Mar 28, 2017

Kabhi jo hum nahin hon gay


Kabhi jo hum nahin hon gay 

Kabhi jo hum nahin hon gay 
Kaho kis ko batao gay 
Woh apni uljhanein sari 
Woh be'chaini main doobay pal
Woh aankhon main chuppay aansu 
Kissay phir tum dikhao gay 
Bhout tum ko rula'ein gay 
Bhout chaho gay phir bhi tum 
Hamein na bhool pao gay 
Kabhi jo hum nahin hon gay 


Kai silsalay , kai khawab thay


Aik nazam , jo shayed tumharay liye kahi gayi 

Kai silsalay , kai khawab thay 
Jo teri talab kay junoon main 
Meri dasta'ras main nahin rahay 
Tujhay chahana meray bas main tha 
So wohi hua 
Magar uss kay baad kay mar'halay ....
Keh guzarna jin se mo'haal hai ....
Woh jo shab thi 
Teray wisaal ki 
Woh jo subha thi 
Naye saal ki 
Kahin kho gayi ....
Koi dar khulla 
Na hawa chali 
Faqat ik naqsh-e-khayal hai 
Jissay hum ne rakha aziz tar 
Magar ab woh naqsh-e-khayal bhi 
Tera aks-e-zohra jamaal bhi 
Teray aabru'on kay 
Bas ik isharay ka muntazir 
Mera ik shakista sawal bhi 
Meri rah'guzar ka ghubaar hai 


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna


Milan ki aarzu karna , safar ki jutagoo karna
Jo tum ma'yoos ho jao to mujh se guftagoo karna 
Yeh aksar ho bhi jata hai keh koi kho bhi jaata hai 
Muqaddar ko satao gay 
To phir yeh bhi so jata hai 
Agar tum hosla rakho , wafa ka silsala rakho 
Jo tum se pyar kar baithay to uss se raabta rakho 
Main yeh da'way se kehta hoon 
Kabhi na'kaam na ho gay 
Mohabbat ko samjh jao 
Kabhi bad'naam na ho gay 

Main subha-o-shaam likhta hoon


♥♥♥♥ Sab se acchay lafz ♥♥♥♥

Main subha-o-shaam likhta hoon 

Zameen par jis qadar 

Achi zabanein boli jaati hain 

Main un se harf chunta 

Aur tumhara naam likhta hoon 


Kabhi utro youn meray dil kay kacchay aangan main


Kabhi utro youn meray dil kay kacchay aangan main 

Kisi udaas mousam main 

Kisi veeran lamhay main 

Chupkay se dabbay paon 

Meri aankhon pe rakh do haath apnay 

Aur hanstay huye keh do 

Boojh lo to 

Hum tumharay 

Na boojho to 

Hum tumharay 

Chalay bhi aayo


Chalay bhi aayo !!

Chalay bhi aayo 
Keh main to khud ko tumharay rangon main rang chuka hoon 
Tumharay saanchon main dhal chuka hoon 
Tumharay kehnay par aa kay dekho 
Main khud ko kitna badal chuka hoon !


Kamaa kay itni doulat bhi main apni maa ko de na paya


Kamaa kay itni doulat bhi main apni maa ko de na paya 

Keh jitnay sikon se maa meri nazar utaara karti thi 

Rat'gajay barhaa liye issi hisaab main hum ne


Rat'gajay barhaa liye issi hisaab main hum ne 

Mohabbat tum ko hai ? nahin hai ?Thi?Nahin thi ?

Laakh apnay gird hifazat ki lakeerein kheencho


Laakh apnay gird hifazat ki lakeerein kheencho 

Aik bhi in main nahin Maa ki dua'on jaisi 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...