Apr 18, 2018

Thahar gaye thay sar-e-rah guzar bas youn hi


Thahar gaye thay sar-e-rah guzar bas youn hi 
Tumhara kartay rahay intezaar bas youn hi 

Yeh jaan kar bhi keh tu apni das'taras main nahin 
Wafa ka kheench diya ik hisaar bas youn hi 

Woh mera tha hi nahin , main kisi se kiyon kehti 
Yeh raaz ho gaya hai Aash'kaar bas youn hi 

Tum apnay ehad main na'mohtabar sada kay thay 
Tumhara kar liya phir Aitbaar bas youn hi 

Hazar baar tumhein jeetnay ki koshish main 
Tumharay samnay maani hai haar bas youn hi 

Shikaar honay kay dar seliye diye se rahay 
Yeh teer ho gaya hai aar paar bas youn hi 

Hamaray qariya-e-jaan par hakoomatein kar lo 
Tumhein yeh de rahay hain ikhtiyaar bas youn hi 

Meri zameen pe qayamat to nayi baat na thi 
Yeh aankh ho gayi hai ashkbaar bas youn hi 

Phir aik baar lahu main hain hidatein jaagein 
Utar na jaye yeh bukhaar bas youn hi 





Meray lafzon ne kaha tha ruk jaa


Meray lafzon ne kaha tha ruk jaa

Haath joray thay meray lehjay ne 

Tumhari yaad ka mousam


Tumhari yaad ka mousam 

Kabhi hijrat nahin karta 

Jab dil tumhara apna ho


Jab dil tumhara apna ho 
Par baatein saari uss ki hon 
Jab saansein tumhari apni hon 
Aur khushbu aati uss ki ho 
Jab had darja masroof ho tum 
Woh yaad achanak aaye to 
Jab aankein neend se bojhal hon 
Tum paas ussay hi paao to 
Phir khud ko dhoka mat dena 
Aur uss se jaa kay keh dena 
Iss dil ko mohabbat hai tum se

Sharmatay is qadar rahay kiyon aap raat ko


Sharmatay is qadar rahay kiyon aap raat ko 

Muddat se go milay thay , magar main naya na tha 

Mohabbat kay safeeron kay sabhi kirdar jhoote hain


Mohabbat kay safeeron kay sabhi kirdar jhoote hain 
Main sach kehta hoon duniya ko meray sab yaar jhoote hain 

Yahan bint-e-hawa ka bhi hua hai sar nagoon aksar 
Yahan arbaab jhootya hain , sabhi kirdaar jhoote hain 

Yahan majboor insaan ki ana bikti bhi dekhi hai 
Yeh shaher jhoot nagri hai , aur pehray daar jhootay hain 

Yahan mujh se sukhan'war bhi keh jin ki soch bikti hai 
Sabhi dewaan jhootay hain , sabhi afkaar jhootay hain 

Hazaron hi woh waday jo meray tum sath kartay ho 
Bhala tum se na kehta tha , meri sarkar jhootay hain  

Teri her baat mohabbat main gawara kar kay


Teri her baat mohabbat main gawara kar kay 

Dil kay bazar main baithay hain khasra kar kay 

Aatay jatay hain kai rang meray chehray par 

Log letay hain maza , zakar tumhara kar kay 


Kar kay jata to duniya ki nazron main aa jata


Kar kay jata to duniya ki nazron main aa jata 

Samjh'daar qaatil tha mohabbat kar kay chor diya 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...