Dil'kash parinda
Hamra zehan ik azaad panchi ki tarah se hai
Jo her ik pal
Kisi parwaaz ko tiyaar rehta hai
Magar kuch log is ko aik pinjray main
Muqeed kar kay rakhtay hain
Issay sonay ka dana to khilaatay hain
MAgar
Azaad hi honay nahin detay
Issay apni khushi aur apni khwaish se
KAbhi chughnay nahin detay
KAbhi sonay nahin detay
YEh hansana chahata hai to
Issay hansanay nahin detay
YEh rona chahta hai to
Issay ronay nahin detay
Bhout si khoobsurat manzalon ko
Kabhi panay nahin detay
Kabhi bad'boo zada be'rang be'wuqat rawiyon ko
Kabhi khonay nahin detay
MAgar
Meray zehan main jo prinda hai
Bara sar'kash bara baaghi hai yeh
YEh meray dil ki tehni par
teharta hi nahin aa kar
Hamesha khol kay par
Soch ki parwaaz ko tiyaar rehta hai
YEh her ik shakhs ka daala hua
Daana nahin chughta
Kisi bhi do'ghlay chehray ko gar dekhye
Shor karnay se nahin rukta
Issay jab chot lagti hai
Tarapta hai
Phar'rakta hai
Jhagarta hai
Kabhi Aansoo giraata hai
Kabhi fariyaad karta hai
Mujhay yeh tang karta hai
YEh mujh se jung karta hai
Magar phir bhi
Bara na'yaab panchi hai
Bara dil'kash prinda hai
Mujhay is se mohabbat hai
Khushi hai keh yeh zinda hai
Kabhi yeh rooth jaata hai
Kabhi yeh maan leta hai
Magar mujh se mukhatab ho
To meri jaan leta hai
Meray saaray iraadon ko
Kasooti par parakhta hai
Na jab tak faisala de dy
Hamara dil dharakta hai
Hamesha din nikalta hai
Hamesha raat hoti hai
Magar is kay liye andar koi
Be'mousami be'waqat ki barsaat hoti hai
Yeh baarish is kay dil'kash par kay ooper
Aag ki tarah barasti hai
Jhulasti is main is ki saari ki saari
hi hasti hai
Paron ko khol kar
Aankhon ko apni band kar kay
Oper ko munh utha'ta hai
Mujhay mehsoos hota hai
Madad kay wastay apni
Khuda ko bulaata hai
YEh us se kar kay astagh'faar
Haal-e-dil sunaata hai