Mar 17, 2014

Uljhano ka meri sansoon ko na shikwa hota


Uljhano ka meri sansoon ko na shikwa hota
Zindagi ka maza a jata Humain jeenay main

Hum gila kartay na tujh se kabhi dil tootney ka 
Kaash ke do dil hotay jo meray seenay main

Muskuraney ki baat kartay ho



Muskuraney ki baat kartay ho
Kis zamaney ki baat kartay ho
Ab to kanj-e-qafas bhi raas nahin
Ashiyane ki baat kartay ho
Jhilmilaney lagay nazar ke chragh
Kis ke aney ki baat kartay ho
Roz jhooti tasaliyan de kar 
Dil barhaney ki baat kartay ho
A ke dekho Yeh rabt shabnam-o-gul 
Kyn rulaney ki baat kartay ho
Hum ko la ke faraib-e-farda main
Azmaney ki baat kartay ho
Ishq aur mushak do hain , aik nahin
Kis ghraney ki baat kartay ho
Zad pe a kar kisi ki kyn faizi 
Choat khaney ki baat kartay ho

Poet Sayed Faizi

Pathar bana diya mujhay roney nahin diya



Pathar bana diya mujhay roney nahin diya
Daman bhi teray gham ne bigoney nahin diya

Tanhai'yan tera pata poochti rahien 
Shab bhar tumhari yaad ne soney nahin diya

Ankhon main a ke baith gaye  ashkon ki lehar
Palkon pe koi khwaab paroney nahin diya

Dil ko tumharay naam ke ansoo aziz thay
Duniya ka dard samoney nahin diya

Nasir youn us ki yaad chali hath thaam ke 
Melay main is jahan ke khoney nahin diya

Poet : Nasir


Chandani ki banhon main yeh badan sunehra hai


Chandani ki banhon main yeh badan sunehra hai
Khwaab hai haqeeqat hai, shaam hai sawera hai

Poochat hai kyn mujh ko be-qarar kar ke youn
Taray husan ki batain tera naam le ke youn
Jaisay ik zamaney ko intizaar tera hai

Chandani ki banhon main yeh badan sunehra hai
Khwaab hai haqeeqat hai, shaam hai sawera hai

Teray bin mohabbat ki dastaan adhuri hai
Meri zindagi ke liye tu bhout zaroori hai
 Is bharay zamaney main aik tu hi mera hai

Chandani ki banhon main yeh badan sunehra hai
Khwaab hai haqeeqat hai, shaam hai sawera hai

Poet : Nadeem Sayed


Dil main ik lehar se uthi hai abhi



Dil main ik lehar se uthi hai abhi 
Koi taza hawa chali hai abhi

Sor barpa hai khana-e-dil main
Koi dewaar se giri hai abhi

Kuch to nazak mijaaj hain hum bhi
Aur yeh chot bhi nai hai abhi

Jee jalaney de hum-nafas keh mujhay
Fursat-e-naala-e-shabi hai abhi

Bhari duniya main jee nahin lagta
Janey kis cheez ki kami hai abhi

Tu shreek-e-sukhan nahin hai to kiya
Hum sukhan tari khamoshi hai abhi

Yaad ke be-nisaan jazeron par 
Tari awaz a rahi hai abhi

Poet : Nasir Kazmi

Dil dhar'keny ka sabab yaad aya



Dil dhar'keny  ka sabab yaad aya 
Woh teri yaad thi , ab yaad aya

Aj mushkil tha sambhalna ae dost
Tu musibat main ajab yaad aya

Din guzara tha bari mushkil se
Phir tera wada-e-shab yaad aya

Haal-e-dil hum bhi sunatay lakin
Jab woh ruksat hua tab yaad aya

Baith saya-e-gul main nasir
Hum bhout roye woh jab yaad aya

Poet : Nasir Kazmi

Ussay gumaan tha keh chaha ussay zamaney ne


Ussay gumaan tha keh chaha ussay zamaney ne

Aziz sab ko tha magar zarora'ton ki tarah

Gham hai ya kushi hai tu meri zindagi hai tu



Gham hai ya kushi hai tu
Meri zindagi hai tu
Afata'on ke dour main 
Chain ki ghari hai tu
Meri raat ka chragh
Meri neend bhi hai tu
Main khizaan ki shaam hoon
Rut bahar ki hai tu
Doston ke darmiyaan
Waj-e-dosti hai tu
Meri sari umar main
Aik hi kami hai tu
Main to woh nahin raha
Haan magar wohi hai tu
Nasir is diyaar main 
Kitna ajnabi hai tu

Poet : Nasir Kazmi

Teray baray main jab socha nahin tha



Teray baray main jab socha nahin tha
Main tanha tha magar itn atanha nahin tha

Teri tasveer se karta tha batain
Meray kamray main aina nahin tha

Samandar ne mujhay piyasa hi rakha 
Main jab sehra main tha piyasa nahin tha

Mananay roothney ke khail main hum 
Bichar jayein ge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li us ne ankhain
Kai raton se woh soya nahin tha

Poet : Meraaj

Aap ki yaad ati rahi raat bhar



Aap ki yaad ati rahi raat bhar
Chashm-e-nam muskurati rahi raat bhar

Raat bhar dard ki shama jalti rahi
Gham ki lo thar'thrati rahi raat bhar

Bansuri ki sureeli suhani sada
Yaad ban ban ke ati rahi raat bhar

Yaad ke chaand dil main utar'ty rahay 
Chandani jagmagati rahi raat bhar

Koi dewana galiyon main phirta raha 
Koi awaz ati rahi raat bhar

Poet : Makhdoom Mehu-din

Chale to kat hi jaye ga safar Ahista Ahista



Chale to kat hi jaye ga safar Ahista Ahista
Hum un ke pas jatay hain magar Ahista Ahista

Abhi taron se khelo chandani se dil beh'layo
Milay gi us ke chaheray ke saher ahista ahista

Dareechon ko to dekho , chilmano ke raaz ko samjho
Uthain ge parda haye baam-o-dar ahista ahista

Dikha dena ussay zakham-e-jiger ahista ahista
Samjh kar , soch kar , pehchaan kar , ahista ahista

Dahaly gi raat aye ge sehar ahista ahista
Piyo in ankh'riyon ke naam par ahista ahista

Yaka-yak aisay jal bujhney main lutaf jaan-kani kab tha
Jalay aik shama par hum bhi magar ahista ahista 

Youn hi ik roz apney dil ka qissa bhi suna dena 
Khitaab ahista ahista nazar ahista ahista


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...