Nov 29, 2014

Phir na simtay gi mohabbat jo bikhar jaye gi


Phir na simtay gi mohabbat jo bikhar jaye gi

Zindagi zulf nahinphir jo sanwar jaye gi 

Thaam lo haath us ka jo pyaar karay tum se 

Yeh zindagi tehray gi nahin guzar jaye gi

Tum aao to hum bhi eid karain



Tum aao to hum bhi eid karain 
Hasrat hai tumhari deed karain 

Kuch dair to dil ko chain milay 
Kuch roz to mann kay phool khilain 

Kehtay hain keh eid ki aamad hai 
Hum log bhi kuch taa'eed kartay hain 

Tum se ik yeh guzarish hai 
Yeh apnay dil ki khwaish hai 

Ik baar milo 
Ik baar milo 
Her baar yahi takeed karain 

Maana keh hum dewaanay hain 
Sab baaton se anjaanay hain 

Jab apnay bhi be'gaanay hain 
Kiya ghairon se umeed karain 

Tum aao to hum bhi eid karain

Apnay saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona


Apnay saaye se bhi ashkon ko chupa kar rona 

Jab bhi rona ho to chraghon ko bujha kar rona

Log parh letay hain chehray pe likhi sab baatain 

Bara mushkil hai logon se chupa kar rona 

Haath bhi to woh shakhs mila kar na gaya 

Jis ko chaha tha seenay se laga kar rona

Meray pagal piya aisi khwaish na kar


Meray pagal piya meri chahat na kar 
Mujhay dekha na kar mujhay socha na kar 

Meri be'khwaab aankhon main na jhaanka kar 
Main to kho jaaon gi mujhay na dhoonda kar 

Main hoon baad'saba jo rukti nahin 
Main hoon aisi ghatta jo barasti nahin 

MAin sisi lehar hoon jis main halchal na ho 
NA tum ko dabo dain yeh lehrain kahin 

Meray pagal piya aisi khwaish na kar 
Main woh sapna hoon jo keh sach na ho 

Main woh umeed hoon jo keh adhoori rahay 
Main woh raasta hoon jis ki na manzil milay 

MAin woh sehraa hoon jis main bhatak jaao gay 
Meray pagal piya aisay rastay na chal 

Meray pagal piya meri chahat na kar 

Bhool jaana bhi ussay yaad bhi kartay rehna


Bhool jaana bhi ussay yaad bhi kartay rehna 
Acha lagat hai isi dhun main bikhartay rehna

Hijar walon se bari dair se seekha hum ne 
Zinda rehnay kay liye jan se guzartay rehna 

Kiya kahoon kiyon meri neendon main khalal daalta hai 
Chand kay aks ka pani main utartay rehna 

Main agar toot bhi jaaon to phir aaina hoon 
Tum meray baad bhi her roz sanwartay rehna 

Shaam ko doobtay suraj ki hai aadat 
Subho hotay hi meray saath ubhartay rehna 

Dil to kehta hai zamanay se chura loon tujh ko


Dil to kehta hai zamanay se chura loon tujh ko 
Dil ki dharkan ki tarah dil main basa loon tujh ko 

Koi ehsaas judai ka na rehnay paye 
Is tarah khud main meri jaan chupa loon tujh ko 

Tu jo roothay mujh se meri zindagi kay maalik 
Sari duniya se khafa ho kar mana loon tujh ko 

Jab bhi main dekhon teray chahray pe judai ka samaa
Bas yeh chahon kisi tarah hansa loon tujh ko
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...