Dec 11, 2014

Aisa nahin keh tujh se mohabbat nahin hamain

Gham roz roz sehnay ki aadat nahin hamain

Her baar teray samnay sar ko jhuka liya

Aur phir bhi dekh tujh se shikayat nahin hamain

Tu aaitabar kar , keh tujhay chahtay hain hum

Teray siwa kisi ki bhi chahat nahin hamain

Hum jaantay hain tu bhi hai tanha hamaray bin 

Auron se poochnay ki zaroorat nahin hamain

Kaisay rahain gay bin teray ab baat maan lay

Teray baghair rehnay ki aadat nahin hamian 

Mujhay aisa dard aata kiya jo na hijar na visaal tha

Meray mousamon kay mizaaj daan tujhay kitna mera khayaal tha

Khoon-e-dil se likha to tha teray saal-e-hijar ka saneha

Jo bhout adhoora sa reh gaya woh na'jaanay kon sa saal tha

Kisi aur chehray ko dekh kar teri shakal zehan main aa gayi

Tera naam lay kay mila ussay meray hafzay ka yeh haal tha

Kabhi qurbaton kay dyaar main kabhi chahton kay ghubaar main

Wahaan umar main ne guzaar di jahaan saans lena mohaal tha

Be'wafa koi sitam'gar bhi to ho sakta hai

Mera qatil mera rehbar bhi to ho sakta hai

Ek muddat se tujhay wird main rakha jis ne

Woh mohabbat main qalandar bhi to ho sakta hai

Teray koochay main jo aya hai ghulamon ki tarah

Apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hai

Silsilawaar agar ashk bhi gir jayein

Yeh to sehra hai samandar bhi to ho sakta hai

KAb talak teray khwabon kay sahaaray jiya jayein "Mohsin"

Dil teri yaad se munkar bhi to ho sakta hai

Woh sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha

Woh pal bhar ko jo ruk jaata , mujhay kuch aur kehna tha

Kamaei zindagi bhar ki , usi kay naam ko kar di

Mujhay kuch aur kehna tha , Mujhay kuch aur kehna tha

Kahan us ne suni meri , suni bhi un'suni kar di

Ussay maloom tha itna , mujhay kuch aur kehna tha

Meray dil main jo dar aya , koi mujh main be'dar aya

Wahin ik raabta toota , Mujhay kuch aur kehna tha

Rawaan tha pyaar nas nas main , bhout qurbat thi aapas main

Ussay kuch aur sunana tha  , Mujhay kuch aur kehna tha

Ghalt fehmi ne baaton ko barha daala youn hi warna

KAha kuch tha , woh kuch samjha , Mujhay kuch aur kehna tha

Haal us ka teray chahray pe likha lagta hai

Woh jo chup chaap kharra hai tera kiya lagta hai

Youn teri yaad main din raat magan rehta hoon

Dil dharkanaa teray qadmon ki sada lagta hai

Youn to her cheez salaamat hai meri duniya main

Ek taaluq hai keh jo toota hua lagta hai

Ae meray jazba-e-doraan mujh main kashish hai itni

Jo khataa hota hai woh teer bhi aa lagta hai

Jaanay main konse pasti main gira hoon "shehzad"

Is qadar door hai suraj keh diya lagta hai

Main udaas raasta hoon shaam ka

Main udaas raasta hoon shaam ka

Mujhay aahaton ki talaash hai

Yeh sitaaray hain sab bujhay bujhay

Mujhay jugno'on ki talaash hai

Her khushi hai mujh se khafa khafa

Mujhay zindagi ki talaash hai

Meri pyaas main woh talab nahin

Mujhay tishnagi ki talaash hai

Ik hajoom sa hai rawaan dawaan

Mujhay doston ki talaash hai

Meri zindagi hai bas ik raasta

Mujhay manzalon ki talaash hai

Na'jaanay kiya hai jo kho gaya

Mujhay shayed apni hi talaash hai

Qadam qadam tha naya marhala main kiya karti?

Taweel hota gaya tha faasla main kiya karti?

Her aik shakhs ko tha zoham-e-rah'bari kitna

Bhatak raha tha mera qaafla main kiya karti?

Gham-e-hayaat , gham-e-ishq , aur gham-e-jaana

Ulajh gaya tha youn her aik silsala main kiya karti?

Tumharay saath kisi bhi faisalay ki fursat kab thi

Tumharay baad bhala koi faisala main kiya karti?

Bhout sambhaal kay rakha tha dil main raaz tera

Woh ban kay ashk jo girnay laga main kiya karti?

Mujh hi se maangnay aya woh lay kay majboori

Ab us se usi ki jafa ka gila main kiya karti?

Woh aansoo'on ki zubaan khoob jaanta tha meri

Mujhay bayaan ka na tha hosla main kiya karti?

JAb bhi sochain tujhay, dard apna barhaa letay hain

Phir her naye saal ka suraj dekh kar muskura letay hain

Guzray december ki sard raaton kay waday yaad kar kay

Qatra qatra ashk apni aankhon se baha letay hain

Yeh aadat to husan-o-wafa kay qayal jaantay hain sajna

Keh pyaar milay jahaan bhi woh sar apna jhuka letay hain

Na samjha tu ne mujhay aur na hi meri mohabbat ko

Naya saal mubaarak , khush rehnay ki tujhay dua detay hain

Batao dil ki baazi main , bhala kiya baat gehri thi

Kaha youn to sabhi kuch theek tha par maat gehri thi

Suno baarish , Kabhi khud se bhi bhar kar koi dekhta hai

Jawaab aya , un aankhon ki magar barsaat gehri thi

Suno tum ne huolay se kaha tha kiya , bataao gay

Jawaab aya , kaha to tha magar woh raat gehri thi

Diya dil ka samnadar un ne , tum ne kya kiya us ka ?

Hamain bas doob jaana tha keh woh soghaat gehri thi

Wafa ka dasht kaisa tha bataao tum pe kiya beeti

Bhatak jaana hi tha hum ko wahaan par rait gehri thi

Tum us kay zikar par kiyon doob jaatay ho khayaalon main

Rafaqat aur adawat apni us kay saath gehri thi

Nazar aya tumhain us ajnabi main kiya , bataao gay ?

Suno , qaatil nigahon ki woh zalim ghaat gehri thi

Wafa kay rooth jaanay par ghazal takhleeq hoti hai

Kabhi sajan manany par ghazal takhleeq hoti hai

Main lafzon kay samandar main mila deta hoon sochon ko

Phir us ki yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai

Meray andar jo panchi qaid hai sansoon kay zindaan main

Usi kay phar'pharaanay par ghazal takhleeq hoti hai

Chaman main raqs karti hai saba jab phool kay aagay

To un kay muskuraanay par ghazal takhleeq hoti hai

Mujhay aata nahin hai shair likhna 1 bhi lakin

Tumhari yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai

Mom ki tarah pighaltay huye dekha us ko

Mom ki tarah pighaltay huye dekha us ko

Rut jo badli to badaltay huye dekha us ko

Jaanay kis gham ko chupaanay ki tamana hai ussay

Aaj her baat pe hanstay huye dekha us ko

Woh jo kaanton ko bhi narmi se chua karta tha

Hum ne phoolon ko masaltay huye dekha us ko

NA'jaanay woh dua'on main maangta hai kissay

Haath uth'tay hi sisaktay huye dekha us ko

Phir haath dua kay liye uthaye hum ne

Jab muqadar se ulajtay huye dekha us ko

Wafa ka woh hamain kuch aisa sila detay hain

Jaisay aik juram ki mujrim ko saza detay hain

Bach kay raha karo in se yeh husan walay hain

Hanstay hansaatay huye zehar pila detay hain

Jin kay baghair hum mar mar kay jiya kartay hain

Woh jab miltay hain to jeenay ki dua detay hain

Yahi bhout hai keh un ko khyaal hai itna

Zakham detay hain to marham bhi laga detay hain

Mila kay aankh kar letay hain qayal woh apna "Mohsin"

Baat kartay hain to lafzon se hara detay hain

Kab tak raho gay aakhir youn door door hum se

Milna paray ga aakhir ik din zaroor hum se

Daman bachanay walay yeh be'rukhi hai kaisi

Keh do agar hua hai koi qasoor hum se

Hum chor dain gay tum se youn baat cheet karna

Tum poochtay phiro gay apna qasoor hum se

Hum cheen lain gay tum se yeh shaan-e-be'niazi

Tum maangtay phiro gay apna ghroor hum se

Hum kon hain , kiya hain , ba'Khuda yaad nahin

Apnay aslaaf ki koi bhi adaa yaad nahin

Hain agar yaad to kaafir kay traanay hi bas

Hai nahin yaad to masjid ki sada yaad nahin

Bint-e-hawa ko nachaatay hain sar-e-mehfil hum

Kitnay sang dil hain keh rasm-e-haya yaad nahin

Woh shakhs mujhay pyaara hai ussay kehna

Wohi jeenay ka sahaara hai ussay kehna

Log pyaaray hain bhout se mujh ko

Woh sab se pyaara hai ussay kehna

Mohabbatain , shikayatein , adaawatain us ki

Mujhay sab gawara hai ussay kehna

Chahnay walay aur bhi hain lakin

Yeh dil sirf aur sirf tumhara hai ussay kehna

Mohabbat jhoot lagti hai mujhay

Mohabbat jhoot lagti hai mujhay

Aik khokla jazba

Jissay izhaar ki her waqat khwaish ho

Kahi jaanay ki

Sun'nanay ki

Jissay her pal zaroorat ho

"Mujhay tum se mohabbat hai "

Na'jaanay roz kitnay log

IS jumlay ko sun'nanay kay liye be'daar hotay hain

Yeh aisa jhoot hai jis ka sehar

Sadiyon se taari hai

Magar jaana

Mohabbat jab kabhi izhaar ko tarsay

Koi tum se agar keh dy

"Mujhay tum se mohabbat hai "

To us ki baat mat sun'nana

Mohabbat rooh se phootay

Mohabbat aks ban jaye

To phir tum ko yaqeen aye

Keh main ne sach kaha tum se

Mohabbat rooh ban jaye

To phir us ka yaqeen karna

Warna aik jumla koi kitni baar dohraaye

Kahay jaye

Nahin sun'nana

Mohabbat jhoot hai jaana

Agar izhaar ki is ko zaroorat ho

Din niklay to soch alag , shaam dhalay to wajdaan alag

Umeed alag , aas alag , sakoon alag , toofan alag 

Tashbeeh doon to kis se kay teray husan ka her rang 
Neela alag , zamurd alag , yaqoot alag , marjaan alag 

Teri ulfat kay taqazay bhi ajab andaaz kay thay 
Iqraar alag , takraar alag , tahzeem alag , farmaan alag 

Gar saath ab nahin dy saktay to baant do yak'jaan lamhay 
Masroor alag , nidhaal alag , pur'kaif alag , pareshan alag 

Waqat-e-rukhsat alwida ka lafz jab kehnay lagay 
Aansoo alag , muskaan alag , be'taabi alag , hijaan alag 

Jab chor gaya tab dekha apni aankhon ka rang 
Hairaan alag , pashemaan alag , sunsaan alag bayabaan alag

Meray mousamon kay mizaaj daan tujhay kitna mera khayaal tha

Mujhay aisa dard aata kiya jo na hijar na visaal tha
Meray mousamon kay mizaaj daan tujhay kitna mera khayaal tha 

Khoon-e-dil se likha to tha teray saal-e-hijar ka saneha 
Jo bhout adhoora sa reh gaya woh na'jaanay kon sa saal tha 

Kisi aur chehray ko dekh kar teri shakal zehan main aa gayi 
Tera naam lay kay mila ussay meray hafzay ka yeh haal tha 

Kabhi qurbaton kay dyaar main kabhi chahton kay ghubaar main 
Wahaan umar main ne guzaar di jahaan saans lena mohaal tha

Mera qatil mera rehbar bhi to ho sakta hai

Be'wafa koi sitam'gar bhi to ho sakta hai
Mera qatil mera rehbar bhi to ho sakta hai 

Ek muddat se tujhay wird main rakha jis ne 
Woh mohabbat main qalandar bhi to ho sakta hai 

Teray koochay main jo aya hai ghulamon ki tarah 
Apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hai 

Silsilawaar agar ashk bhi gir jayein 
Yeh to sehra hai samandar bhi to ho sakta hai 

KAb talak teray khwabon kay sahaaray jiya jayein "Mohsin"
Dil teri yaad se munkar bhi to ho sakta hai

Mujhay kuch aur kehna tha

Woh sunta to main kehta , mujhay kuch aur kehna tha 
Woh pal bhar ko jo ruk jaata , mujhay kuch aur kehna tha 

Kamaei zindagi bhar ki , usi kay naam ko kar di 
Mujhay kuch aur kehna tha , Mujhay kuch aur kehna tha

Kahan us ne suni meri , suni bhi un'suni kar di 
Ussay maloom tha itna , mujhay kuch aur kehna tha 

Meray dil main jo dar aya , koi mujh main be'dar aya 
Wahin ik raabta toota , Mujhay kuch aur kehna tha

Rawaan tha pyaar nas nas main , bhout qurbat thi aapas main 
Ussay kuch aur sunana tha  , Mujhay kuch aur kehna tha

Ghalt fehmi ne baaton ko barha daala youn hi warna 
KAha kuch tha , woh kuch samjha , Mujhay kuch aur kehna tha

Woh jo chup chaap kharra hai tera kiya lagta hai

Haal us ka teray chahray pe likha lagta hai 
Woh jo chup chaap kharra hai tera kiya lagta hai 

Youn teri yaad main din raat magan rehta hoon 
Dil dharkanaa teray qadmon ki sada lagta hai 

Youn to her cheez salaamat hai meri duniya main 
Ek taaluq hai keh jo toota hua lagta hai 

Ae meray jazba-e-doraan mujh main kashish hai itni
Jo khataa hota hai woh teer bhi aa lagta hai 

Jaanay main konse pasti main gira hoon "shehzad"
Is qadar door hai suraj keh diya lagta hai 

Youn akelay main ussay ehad-e-wafa yaad aye

Jaisay banday ko museebat main khuda yaad aye

Jaisay bhatkay huye panchi ko nashaiman apna 
Jaisay apno kay bicharnay pe dua yaad aye 

JAisay dhalti hui shaamon ko sawera koi 
Jaisay pinjray main prinday ko fiza yaad aye 

Jasay boorhay ko khayalaat main bachpan apna 
Jaisay bachay ko sharaarat pe saza yaad aye 

Jaisay ujjri hui basti ko zamana apna 
Jaisay toofaan ko teharnay pe diya yaad aye 
 
Woh chahnay walon ko mukhatab nahin karta

Aur tark-e-taaluq main wazahat nahin karta 

Woh apni jafaon pe nadim nahin hota 
Main apni wafaon ki tijaarat nahin karta 

Khushboo kisi tasheer ki mohtaaj nahin hoti 
Sacha hoon magar apni wakalat nahin karta 

Ehsaas ki sooli pe latak jaata hoon aksar 
Main jabar-e-musal'sal ki shikayat nahin karta 

MAin azmat-e-insaan ka qayal to hoon "Mohsin"
Lakin kabhi bandon ki ibaadat nahin karta 

Yeh sitaaray hain sab bujhay bujhay

Main udaas raasta hoon shaam ka 
Mujhay aahaton ki talaash hai 

Yeh sitaaray hain sab bujhay bujhay 
Mujhay jugno'on ki talaash hai 

Her khushi hai mujh se khafa khafa 
Mujhay zindagi ki talaash hai 

Meri pyaas main woh talab nahin 
Mujhay tishnagi ki talaash hai 

Ik hajoom sa hai rawaan dawaan 
Mujhay doston ki talaash hai 

Meri zindagi hai bas ik raasta
Mujhay manzalon ki talaash hai 

Na'jaanay kiya hai jo kho gaya 
Mujhay shayed apni hi talaash hai

Taweel hota gaya tha faasla main kiya karti?

Qadam qadam tha naya marhala main kiya karti?
Taweel hota gaya tha faasla main kiya karti?

Her aik shakhs ko tha zoham-e-rah'bari kitna 
Bhatak raha tha mera qaafla main kiya karti?

Gham-e-hayaat , gham-e-ishq , aur gham-e-jaana 
Ulajh gaya tha youn her aik silsala main kiya karti?

Tumharay saath kisi bhi faisalay ki fursat kab thi 
Tumharay baad bhala koi faisala main kiya karti?

Bhout sambhaal kay rakha tha dil main raaz tera 
Woh ban kay ashk jo girnay laga main kiya karti?

Mujh hi se maangnay aya woh lay kay majboori 
Ab us se usi ki jafa ka gila main kiya karti?

Woh aansoo'on ki zubaan khoob jaanta tha meri 
Mujhay bayaan ka na tha hosla main kiya karti?

Na samjha tu ne mujhay aur na hi meri mohabbat ko

JAb bhi sochain tujhay, dard apna barhaa letay hain 
Phir her naye saal ka suraj dekh kar muskura letay hain 

Guzray december ki sard raaton kay waday yaad kar kay 
Qatra qatra ashk apni aankhon se baha letay hain 

Yeh aadat to husan-o-wafa kay qayal jaantay hain sajna 
Keh pyaar milay jahaan bhi woh sar apna jhuka letay hain 

Na samjha tu ne mujhay aur na hi meri mohabbat ko 
Naya saal mubaarak , khush rehnay ki tujhay dua detay hain

Nazar aya tumhain us ajnabi main kiya , bataao gay ?

Batao dil ki baazi main , bhala kiya baat gehri thi 
Kaha youn to sabhi kuch theek tha par maat gehri thi 

Suno baarish , Kabhi khud se bhi bhar kar koi dekhta hai 
Jawaab aya , un aankhon ki magar barsaat gehri thi 

Suno tum ne huolay se kaha tha kiya , bataao gay 
Jawaab aya , kaha to tha magar woh raat gehri thi 

Diya dil ka samnadar un ne , tum ne kya kiya us ka ?
Hamain bas doob jaana tha keh woh soghaat gehri thi 

Wafa ka dasht kaisa tha bataao tum pe kiya beeti 
Bhatak jaana hi tha hum ko wahaan par rait gehri thi 

Tum us kay zikar par kiyon doob jaatay ho khayaalon main 
Rafaqat aur adawat apni us kay saath gehri thi 

Nazar aya tumhain us ajnabi main kiya , bataao gay ?
Suno , qaatil nigahon ki woh zalim ghaat gehri thi 

Tumhari yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai

Wafa kay rooth jaanay par ghazal takhleeq hoti hai 

Kabhi sajan manany par ghazal takhleeq hoti hai 

Main lafzon kay samandar main mila deta hoon sochon ko 

Phir us ki yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai 

Meray andar jo panchi qaid hai sansoon kay zindaan main 

Usi kay phar'pharaanay par ghazal takhleeq hoti hai

Chaman main raqs karti hai saba jab phool kay aagay 

To un kay muskuraanay par ghazal takhleeq hoti hai 

Mujhay aata nahin hai shair likhna 1 bhi lakin 

Tumhari yaad aanay par ghazal takhleeq hoti hai 

Rut jo badli to badaltay huye dekha us ko

Mom ki tarah pighaltay huye dekha us ko 

Rut jo badli to badaltay huye dekha us ko 

Jaanay kis gham ko chupaanay ki tamana hai ussay 

Aaj her baat pe hanstay huye dekha us ko 

Woh jo kaanton ko bhi narmi se chua karta tha 

Hum ne phoolon ko masaltay huye dekha us ko 

NA'jaanay woh dua'on main maangta hai kissay 

Haath uth'tay hi sisaktay huye dekha us ko 

Phir haath dua kay liye uthaye hum ne 

Jab muqadar se ulajtay huye dekha us ko

Mila kay aankh kar letay hain qayal woh apna "Mohsin"

Wafa ka woh hamain kuch aisa sila detay hain 

Jaisay aik juram ki mujrim ko saza detay hain 

Bach kay raha karo in se yeh husan walay hain 

Hanstay hansaatay huye zehar pila detay hain 

Jin kay baghair hum mar mar kay jiya kartay hain 

Woh jab miltay hain to jeenay ki dua detay hain 

Yahi bhout hai keh un ko khyaal hai itna 

Zakham detay hain to marham bhi laga detay hain 

Mila kay aankh kar letay hain qayal woh apna "Mohsin"

Baat kartay hain to lafzon se hara detay hain

Hum cheen lain gay tum se yeh shaan-e-be'niazi

Kab tak raho gay aakhir youn door door hum se 

Milna paray ga aakhir ik din zaroor hum se

Daman bachanay walay yeh be'rukhi hai kaisi 

Keh do agar hua hai koi qasoor hum se

Hum chor dain gay tum se youn baat cheet karna 

Tum poochtay phiro gay apna qasoor hum se

Hum cheen lain gay tum se yeh shaan-e-be'niazi 

Tum maangtay phiro gay apna ghroor hum se

Apnay aslaaf ki koi bhi adaa yaad nahin

Hum kon hain , kiya hain , ba'Khuda yaad nahin 

Apnay aslaaf ki koi bhi adaa yaad nahin 

Hain agar yaad to kaafir kay traanay hi bas

Hai nahin yaad to masjid ki sada yaad nahin 

Bint-e-hawa ko nachaatay hain sar-e-mehfil hum 

Kitnay sang dil hain keh rasm-e-haya yaad nahin

Balaghal ula be kamale hi

Thay prinday so-ba-so
Lay kar her ik gul ki boo
Kar rahay thay guftagoo

Balaghal ula be kamale hi 

Thi munawar sab fiza 
Jahaan tak uth'ti thi nigaah 
Aa rahai thi youn sada 

Kashafaddo-ja-be-jamale hi

Bulbulain bhi shouq main 
Daalay huye gul taoq main 
Kehtein thein apnay zouq main 

Hasonat jamee o khisale hi 

Chiriyon kay sun kay cheh'chahay 
Insaan bhala kiyon chup rahay 
Laazim hai keh woh youn kahay 

Sallu alaehe wa aale hi

Yeh dil sirf aur sirf tumhara hai ussay kehna

Woh shakhs mujhay pyaara hai ussay kehna 

Wohi jeenay ka sahaara hai ussay kehna 

Log pyaaray hain bhout se mujh ko 

Woh sab se pyaara hai ussay kehna 

Mohabbatain , shikayatein , adaawatain us ki 

Mujhay sab gawara hai ussay kehna 

Chahnay walay aur bhi hain lakin 

Yeh dil sirf aur sirf tumhara hai ussay kehna

Dil kay sheeshay pe na likho raaz ki baatain kabhi

Aankh ki khirki khuli hai , aks baahir aye ga

Na kahin jahaan main amaan mili

Na kahin jahaan main amaan mili 

Jo amaan mili to  kahaan mili 

Meray juram-e-khana-e-khraab ko 

Teray uf-e-banda-e-nawaaz main

Kiya bataa'on bichar kar tujh se

Kiya bataa'on bichar kar tujh se

Aaj tak tajarbon main khoya hoon 

Tu mujhay bhool kar bhi khush ho gi 

Main tujhay yaad kar kay roya hoon 

Be'qaraar mousam main yaad kay jhrokon se

Be'qaraar mousam main 

Yaad kay jhrokon se

Phir tumhi se milnay ki 

Dil main kitni khwaish hai 

Aaj kal november ki 

Phir udaas shaamain hain 

Aur december kay aanay main 

Waqat thora baaqi hai 

In ujaar aankhon main 

Zard zard raatain hain 

Is sard mousam main 

Toot phoot jaatay hain 

Jab bhi yaad aatay ho 

Khud ko bhool jaatay hain 

Aaj phir hatheli par main hina se likhon gi

Aaj phir hatheli par 

Main hina se likhon gi 

Phir woh baat puraani 

Mard kuch bhi ho lakin 

Bewafa nahin hota

Yahaan pal pal jalna parta hai

Yahaan pal pal jalna parta hai 

Her rang main dhalna parta hai 

Her mor pe thokar lagti hai 

Her haal main chalna parta hai 

Her dil ko samjhnay kay liye khud se larna parta hai 

Kabhi khud ko khona parta hai 

Kabhi neend na aye phoolon pe 

Kabhi kaanton pe sona parta hai 

Kabhi mar kay jeena parta hai 

Kabhi jee kay marna parta hai 

Kabhi to khushiyaan loat kay ayen gi 

Is aas pe jeena parta hai 

Mujhay tum se mohabbat hai

Mohabbat jhoot lagti hai mujhay 
Aik khokla jazba 
Jissay izhaar ki her waqat khwaish ho 
Kahi jaanay ki 
Sun'nanay ki 
Jissay her pal zaroorat ho
"Mujhay tum se mohabbat hai "

Na'jaanay roz kitnay log 
IS jumlay ko sun'nanay kay liye be'daar hotay hain 
Yeh aisa jhoot hai jis ka sehar 
Sadiyon se taari hai 
Magar jaana 
Mohabbat jab kabhi izhaar ko tarsay 
Koi tum se agar keh dy 
"Mujhay tum se mohabbat hai "
To us ki baat mat sun'nana 

Mohabbat rooh se phootay 
Mohabbat aks ban jaye 
To phir tum ko yaqeen aye 
Keh main ne sach kaha tum se 
Mohabbat rooh ban jaye 
To phir us ka yaqeen karna 
Warna aik jumla koi kitni baar dohraaye 
Kahay jaye 
Nahin sun'nana 
Mohabbat jhoot hai jaana 
Agar izhaar ki is ko zaroorat ho
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...