Jan 28, 2017

Us ne kaha keh kon sa tohfa hai mann pasand


Us ne kaha keh kon sa tohfa hai mann pasand 

Main ne kaha woh shaam , jo ab tak udhaar hai 


Jo meray zabt ka sheeraza muntashir kar de


Jo meray zabt ka sheeraza muntashir kar de 

Teray sitam ko abhi woh adaa nahin aati 

Mujh ko dhoka de gaya mera zoq-e-intikhaab


Mujh ko dhoka de gaya mera zoq-e-intikhaab 

Jo log meray na thay , mujhay wohi achay lagay 


Yeh jo raqs hai mera farsh par


Yeh jo raqs hai mera farsh par

Yehi lay urra mujhay Arsh par 

Meri zaat main jo dhamaal hai 

Teray ishq ka yeh kamaal hai 



Aur kuch nahin hota to , bharri baarish main


Aur kuch nahin hota to , bharri baarish main 

Tujh se bichray huye raston pe safar karta hoon


Mujhay mohabbat si ho gayi hai


Mujhay mohabbat si ho gayi hai 

In khamosh raaton se . . . . . . . . .

Teri qurbat bhi nahin hai muyassar


Teri qurbat bhi nahin hai muyassar 

Aur baarishon kay din bhi aa gaye hain 


Ik aisi baarish ho meray shaher pe jo


Ik aisi baarish ho meray shaher pe jo 

Saray dil aur saray dareechay dho jaye 

Phir se teri yaadein meri chokhat pe kharri hain


Phir se teri yaadein meri chokhat pe kharri hain

Wohi sardi wohi baarish wohi dil'kash January hai  

Mujhay woh laakh tarpaye magar us shakhs ki khatir


Mujhay woh laakh tarpaye magar us shakhs ki khatir 

Meray dil kay andheron main dua'ein raqs karti hain 

Khawaab mehangay bhout paray hum ko


Khawaab mehangay bhout paray hum ko 

Gham ki maqrooz ho gayi aankhein 

Pichlay baras yeh darr tha kahin kho na jaye tu


Pichlay baras yeh darr tha kahin kho na jaye tu

Ab kay baras dua hai tera saamna na ho 


Aankhein tak nichorr kar pee gaye


Aankhein tak nichorr kar pee gaye 

Uff teray gham kitnay pyasay thay  

Manzil to khush naseebon main taqseem ho gayi


Manzil to khush naseebon main taqseem ho gayi 

Kuch khush khayal abhi tak safar main hain 

Tumharay da'iron main ik umar se mehav-e-gardish hoon


Tumharay da'iron main ik umar se mehav-e-gardish hoon 

Mera markiz nahin badla , mera mehwar nahin badla

Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi


Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi 

Tum meray saath meray naam ki tarah rehtay 

Mujh ko manzoor teray naam ki tohmat


Mujh ko manzoor teray naam ki tohmat 

Tujh pe marti hoon , saaf kehti hoon 


Tumhari deed se pehlay , in hi darwaish aankhon ki


Tumhari deed se pehlay , in hi darwaish aankhon ki 

Jahan tak roshni jaati thi manzir raqs kartay thay 

Yeh shart-e-ulfat bhi ajeeb hai mohsin


Yeh shart-e-ulfat bhi ajeeb hai mohsin 

Main poora utar'ta hoon woh miyaar badal detay hain

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...