Dec 13, 2014

Yeh doulat bhi lay lo , yeh sohrat bhi lay lo


Yeh doulat bhi lay lo , yeh sohrat bhi lay lo

Bhalay cheen lo mujh se meri jawani

Magar mujh ko lota do bachpan ka sawan

Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani

Mohallay ki sab se puraani nishaani

Woh buriya jissay bachay kehtay thay nani

Woh naani ki baaton main pariyon ka daira

Woh chehray ki jhuriyon main sadiyon ka pehra

Bhulaye nahin bhool sakta hai koi

Woh choti se raatain , woh lambi kahaani

Kari dhoop main apnay ghar se nikalna

Woh chiriya woh bulbul woh titli pakarna

Woh guriya ki shaadi pe larna jhagarna

Woh jhoolon se girna aur gir kay sambhalna

Woh peetal kay challon kay pyaaray se tohfay

Woh tooti hui chooriyon ki nishaani

Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani

Hamaray baad tumhain apna bananay kon aye ga


Hamaray baad tumhain apna bananay kon aye ga

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Bari mushkil hain chahat ki sabhi rasmain sabhi qasmain

Karain gay pyaar sab lakin nibhaanay kon aye ga

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Kahin majbooriyan hon gi kahin tanhaiyaan hon gi

Tumhain her mor pe rasta dikhaanay kon aye ga

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Zaroorat her kisi ko ho gi teri meharbaani ki

Sitam seh kar tumhain  mananay kon aye ga

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Hamaray baad tumhain apna bananay kon aye ga

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti


Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti

Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti

Tumhari reshmi zulfon main dil kay phool khiltaythay

Kai phoolon kay mousam main kabhi hum tum bhi miltay thay

Puraani woh mulaqaatain hamain sonay nahin deti

Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti

Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti

Kahin aisa na ho lag jaye dil main aag paani se

Baadal lain raasta apna  ghataein meharbaani se

Keh yaadon ki yeh barsaatain hamain sonay nahin deti

Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti

Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti

Tu is tarah se meri zindagi main shaamil hai


Tu is tarah se meri zindagi main shaamil hai

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Yeh asmaan yeh baadil yeh raastay yeh hawa

Her ik cheez hai apni jaga thikaanay se

Kai dino se shikayat nahin zamanay se

Yeh zindagi hai safar tu safar ki manzil hai

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Teray baghair jahaan main koi kami si thi

Bhatak rahi thi jawaani andheri raahon main

Sakoon dil ko mila aa kay teri baahon main

MAin ik khoyi hui moj hoon tu saahil hai

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Teray zamal se roshan hai kainaat meri

Meri talaash teri dil'kashi rahay baaqi

Khuda karay keh yeh dewaangi rahay baaqi

Teri wafa hi meri her khushi ka haasil hai

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Tu is tarah se meri zindagi main shamil hai  

Meray aziz tujhay yeh khushi mubarak ho


Meray aziz tujhay yeh khushi mubarak ho
Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho
Is se pehlay keh teri chasahm-e-karam
Maazrat ki nigaah ban jaye
Pyaar dhal jaye meray ashkon main
Arzoo aik aah ban jaye
Mujh pe aa jaye ishq ka ilzaam
Aur tu be'gunnah ban jaye
Main tera shaher chor jaaon ga
Main tera shaher chor jaaon ga

Is se pehlay keh saadgi teri
Lab-e-khamosh ko gila keh dy
Teri majbooriyaan na dekh sakay
Aur dil tujh ko be'wafa keh dy
Jaanay main be'khudi main kiya poochon
Jaanay tu be'rukhi se kiya keh dy
Main tera shaher chor jaaon ga 

Main tera shaher chor jaaon ga  
Chor kar saahil-e-muraad chala
Ab safeena mera kahin tehray
Zehar peena mera muqadar hai
Aur teray hont dil'nasheen tehray
Is tarah teray astaanay pe rukon
Jab na paaon talay zameen tehray
Main tera shaher chor jaaon ga 

Main tera shaher chor jaaon ga  
Mujh ko itna zaroor kehna hai
Waqat-e-rukhsat salaam se pehlay
Tor loon rishta-e-nazar main bhi
Tum utar jaao baam se pehlay
Yeh meri jaan mera wada hai

Kal kisi waqat shaam se pehlay
Main tera shaher chor jaaon ga

Apnay rukh par nigah karnay do khoobsurat gunnah karnay do


Apnay rukh par nigah karnay do

Khoobsurat gunnah karnay do

Rukh se parda hatayo jaan-e-haya

Aaj dil ko tabbah karnay do

Rukh se zara naqaab utha do , meray hazoor

Jalwa ek baar phir dikha do , meray hazoor

Woh mar'mari se haath woh mehka hua badan

Takraya meray dil se , mohabbat ka ik chaman

Meray bhi dil ka phool khila do , meray hazoor

Husan-o-jamaal aap ka , sheeshay main dekh kar

Madhosh ho chuka hoon main , jalwon ki raah par

Gar ho sakay to hosh main la do , meray hazoor

Tum hamsafar milay ho mujhay is hayaat main

Mil jaye jaisay chaand koi sooni raat main

Jaao gay tum kahaan yeh bata do , meray hazoor

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai


Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai 

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai

Teri qasam haan teri qasam 
Pyaar kabhi na ho ga yeh kam dilruba ho gaye teray hum 
Teray liye hi aye hain hum tu hai meray jeenay ki kasam 
Tu hi tu meri shokhi sharam rab mera ab meray sajan main hai 
Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai

Meray geeton ka suljhan hai tu 
Pyaasa hoon main aur sawan hai tu
Thandi si ek agan hai tu 
Tu megh aur main damini tu raag hai aur main raagni 
Oh sanam teray liye main bani teri khanak meray kangan main hai 

Aankhon se dil main utar kay tu meri dharkan main hai
Meray yaar meray pyaar teri mehak meray tan mann main hai 

Meray geeton ka suljhan hai 



Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani




Yeh doulat bhi lay lo , yeh sohrat bhi lay lo 

Bhalay cheen lo mujh se meri jawani 

Magar mujh ko lota do bachpan ka sawan 

Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani 

Mohallay ki sab se puraani nishaani 

Woh buriya jissay bachay kehtay thay nani

Woh naani ki baaton main pariyon ka daira 

Woh chehray ki jhuriyon main sadiyon ka pehra 

Bhulaye nahin bhool sakta hai koi 

Woh choti se raatain , woh lambi kahaani 

Kari dhoop main apnay ghar se nikalna 

Woh chiriya woh bulbul woh titli pakarna 

Woh guriya ki shaadi pe larna jhagarna 

Woh jhoolon se girna aur gir kay sambhalna

Woh peetal kay challon kay pyaaray se tohfay

Woh tooti hui chooriyon ki nishaani 

Woh kaaghaz ki kashti woh baarish ka paani 

Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota


Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Na tha manzoor qismat ko , na thi marzi bahaaron ki 
Nahin to is gulistaan main , kami thi kiya nazaron ki 

Meri nazron ko bhi koi nazara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Khushi se apni aankhon ko , main ashkon se bhigo leti
Meray badlay tu hans leti , teray badlay main ro leti

Mujhay ae kaash tera dard sara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mili hai chandani jin ko , yeh un ki apni qismat hai
Mujhay apnay muqadar se , faqat itni shikayat hai 

Mujhay toota hua koi , sitaara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota 

Mujhay teri mohabbat ka sahara mil gaya hota 
Agar toofan nahin aata kinaara mil gaya hota


Teray kushboo main basay khat main jalaata kaisay


Teray kushboo main basay khat main jalaata kaisay 
Jin ko duniya ki nigahon se chupaye rakhaa
Jin ko ik umar kalejay se lagay rakha 

Jin ka her lafz mujhay yaad tha paani ki tarah 
Yaad thay mujh ko jo paighaam-e-zubaani ki tarah 
Mujh ko pyaaray thay jo anmol nishaani ki tarah 

Tu ne duniya ki nigahon se jo bacha kar likhay
Saal ha saal meray naam bra'bar likhay 
Kabhi din main to kabhi raat main uth kar likhay

Teray kushboo main basay khat main jalaata kaisay 
Pyaar main doobay huye khat main jalaata kaisay 
Teray haathon kay likhay khat main jalaata kaisay 

Teray khat aaj main ganga main baha aya hoon 
Aag behtay huye paani main laga aya hoon

Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga


Hamaray baad tumhain apna bananay kon aye ga 
Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga 

Bari mushkil hain chahat ki sabhi rasmain sabhi qasmain 
Karain gay pyaar sab lakin nibhaanay kon aye ga 
Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga 

Kahin majbooriyan hon gi kahin tanhaiyaan hon gi 
Tumhain her mor pe rasta dikhaanay kon aye ga 
Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga 

Zaroorat her kisi ko ho gi teri meharbaani ki 
Sitam seh kar tumhain  mananay kon aye ga 
Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Hamaray baad tumhain apna bananay kon aye ga 
Rulaanay to sab ayen gay hansaanay kon aye ga

Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti


Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti
Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti 

Tumhari reshmi zulfon main dil kay phool khiltaythay
Kai phoolon kay mousam main kabhi hum tum bhi miltay thay 
Puraani woh mulaqaatain hamain sonay nahin deti 
Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti
Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti

Kahin aisa na ho lag jaye dil main aag paani se
Baadal lain raasta apna  ghataein meharbaani se
Keh yaadon ki yeh barsaatain hamain sonay nahin deti 
Tumharay pyaar ki baatain hamain sonay nahin deti
Sohaani chandani raatain hamain sonay nahin deti

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai


Tu is tarah se meri zindagi main shaamil hai
Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Yeh asmaan yeh baadil yeh raastay yeh hawa
Her ik cheez hai apni jaga thikaanay se 
Kai dino se shikayat nahin zamanay se 
Yeh zindagi hai safar tu safar ki manzil hai 

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Teray baghair jahaan main koi kami si thi 
Bhatak rahi thi jawaani andheri raahon main 
Sakoon dil ko mila aa kay teri baahon main 
MAin ik khoyi hui moj hoon tu saahil hai 

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai

Teray zamal se roshan hai kainaat meri 
Meri talaash teri dil'kashi rahay baaqi 
Khuda karay keh yeh dewaangi rahay baaqi 
Teri wafa hi meri her khushi ka haasil hai 

Jahaan bhi jaaon yeh lagta hai teri mehfil hai
Tu is tarah se meri zindagi main shamil hai  

MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon teri yaad saath hai


MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon 
Teri yaad saath hai 
Kisi se kahoon keh nahin kahoon 
Yeh jo dil ki baat hai 

Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai 

MAin jahaan rahoon , main kahin bhi hoon 
Teri yaad saath hai 

Kahin to dil main yaadon ki ek sooli gar jaati hai 
Kahin to her ik tasveer bhout hi dhundli par jaati hai 
Koi duniya kay naye rangon main khush rehta hai 
Koi sab kuch paa kay bhi yeh mann hi mann kehta hai 

Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai 

Kahin to beetay kal ki jarain , dil main hi utar jaati hain 
Kahin jo dhaagay tootain to Mala'ein bikhar jaati hain 
Koi dil main jagah nahin baaton kay liye rakhta hai 
Koi apni palkon par yaadon kay diye rakhta hai 

 
Kehnay ko saath apnay ek duniya chalti hai 
Par chup kay is dil main tanhai palti hai 
Bas yaad saath hai , teri yaad saath hai

Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta


Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Kahin zameen to kahin asmaan nahin milta 

Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 

Jissay bhi dekho woh apnay aap main gum hai 
Zubaan mili hai magar hum' zubaan nahin milta 

Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 

Bhujha saka hai kon bhala waqat kay sholay 
YEh aisi aag hai jis main dhuwaan nahin milta 

Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 

Teray jahaan main aisa nahin keh pyaar na ho 
Jahaan umeed ho is ki wahaan nahin milta 

Kabhi kisi ko mukamal jahaan nahin milta 
Kahin zameen to kahin asmaan nahin milta 


Bheegi palkon pe naam tumhara hai


Bheegi palkon pe naam tumhara hai
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 
Beech bhanwar kashti , bari door kinaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Poochain yeh lehrain kiyon hai yeh doori 
Ishq main aakhir kiya hai majboori 
Meray nahin to kiya , meray nahin to kiya 
Mera her pal tumhaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Ujraa mera naseeb , haath meray khaali 
Ty salaamat reh , Allah hai waali 
Dil pe kiya guzray , dil pe kiya guzray 
Woh shakhs jo haara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 

Bujhnay lagay diye tez hawaon main 
Ab raha na dam meri sadaa'on main
Mout samnay hai kiya khoob nizaara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai 
Bheegi palkon pe naam tumhara hai  

Main tera shaher chor jaaon ga


Meray aziz tujhay yeh khushi mubarak ho 

Nayi bahaar nayi zindagi mubarak ho 

Is se pehlay keh teri chasahm-e-karam 

Maazrat ki nigaah ban jaye 

Pyaar dhal jaye meray ashkon main 

Arzoo aik aah ban jaye 

Mujh pe aa jaye ishq ka ilzaam 

Aur tu be'gunnah ban jaye 

Main tera shaher chor jaaon ga 

Main tera shaher chor jaaon ga 

Is se pehlay keh saadgi teri 

Lab-e-khamosh ko gila keh dy 

Teri majbooriyaan na dekh sakay 

Aur dil tujh ko be'wafa keh dy 

Jaanay main be'khudi main kiya poochon 

Jaanay tu be'rukhi se kiya keh dy 

Main tera shaher chor jaaon ga  

Main tera shaher chor jaaon ga   

Chor kar saahil-e-muraad chala 

Ab safeena mera kahin tehray 

Zehar peena mera muqadar hai 

Aur teray hont dil'nasheen tehray 

Is tarah teray astaanay pe rukon 

Jab na paaon talay zameen tehray

Main tera shaher chor jaaon ga  

Main tera shaher chor jaaon ga   

Mujh ko itna zaroor kehna hai 

Waqat-e-rukhsat salaam se pehlay 

Tor loon rishta-e-nazar main bhi 

Tum utar jaao baam se pehlay 

Yeh meri jaan mera wada hai 

Kal kisi waqat shaam se pehlay 

Main tera shaher chor jaaon ga 


Na tum be'wafa ho , na hum be'wafa hain


Na tum be'wafa ho , na hum be'wafa hain 

Magar kiya karain , apni raahain juda hain 

Jahaan thandi thandi hawa chal rahai hai 

Kisi ki mohabbat wahaan jal rahi hai 

Zameen asmaan dono hum se khafa hain 

Abhi kal talak to mohabbat jawaan thi 

Milan hi milan tha , Judai kahan thi 

Magar aaj dono hi be'aasra hain 

Zameen kahay meri raahon main aa jaa

Mohabbat kahay meri baahon main aa jaa 

Woh samjhain na majbooriyaan apni kiya hain 

Ghairon pe karam apno pe sitam ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar


Ghairon pe karam apno pe sitam 
Ae jan-e-wafa yeh zulam na kar 
Rehnay dy abhi thora sa bharam 
Ae jaan-e-wafa yeh zulam na kar , yeh zulm na kar

Ghairon pe karam apno pe sitam 

Hum bhi thay teray manzoor-e-nazar 
Dil chaha to ab iqraar na kar 
Sou teer chalay seenay pe magar 
Be'gaano se mil kar waar na kar 
Be'mout kahin mar na jayein hum 
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar , yeh zulm na kar 

Ghairon pe karam apno pe sitam 

Hum chahnay walay hain teray 
Youn hum ko jalaana theek nahin 
Mehfil main tamasha ban jaye 
Is darja staana theek nahin 
Mar jayein gay hum , mit jayein gay hum 
Ae jaan-e-wafa yeh zulm na kar , yeh zulm na kar

Kahin deep jalay kahin dil


Kahin deep jalay kahin dil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil

Mera geet meray dil ki pukaar hai 
Jahaan main hoon wahan tera pyaar hai 
Mera dil hai teri mehfil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil 

Na main koi sapna hoon na koi raaz hoon 
Ek dard bhari awaaz hoon 
Piya dair na kar aa mil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil 

Dushman hain hazaron yahaan jaan kay 
Zara milaana nazar pehchaan kay 
Kai roop main hai qaatil 
Zara dekh lay aa kar parwane
Teri kon si hai manzil 
Kahin deep jalay kahin dil


 

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main


Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar 

Jheel si gheri aankhain us ki hain
Reshmi zulfain ghataein us ki hain 

Laaj main lipta aanchal hai us ka
Kahin lag jaye na nazar
Husan ka paikar asmaan se zameenpar
Aya hai karnay be'qaraar 

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar

Gaalon ki laali , kaano ki woh baali
Cheen lay mujh se mera chain un kay nain

Chaand sa mukhra utra hai dil main chaya hai mann main 
Door se jalti bhujhanay meri pyaas aya hai meray paas mera pyaar

Zindagi pyaar ka geet hai issay her dil ko gaana paray ga


Zindagi pyaar ka geet hai
Issay her dil ko gaana paray ga 
Zindagi gham ka sagar bhi hai 
Hans kay us paar jaana paray ga

Jis ka ho jitna aanchal yahaan par 
Us ko soghaat utni milay gi 
Phool jeewan main gar na khilay to 
Kaanton se bhi nibhaana paray ga 

HAi agar door manzil to kiya 
Raasta bhi hai mushkil to kiya 
Raat taaron bhari na milay to 
Dil ka deepak jalaana paray ga 

Zindagi ik pahaili bhi hai 
Sukh dukh ki sahaili bhi hai 
Zindagi ik wachan bhi to hai 
jissay sab ko nibhaana paray ga 

Khoobsurat gunnah karnay do


Apnay rukh par nigah karnay do 
Khoobsurat gunnah karnay do 

Rukh se parda hatayo jaan-e-haya 
Aaj dil ko tabbah karnay do 

Rukh se zara naqaab utha do , meray hazoor
Jalwa ek baar phir dikha do , meray hazoor

Woh mar'mari se haath woh mehka hua badan 
Takraya meray dil se , mohabbat ka ik chaman 
Meray bhi dil ka phool khila do , meray hazoor

Husan-o-jamaal aap ka , sheeshay main dekh kar 
Madhosh ho chuka hoon main , jalwon ki raah par 
Gar ho sakay to hosh main la do , meray hazoor

Tum hamsafar milay ho mujhay is hayaat main 
Mil jaye jaisay chaand koi sooni raat main 
Jaao gay tum kahaan yeh bata do , meray hazoor

Rab na karay keh yeh zindagi kabhi kisi ko daga dy


Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy

Teray pelu main jo raatain guzaari
Shab-e-mehtaab main nazrain utaari

Hum bhi rukay hain usi mor par 
Koi hum ko sada dy 
Hum bhi rukay hain usi mor par 
Koi hum ko sada dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

Salamat rahay ta kay ahow na laagy
Teray hijar main koi sari raat jaagy

Chain se soye jaan meri 
Sukh waday saba dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy 

KAisay chokoun teray ehsaan main
Rakh doon yeh gir bhi dil-o-emaan main 
Her saans meri naam teray 
Rab mujh ko qaza dy 

Rab na karay keh yeh zindagi 
Kabhi kisi ko daga dy 

Kisi ko rulaye na dil ki lagi 
Moula sab ko dua dy
 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...