Mar 15, 2016

Her gali apna fasana bhi tha


Her gali apna fasana bhi tha 
Us ne chora keh bahana bhi tha 

Dair kuch hum ne bhi ki bach'nay main 
Aur kuch us ka nishana bhi tha 

Kuch meri umar bhi aisi hi thi 
Kuch woh mousam keh sohana bhi tha 

Main akela to nahin tha kuch bhi 
Saath apnay yeh zamana bhi tha 

Apnay zimmay thi hifazat us ki 
Aur phir khud ko bachana bhi tha 

"Saad" ik aag thi in jazbon main 
Jis ne is dil ko jalana bhi tha

Is main kya shak hai keh us ka nahin sani koi


Is main kya shak hai keh us ka nahin sani koi 
Warna mehfooz chali aati nishani koi 

Dil se youn phoot'ti parti hai mohabbat us ki 
Jaisay taareki main ho raat ki rani koi 

Main ne imkaan se baahir bhi  hai socha us ko 
Aqal-o-dil chu na sakay aur kahani koi 

Us ki matti se kai chand sitaray ubhray 
Jis ne is dar kay siwa khaak na chaani koi 

Kya ta'ajub hai keh us ka bhi wohi waris hai 
Jis gunnah'gaar ne is ki nahin maani koi 

Kis tarah "Saad" mehak uth'ti hai matti pal main 
Meri aankhon se jo chalkata hai pani koi

Niklay sadaf ki aankh se moti mar'ray huye


Niklay sadaf ki aankh se moti mar'ray huye 
Phootay hain chandni main shagoofay jalay huye 

Hai ehtamam-e-giriya-o-maatam chaman chaman 
Rakhay hain maqtalon main janazay sajay huye 

Her aik sang-e-meel hai , ab nang-e-rah'guzar 
Hain reh'baron ki aqal pe pathar paray huye 

Be'waja to nahin hain chaman ki taba'hiyan 
Kuch bagh'baan hain barq-o-sharar se milay huye 

Ab meh'kaday main bhi nahin kuch ehtamaam-e-kaif 
Veeran hain sha'oor to dil hain bujhay huye 

"Saghar" yeh wardaat-e-sukhan bhi ajeeb hai 
Naghma taraaz-e-shouq hoon , lab hain silay huye

Mojein hain aur bada gisaron kay qaaflay


Mojein hain aur bada gisaron kay qaaflay 
Raqsan hain mast mast kinaron kay qaaflay 

Youn karwan-e-zeest rawan hai keh sath sath 
Raftaar main hain bada gisaron kay qaaflay 

Palkon pe jam rahi hai gham-e-zindagi ki Oas 
Banhon main so gaye hain saharon kay qaaflay 

Is ambreen si zulf-e-parishan ko dekh kar 
Be'taab ho gaye hain chinaron kay qaaflay 

Ruk ruk kay aa rahi hain baharon ki nikhatein 
Tham tham kay chal rahay hain angaron kay qaaflay 

Mehsoos ho raha hai yeh phoolon ko dekh kar 
Ghabraa kay so gaye hain shararon kay qaaflay 

Ae jaan-e-in'bisaat-e-taj'jali dohaai hai !
Aa jaa kay lut chalay hain sitaron kay qaaflay 

Hai sehan-e-aarzoo main lutti chandni ki dhool 
"Saghar" chalay gaye meray yaaron kay qaaflay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...