May 30, 2016

Rang rangeelay pankhon walay panchi hotay


Rang rangeelay pankhon walay panchi hotay

Rang rangeelay pankhon walay panchi hotay
Jab sawan ka maheena aata 
Kaali ghur ghata'ein lata 
Bondon kay sang raas rachatay  
Daal daal par shor machatay 
Harray bharray patton main sotay 
Rang rangeelay pankhon walay panchi hotay

Phir pholon ki  rut aa jati 
Saray jag main rang jamati 
Kali kali se nain milatay 
Phoolon ka mujh choomnay jatay 
Khushbu'on ma sudh khotay 

Phir ik aisi  rut bhi hoti 
Bujhnay lagti jeewan joti 
Thandi hawaon main urr jatay 
Kisi jatan se haath na aatay 
Door dais main baith kay rotay
Rang rangeelay pankhon walay panchi hotay 
 

Ik bara , khaakstari mai'daan tha phaila hua


Safar kay tlismaat 

Ik bara , khaakstari mai'daan tha phaila hua 
Door door tak kuch bhi na tha veeran darakhton kay siwa 
Ya purana sa khandar ik peeplon kay baagh ka 

Raat sar par aa gayi   aur main abhi rastay main tha 
Phir hawa chalnay lagi aur main abhi rastay main tha 


Meray jisam main zehar hai tera


Dushman ki taraf dosti ka haath 

Meray jisam main zehar hai tera 
Mera dil hai tera ghar 

Tu mo'jood hai sath hamesha 
Khouf sa ban kar sham-o-sehar 

Tera asar hai meray lahu par 
Jaisay chand samandar par

Itni zard hai rangat teri 
Jam jati hai us par nazar

Tu hai saza meray honay ki 
Ya hai mera zaad-e-safar 

Karay ga tu be'mar mujhay  , ya 
Banay ka na'maloom ka darr

Rahay ga da'im gehri teh main 
Jaisay andheray main koi dar 

Gum kar de ga raah main mujh ko 
Ya de ga manzil ki khabar 

Tu hai mera dost keh dushman 
Yeh to bata mujh ko ae zaar !

Jaisay baarish abhi abhi thami hai


Hairat ki manzil par husan ki nishaniyan 

Jaisay baarish abhi abhi thami hai 
Hawa aisi hai 
Kahin kahin se 
kabhi kabhi kisi koyel ka naghma-e-mah'juri 
Shaam-e-bahar darwaze pe dastak de rahi hai 
Naye naye , niklay sitaron 
Aur chand ki chak'ka chond main uljhi hui yeh shaam bhi ajeeb hai  

Kabhi chaman ki shakhon main kabhi farsh-e-zamurd par


Jung kay saye main jannat-e-arzi ka khawab 

Kabhi chaman ki shakhon main 
Kabhi farsh-e-zamurd par
Yeh gul'dam gaa rahi hai raagni ehad-e-mohabbat ki 
Khuli , cha'tail zameeno se 
Ghubar-e-sham main urti 
Sada'ein ghar ko wapis aa rahay masroor logon ki 
Ufaq tak khait sar'son kay 
Gulaab aur sabz gandum kay 
Haveli kay shajar par shor chiriyon kay cheh'haknay ka 
Ajab hairaniyan si hain 
Makano aur makeeno main 
Keh mousam aa raha hai gaon kay jungle mehaknay ka 

Phirti hui be'chain hawao meri madad ko ayo


Aik manzil par aik dua 

Phirti hui be'chain hawao 
Meri madad ko ayo 
Urti hui madham sadao !
Meri madad ko ayo 
Ayo mil kar is duniya ko jannat ki tasveer bana dain 
Aman aur husan ka khawab musarrat aadam ki taqdeer bana dain 
Yeh ik kaam hai jis main aa kar mera hath batao 
Phirti hui be'chain hawao !
Urti hui madham sadao !

Barishon ka mousam hai


Barishon ka mousam hai 

Barishon ka mousam hai 
Koyelon ki ku ku hai 
Aam kay darakht ki 
Sabz . tez khushbu hai 

Be'misal tanhai 
Be'kinar mai'daan ki 
Ik jhalak kahin is main 
Aab behar-e-hai'waan ki 

Us ko yaad hai jaisay 
Baat is zamanay ki 
Dhoom us kay dil main hai 
In dino kay aanay ki 

Ik umar main saray shajar banjar banjar se lagtay hain


Sakit tasveeron ka batin 

Ik umar main saray shajar banjar banjar se lagtay hain 
Phir bhi andar har'ra hai in ka , youn oper se lagtay hain 
Jaisay achanak kabhi khandar abaad nagar se lagtay hain 

Dil haibat se bharray huye aur chehray in kay khaali hain 
Jo kuch hai batin main hai aur zahir jin kay khaali hain 
Aankh jami hai in chehron par saray ehad kay logon ki 
Jaisay in hi kay paas dawa in kay saray logon ki 

Khayal itnay hain dil main samjh nahin aatay


Khayal itnay hain dil main samjh nahin aatay 
Samjh bhi ayein agar to kahay nahin jatay 

Woh samnay bhi jo hota to us se kya kehtay 
Bas us ki batein suntay hum aur chup rehtay 

Chaman ka zor , zor faseelon ki intiha tak hai 
Yeh shor barg-e-baharan ka bas hawa tak hai

Meray kamray kay bahir shaam jab dera jamati hai


Aik basar kya hua manzir 

Meray kamray kay bahir shaam jab dera jamati hai 
Nagar ki masjadon se gum azan ki goonj aati hai 

Shafaq sehan-e-makan main rafta rafta mit'ti jati hai 
Hawa tareek patton main khushi se sar'sarati hai 

Sitara khaak ki dewaar kay oper chamakta hai 
Keh jis se is ka baagh ik mai'daan sa lagta hai 

Gharoob-e-mehar ka manzir gharri hui guzra


Aaghaz-e-ramastan main dobara 

Gharoob-e-mehar ka manzir gharri hui guzra 
Bas ik pal ko neestan isi tarah larza

Giyah-e-sabz ki khushbu isi zamanay ki 
Usi tarah ki musarrat bahar aanay ki 

Wohi jamaal dar-e-wusqaf-o-baam main hoon 
Kinar rood siyah faam hai main hoon

Kis kay liye woh geet likhon


Us rukh-e-roshan ko dekhnay ki tamana 

Kis kay liye woh geet likhon ..............
Saray aalam kay shaheron main jis ki goonj sunai de
Jin ko sun kar chasham-e-jahan ko khawab ik naya dikhai de 
Kis kay liye woh geet likhon ...............

Sitaray ! meray khawab-e-umeed kay


Dost sitaray ko chamaktay rehnay ka ishara 

Sitaray ! meray khawab-e-umeed kay 
Sehar aanay wali ho ya sham-e-gham 

Ufaq ho safar ka keh yaam-e-alm 
Ho kasht-e-samror keh veeran chaman 

Naya shaher-e-imkaan keh yaron ka ban 
Sitaray meray khawab-e-umeed kay

Neela garm samandar oper dhoop ka sheesha chamkay


Aik aalam se doosray Aalamon ka khayal 

Neela garm samandar 
Oper dhoop ka sheesha chamkay 
Moti is kay andar 

Yaad aayi hain batein kitni
Baith kay us sahil par 
Ik be'maqsad umar kay qissay 
Bojh hain jo ab dil par 

Kya kya manzir dekhay main ne 
Kaisi jaghon  par ghooma 
Kaisay makano main din kaatay 
Kin logon main baitha 

Yeh manzir bhi yaad aaye ga 
Aur kisi mousam main 
Aur kisi dariya kay kinaray 
Aur kisi aalam main

Badaltay mousam ki raat hai


Badaltay mousam ki raat hai 

Badaltay mousam ki raat hai 
Mai'dano main andhera hai 
Woh samnay oonchi kursi kay makano ki 
neem roshni main 
Darwazon kay baahir kharray 
Log batein kar rahay hain ?
Siyasat ki ? mohabbat ki ? jung ki ?
Guzray huye dino ki ?
Aanay walay maah-o-saal ki ?
Kuch pata nahin chalta 
Bas door se un kay hont hiltay dikhai detay hain 

Kai tarah kay phool thay




Sabar ka samar 

Kai tarah kay phool thay 
Rang-o-bu kay khawab se

Bhout hi jald khil kay woh 
Bhout hi jald mitt gaye

Magar usi bahar main 
Bhout dair se khila 
Woh phool ik gulaab ka 
Jo dair tak khila raha

Shaam hai , tanha hawa baghon main hai


Shaam hai , tanha hawa baghon main hai
Kaal koyel ki sadaon se shajar zaron main hai 

Rif'aton par justagoo aur hijar kay naghmon kay din 
Aanay walay mousamon kay awaleen khawabon kay din 

Ik ajab Aa'inda ki tasveer kaakh-o-ku main hai 
Qariya zulmat-e-nishan ka khawab-o-jamaal hu main hai 

Hai yeh in ki zindagi kay rog ka koi ilaaj


Shaher ko to dekhnay ka ik tamasha chahiye

Hai yeh in ki zindagi kay rog ka koi ilaaj 
Ibtida hi se shayed shaher walon ka mizaaj 
Apnay Aala aadmi ko qatal karnay ka riwaj 

Marnay kay baad us ko dair tak rotay hain woh 
Apnay karda juram se aisay rihaa hotay hain woh 

Aik nagar aisa bas jaye jis main nafrat kahin na ho


Aik naya shaher dekhnay ki aarzu 

Aik nagar aisa bas jaye jis main nafrat kahin na ho 
Aapis main dhoka karnay ki , zulam ki taqat kahin na ho 

Us kay makeen hon maskan aur her tarah kay hon 
Us ki hawaein her tarah ki , aur gulshan aur tarah kay hon 


Ae shaher-e-be'misal ! teray baam-o-dar ki khair


Apnay shaher kay liye dua 

Ae shaher-e-be'misal ! teray baam-o-dar ki khair 
Ae husan-e-la'zawal ! teray baam-o-dar ki khair 

Dekhay hain tu ne door bhout aasman kay 
Beetay hain tujh pe ehad bhout imtihaan kay 
Ae qariya-e-jalaal ! teray baam-o-dar ki khair 
Ik daastan hai saath teray rang-o-noor ki 
Yaad hai teray saath bhout door door ki 
Khawab-e-shab-e-jamaal ! teray baam-o-dar ki khair 

Taskheer tujh ko kon karay ga jahan main 
Tu hai Khuda aur us kay Nabi ki amaan main 
Lahor par kamal ! teray baam-o-dar ki khair

Ae hilaal eid , tera husan wajah-e-rahat-o-aaram hai


Ae hilaal eid..........!

Ae hilaal eid , tera husan wajah-e-rahat-o-aaram hai 
Ae nishan-e-noor teri deed meray sabar ka inaam hai 
Dekhti aankh teray roop neelay aasman kay darmiyan 
Hai bhout hi door shaher-e-khaak tujh se ae nigar-e-zar'fishan 
Ae hilaal eid..........!
Tu jhalak hai shaam ki tanhai main gehray tarb ki jaan-e-jaan 
Ae kaman-e-rang teray , teray dil main gulistan-dar-gulistan 
Ae hilaal eid..........!
Manzil-e-dasht-e-wafa main khawab-e-ishrat ki haseen mehra tu 
Ik diyaar-e-gum'shuda kay kaakh daku ka ik sunehri baab tu 
Ae hilaal eid..........!

Khawab-e-jamaal-e-ishq ki tabeer hai Hussain (r.a)


Shaheed-e-karbala ki yaad main 

Khawab-e-jamaal-e-ishq ki tabeer hai Hussain (r.a)

Shaam-e-malaal-e-ishq ki tasveer hai Hussain (r.a)

Mehar ki peeli kiran us ki aankh par aa kar parri


Jashan-e-bahar main Hamd

Mehar ki peeli kiran us ki aankh par aa kar parri 
Rang kuch badla ajab is chasham-e-gham ne us gharri 

Par tu khu'rasheed se chamkay jharokay shaher kay 
Peeplon kay baagh kay pattay harray honay lagay 

Be'wafai khawab ki dil se juda hoti gayi
Ik sada-e-mashriq kay maydaan main hawa hoti gayi 

Kaisay guzray shaam kiyon kar aaye yaad


Hamd-e-Qadeem

Kaisay guzray shaam 
Kiyon kar aaye yaad 
Woh bhoola hua naam 
Be'chaini ho door 
Dil ko milay Aaram 
Kab yeh be'kal sham 
Ranj se yeh ho Azad 
Kab yeh su'na baab 
Phir ho ga abaad
Yeh dewar-e-aab 
Kaisay ho pa'yaab 

Taskeen utaar'ta hai dilon main Khuda ka naam


Hamd 

Taskeen utaar'ta hai dilon main Khuda ka naam 
Khushbu bakhairta hai gulon main Khuda ka naam 

Deta hai ta'iron ko nawa'on ki dil kashi 
Rehta hai jin se khaali jaghon main Khuda ka naam 

Aata hai misal harf-e-bisharat dam sehar 
Baad-e-sehar kay saath gharon main Khuda ka naam

Usi ka hukam jaari hai zameen aasmano main


Hamd

Usi ka hukam jaari hai zameen aasmano main 
Aur un kay darmiyan jo hai , makeeno makano main 

Hawa chalti hai baghon main to us ki yaad aati hai 
Sitaray chand suraj hain sabhi us kay nishano main 

Usi kay dam se teh hoti hai manzil khawab-e-basti ki 
Woh naam ik harf-e-norani hai zulmat kay jahano main 

Usi kay israar jahan ka ilm hai sara
Wohi bar'pa karay ga hashar aakhir zamano main 

Woh kar sakta hai jo chahaye , her ik shay pe qadir hai 
Woh sun sakta hai razon ko jo hain dil kay khazano main 

Bacha leta hai apnay doston ko khouf-e-batil se
Badal deta hai sholon ko mehaktay gulistano main 

Munir is hamd se rutba ajab hasil hua tujh ko 
Nazir is ki milay shayed purani daastano main 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...