May 23, 2016

Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua


Woh thak'ka hua meri baanhon main zara so gaya tha to kya hua 
Abhi main ne dekha hai chand bhi kisi shaakh-e-gul pe jhuk'ka hua 

Meray saath sada raha woh meri nazar se chup'pa hua  
Yeh ajeeb hijar-o-wisal hai , na kabhi mila , na juda hua 

Koi phool dhoop ki patiyon main harray ribon se bandha hu a
Woh ghazal ka lehja naya naya , na kaha hua , na suna hua 

Jissay lay gayi hai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka 
Kahin aansu'on se mitta hua , kahin aansu'on se likha hua 

Kai meel rait ko kaat kar koi moj phool khila gayi 
Koi pairr pyas se mar raha hai nadi kay paas kharra hua

Mujhay haadson ne saja saja kay bhout haseen bana diya 
Mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehandiyon se racha hua 

Wohi shaher hai wohi raastay , wohi ghar hai aur wohi lawn bhi 
Magar is dareechay se poochna , woh darakht-e-anaar ka kya hua

Meray saath jugnoo hai aur jugnoo ki is safar main bisaat kya 
Yeh chragh koi chragh hai na jala hua na bujha hua 

Wohi khat keh jis pe jaga jaga do mehaktay honton kay chand thay 
Kisi bhooli bisri si taaq par teh gard ho ga daba hua

Aansu'on se dhulli hui khushi ki tarah


Aansu'on se dhulli hui khushi ki tarah 
Rishtay hotay hain shairy ki tarah 

Door ho kar bhi hoon usi ki tarah 
Chand se door chandni ki tarah 

Khoobsurat , Udaas , Khouf'zada 
Woh bhi hai 20 sadi ki tarah 

Jab kabhi badalon main ghirta hai 
Chand lagta hai aadmi ki tarah 

Hum Khuda ban kay ayein gay warna 
Hum se mil jao aadmi ki tarah 

Sab nazar ka faraib hota hai 
Koi hota nahin kisi ki tarah 

Jaanta hoon keh aik din mujh ko 
Woh badal de ga dairy ki tarah 

Aarzu hai keh koi shair kahon 
Khoob'surat teri gali ki tarah

Fursat kahan khatoot parhon aaj pyar se


Fursat kahan khatoot parhon aaj pyar se 
Ab khairiyat bataya karo yaar taar se

Wali kay taaj-o-takhat ka aik daway'daar to 
Dakhil tha haspatal main pani ki maar se

Naita ki shaan dekh ussay vote youn milay 
Murday nikal kay aa gaye apnay mazaar se 

Rally nikalnay ka irada jahan kiya 
Mujh ko zukaam ho gaya halki phuwaar se 

Main rail roknay kay liye teray saath hoon 
Fursat agar mujhay mili sardi bukhaar se 

Main dar raha hoon mujh ko Ghalib kahein gay log 
Yeh ghar chala karay ga hamesha udhaar se

Meray baray hawaon se woh kab poochay ga


Meray baray hawaon se woh kab poochay ga 
Khaak jab khaak main mil jaye gi tab poochay ga 

Ghar basanay main yeh khatra hai keh ghar ka maalik 
Raat main dair se aanay ka sabab poochay ga 

Apna gham sab ko batana hai tamasha karna 
Haal-e-dil us ko sunaein gay woh jab poochay ga 

Jab bicharna bhi to hanstay huye jana warna 
Her koi rooth kay janay ka sabab poochay ga 

Hum lafzon kay jahan daam lagay baich diya 
Shair poochay ga hamein ab na adab poochay ga 

Mera kya kahin bhi chala jaon ga 
Magar raasta to bana jaon ga 

Hawaon ko is ka sharf kiyon milay 
Main apna diya khud bujha jaon ga 

Kahin bhi rahoon , main kisi se milon 
Hamesha tumhara kaha jaon ga 

Lahoos agar husan-e-takhleeq hai 
Koi chehra main bhi bana jaon ga 

Baghal geer honay kay andaz se 
Pata dushmano ka bata jaon ga

Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai


Jab us ki nawazish hoti hai , yeh mo'jaza tab ho jata hai 
Alfaaz mehaknay lagtay hain , kaghaz bhi adab ho jata hai 

Us ki thokar main hoti hai , sari duniya ki sha'inshahi 
Darbar-e-madeena main jab bhi , dewana talab ho jata hai 

Yeh aag , yeh matti , yeh pani , yeh aanchal ki gul'rez hawa 
Phir kuch nahin rehta apna jab paisa bhi rab ho jata hai 

Baarish kay baad paharon par qaleen bich'ha deta hai Khuda 
Yeh dil ka ujra ray'gistan bhi shaher-e-tarb ho jata hai  

Ik shair ghazal ka duniya ki tanqeed se bala'tar jano 
So matlab is main hotay hain , jo be'matlab ho jata hai 

Pandit , jolaha kehlaya , mann laakh is faqeeri main 
Jis par sona chandi barsay , woh aali nasab ho jata hai

Falak se chand sitaron se jaam lena hai


Falak se chand sitaron se jaam lena hai 
Mujhay sehar se nayi aik shaam lena hai 

Kissay khabar keh farishtay ghazal samjhtay hain 
Khuda kay samnay kaafar ka naam lena hai 

Mo'amla hai tera bad'tareen dushman se 
Meray aziz mohabbat se kaam lena hai 

Mehakti zulf se khushbu , chamakti aankh se dhoop 
Shabon se jaam , sehar ka salam lena hai 

Tumhari chaal ki aahistagi kay lehjay main 
Sukhan se dil ko masalnay ka kaam lena hai 

Nahin main Mir kay dar par kabhi nahin jata 
Mujhay Khuda se ghazal ka kalam lena hai 

Baray saleeqay se noton main us ko tulwa kar 
Ameer-e-shaher se ab intaqaam lena hai

Ghazal ko maan ki tarah ba'waqar karta hoon


Ghazal ko maan ki tarah ba'waqar karta hoon 
Main maam'ta kay katoron main doodh bharta hoon 

Tu aaina hai tujhay dekh kar sanwarta hoon 
Kahan kahan tera chehra talash karta hoon 

Yeh dekh hijar tera kitna khoobsurat hai 
Ajeeb mard hoon sola singhaar karta hoon 

Badan samait kay lay jaye jaisay shaam ki dhoop
Tumharay shaher se main is tarah guzarta hoon 

Tamam din ka safar kar kay roz shaam kay baad 
Pahariyon se ghirri qabar main utarta hoon 

Mujhay sakoon ghannay junglon main milta hai 
Main raaston se nahin manzalon se darta hoon

Be'libasi jo her libas ki hai


Be'libasi jo her libas ki hai 
Muflasi ehad-e-bad'hawaas ki hai 

Mut'maein hain zara ameer-o-ghareeb 
Her musibat middle claas ki hai 

Aaina ban gaye dar-o-dewaar 
Chandni yeh usi libaas ki hai 

Sab ko saqi ne yeh jawab diya 
Yeh khat'ta aap kay gilaas ki hai 

Teri khushbu main dekh leta hoon 
Yeh mehak teray aas paas ki hai 

 


Duniya ne dil ko pyar ka tohfa diya nahin


Duniya ne dil ko pyar ka tohfa diya nahin 
Hum zindagi thay hum ko kisi ne jiya nahin 

Suraj se , chand se bhi haseen aik roop hai 
Aisay makan main jahan koi diya nahin 

Duniya ki ab shikayatein kis munh se hum karein 
Hum se wafa ka wada kisi ne kiya hai 

Roti bhi chahiye m hamein pani bhi chahiye 
Hum aam aadmi hain miyan Oliya nahin 

Us ko bhi kuch khabar nahin aanchal kaha gira 
Hum ne bhi apna chaak giriban siya nahin 

Ik roz ghar pe chand sitaray bhi aye thay 
Hum ne magar zameen ka soda kiya nahin 

Mousam khizan ka hai meri baanhein udaas hain 
Phoolon ko main ne goad main kab se liya nahin 

Meray liye kisi ki mohabbat thi kainaat 
Main zameen-o-aasman , kuch bhi liya nahin

Aisa lagta hai , zindagi tum ho


Aisa lagta hai , zindagi tum ho 
Ajnabi kahay , ajnabi tum ho 

Log kehtay hain , ajnabi tum ho 
Ajnabi meri zindagi tum ho 

Dil kisi aur ka na ho paya 
Aarzu meri aaj bhi tum ho 

Mujhay apna shareek-e-gham kar lo 
Youn akelay bhout dukhi tum ho 

Doston se wafa ki umeedein 
Kis zamanay kay aadmi tum ho 

Main zameen par ghan'na andhera hoon 
Aasmano ki chandni tum ho 

Log aatay hain log jatay hain 
Meri aankhon main aaj bhi tum ho 
 

Ghazal kay dil main basay , nazam ki nazar main rahay


Ghazal kay dil main basay , nazam ki nazar main rahay 
Diyar-e-loh-o-qalam main sada khabar main rahay 

Hamaray haal pe chiriyon ne meharbani ki 
Kattay phattay nahin jo phal kahan shajar main rahay 

Tamam mulak andheray main doob jaye to kya 
Woh chahtay hain keh suraj unhi kay ghar main rahay 

Watan main phirtay rahay hum mahajron ki tarah 
Ajab naseeb hain , her dour main safar main rahay 

Tha shouq-e-giriya jinhein khul kay ro nahin paye 
Kabhi Anees , kabhi Mir kay asar main rahay 

Kis ehtiyat se yeh zindagi guzaar chalay 
Kisi kay dil main rahay hum kisi kay ghar main rahay 

Ghazal main be'adbi hai barhana guftaari 
Tamaam parda shaistagi hunar main rahay 

Apnay teer-o-kaman dekhon ga


Apnay teer-o-kaman dekhon ga 
Us ki oonchi uraan dekhon ga 

Chand suraj hain chatiyan is ki 
Main khula aasman dekhon ga 

Yeh ajab zid hai ja kay london main 
Bhook hindustan dekhon ga 

Apnay iqraar-e-jurm se pehlay 
Dushmano ka biyan dekhon ga 

Pathron ka thama samandar hoon 
Main hawa ki chitan dekhon ga 

Bari aag hai bari aanch hai teray may'kaday kay gulab main


Bari aag hai bari aanch hai teray may'kaday kay gulab main 
Kai baliyan , kai chriyan yahan ghul rahi hain sharab main 

Woh sarapa-e-husan-o-jamal hai woh teray sukhan ka kamal hai 
Koi aik shair na keh saka kabhi is ghazal kay jawab main 

Wohi likhnay parhnay ka shouq tha , wohi likhnay parhnay ka shouq hai 
Tera naam likhna kitab par , tera naam parhna kitab main 

Meray zard patton ki chadrein bhi hawaein cheen kay lay gayein 
Main ajab gulaab ka phool hoon , jo barhana sar hai shabaab main 

Yeh dua hai aisi ghazal kahon , kabhi paish jis se main kar sakon 
Koi harf teray hazoor main , koi shair teri janab main 

Ab dhoop bhool jao keh suraj yahan nahin


Ab dhoop bhool jao keh suraj yahan nahin 
Aisi zameen mili hai , jahan aasman nahin 

Kaghaz pe raat apni siyahi bichaa gayi 
Koi lakeer teray meray darmiyan nahin 

Raaz ab khula teri narazgi kay baad 
Tu meharban nahin to koi meharban nahin 

Haan roshni nahin hai magar is ki daad do 
Her taaq main chragh hai lakin dhuwan nahin 

Jaa mera shair likh de gulabon ki shaakh par 
Phoolon kay aas paas agar titliyan nahin 

Meera , Kabir , Chishti-o-na'nak kay naam ko 
Jo dais bhool jaye woh hindutan nahin

Udas aasman hai , dil mera kitna akela hai


Udas aasman hai , dil mera kitna akela hai 
Prinda shaam kay pal par bhout khamosh baitha hai 

Main jab so jaon in palkon pe apnay hont rakh dena 
Yaqeen aa jaye ga , palkon talay bhi dil dharakta hai 

Tumharay shaher kay saray diye to so gaye kab kay 
Hawa se poochna , dehleez pe yeh kon jalta hai 

Agar fursat milay pani ki tehreeron ko parh lena 
Her ik dariya hazaron saal ka afsana likhta hai 

Kabhi main apnay hathon ki lakeeron se nahin uljha 
Mujhay maloom hai qismat ka likha bhi badalta hai 

Phir is kay baad tanhai pa'rakhti hai musafir ko 
Jahan tak roshni hai apna saya saath deta hai 

Samandar paar kar kay jab main aaya dekhta kya hoon 
Hamaray do gharon kay beech sanaton ka dariya hai 

Makan se kya mujhay lena , makan tum ko mubarak ho 
Magar yeh ghaas wala reshmi qaleen mera hai 

Dilon ki gard ko hum log saaf kartay nahin


Dilon ki gard ko hum log saaf kartay nahin 
Ajab mizaj hai apna tawaaf kartay nahin 

Yeh be'taluqi chatt lay kay baith jaye gi 
Bhout dino se koi ikhtalaaf kartay nahin 

Her aik lafz main das bees lafz hotay hain 
Zaheen log kabhi baat saaf kartay nahin 

Woh Mir waqat ho ya Ghalib zamana ho 
Keh duplicate ka hum aitraaf kartay nahin 

Sukhan jo Mir ka hai , Mir ko mubarak ho 
Kisi kay maal pe hum haath saaf kartay nahin 

Bashir Badr kay lehjay main ab woh kaat kahan 
Ghazal se dil main woh gehra shigaaf kartay nahin

Main to aik kaghazi phool tha , sar-e-shaam khushbu se bhar gaya


Main to aik kaghazi phool tha , sar-e-shaam khushbu se bhar gaya 
Main kahan hoon mujh ko khabar nahin , mujhay kon chu kay guzar gaya 

Woh udas larki , bahar layi paharon se zameen par 
Meray dil main dard ka chand bhi youn hi zeena zeena utar aaya 

Yeh gulab bhi mera aks hai , yeh sitara bhi mera naqsh hai 
Main kabhi zameen main dafan hoon , kabhi aasman se guzar gaya 

Main udas chand ka bagh hoon , main gaye dino ka suragh hoon 
Meri shakh sakh jhulas gayi , mera phool phool bikhar gaya 

Woh safaid phoolon si ik dua meray saath saath rahi sada
Yeh usi ka faiz hai baar'ha main bikhar bikhar kay sanwar gaya 

Meray aansu'on ki kitab bhi , teri khushbu se mehak gayi 
Mera shair hai tera aaina jahan shaam aayi sanwar gaya 

Dil chhalak utha , aankh bhar aayi


Dil chhalak utha , aankh bhar aayi 
Aaj tv pe woh khabar aayi 

In masail main teri yaad bhi kya 
Jaisay titli pahaar par aayi !

Apni maan ki tarah udas udas 
Beti shadi kay baad ghar aayi 

Ab to main bhi nazar nahin aata 
Ae Khuda kon si dagar aayi 

Tum ne jo kuch kiya sharafat main 
Woh nadamat bhi meray sar aayi 
 


Us ne ehsaan woh kiye yaro


Us ne ehsaan woh kiye yaro 
Aaj to hum bhi ro diye yaro 

Jis tarah aik chragh aandhi main 
Dushmano main youn hi jiye yaro 

Muflasi main kisi kay ghar jaa kar
Kon apna lahu piye yaro 

Jo kisi ko bata nahin saktay 
Hum ne woh kaam bhi kiye yaro 

Tum ko shayed khabar nahin ho gi 
Zehar hum ne bhout piye yaro 

Aasmano pe kon rota hai 
Door tak jal gaye diye yaro 

Jab koi kisi se bichar jaye 
Kis tarah koi ab jiye yaro

Main yeh duniya mitana chahta hoon


Main yeh duniya mitana chahta hoon 
Naya sab kuch bana'na chahta hoon 

Main apni qabar main dollar bicha kay 
Khuda kay paas jana chahta hoon 

Wahan pani main ab bhi tail ho ga 
Samandar main naha'na chahta hoon 

Koi kab tak jiye pabandiyon main 
Ussay main bhool jana chahta hoon 

Meray andar koi zaalim chuppa hai 
Main chiriya ghar bana'na chahta hoon 

Koi shair nahin hai is sadi main 
Main tum ko yeh bata'na chahta hoon 

Ab yaad nahin aata mujhay kon hoon kya hoon


Ab yaad nahin aata mujhay kon hoon kya hoon 
Duniya ki inayat hai keh sab bhool gaya hoon 

Aankhon se nazar aati hai mujh ko teri aahat 
Tu chahye jahan ho main tujhay dekh raha hoon 

Kiyon mujh se laraztay do aalam kay andheray 
Main chand , na suraj , na sitara , na diya hoon 

Kashkol kay badlay main inhein taaj milay hain 
Main haath main ik jaam liye jhoom raha hoon 

Hum dono kay andar koi toofan chuppa hai 
Dariya bhi hai thehra hua chup main bhi kharra hoon 

Dariya meray honton ko tarasta hi rahay ga 
Pani kay liye Asghar-e-masoom raha hoon

Charagh lay kay teray shaher se guzarna hai


Chragh lay kay teray shaher se guzarna hai 
Yeh tajarba bhi hamein aik baar karna hai 

Main woh pahaar hoon jo kat raha hai pani main 
Yeh dil nahin hai meray aansu'on ka jharna hai 

Meray aziz main utri nadi main kya utron 
Mujhay charh'hay huye dariya ko paar karna hai 

Bhout jadeed hoon lakin yeh mera wirsa hai 
Isi qadeem gali se mujhay guzarna hai 

Tumhein khabar nahin suraj bhi aks hai mera 
Tamam din ka mujhay intizaam karna hai 

Woh aik shakhs keh jis ko ghazal bhi kehtay hain 
Usi kay naam se jeena , usi pe marna hai

Suraj bhi bandha ho ga dekh meray bazu main


Suraj bhi bandha ho ga dekh meray bazu main 
Is chand ko bhi rakhna sonay kay tarazu main 

Ab hum se sharafat ki umeed na kar dena 
Pani nahin mil sakta tapti hui balu main 

Tareek samandar kay seenay main gehar dhoondo 
Jugnoo bhi chamaktay hain barsaat kay aansu main 

Sab der-o-haram jhootay , dil'dar-o-sanam jhootay 
Hum aa hi gaye aakhir duniya teray jadu main 

Ik rait ka parda thein , Aahan ki yeh dewarein 
Insaan nahin rehta , insan kay qabu main 

Khawabeeda gulabon par yeh Oas bichi kaisay 
Ehsaas chamakta hai asloob ki khushbu main

Hamaray paas to ayo , bara andhera hai


Hamaray paas to ayo , bara andhera hai 
Kahin na chor kay jayo , bara andhera hai 

Udas kar gaye be'sakhta lateefay bhi 
Ab aansu'on se rulao , bara andhera hai 

Koi sitara nahin pathron ki palkon par
Koi chragh jalao , bara andhera hai 

Haqeeqaton main zamanay bhout guzar chukay 
Koi kahani sunao , bara andhera hai 

Kitabein kaisi utha laye may'kaday walay 
Ghazal kay jaam uthao , bara andhera hai 

Ghazal main jis ki hamesha chragh jaltay hain 
Ussay kahin se bulao , bara andhera hai 

Woh chandani ki bisharat hai harf-e-aakhir tak 
Bashir Badr ko lao , bara andhera hai

Tu mujh se tez chalay ga to raasta doon ga


Tu mujh se tez chalay ga to raasta doon ga 
Dua kay phool teri raah main bicha doon ga 

Abhi to zindagi hayel hai tujh se milnay main 
Main aaj raat yeh dewar bhi gira doon ga 

Agar kisi ne mujhay aik raat rok liya 
To us ka naam pata bhi tujhay bata doon ga 

Ab is kay baad koi be'wafa na pao gay 
Main apnay aap ko itni bari saza doon ga 

Bhout ajeeb si larki hai is ki khatar main 
Parhay baghair haseeno kay khat jala doon ga

Ab mujhay may nahin , may'kada chahiye


Ab mujhay may nahin , may'kada chahiye 
Kuch nahin aur is kay siwa chahiye 

Aik din tujh se milnay zaroor ayon ga 
Zindagi mujh ko tera pata chahiye 

Ghar ki dehleez pe chand soya na ho 
Subha honay ko hai loat'na chahiye 

Is zamanay ne logon ko samjha diya 
Tum ko aankhein nahin Aaina chahiye 

Yeh zameen aasman kuch naye to lagein 
Mujh ko aisi nazar Ae Khuda chahiye 

Tum se meri koi dushmani chahiye 
Samnay se hatto , raasta chahiye

Khushbu ki tarah aaya woh tez hawaon main


Khushbu ki tarah aaya woh tez hawaon main 
Maanga tha jissay hum ne din raat duaon main 

Tum chatt par nahin aaye , main ghar se nahin nikla 
Yeh chand bhout bhatka sawan ki ghataon main 

Is shaher main aik larki bil'kul hai ghazal jaisi 
Bijli si ghataon main , khushbu si ada'on main 

Mousam ka ishara hai khush rehnay do bachon ko 
Masoom mohabbat hai , phoolon ki khata'on main 

Hum chand sitaron ki raahon kay musafir hain 
Hum raat chamaktay hain tareek khala'on main 

Bhagwan hi bhejein gay chawal se bharri thaali 
Mazloom prindon ki masoom sabhaon main 

Dada baray bholay thay sab se yahi kehtay thay 
Kuch zehar bhi hota hai , angrezi dawaon main
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...