Jun 11, 2014

Kabhi is nagar tujhay dekhna , kabhi us nagar tujhay dhoondna


Kabhi is nagar tujhay dekhna , kabhi us nagar tujhay dhoondna
Kabhi raat bhar tujhay sochna, Kabhi raat bhar tujhay dhoondna 

Mujhay ja-ba-ja teri justagoo , tujhay dhoondta hoon main ku-ba-ku
Kahan khul saka teray ru'ba'ru mera is qadar tujhay dhoondna

Mera khwaab tha keh khyal tha ,woh arooj tha keh zawaal tha 
Kabhi farash pe tujhay dekhna , kabhi arsh pe tujhay dhoondna

Yahan her kisi se bair hai, Tera shaher qariya-e-ghair hai
Yahan sehal bhi to nahin koi , meray be'khabar tujhay dhoondna

Teri yaad ayi to ro diya , jo tu mil gaya to tujhay kho diya 
Meray silsalay bhi ajeeb hain , tujhay chor ky tujhay dhoondna

Kab tak tanha raho gay


Kab tak tanha raho gay

Kab tak tanha raho gay
Kab tak rotay raho gay

Logon ky samnay muskura kay
Kab tanhai main rotay raho gay

Dil main sapno ki shahzadi ka ghar banaye huye
Kab tak intizaar kartay raho gay

Tum akelay bhout kush ho 
Kab tak yeh jhoot apnay aap se boltay raho gay

Khud ko tum tanha kar ky
Kab tak dard-e-tanhai sehtay raho gay

Tum hansty hansty 
Kab tak yeh tanhai ka zehar peetay raho gay

Kuch aisay zakham milay chupaye nahin jatay


Kuch aisay zakham milay chupaye nahin jatay
YEh bojh muqaddar ka uthaya nahin jata

Sun'nay ko to betaab hai yeh sara zamana
Afsanay mohabbat ku sunaye nahin jatay

Kuch dair ko to aya jawaab ja bhi chuka hai
Yadon ky deep magar bujhaye nahin jatay

Tasveer hoon main zabat-e-musalsal ki, junoon ki
Par dil main jo armaan hain dabaye nahin jatay

Nadaan ho, be'aqal hoon , kamzoor hoon , sab kuch
Yeh rang to her sakhs main paye nahin jatay

Adaab mujhay ishq ky atay nahin shayed
Roothay hain woh is tarah manaye nahin jatay 

Shikwa hai 'shikayat hai to phir samnay ayein
Is tarah se to daman bichaye nahin jatay

Be'qraar na mutlashi hoon raahon ki
Ujray huye ghar phir se basaye nahin jatay

Barishon ky mousam main shaam ka yeh aik manzar


Kitna sehal jana tha 

Barishon ky mousam main 
Shaam ka yeh aik manzar 
Ghar main qaid kar lena 
Kushbo'on ko choo lena
Roshni sitaron ki
Muthiyon main bhar lena

Kitna sehal jana tha 

Kushb'on ko chu lena
Jugno'on si baton sy
Phool jaisay aangan main 
Roshni si kar lena
Us ki yaad ka chahera , khaab.naak aankhon sy 
Jheel ky gulabon par dair tak saja lena

Kitna sehal jana tha 

Ae dil ki kush'fehmi is tarah nahin hota 
Titliyaan pakarnay ko 
Door jana parta hai 
Is tarah nahin hota 
Is tarah nahin hota

Kuch aisa likhon kuch naya sa kuch nayaab


Qalam utha ky socha


Kuch aisa likhon
Kuch naya saa
Kuch na'yaab
Kuch meray ehsasaat se labraiz
Kuch meray jazbaat se chlakta hua
Kuch mera khwaishon ka rang liye
Alfaaz ky moamalay main 
Pehli dafa apni mehroomi se samna hua
Kiya likh doon
Jo tumharay dil main youn uatar jaye
Jaisay kushboo kisi phool main sama jaye
Kuch aisa jo tumharay honton pe tehray to
Sargam ban jaye
Jisay tum gayo ghazal ban jaye
Kuch aisa jissay tum oorh sako
Apni Moattar jild ky itnay nazdeek rakho
ky main sharma jaon
Dil chahye
Kuch aisa hi likh doon keh tumharay chaheray pe
Woh tamaaam rangat bikhar jaye
Jo maeray wajood ka hasil ahi
Woh muskurahat
Jo jeenay ka sabab ban chuki hai 
Woh hansi jo meray sukoon ka bbais
Tumhari ho jaye
Tum main kho jaye
Jab tum Parho 
Meray alfaaz ko 
Mehsoos karo unhain 
Us shiddat se 
Jo mehsoos ki meray qalam ki jumbish ne 
Us kaaghaz ky purzay main 
chupi meri duaon ko tum apnay daman main chupa lo
Ik ansoo us pe tapkao
Unhain zinda karo
Meray alfaaz ko parh kar 
Unhain zindagi baksho

Jab haar dy himmat to muqadar nahin milta

Jab haar dy himmat to muqadar nahin milta 
Jungle main bhtakney se yahan kuch nahin milta

Hairaan hain her shakhs yahan sang-e-wafa hai
Kehtay hain teray shaher main pathar nahin milta

Yeh khail muqadar ka samjh se hai meri bala 
Kho jata hai rasta magar rehbar nahin milta

Jo mil na saka us ka gham main kis liye karta 
Insaan jo chahye ussay aksar nahin milta 

Her saans Ukharti hui yeh pooch rahi hai 
Pehlay sa sakoon ab teray andar nahin milta 


Ab ky youn dil ko saza di hum ne


Ab ky youn dil ko  saza di hum ne 
Us ki her baat bhula di hum ne

Ek ek phool bhout yaad aya 
Shakh-e-gul jab jala di hum ne

Aaj tak jis par woh sharmatay hain 
Baat woh kab ki bhula di hum ne

Shaher-e-jahan raakh se aabad hua
AAg jab dil ki bhuja di hum ne 

Aj phir yaad bhout aya woh
Aj phir us ko dua di hum ne

Koi to baat hai us main faraz
Her kushi jis pe luta di hum ne


Main mar mita to woh samjha yeh intiha thi meri


Main mar mita to woh samjha yeh intiha thi meri 
issay khabar hi na thi , khaak ki maya thi meri 

Main chup hua to woh samjha keh baat khatam hui
Phir is ky baad to awaaz ja'baja thi meri

Main us ko yaad karon bhi to yaad ata nahin 
Main us ko bhool gaya hoon yahi saza thi meri

Shakist de gaya apna ghroor hi us ko 
Wagarna us ky muqabal bisaat kiya thi meri

Koi bhi koo-e-mohabbatse phir nahin guzra
To shaher-e-ishq main kiya aakhri sada thi meri

Main us ko dekhta rehta tha Haira'ton se faraz
Yeh zindagi se ta'aruf ki ibtida thi meri

Waqat ki raftaar ky sath tu bhi chalna seekh ly


Waqat ki raftaar ky sath tu bhi chalna seekh ly
Dard seh kar is jahan main muskurana seekh ly

Dosron pe shikwa karna aur shikayat chor de
Her kisi se pyaar karna dil lagana seekh ly

Kaanch ky tukray paray hain zindagi ki raah par
Kaanch ky tukron pe tu bhi chal ky jeena seekh ly

Gham utha kar muskurana kaam yeh walion ka hai 
Auoliya ky naqsh-e-pa par tu bhi chalna seekh ly

Kis qadar insaan ajaz hai zamanay main 
Dosron se pyaar kar aur khud se larna seekh ly
 

Mujhay hawaon main rehna acha lagta hai


Mujhay hawaon main rehna acha lagta hai

Mujhay ohoolon ko hathon main le kar choomna acha lagat ahi

Mujhay titliyon ka baaghon main phirn aacha lagata hai

Mujhe barish main bheegti hui matti ki kushboo ko soongna acha lagat ahi 

Mujhay asmaan pe prindon ka azaad urna acha lagta hai

Mujahy chandani raat ko chat pe ja kar chaand ko takna acha lagta hai 

Mujahy kanton ka youn achanak daman thaam lena acha lagta hai 

Mujhay geeli rait par nangay paon chalna acha lagata hai

Mujhay asmaan pe dhanak ky rangon ka bikhirna acha lagta hai 

Mujhay subha ka phootna acha lagta hai 

Mujhay kushiyon ka her roop main ana acha lagta hai 

Mujhay ghamon ko hans ky sehna acha lagta hai 

Mujhay tum se milna aur tumhara yaad ana acha lagta hai 


Agar main bata doon main kiya chahti hoon


Agar main bata doon main kiya chahti hoon

Nazron se apni gira to na do gay

Jo main chahti hoon woh tum bhi na chayo

Mujhay koi karri si saza to na do gay

Main mohabbaton main jabar ki qail nahin hoon 

Dil laga ky mujh ko bhula to na do gay

Jo main bataon meray mann main kiya hai 

Tum jahan main tamasha bana to na do gay

Darti hoon tum se main raaz-e-dil sunatay 

Tum hansi main baat ura to na do gay

Agar main bata doon main kiya chahti hoon

Wafaon ky badlay jafa to na do gay

Dawa-e-dosti hai to khul ky mila karo


Dawa-e-dosti hai to khul ky mila karo 
Youn sahilon ki tarah na hat kar chala karo

Hum bhi to aaina hain aur be'zubaan nahin 
Parchayeion se na apni batein kiya karo

Her shakhs meray shaher ka tum ko sanam kahay 
Youn muskura keh sab ko na apna kaha karo

Baant jaye na naseeb mera dar'badar kahin 
Ghairon ki mehfil main na bitha utha karo

Khwaab main choomney ka hum ne ghair se suna 
Lillah aisi baat tum hum se kiya karo

Mangaein woh roz dil mera aur tor kar kahin 
Tootay huye dilon ky na tukray chuna karo

Hasti ka aaitbaar kiye baghair reha na jaye


Hasti ka aaitbaar kiye baghair reha na jaye
Duniya hai yahan par  jiye bin reha na jaye

Kat'ti nahin yeh zindagi umeed ky baghair
Yeh jaam woh hai jis ko paye bina reh na jaye

Chahat ka zakham dil ko tamasha na bana de
Aisa hai chaak jis ko sieay bin raha na jaye

Duniya ky is safar main hai jis ki yaad youn 
Aandhi ho tez aur dia bina raha na jaye

Ik simat tera hukam hai , ik simat kainaat 
Yeh bojh apnay sar pe liye bina raha na jaye

Dil jal raha tha gham se magar Naghma'gaar raha


Dil jal raha tha gham se magar Naghma'gaar raha
Jab tak raha main saath meray yeh hunar raha

Subha-e-safar ki raat thi ,taaray thayaur hawa
Saaye se ik dar talak , baam par raha

Meri sadaa hawa main bhout door tak gayi
Par main bhul araha tha ji se be'khabar raha

Guzri hai kiya mazay se khayalon main zindagi
Doori ka yeh talisam bara kaar'gar raha

Khauf asmaan ky sath tha sar par jhuka hua
Koi hai bhi ya nahin yehi dil main dar raha

Is aakhri nazam main ajab dard tha munir
Janay ka us ky ranj mujhay umar bhar raha


Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu


Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
Kahan gaya hai meray shaher ky musafar tu

Bhout udaas hai ek shakhs teray janay se
Jo ho sakay to chala aa ussi ki khatar tu

MAin janta hoon keh dunia tujhay badal dy gi
Main manta hoon keh aisa nahin ba'zahir tu

Hansi kushi se bichar ja agar bicharna hai
yeh her maqaam pe kiya sochta hai aakhir tu

Faraz tu ne ussay mushkalon main daal diya
Zamana shaib-e-zar aur sirf shair tu 

Dil pe jo teray gham ki inayat nahin hoti


Dil pe jo teray gham ki inayat nahin hoti
Aankhon se aanso'on ki rafaqat na hoti

Hum rehnuma se iltijaa karain to kyn karain 
Dariya ko rastoon ki zaroorat nahin hoti

Bujhta hai Ae chraagh-e-zindagi to bujh jaye
Ab hum se teri aur hifaazat nahin hoti

Janay yeh log kaisay nibhatay hain jafaein 
Humain to is gunnah ki himmat nahin hoti

Pathar kahon to ussay kis zubaan se kahoon
Pathron main itni nazakat nahin hoti 

Tujh ko gaye huye to zamana guzar gaya 
yaad teri is dil se kyon ruksat nahin hoti 

Jo bhool jaye tum ko tum bhi us ko bhula do 
Woh mohabbat to mohabbat nahin hoti
 

Phiray ga tu bhi koo-ba-koo hamari tarah



Phiray ga tu bhi koo-ba-koo hamari tarah 
Dareeda-e-daaman woh ashafta hamari tarah 

Kabhi to sang se phootay gi ab jo gham ki
Kabhi to toot kar roaye ga tu hamari tarah 

Palat ky tujhay bhi ana hai is ki taraf lakin 
Luta ky qaafla-e-rang-o-boo hamari tarah 

Woh laakh dushman-e-jaan hon magar khuda na karay 
Keh is ka haal bhi ho hu bahu hamari tarah 

Hum hi faraz saza'waar-e-sang kyon tehray 
Keh aur bhi to hain dewaana 'khu hamari tarah

Teri yadon se kiya nahin seekha


Teri yadon se kiya nahin seekha 

Be'sabab to na thein teri yadain 

Teri yadon se kiya nahin seekha 

Zabat ka hosla barha lena 

Aansoo'on ko kahin chupa lena 

Kaanpti dolti sadaon ko

Chup ki chadar se dhaamp kar rakhna 

Jab bhi ho baat ko Talkhi ki

Mozo-e-guftagoo badal dena

Be'sabab to n athein teri yadain 

Teri yadoon se kiya nahin seekha

Na sochna keh zamanay se dar gaye hum bhi

Na sochna keh zamanay se dar gaye hum bhi
Teri talash main ghairon ky ghar gaye hum bhi 

Chura laina hum se bhi is khud parast ne aankhain 
Dil-e-habeeb sy aakhir utar gaye hum bhi 

Woh sang'dil hi jafaon se ho gaya taa'ib 
Kaatney jab dar qatal par sar gaye hum bhi

Paseeja dil kisi ka hamaray ashk'kon sy
Her asstaan py liy chashm-e-tar gaye hum bhi

Jo dekha kaliyon ko tujh pe nisaar hotay huye 
To rang ban ky fiza main bikhar haye hum bhi 

Jab is ky zoq-e-nazar ka hua bhout charcha 
Wafoor-e-shouq se ik din sanwar gaye hum bhi

Bhout si ishq ki rahoon main pul-e-saraat ayae
Kisi ka naam liya aur guzar gaye hum bhi

Muhaal tha keh hum aye 'Josh' zinda reh saktay 
Firaaq-e-yaar main ik roz mar gaye hum bhi


Maskhan-e-maah-o-saal chor gaya


Maskhan-e-maah-o-saal chor gaya
Dil ko us ka khyal chor gaya

Taza dam jism-o-jaan thi furqat main 
Vasal us ka nidhaal chor gaya 

Ahad-e-mazi jo tha ajab pur'haal 
Aik veeran haal chor gaya 

Zaala'bari ky marhalon ka safar 
Qaaflay pay-e-maal chor gaya 

Dil ko ab yeh bhi yaad ho keh na ho 
Kon tha , kiya malaal chor gaya 

MAin bhi ab khud se hoon jawaab talab 
Woh mujhay be'sawaal chor gaya

Zara si dair ko aaye thay khwaab aankhon main


Zara si dair ko aaye thay khwaab aankhon main 
Phir us ky baad musalsal azaab aankhon main 

Woh jis ky naam ki nisbat se roshan tha wajood
Khatak raha hai wohi aftaab aankhon main 

Jinhain mata-e-dil-o-jaan samjh rahay thay hum 
Woh aanay bhi huye be'hijaab aankhon main 

Ajab tarah ka hai mousam keh khaak urati  hai
Woh din bhi thay keh kilay thay gulaab aankhon main 

MAin ne ghazal teri wehsahaton ki khatar kahi hai 
Bhout dino se bhout iztaraab aankhon main 

Na janay kisi qayamat ka paish'khaima hai 
Youn uljhanain teri be'intasaab aankhon main 

Khwaab ki tarah bikhar janay ko jee chahta hai


Khwaab ki tarah bikhar janay ko jee chahta hai
Aisi tanhai keh mar janay ko jee chahta hai

Ghar ki wehshat se larazta hoo magar jane kyon
Shaam hoti hai to ghar janay ko jee chahta hai

doob jayon to koi mujhay nishaan tak na bataye
Aisi nadi main utar janay ko jee chahta hai 

KAbhi mil jaye to rastay ki thakan jaag paray
Aisi manzal se guzar janay ko jee chahta hai 

Wohi paimaan jo kabhi jee ko kush aya tha bhout 
Usi paimaan se mukkar janay ko jee chahata hai

Karney ko meray zimay abhi kaam bhout hain


Karney ko meray zimay abhi kaam bhout hain 
Sach yeh bhi hai sar py meray ilzaam bhout hain 

MAin dhoondt phirta hoon Jisay koocha-ba-koocha 
Is naam ky insaan yahan aam bhout hain 

Ab chahney se milti hai mohabbat kahan aisay 
Bazaar main is shai k ab daam bhout hain 

Tareef karon teri mohabbat ki zubaan main 
Gulshan main teri kushboo ky iqsaam bhout hain 

Laina hai mujhay kiya teri duniya-o-jahan se
Dil main teri yadon ky subha shaam bhout hain 

Jaanam teri duniya main nahin milti rafaqat 
Keh dua ky siwa wasal ky anjaam bhout hain 

Na cheez ny is cheez ko kiya cheez hai samjha 
Is lafz-e-mohabbat main aalam bhout hain 

Mayal hai shoukat zindagi ky anjaam ki janib 
Chalay ruk ky zara to abhi insaan bhout hain 

Na to dukh dia sukh se jeenay mujhay


Na to dukh dia sukh se jeenay mujhay 
Na hi tum ne dia zehar peenay mujhay 

Teri furqat ki sadiaan youn lambi huein 
Parh gaye kam saal aur maheenay mujhay 

Her subho lay kar ayi gham-e-nau meri
Her roz hi paray zakham seenay mujhay 

Roz jeeta raha wasal ki chah main 
Ansoo'on ne sikhaue qareenay mujhay 

Hoein ghr'qaab Aas aur umeedain meri 
Bhout mehngay paray yeh dafeenay mujhay 

Zad main  kashti meri hai toofaan ky
Gharq kar dain na meray safeenay mujhay 

Rabat teray siwaa aur kisi se na tha 
Sirf mara teri ik nahin ne mujhay 

Daikh shaokat jahan ky taiwar bhi tu 
Paaon rakhnay diya na zameen ne mujhay  

Tu zakham-e-judai ko taman'na main milaa kar


Tu zakham-e-judai ko taman'na main milaa kar
Khud apnay hi hathon se yeh zehar piya kar 

Takleef main ehsaas-e-mohabbat ko dabo kar 
Umeed ki kirnon main tu roz jiya kar 

Daikhay jo teray haal ko apnay main samo kar 
Aisay hi kisi shakhs se to piyaar kiya kar 

Jeenay main kahin sokh orhay kahin dard-e-jahan hai 
Hathon ki lakeeron ko na dosh dia kar 

Jalta hai jisam tera agar rogh-e-wafa main 
Parwanae ki jurrat ko tu yaad kiya kar 

Bikhray huye patton se nashaiman ko saja kar 
Ujray huye logon ko tu abaad kiy akar 

Samjhay jo tera dard koi aisa wali ho 
Barbaad dilon main ussay dhoond liya kar 

Woh kon hai shoukat jo mu'barra  hai dukhon se
Aflaas ki bast main zara jhaank liya kar

Bhanwar main her ghari rehna mohabbat rog hai dil ka


Bhanwar main her ghari rehna mohabbat rog hai dil ka
Tumhain tha bas yahi kehna mohabbat rog hai dil ka

Zamanay bhar main bikhray hain mazaar-e-ishq ky manzar
Unhi kitabon ko parh lena mohabbat rog hai dil ka

Tumhara sath chaha to milay ansoo umar bhar ky 
Youn hi aankhon ka nam rehna mohabbat rog hai dil ka

Subha ko arzoo karna bina suraj ki kirno ky 
Phir sochon main gum rehna mohabbat rog hai dil ka

KAbhi tootain tumhari Aas-o-umeedon ky bandhan jab 
Mujhya tum khud hi likh dena mohabbat rog hai dil ka

NAhin rakhna qadam apna kabhi hisaar-e-ulfat main 
Meray lafzon ko parh lena mohabbat rog hai dil ka

Tumhari jaan ka sadqa lahoo se main chukaon to 
Sab se tum yahi kehna mohabbat rog hai dil ka

Shoukat rak nahin sakta ba'hayo chaltay pani ka 
Hazaron gham parein sehna mohabbat rog hai dil ka 

Alag kab thi ik manzal se tumhari raah hamari raah


Alag kab thi ik manzal se tumhari raah hamari raah
Juri thi aik bandhan se tumhari raah hamari raah

Na phoolon main kushboo na mousam main tla'tum tha 
Ajab be'khouf lagti thi tumhari raah hamari raah

Chaltay jana suntay geet hamaray door tal aksar
Hamain madhosh rakhti thi tumhari raah hamari raah

Chaman main kuch nahin badla siwaye hum'nasheeno ky
Wohi hain hum juda hain ab tumhari raah hamari raah

Hamari zeest ky bad.mast lamhon main woh ik lamha
Bana di jis ne be'maqsad tumhari raah hamari raah

Chalo onkaar kartay hain mohabbat ky asoolon se
Aur ab door se daikhain tumhari raah hamari raah

Mujhay ab sath lay kar tum chalo shoukat us raston par 
Jahan main dekh sakon her dum tumhari raah hamari raah

Ab kar ky kisi aur ka intizaar daikhna


Ab kar ky kisi aur ka intizaar daikhna 
Apnay hamaray darmiyaan diwaar dekhna 

Thukra ky aap ne hamain acha sila diya
Hum thay keh hum ne chaha so baar dekhna

Lehra diye aap ne parday fizaon main 
Dushwaar kar diya husan-e-yar dekhna

Milnay ka aap ko kabhi fursat nahin mili 
Hum thak gaye simat coo-e-yaar dekhna 

Janay kahan se aap ne seekhein adawatein 
Mushkil nahin tha warna ik baar dekhna

Muyassar kabhi aap ko ayein mohabbatein 
Palray main rakh ky aap mera piyaar daikhna 

Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain


Zindagi ki rahoon main rang-o-gham ky melay hain 
Chaar soo andheray hain  un'ginat jhamailay hain 

Kashtiyaan hain kaaghaz ki barish ka mousam  hai 
Andhiyon ky jhakar main paniyon ky railay hain 

Dard ka samundar hai mohabbaton ki baazi main 
Ghamon ki rawani main dard kitnay jhailay hain 

Tum bin adhoori hai zindagi do pal ki hai
Anso'on ky dariya main kis qadar akelay hain 

Na tamaam raston main dushmano ke pehray hain 
Be'wafa zamanay ne khail kaisay khailay hain 

Kis ko maan lain apna ksi se dushmani rakhein 
Is be'basi main gham be'shumaar jhailay hain 


Baat aik lamhay ki hai waqat kab muyassar hai 
Khwaishein hazaron hain hath meray phailay hain 

Aa ky tum hi rakh jayo dil pe hath shoukat keh 
Door reh ky baton se dil kis ky behlay hain 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...