ek shaks ko dekha tha taron ki tarah hum ne
ek shaks ko chaha tha apno ki tarah hum ne
ek shaks ko samjha tha phoolon ki tarah hum ne
woh shaks qayamat tha kiya karain us ki batain
din us kay liye paida aur us ki hi thi raatain
kab milta kisi se tha hum se thein mulaqatain
Rung us ka shababi tha zulfon main thein mehka'rain
Ankhain thein keh jado tha palkain thein keh talwarain
Dushman bhi agar dekhain to jaan se dil haarain
Kuch tum se woh milta tha baton main shabahat thi
han tum sa hi lagta tha shokhi main shararat main
lagta bhi tum hi sa tha dastoor-e-mohabbat main
Woh shaks hmy ek din apno ki tarah bhula
taron ki tarah dooba pholon ki tarah toota
Phir hath na aya woh hum ne bhout dhoonda
Tum kis liye chonkay ho kab zikar tumhara hai
kab tum se takaza hai kab tum se shikayat hai
Ek taza hikayat hai sun lo to enayat hai
ek shaks ko dekha tha taron ki tarah hum ne
ek shaks ko chaha tha apno ki tarah hum ne