Nov 16, 2014

Meri duniya hai wahaan jahaan tu hai


Main tera pyaar meri wafa tu hai 
Tu kahin bhi rahay dono jahaan tu hai 

Phool khiltay hain teri baat karnay se 
Hai woh roshan jahaan ,jahaan tu hai

Teray honton se bichar kar hansi roti hai 
Mout bhi hai asaan wahaan jahaan tu hai 

Jo na dekhon to jee nahin lagta 
Zindagi hai sirf wahaan jahaan tu hai 

Teray bin meri her lafaz-e-ghazal adhoori hai 
Teri saanson se meray naghmon main mehak hai 

Sari duniya nazar aati hai adhoori 
Meri duniya hai wahaan jahaan tu hai 

Dariya-o-koh-o-dasht-o-hawa arz aur samaa


Dariya-o-koh-o-dasht-o-hawa arz aur samaa
dekha to her makaan main wohi hai raha samaa

Hai kon si woh chasham nahin jis main is ka noor
Hai kon sa woh dil keh nahin jis main is ki jaa

Qamri is ki yaad main ku ku karay hai yaar 
Bulbul isi kay shouq main karti hai cheh'chaa

Muflis kahin ghreeb kahin tongar kahin ghani 
Ajaaz kahin nabl kahin sultaan kahin gadaa

Behroop sa bana kay her jaa woh aan aan 
Kis kis tarah kay roop badalta hai wah wah 

Mulk-e-raza main kay kay tawakal ki jins ko 
Baithain hain sab usi ki dukaanain laga laga 

Sab ka usi dukaan se jaari hai karo'baar 
Laita hai koi husan , koi dil hai baichta 

Dekha hai jo khoob ghour se hum ne to yahaan "Nazeer"
Bazaar-e-mustufaa hai , kharidaar hai khuda

Poet : Nazir Akbar Abadi

Her gali apna fasana bhi tha


Her gali apna fasana bhi tha 
Us ne chora keh bahana bhi tha 

Dair kuch hum ne bhi ki bachnay main 
Aur kuch us ka nishaana bhi tha 

Kuch meri umar bhi aisi hi thi 
Kuch woh mousam keh sohaana bhi tha 

Main akela to nahin tha kuch bhi 
Saath apnay yeh zamaana bhi tha 

Apnay zimay thi hifaazat us ki 
Aur phir khud ko bachaana bhi tha

Saad ik aag thi in jazbon main 
Jis ne is dil ko jalaana bhi tha 

Is main kiya shak hai keh us ka nahin saani koi (Hamd)


Is main kiya shak hai keh us ka nahin saani koi 
Warna mehfooz chali aati nishaani koi 

Dil se youn phoot'ti parti hai mohabbat us ki 
Jaisay taareeki main ho raat ki raani koi 

Main ne imkaan se baahir bhi hai socha us ko 
Aqal-o-dil choo na sakay aur kahaani koi 

Us ki matti se kai chaand ubhray 
Jis ne is dar kay siwa khaak na chaani koi 

Kiya taajub hai keh us ka bhi wohi waaris hai 
Jis gunah'gaar ne is ki nahin maani koi 

Kis tarah saad mehak uth'ti hai matti pal main 
Meri aankhon se jo chalkaata hai paani koi
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...