bhroosa na tha dosti par kabhi hum ko 
Teray milnay ky baad bhroosa karnay ko jee chahata hai 

Hamain narazgi main is tarah manaya hai yu ne
Keh phir rooth janay ko jee chahata hai 

Tu acha hai tujh se to rootha na jaye
Par tujh ko stanay ko dil chahta hai 

Dosti ne dia bhout fraib hum ko magar 
Teri dosto ko nibhanay ko dil chahata hai 

Tu sehta hai sab kuch magar piyaar karta hai 
Allah se tujhay mangnay ko dil chahata hai

Dosti ik anmol rishta hai


Dosti ik anmol rishta hai 
Jo ik phool ki manind hai 
Woh phool keh jo khil kar 
Saray baagh ko motabar kar dy
Haan dosti wohi rishta hai 
Jo do dilon se shuro hota hai magar 
Jan'mon yaad rehta hai 
Jan'mon sath rehta hai 
Haan woh rishta hai 
keh jo kabhi bhulaya nahin ja sakta 
Kabhi tora nahin ja sakta 
Haan sachi dosti kabhi toot'ti nahin 
Kabhi mit'ti nahin 
To phir ik ehad karain 
Hum bhi sachi dosti karain 
 

Yeh na samjh ky bichra hoon to bhool gaya hoon


Yeh na samjh ky bichra hoon to bhool gaya hoon 
Teri dosti ki kushboo meray hathon main aaj bhi hai

Mohabbat se barh kar mujhay tum se aqidat hai ae dost
Yeh maqaam tera buland tera sab doston main aaj bhi hai 

Tu woh hai jo barson ki talash ka samar hai 
Tumhain sochna meri yadon main aaj bhi hai 

Yeh aur baat hai keh majbooriyon ne nibhane na di dosti 
Warn ashamil sachai meri wafaon main aaj bhi hai 

Mera her shair meri chahaton ki gawahi de ga 
Chahaton ki kushboo in lafzon main aaj bhi hai 

Zindagi main jis ko barh ky chaha woh tum hi ho 
Waisay shamil her shakhs meray doston main aaj bhi hai

Shairon ka lafaz lafaz tasawar bana hai 
Sfhay sfhay main ik aks kitabon main aaj bhi hai 

Her lamha zindagi main mohabbatein naseeb hon tumhain 
Shamil meri duaon main tu aaj bhi hai 

Itna hi yaad rakh mujhay


Itna hi yaad rakh mujhay
Jaisay kisi kitaab main
Beetay dino ky dost ka
Khat ik parra hua milay
Lafaz mittay mittay se hon
Rang ura ura sa ho
LAkin woh ajnabi na ho
Uth kar teray galay lagay
Bhoolay huye tamaam dukh
Guzray huye tamaam sukh
Beetay dino ki qitaah
Tum se kahay aur ro paray
Itna hi yaad rakh mujhay
Beetay dino ky dost ka
Jaisay koi khat mile
Rakha hua kitaab main 

Main ne dhoonda sabr-o-qaraar


Subha ki thandak main 
Din ky ujalay main 
Chaand kay halay main 
Shaam ki sehnai main 
Raat ki tanhai main 
Doston ky jhamaily main 
Aur baith ky akelay main 
Main ne dhoonda sabr-o-qaraar 
Kushiyon ky mousam main 
Ansoo'on ky alam main 
Dosron ki baaton main 
Be'cain raton main 
Doston ki qurbat main 
Apno ki mohabbat main 
Chaand ki chandani main 
Main ne dhoonda sabr-o-qaraar 
Chain se na soya main 
Din raat roya main 
Haqeeqat hui mujh pe zahir
Aur mil gaya mujh ko aakhir
Meray dil ka sabr-o-qaraar 
Meri duaon main 
Sari iltajaon main 
Sadgi ibadat main 
Rab se mohabbat main 
Aur phir koi dukh koi azaab 
Koi ranj na raha is kushi ky baad 
Meray khaliq , meray maalik 
Meri Allah se dosti ky baad

Hamara tumhara sath bas yahin tak tha


Rok lo qadam jee bhar ky dekho
Hamara tumhara sath bas yahin tak tha 

Manzal mile na mile ab hamari qismat 
Keh zindagi ky sath safar bas yahin tak tha

Tum chal nahin saktay is se aagay ik qadam
Ruk jayo keh phoolon kachaman yahin tak tha 

Aagay aa rahin hain gham mujh se milnay galay 
Keh apni kushiyon ka thikana  bas yahin tak tha 

Utho aur naye ham'raahi talaash karo 
Keh yeh khwaab suhana bas yahin tak tha

Basi hain ajab khwaishain meray dil main


Basi hain ajab khwaishain meray dil main 
Mujhay chahaye janay ki khwaish nahin hai 
Hamesha rahay woh meray samnay bas 
MAin us se kahoon aur woh mujh ko sunnay bas 
Meray dil main utray yeh hasrat nahin hai 
Basi hain ajab khwaishain meray dil main 
Jo main rooth jayon to mujh ko manaye 
Meray paas aye zara muskuraye
Jo main ro paron to woh ansoo bahaye
Dupatay ky palu se meri bheegi palkon ky aansoo smaitay 
Meray paas baithay 
Mujhay batlaye , mujhay samjhaye 
Yeh her pal udasi kuch achi nahin hai 
Tumhari nigha'on main rim jhim yeh shabnam 
kuch sajti nahin hai 
Nahin chahat keh woh mujh ko sochay 
Mujhi ko woh chahaye 
Mujhay apnay jeevan ka hissa banaye 
Mujhay us ki chahat se matlab nahin hai
Us ki mohabbat ki chahat nahin hai 
Haan khwaish hai jis ki 
Hai woh lafaz Tawajah
Woh shab dosti hai 

Suno tum mujhay achi lagti ho


Suno 
Tum mujhay achi lagti ho 
Tumharay bholay pan se piyaar karna 
Mujhay acha lagta hai 
Duniya ky fraib main 
Ek tumhara lehja hi sacha lagta hai 
Tumharo mohabatein hain ik sogaat meri 
Tumhari zaat hai ik roshan sitara
Zamanay ki sakhti rahay door tum se
Sada qaim rahay rishta hamara 
Youn hi sada kush rahao 
Shaad raho abaad raho 
Kushiyon se hum'kinaar raho 

Dost ban ban ke mile mujh ko mitanay wale


Dost ban ban ke mile mujh ko mitanay wale
Main ne daikhay hain kai rang badalnay wale 

Tum ne chup reh kar sitam aur bhi dhaya mujh par 
Tum se achay hain meray haal pe hansanay wale

Main to ikhlaaq ky hathon hi bika karta hoon 
Aur hon gy teray bazaar main biknay wale

Aakhri dour pe Salam-e-dil-e-muztar  le lo
Phir na loatain gy shab-e-hijar pe ronay wale

Tu door hai mujh se , par paas bhi hai


Tu door hai mujh se , par paas bhi hai 
Teri kami main kahin , tera ehsaas bhi hai 

Tujh se dost hain laakhon jahan main meray 
Par tu dost bhi hai aur khaas bhi hai 

Tu ne kushiyaan mujhay itni de hain keh aaj
Tujhay khonay ka dil main ehsaas bhi nahin hai 

Khuda ne youn nawaza , teri dosti se mujhay 
Keh mujhay khud pe gumaan hai aur naaz bhi hai

Kiya kahabr tum ko dosti kiya hai


Kiya kahabr tum ko dosti kiya hai 

Yeh roshni bhi hai andhera bhi hai 

Khwaishon se bhara jazeera bhi hai 

Bhout anmol ik heera bhi hai 

Dosti ik haseen khwaab bhi hai 

Paas se dekho to saraab bhi hai 

Dukh milnay pe yeh azaab bhi hai 

Aur yeh piyaar ka jawaaz bhi hai 

Dosti youn to maya jaal bhi hai 

Ik haqeeqat bhai 'ik khyal bhi hai 

Kabhi furqat kabhi wisaal bhi hai 

Kabhi zameen kabhi falaq bhi hai 

Dosti jhoot bhi hai sach bhi hai 

Dil main reh jaye to kasak bhi hai 

Kabhi yeh haar , kabhi yeh jeet bhi hai 

Dosti saaz bhi sangeet bhi hai 

Shair bhi , nazam bhi , geet bhi hai 

Wafa kiya hai wafa bhi dosti hai 

Dil se nikli dua bhi dosti hai 

Bas itn asamjh lo to

Piyaar ki intiha bhi dosti hai 



Bas tum mujhay achi lagti ho


Bas tum mujhay achi lagti ho 

Tum itni sundar ho keh nahin 

|Tumhain aik nazar jo dekhay woh 

Sudh budh bhoolay , madhosh rahay 

Bas tum mujhay achi lagti ho 

Tum hans do to mousam badlay 

Tum jaago to duniya jaagay 

Jhilmil jhilmil manzar hon sab 

Auna soog hi kuch aagay 

Bas tum ko dekhain , aur dekhtay hi jayein 

Maloom nahi tum itni piyari 

Itni sundar ho keh nahin 

Bas tum mjuhay achi lagti ho

Mujh se ziada agar tumhain koi chahaye to


Mujh se ziada agar tumhain koi chahaye to

Meray hathon se apna hath churra lena 

Apnay daman se meri umeedain 

Meray sajdon se apna sar hata lena 

Mujh se ziada agar tumhain koi chahaye to

Tor den apiyaar ki zanjeerain  

Mita lena apnay hathon se lakerain

Meri aankhon se apnay khwaab 

Khwabon se meri tasveer mita lena 

Magar shart yeh hai 

Mujh se ziada agar tumhain koi chahaye to
 


Itni si dua hai keh anay wala her lamha


Itni si dua hai keh anay wala her lamha 
Haseen chahaton ky phool bakhshay urooj bakshay 
Tumhari duniy main roshni ho 
tumhari mehfil main kushiyaan hoon 
Kabhi bhi tum tak dukhon ki dastak na ponch paye
Tumhari aankhon main jo sitaray chamak rahay hain 
Youn hi chamaktay rahein hamesha 
Tumharay dil tak judaeiyon , be'wafaiyon ki koi andheri kiran na ponchay 
Khuda karay keh tum her aik dil ka qaraar looto
Tumhari her aik tamana her aik khwaish tumhari 
Honton tak atay atay tumharay qadmon tak aa ponchay 
Jo ho sakay to main tumharay sab dukhon ko apnay andar utaar loon 
JAnta hoon yeh mumkin nahin magar dua to mera haq hai 
Yeh muktasir duaon ka tohfa sambhaal rakhna
Meray andheron ki fikar chor do 
Tum bas apna khyaal rakhna 

Kaisay bataon main tumhain , meray liye tum kon ho


Kaisay bataon main tumhain
Meray liye tum kon ho
Yadon main tum , khwaabon main tum
Sansoon main tum , aahon main tum
Meray liye hansana bhi tum , Meray liye ron abhi tum
Meray liye pana bhi tum , meray liye khon abhi tum
Tum subha main tum shaam main
Tum sochon main , Tum ho meray her kaam main
Tum din main , tum raat main
Tum ho meri her baat main
Kaisay bataon main tumhain , meray liye tum kon ho
Yeh jo tera roop hai , yeh zindagi ki dhoop hai
Chandan se trasha badan , mehka hai jis main gagan 
Yeh shokiyan , yeh mastiyan , tumhain hawaon si mile
Zulfon ko ghataon se mile
Honton pe kaliyaan khil gayi , aankhon ko jheel mil gayi
Sheshay ky jais ang hai , pholon ky jais arang hai 
Nadiyon ki khail si chaal hai 
kya husan hai kiya haal hai 
Kaisay bataon main tumhain , meray liye tum kon ho
Takta hoon main jissay her pal tumhi woh tasveer ho
Tumhi taqdeer ho meri , tumhi nizara ho mera 
Tumhi sitara ho mera 
Meray saray jeevan main tum 
Her pal main tum , Her kirchan main tum 
Meray liye sagar bhi tum ,meray liye sahil bhi tum 
Meray liye raasta bhi tum , Meray liye manzal bhi tum 
Kaisay bataon main tumhain , meray liye ..
Kaisay bataon main tumhain , meray liye tum kon ho



 

Ussay anjanay raaston se guzar janay ki khwaish thi


Ussay anjanay raaston se guzar janay ki khwaish thi
Mohabbat main amar honay ki
Mar janay ki khwaish thi
Woh kehta tha keh jeevan tairagi hai 
Uar hamain is tairagi main 
Rang bharnay hain 
Roshni ky 
Yeh hum ko muktasar se 
Chan lamhay jo qismat se muyassar hain 
Yeh lamhay hum dono ko baa'ham 
Mohabbat se abaad karnay hain 
Kisi ko dekhna hai aur 
Kisi se baat karni hai
Jahan yeh din guzar jayein
Wahin pe raat karni hai
Woh kehta tha 
Mohabbat ka koi mousam nahin hota 
Yeh her mousam ky jazbay hain 
Kabhi bhi kam nahin hotay
Adhoori se mohabbat hai 
Hamain takmeel kari hai
Mohabbat ko naye dhab se 
Basar karnay ki khwaish thi 
Usay shab bhar jagati hai
Na janay kon si chahat 
Ussay her pal rulati hai 
Shnasa tha magar
Her aik se anjaan rehta tha 
Bhout aadat thi lakin 
Sada veeraan rehta tha 
Ussay her shakhs ko 
Hairaan kar janay ki khwaish thi 
Mohabbat main amar honay ki 
Mar janay ki khwaish thi

Tark-e-taluqaat pe roya na tu na main


Tark-e-taluqaat pe roya na tu na main 

Lakin yeh kya keh chain se soya na tu na main

Kitna mushkil hai kushbo'on kay liye


Kitna mushkil hai khushbo'on kay liye 

Rooth kar bhi gulaab main rehna

Tanha thi aur hamesha se tanha hai zindagi


Tanha thi aur hamesha se tanha hai zindagi 

Hai zindagi ka naam , magar kya hai zindagi

Meray mehboob ne wada kiya hai panchwein din ka

Add caption

Meray mehboob ne wada kiya hai panchwein din ka 

Kisi se sun liya ho ga keh duniya chaar din ki hai

Piyaar aur mohabbat us dour ki baat hai faraz


Pyar aur mohabbat us dour ki baat hai faraz 

Jab makaan kacchay aur log sacchay hua kartay thay

Her shaks nahin hota her shaks ky qabal



Her shakhs nahin hota her shakhs kay qaabil 

Her shakhs ko apnay liye socha nahin kartay

Meri aankhon ky samandar main jalan kaisi hai


Meri aankhon ky samandar main jalan kaisi hai 
Aaj phir dil ko tarapnay ki lagan kaisi hai 

Ab kisi chhat pe chiragon ki qatarain bhi nahin 
Ab teray shaher ki galiyon main ghuttan kaisi hai 

Baraf ky roop main dhal jayein gy saray rishtay
Mujh se poocho keh mohabbat main agan kaisi hai 

Main teray wisaal ki khwaish ko na marnay doon ga 
Mousam-e-hijar ky lehjay main thakan kaisi hai 

Raigzaron main jo banti rahi kaanton ki rida 
Us ki majboor si aankhon main kiran kaisi hai 

Mujhay masoom si pagal larki pe taras ata hai 
Ussay dekho to mohabbat main magan kaisi hai

Teray qareeb rahon ya keh door jaaon main


Teray qareeb rahon ya keh door jaaon main 
HAi dil ka ik hi aalam tujh hi ko chahon main 

MAin janta hoon woh rakhta hai chahatein kitni 
Magar yeh baat ussay kis tarah bataaon main 

Jo chup raha to samjahy ga bad'gumaan mujhay 
Bura bhala hi sahi kuch to bol aayon main 

Phir is ky baad taa'aluq main fasalay hon gy 
Mujhay sambhaal ky rakhna bichar na jayon main 

Mohabbaton ki parkh ka yahi to raasta hai 
Teri talaash main niklon tujhay na paaon main

Koi kehta hai pagal mujh ko


Koi kehta hai pagal mujh ko
To soch main , main parr jata hoon

Keh kyon kar pagal kehlaya 
Kya pagal'pan hai dikhlaya 
Jab apnay aap se poochta hoon to
Kuch batain miliein jin se shayed 
Main pagal pagal dekhta hoon 
Kuch qasmain thein jo yaad rakhein 

Kuch wadon ko abaad rakha 
Keh kahin na yeh gum ho jayein 
Kuch waday thay kiye hum ne jo
Un par qaiam rehnay kay liye
Ik koshish hamesha jari hai 
Dar hai gar aisa na kiya to

Kamzoor kahin na par jayein 
Kya is ko kehtay ho pagal 
Gar aisa hi hai to sun lo
Mujhay fakhar hai keh main pagal hoon 
Mujhay piyaar hai is pagal'pan se
Main pagal rehna chahta hoon 
Main pagal rehna chahta hoon

 

Meri aankhon main tum meri baaton main tum


Meri aankhon main tum 
Meri baton main tum 
Meri sansoon main tum 
Meri raaton main tum 

Sirf tum , Sirf tum

Meray hansanay main tum 
Meray ronay main tum 
Meray jagnay main tum 
Meray sonay main tum 

Sirf tum , Sirf tum

Main bolon to kiya
Chup rahoon bhi to kiya 
Dekhon to kiya 
Dekhna chaon to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Kehna chaon to kiya 
Keh na payon to kiya 
Kuch bhi nahin keh ky bhi keh jayon to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Kush ho jayon to kiya 
Gham'gusaar to kiya 
Maan jayon to kiya 
MAin manoo to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Roothon to kiya 
Sataon to kiya 
Rula keh phir hanson to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Paas ayon to kiya 
Door jayon to kiy a
Door j akeh phir yaad ayon to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Gham baton to kiy a
gham chupaon to kiya 
Na bata kar bhi sab kuch bataon to kiya 

Sirf tum , Sirf tum

Kushiyaan doon to kya 
Aik hansi mangoon to kya 
Dil ko behlaon to kya 
Kaam ayon to kya 

Sirf tum , Sirf tum

Teray bagair zindagi sochon to kya
Tujhay sath rakhna chayon to kya 

Tujh se bicharna na chayon to kya 
Tujhay her pal paas paon to kya 

Tujhay pana chayon to kiya 
Teray paas ana chayon to kiya 

Aur kya hai yeh kuch bhi to nahin 

Sirf tum , Sirf tum , Sirf tum , Sirf tum



Jab agalay saal yeh waqat aa raha ho ga


Jab agalay saal yeh waqat aa raha ho ga 
Yeh kon janta hai kon kis jaga ho ga

Tu meray samnay baitha hai aur main sochta hoon 
Keh atay lamhon main jeena bhi ek saza ho ga 

Yeh hi damaktay huye pal dhuwan dhuwan hon gy
Yehi chamakta hua din bujha bujha ho ga 

Lahoo rulaye ga woh dhoop chayon ka manzar 
Nazar uthaon ga jis simat jhat pata ho ga 

YAhi jaga jahan aaj mil ky baithay hain 
Is jaga par khuda janay kal kiya ho ga 

Bicharnay wale tujhay dekh ke sochta hoon 
Tu phir milay ga to kitna badal gaya ho ga

Ab ky saal kuch aisa karna

Ab ky saal kuch aisa karna 
Apnay pichlay 12 maah ky
dukh sukh ka andaza karna hai
Bisri yadain taza karna 
Sada sa ik kaaghaz ly kar 
bhoolay bisray pal likh lena 
Apnay saray kal likh lena 
Saray dost ikhtahay karna 
Sari subhain hazar rakhna 
Sari shamain paas bulana 
Aur ilawa in ky dekho
saray mousam dehaan main rakhna 
Ik ik yaad gumaan main rakhna
Phir mohabbat qiyaas lagan a
Gar to kushiyan barh jati hain 
To phir tum ko meri taraf se
Anay wala  saal mubarak 
aur agar gham barh jayein to 
mat be'kaar ta'kalluf karna 
Dekho phir tum aisa karna 
Meri kushiyaan tum le lena
Mujh ko apnay gham de dena 

Be'naam sa yeh dard , Tehar kiyon nahin jata


Be'naam sa yeh dard , Tehar kiyon nahin jata 
Jo beet gaya hai , woh guzar kiyon nahin jata 

Sab kuch to hai , Kiya dhoondti rehti hain nighaein 
Kiya baat hai , Main waqat pe ghar kiyon nahin jata 

Woh ik hi chehra  to nahin saray jahan main 
Jo door hai woh dil se utar kiyon nahin jata 

Main apni hi uljhi hui rahon ka tamasha 
Jatay hain jidhar sab main udhar kiyon nahin jata 

Woh naam jo na janay kab se , na chehra na badan hai 
Woh khwaab agar hai to bikhar kiyon nahin jata 
 
 

Tum door ho kay bhi meray paas rehtay ho

Tum door ho kay bhi meray paas rehtay ho 
Meray dil main bastay ho meray sath rehtay ho 

Sab-e-tanhai ki ik ik ghari banti hai
Kushboo ban kay tum mera aangan mehkatay ho 

Tumhari yaad ki hiddat se jab jalta hai dil mera 
Tab tum piyaar ka sawan ban ky baras jatay ho 

JAb bhi kabhi woh sur'mai aankhain uth'ti hain 
Mera dil machalta hai aur tum saansain ban jatay ho

Shab-e-hijraan main chamaktay maah-o-anjum 
Sab maand partay hain jana jab tum samnay atay ho 

Tumharay sard raweya pe haan jalta hai jee mera 
Kiyon khud bhi taraptay ho aur mujh ko bhi tarpatay ho

Pehla sa haal pehli si wehshat nahin rahi

Pehla sa haal pehli si wehshat nahin rahi
Shayed keh teray hijar ki aadat nahin rahi 

Rangon main ik rang teri sadgi ka rang 
Aisi hawa chali keh woh rangat nahin rahi

Raahon main ik raah woh ghar loatnay ki raah
Tehrain kisi jaga per woh tabiyat nahin rahi 

Namoon main ik naam sawal-e-ashna ky naam 
Ab dil pe koi aisi koi ibarat nahin rahi 

Raton mai ik raat meray ghar ki chand raat
Angan ko meray us raat ki zaroorat nahin rahi 

Zakhmon main ik zakham mata-e-hunar ka zakham 
Ab koi arz-o-hurrat nahin rahi

Sanata bolta hai sada mout laga faysal 
Awaz to reh gayi hai sama'at nahin rahi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...