May 25, 2016

Sehra ki Tarah tapti hui barf


Sehra ki Tarah tapti hui barf 
Kya aag se hai bani hui barf !

Pather ki siyah ro sarak par 
Sheeshay ki tarah bicchi hui barf 

Hai sham ki sur'mai rida par 
Champa ki tarah tiki hui barf 

Andar se sar'raha aag hoon main 
Baahir se magar jami hui barf 

Hain chust qaba shajar hi , ya hai 
Hum'rah badan sili hui barf 

Lagta hai keh shab damak rahi hai 
Meh'taab hai aur khuli hui barf 

mujh par koi rait aa kay daalay 
Veeranay main hoon pari hui barf 

Halqom-e-sama'at main ugg aye hain ab kaantay


Yeh pyas sama'at ki 

Halqom-e-sama'at main 
Ugg aye hain ab kaantay 
Awaz ka ik qatra 
Lakin nahin mil pata 
Shabnam teray lehjay ki 
Kis ban main utar'ti hai 
Num teri hansi ka ab 
Kis tan ko bighota hai 
Main pyas se be'kal hoon 
Aur teray ta'kalum ka 
Ik ghoont nahin milta 
Is qeht-e-sada main dil 
Ab kay na khilay shayed 
Yeh pyas sama'at ki 
Jaan lay kay talay shayed 

Khuda karay keh naya saal teray daman main


Naye saal ki dua 

Khuda karay keh naya saal teray daman main 
Woh saray phool khila de 
Keh jin ki khushbu ne 
Teray khayal main sham'mein jalai rakhi thein !

Yeh tumhari hansi roshni se bharri


Tumhari Hansi 

Yeh tumhari hansi 
Roshni se bharri 
Chandni main dhali 
Rang se taza ro 
Ishq se mushk bu 
Jab bhi dil ne suni 
Raqs karnay laga 
Rooh main jaisay Qos-e-qazah khinch gayi 
Aaj bhi us hansi kay wohi rang thay 
Aaj bhi roshni ki wohi choot thi 
Aaj bhi us ki khushbu junoon khez thi 
Par koi baat thi jis se khaali thi yeh 
Aaj to meri surat , sawali thi yeh 

Jab shaam kay hathon main


Jab shaam kay hathon main 
Ik jaam nigarein ho 
Aur raat kay lehjay main 
Halka sa saroor aye 
Aur us ki bhout gehri 
aankhon main gulabi ho 
Us waqat yeh pyasa dil 
Jab baat karay us se 
Mad'hosh na ho kiyon kar 
Aankhon ki tarah jis ki 
Awaz main surkhi ho !
 

Tumharay janay kay baad main ne woh shaam aanchal main bandh li


Tumharay janay kay baad main ne 
Woh shaam aanchal main bandh li 
Aur us ki khushbu kay sath 
Baqi tamam shab is tarah basar ki 
Keh jaisay baarish kay bazu'on main 
Bahar ki awleen kompal 
Tumharay lehjay ki narm shabnam 
Mujhay bighoti rahi hai shab bhar 
Tumhari baton ka sabz mehkaar , apnay andar 
Mujhay samoti rahi hai shab bhar 
Tumharay hathon ka lams peh'ham 
Meray badan ko gulab karta raha hai shab bhar 
Zameen ko mahtaab karta raha hai shab bhar 

Jaisay ma'sham-e-jaan main samai hui hai raat


Jaisay ma'sham-e-jaan main samai hui hai raat 
Khushbu main aaj kis ki nahaai hui hai raat 

Sar'goshiyon main baat karein abar-o-baad-o-khaak 
Is waqat kainaat pe chaai hui hai raat 

Her rang jis main khawab ka ghulta chala gaya 
Kis rang se khuda ne banai hui hai raat 

Phoolon ne us ka jashan manaya zameen par 
Taaron ne aasman pe sajaai hui hai raat 

Woh chand chup chuka hai magar shaher-e-deed ne 
Ab tak usi tarah se basaai hui hai raat 

Subha jamal-e-yaar kay jadu ko daikh kay 
Hum ne nazar se apni chupai hui hai raat

Dil main aayi raat choti si ik baat


Dil main aayi raat 
Choti si ik baat 

Ab kay pur'wai 
Laai kya soghaat 

Phoolon bharra rasta 
Aur kisi ka sath 

Us ne thaam liya 
Choom kay mera haath 

Aangan main utri 
Taron ki baraat 

Jeewan main ayi 
Pooray chand ki raat 

Tan mann jal thal hai 
Yeh kaisi barsaat 

Us ki yaad main gum 
Main , khushbu aur raat 




Pai'rahan-e-gham siya hai kis ne


Pai'rahan-e-gham siya hai kis ne 
Khawabon ko kafan diya hai kis ne 

Jab ghar main rakhi hui ho miyat 
Phir jashan bar'pa kiya hai kis ne 

Auron pe jo log sayban thay 
Be'ghar unhein kar diya hai kis ne

Bhula nahin dil ataab us kay


Bhula nahin dil ataab us kay 
Ehsaan hain be'hisab us kay 

Aankhon ki hai aik hi tamana 
Dekha karein roz khawab us kay 

Aisa koi shair kab kaha hai 
Jo ho sakay intisaab us kay 

Apnay liye maang loon Khuda se
Hissay main jo hain azaab us kay 

Waisay to woh shokh hai balaa ka 
Andar hain bhout hijaab us kay 


Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon


Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon 
Teri awaz ka chehra main chu kar dekh sakti hoon 

Abhi teray labon pe zikar-e-fasal-e-gul nahin aaya 
Magar ik phool khiltay apnay andar dekh sakti hoon 

Mujhay teri mohabbat ne ajab ik roshni bakhshi 
Main is duniya ko ab pehlay se behtar dekh sakti hoon 

kinara dhoondnay ki chah tak mujh main nahin ho gi 
Main apnay gird ik aisa samandar dekh sakti hoon 

Khayal aata hai aadhi raat ko jab bhi tera dil main 
Utarta aik saheefa apnay ooper dekh sakti hoon 

Wisal-o-hijar ab yaksan hain , woh manzil hai ulfat main 
Main aankhein band kar kay tujh ko aksar dekh sakti hoon 

Abhi teray siwa duniya bhi hai mo'jood is dil main 
Main khud ko kis tarah teray barabar dekh sakti hoon
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...