Aug 18, 2014

Kaisi hasti hai keh be'chain kiyea rehti hai

Kaisi hasti hai keh be'chain kiyea rehti hai 

Kaisi duniya hai yahan koi sahoolat hi nahin 

Hum ko tanha hi sahi jung to larna ho gi 

Zulam bardaasht karain aisi tabiyat hi nahin

Log kiyon chup gaye khuda janay

Log kiyon chup gaye khuda janay 

Main ne to sirf roshni ki hai 

Kitni masoom hai mohabbat bhi 

Jis ne apna liya ussi ki hai

Azr anay main bhi hai aur bulaatay bhi nahin

Azr anay main bhi hai aur bulaatay bhi nahin 
Baa'is tark-e-mulaqaat bata'tay bhi nahin 

kiya kaha ? phir to kaho hum nahin suntay teri 
Nahin suntay , to hum aison ko sunatay bhi nahin 

Dekhtay hi mujhay mehfil main yeh irshaad hua 
Kon baitha hai issay log utha'tay bhi nahin 

Ho chuka qatah ta'aluq to jafaein kiyon hon 
Jin ko matlab nahin rehta woh sta'tay bhi nahin 

Zeest se tang ho ae "dagh" to jeetay kiyon ho 
Jaan piyari bhi nahin , jaan se jaatay bhi nahin

Jhootay sikon main bhi utha detay hain yeh aksar sacha maal

Jhootay sikon main bhi utha detay hain yeh aksar sacha maal 

Shaklain dekh kay soday karna kaam hai in banjaron ka 

Ik zara si baat thi jis ka char'cha poncha gali gali

Hum gum'naamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka 

Dard ka kehna cheekh utho , dil ka kehna wazah nibhayo 

Sab kuch sehna chup chaap rehna kaam hai izat daaron ka 

Is shaher main roshan koi chehra nahin milta

Is shaher main roshan koi chehra nahin milta 

Ik bheer hai lakin koi apna nahin milta

sajni se karo gay bahana kya

Insha ji utho ab kooch karo, is shehr mein ji ka lagana kya.
Vehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi
Jis jholi mein sau chhed huhe us jholi ko phailana kya

Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karo gay bahana kya

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare
Divanoon ki si na baat kare, to aur kare divana kya

Poet : Ibn-e-Insha

Dareechay se jhankti woh larki ajeeb dukh se bhari hui hai

Dareechay se jhankti woh larki ajeeb dukh se bhari hui hai 
Keh us kay aangan main phool par aik neeli titli marri hui hai

Kabhi azano main khoi khoi , kabhi nimazon main roi roi 
Woh aisay duniya ko dekhti hai keh jaisay is se dari hui hai 

Dard se mehki mehki saansain wazeefa parhti hui woh aankhain 
Keh aik shamma-e-umeed un main kai baras se dhari hui hai 

Woh dukh ki chadar main lipti lipti , woh kaalay kapron main simti simti 
Mohabbat us ne kisi se shayed meri tarah hi kari hui hai 

Baray zamano kay baad barsi hain meri aankhain kisi ki khatar 
Baray zamano kay baad dil ki zammen phir se hari hui hai 

Poet : Hassan Abbasi

Ab kis se kahain aur kon sunnay jo haal tumharay baad hua hai

Ab kis se kahain aur kon sunnay jo haal tumharay baad hua hai 
Is dil ki jheel si aankhon main ik khwaab bhout bar'baad hua hai 

Yeh hijar hawa bhi dushman hai , is naam kay saray rangon ki 
Woh naam jo mere honton par khushboo ki tarah abaad hua 

Is shaher main kitnay chehray thay kuch yaad nahin sab bhool gaye 
Ik shakhs kitabon jaisa tha , woh shakhs zubaani yaad hua 

Woh apnay gaa'on ki galiyaan thein dil jin main nach'ta gaata tha 
Ab is se farq nahin parta , na shaad hua ya shaad hua 

Be'naam staish rehti thi in gehri sanwali aankhon main 
Aisa to kabhi socha bhi na tha dil ab jitna be'daad hua 

Her musarat se sar garani hai

Her musarat se sar garani hai 

Kiya yahi aalam-e-jawani hai 

Aa tujhay aik raaz batlaaon 

Main bhi faani hoon , tu bhi faani hai

Hum bagolon ki tarah khaak basar phirtay hain

Hum bagolon ki tarah khaak basar phirtay hain 

Paaon shal ho to yeh ashoob-e-safar bhi jaye 

Lut chukay ishq main ik baar to phir ishq karo 

Kis ko maloom keh taqdeer sanwar bhi jaye 

Hijar-e-jana ki gharri achi lagi

Hijar-e-jana ki gharri achi lagi 

Ab kay tanhai bari achi lagi 

Zindagi ki gup andheri raat main 

Yaad ki aik phul'jhari achi lagi 

Dukh chupaye huye hain hum dono

Dukh chupaye huye hain hum dono 

Zakham khaye huye hain hum dono 

Tu kabhi chandani thi dhoop tha main 

Ab to saye huye hain hum dono

Na koi khwaab na sahaili thi

Na koi khwaab na sahaili thi 

Is mohabbat main , main akeli thi 

Ishq main tum kahan kay sachay thay 

Jo aziyat thi hum ne jhaili thi 

Wohi hoon main , mera dil bhi wohi , junoon bhi wohi

Wohi hoon main , mera dil bhi wohi , junoon bhi wohi 

Kisi pe teer chalay jaan figaar apni ho 

Yahi hai fun ka taqaza , yahi mizaaj apna 

Mataa-e-dard sab hi par nisaar ho apni

Yeh dil ka chor keh is ki zarooratein thein bhout

Yeh dil ka chor keh is ki zarooratein thein bhout 

Wagarna tark-e-ta'aluq ki suratein thein bhout 

Dar'deeda perhano ka khyal kiya ata ?

Ameer-e-shaher ki apni zarooratein thein bhout 

Uraa kay le gayi hai shaher ka shaher

Uraa kay le gayi hai shaher ka shaher 

Na baam-o-dar rahay baaqi , na jism-o-jaan mere 

Kissay kissay main pukaron , kissay kissay ro'on 

Tarap rahay hain , shnasa kahan kahan mere

Jab mulaqaat be'irada thi

Jab mulaqaat be'irada thi 

Is main asoodagi ziada thi 

Na takaluf, na ehtiyat , na za'am

Dosti ki zubaan sada thi

Yeh jaan kar bhi dono kay rastay thay alag

Yeh jaan kar bhi dono kay rastay thay alag 

Ajeeb haal tha jab us se ho rahay thay alag 

Yeh harf-o-lafaz pas duniya se guftagoo kay liye 

Kisi se hum sakhni kay mukalmay thay alag

Jo harf-e-haq tha wohi ja-ba-ja kaha

Jo harf-e-haq tha wohi ja-ba-ja kaha 

Bala se shaher main mera lahoo so baha 

Shakist-o-fatahmera masla nahin hai faraz 

MAin zindagi se na'bird azmaa raha so raha

Sang dil hai woh to kiyon us ka gila main ne kiya

Sang dil hai woh to kiyon us ka gila main ne kiya 

Jab keh khud pathar ko butt , butt ko khuda main ne kiya 

Woh teharta kiya keh guzra tak nahin jis kay liye 

Ghar to ghar her raasta araasta main ne kiya

Pathar utha rahay hain her aik ehal-e-dard par

Pathar utha rahay hain her aik ehal-e-dard par

Kitna khloos shaher kay sheesha garon main hai 

Hum kitnay khush naseeb hain keh baad marg bhi 

Maatam hamara shaher kay saray gharon main hai 

Hone ki gawahi kay liye khaak bhout hai

Hone ki gawahi kay liye khaak bhout hai 

Ya kuch bhi na hone ka adraak bhout hai 

Ik bhooli hui baat , ik toota hua khwaab 

Hum ehal-e-mohabbat ko yeh imlaak bhout hai

Tere qurb ki khushboo paa kar

Tere qurb ki khushboo paa kar 

Mehak utha hai mera andar 

Kiya teri tafheem kare gi 

Be'his duniya , sochain banjar

Sab ka saath nibhanay wale

Sab ka saath nibhanay wale 

Khud tanha reh jaatay hain

Woh khaima zan hua aisa keh phir kahin na gaya

Woh khaima zan hua aisa keh phir kahin na gaya 

Hareem-e-jaan main kuch us ka paraao aisa tha 

Tumharay shaher se niklay to phir amaan na mili 

Kahin tehar na sakay chal chalaao aisa tha 

Ishq hawa main ishq ghatta main

Ishq hawa main 
Ishq ghatta main 
Ishq kanak kay her khoshay main 
Ku ku karti ambwaa je se pyaar jata'ti koyal main 
Huk huk kar kay chalti gaaon ki saat surili chaki main 
Lambi se bareek si pak'dandi main ishq 
Bail (Ox) kay kaano se lipti hui 
Rang barang jhandi main ishq
Ghar kay darwaze pe latki dil jaisi us kundi main 
Jis main kisi sasi ka , heer ka , jati ka 
Dil atka ho 
Rang ba'rangay banton main 
Kikli main 
Guli danday main 
Chatt pe phaili baan ki chaar'pai main ishq 
Boorhi ' jhuriyon wali , galiyan deti 
Rotiyan chandhati
Seeday ki mai main ishq
Bhatti walay kay dano main 
Dard kay saath jo bhun jaatay hain 
Kaka ji ki boli main 
Jo pardesi kay oon ka keh kar 
Dana dunka chun jaatay hain 
Roop roop  main , rom rom main rang rang main 
ishq racha hai 
Dariya kay paani main dekho 
Saath gharray kay sohni kay sang tehar raha hai 
Heer kay gajray main , jooray main 
Ishq gulon main ishq safar main 
Ishq sajan ki mast nazar main 
Ishq de ranglay rang o beeba 
Ishq de ranglay rang 
Ishq day wakhray rang o maahi 
Ishq de wakhray rang 

Poet : Wasi Shah

Ishq

MAin apni mohabbat ko shaher main ruswaa nahin karta

MAin apni mohabbat ko shaher main ruswaa nahin karta 

Mohabbat main bhi karta hoon magar char'cha nahin karta 

Jo mujh se milnay aa jaye , main us ka dil se khadim hoon

Jo uth kay jana chaye , main ussay roka nahin karta 

Jissay main chor deta hoon , ussay phir bhool jata hoon 

Phir us hasti ki janib main kabhi dekha nahin karta 

Tera israar sar aankhon pe tum ko bhool jayon main 

MAin koshish kar ke dekho ga , magar wada nahin karta

Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jula hai

Mujh ko bhi tarkeeb sikha koi yaar jula hai 
Aksar tujh ko dekha hai tana buntay 
Jab koi dhaga toot gaya ya khatam hua 
Phir se bandh kay  
Aur sira koi jor kay us main 
Aagay bun'nanay lagtay ho 
Teray us taanay main lakin 
Aik bhi ganth girah bintar ki 
Koi dekh nahin sakta 
AMin ne to aik baar buna tha aik hi rishta 
Lakin us ki sari girhain saaf nazar aati hain 
Mere yaar jula hai 

Poet : Gulzaar 

Dhiyaan rehta hai tere gham ki inayat ki taraf

Dhiyaan rehta hai tere gham ki inayat ki taraf 
Kaisay jayein gay kisi aur ki chahat ki taraf 

Baat niklay gi to sab teri taraf dekhain gay 
Mujh ko anay hi nahin dain gay wazahat ki taraf 

NA'munasib tha magar main ne musal'sal dekha 
Thi jo ik tum se mushaaba usi surat ki taraf 

Ghar jo toota to gaye maa ki taraf hi bachay 
Mur kay dekha hi nahin baap ki shafqat ki taraf 

Jis ki buniyaad main pathar na kisi juram ka ho 
Le chalay koi hamain aisi imaarat ki taraf 

Aik aurat ko samjhnay kay liye kam hai hayat 
Kis tarah aye ho tum doosri aurat ki taraf 

Manzil-e-ishq hai dushwaar magar azm-e-safar 
Dil ne rakha hai usi ku-e-mlaamat ki taraf 

Poet : Salman Sadiqui

Awal shab woh bazam ki ronaq-e-shamma bhi , parwana bhi

Awal shab woh bazam ki ronaq-e-shamma bhi , parwana bhi 
Raat kay aakhir hotay hotay khatam tha yeh afsana bhi 

Qaid ko tor kay nikla jab main , uth kay bagolay sath huye 
Dasht-e-adm tak jungle jungle , bhaag chala parwana bhi 

Haath se sagar kis ne tapka, mousam ki be'kaifi par 
Itna barsa toot kay baadal doob chala mah'khana bhi 

Laag main husan-o-ishq ki aksar chairr udhar se hoti hai
Shamma ka shola jab lehraya , urr kay chala parwana bhi 

Gunchay chup hain , gul hain hawa par kis se kahay dil ka haal 
Khaak nasheen ik sabza hai ,  apna bhi be'gana bhi 

Aik lagi kay do hain asar , dono hasb-e-muraatab hain 
Lo jo lagaye shamma pari hai , raqs main hai parwana bhi 

Dour-e-musarat aarzoo kaisa zal'zala ageen tha 
Haath se mun tak aatay aatay choot para paimaana bhi 

Poet : Arzoo Lakhnavi

Kon tehra hai is bhaagtay waqat main

Kon tehra hai is bhaagtay waqat main 
Kab ruka hai kabhi gard baad-e-zamaan 
Daaman-e-dasht main jaisay raig-e-rawaan 

Jo guzar jaye lamha palat'ta nahin 
Paniyon par koi naqsh jamta nahin 
Ik tahiyur ka malba hai chaaron taraf 
Kuch suragh us musafir ka milta nahin 

Jo bhi hai is ghubaar-e-shab-o-roz main 
Be'sabab , be'talab , be'nishaan , be'gumaan 
Kuch bhi aagay nahin , kuch bhi peechay nahin
Aaj hi aaj hai , hai agar kuch yahan 
Ayo is pal kay pul par praa'o karain 
Kiya khaber hon gay kal , hum kahan , tum kahan 

Poet : Amjad Islam Amjad

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...