Jul 6, 2014

Us ne jalti hui paishaani pe jab haath rakha


Us ne jalti hui paishaani pe jab haath rakha 

Rooh tak aa gayi taseer masihaai ki

Apni matti hi pe chalney ka saleeqa seekho


Apni matti hi pe chalney ka saleeqa seekho 

Sang-e-mar'mar pe chalo gy to phisal jaao gy

Ae adm! ehtiyaat logon se


Ae adm! ehtiyaat logon se 

Log munkar nakeer hote hain

Aaiyna dekh , apna sa munh le ke reh gaye


Aaiyna dekh , apna sa munh le ke reh gaye 

Saahib ko dil na denay pe kitna ghroor tha

Ab nizah ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapis lo


Ab nizah ka aalam hai mujh par tum apni mohabbat wapis lo 

JAb kashti doobnay lagti hai to bojh utara kartay hain

Aa kar gira tha koi prinda lahoo main tar


Aa kar gira tha koi prinda lahoo main tar

Tasveer apni chor gaya hai chitaan par

Ujaalay apni yaadon ke hamaray saath rehnay do


Ujaalay apni yaadon ke hamaray saath rehnay do 

Na'jane kis gali main zindagi ki shaam ho jaye

Allah ray saadgi inhain itni nahin khabar


Allah ray saadgi inhain itni nahin khabar 

Mayat pe aa ke poochtay hain kiya hua inhain

Inhi pathron pe chal kar agar aa sako to aao


Inhi pathron pe chal kar agar aa sako to aao 

Meray ghar ke raastay main koi keh'kihsaan nahin hai

Apne markiz ki taraf mayal-e-parwaaz tha hussan


Apne markiz ki taraf mayal-e-parwaaz tha hussan 

Bhoolta hi nahin aalam teri angraai ka

Aao husan-e-yaar ki baatain karain


Aao husan-e-yaar ki baatain karain 

Zulf ki rukhsaar ki baatain karain

Andaaz hu bahu teri awaz-e-paa ka tha


Andaaz hu bahu teri awaz-e-paa ka tha 

Dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha

Ik fusat-e-gunnah mili woh bhi chaar din


Ik fusat-e-gunnah mili woh bhi chaar din 

Dekhaye hain hum ne hosle parwardigaar ke

Na takht-o-taaj main , na lashkar-o-sipaah main hai


Na takht-o-taaj main , na lashkar-o-sipaah main hai 

Jo baat mard-e-qalandar ki baargah main hai

Main tujh ko batata hoon taqdeer-e-umam kiya hai


Main tujh ko batata hoon taqdeer-e-umam kiya hai 

Shamshee-o-snaa awal tauoos-o-rabaab aakhir

Teray azaab bandon ki na yeh duniya , na woh duniya


Teray azaab bandon ki na yeh duniya , na woh duniya 

Yahan marney ki pabandi , wahan jeenay ki paabandi

Shadat hai matloob-o-maqsood-e-moman


Shadat hai matloob-o-maqsood-e-moman 

Na maal-e-ghaneemat na kishwar kushai

HAi dil kay liye mout machino ki hakoomat


HAi dil kay liye mout machino ki hakoomat 

Ehsaas-e-murawat ko kuchal detay hai alaat

Jis khait se dehqaan ko muyasar nahin rozi


Jis khait se dehqaan ko muyasar nahin rozi 

Us khait ke her khosha-e-gandum ko jala do 

Tere sofay hain afrangi , tere qaleen hain iraani


Tere sofay hain afrangi , tere qaleen hain iraani 

Lahoo mujh ko rulaati hai , jawano ki tan asaani

Pathar ki morton main samjha hai , tu khuda hai


Pathar ki morton main samjha hai , tu khuda hai 

Khaak-e-watan ka mujh ko her zara devta hai

Nahin hai cheez nikami koi zamanay main


Nahin hai cheez nikami koi zamanay main 

Koi bura nahin qudrat ke kaarkhnay main

Youn to syed bho ho , mirza bhi ho , afghaan bhi ho


Youn to syed bhi ho , mirza bhi ho , afghaan bhi ho 

Tum sabhi kuch ho batayo to musalmaan bhi ho

Parindon ki duniya ka darwaish hoon main


Parindon ki duniya ka darwaish hoon main 

Keh shaheen banata nahin aashiyana

Jhapatna , platna plat kar jhpatna


Jhapatna , platna plat kar jhpatna 

Lahoo garam rakhnay ka hai ik bahana

Parwaaz hai dono ki isi aik fiza main


Parwaaz hai dono ki isi aik fiza main

Kargas ka jahan aur hai shaheen ka jahan aur

Acha hai dil ke saath rahay paasbaan-e-aqal


Acha hai dil ke saath rahay paasbaan-e-aqal

Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor de

Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai


Dil se jo baat nikalti hai asar rakhti hai

Par nahin taqat-e-parwaaz magar rakhti hai

Khudi ko kar buland itna keh her taqdeer se pehlay



Khudi ko kar buland itna keh her taqdeer se pehlay

Khuda bandat se khud poochay bata teri raza kiya hai

Dashat to dashat hain dariya bhi na choray hum ne


Dashat to dashat hain dariya bhi na choray hum ne 

Behr-e-zulmaat main doraa diye ghoray hum ne

Ae tahir-e-la'huti us rizq ae mout achi


Ae tahir-e-la'huti us rizq ae mout achi 

Jis rizq se ati ho parwaaz main ko'tahei

Hum keh tehray ajnabi itni mdaraton ke baad


Hum keh tehray ajnabi itni mdaraton ke baad 

Phir banain gy aashna kitni mulaqaton ke baad

Banda-o-saahib-o-mohtaaj-o-ghanni aik huye


Banda-o-saahib-o-mohtaaj-o-ghanni aik huye

Teri sarkaar main ponchay to sabhi aik huye

Aik hi saff main kharre ho gaye mehmood-o-ayaaz


Aik hi saff main kharre ho gaye mehmood-o-ayaaz

Na koi banda raha aur na koi banda nawaaz

Khuda'wand yeh teray sada dil banday kidher jaayein


Khuda'wand yeh teray sada dil banday kidher jaayein 

KEh darwaishi bhi eyaari hai , sultaani bhi eyaari

Shikayat hai mujhe ya'rab ' khuda wandaan-e-maktab se


Shikayat hai mujhe ya'rab ' khuda wandaan-e-maktab se 

Sabaq shaheen bachon ko de rahay hain paak'baazi ka

Nahin hai na'umeed iqbaal apni kasht-e-veraan se


Nahin hai na'umeed iqbaal apni kasht-e-veraan se 

Zara num ho to yeh matti bari zarkhaiz hai saaqi

Yeh mefal-e-shouq sajanay waale


Yeh mefal-e-shouq sajanay waale
Yeh teray shouq ki manzil paane waale 

Yeh tere mehboob se dil lagane waale
Yeh zikar-e-mehboob ko vird bananaye waale

Yeh tere ishq ki milaad mananay waale
YEh ishq ki aag main khud ko jalanay waale

Paa lain ge tujhe ya'rab un ko paanay wale
Yeh do aalam apney aaqa pe lutanay waale

Yeh baab-e-jannat ka khwaab sajanay waale
Yeh sabaz gumbad dil main basanay wale

YEh dewaane ahad-e-ulfat nibhanay waale
Sar ke bal ayein gy , bulayein gy bulaane waale

Nahin tera nashai'mann qasr-e-sultaani ke gumbad par


Nahin tera nashai'mann qasr-e-sultaani ke gumbad par 

To shaheen ahi baseera kar paharon ki chitanon par

Hazaron saal nargis apni be'noori pe roti hai


Hazaron saal nargis apni be'noori pe roti hai 

Bari mushkil se hota hai chamn main deeda war paida

Hosh-o-hawaas ' taab-o-tawan "dagh" ja chukay


Hosh-o-hawaas ' taab-o-tawan "dagh" ja chukay

Ab hum bhi jane wale hain samaan to gaya 

Nahin minat kash-e-taab-e-shaneedan daastaan meri


Nahin minat kash-e-taab-e-shaneedan daastaan meri 

Khamoshi guftagoo hai be'zubaani hai zubaan meri

Kabhi shaakh-o-sabza -o-barg par kabhi ghunch-o-gul-o-khaar par


Kabhi shaakh-o-sabza -o-barg par kabhi ghunch-o-gul-o-khaar par 

Main chaman main chahye jahan rahoon , mera haq hai fasal-e-bahaar par 

Wada yeh mera hai tum se


Wada yeh mera hai tum se 
Keh saath kabhi tumhara nahin choron ga 
Wada yeh mera hai tum se
Keh hoga koi mushkil waqat nahin chorain gy saath tumhara 
Wada yeh mera hai tum se 
Keh chaho gy kisi mor par mera saath to do gy
Wada yeh mera hai tum se 
Keh jaan maango gay to woh bhi doon ga tum ko 
Wada yeh mera hai tum se 
Keh agar kabhi judaai aye gi to choron ga nahin sath tumhara
Wada yeh mera hai tum se 
Keh agar kuch mango gaye to don ga 
Wada yeh mera hai tum se 
Keh kabhi nahin toron ga wada yeh sara 
 
 

Main nahin jaanta keh tumhare khwabon main mera guzar hai ya nahin


Be naam sa rishta 

Main nahin jaanta keh tumhare khwabon main mera guzar hai ya nahin 

Magar meray khwaab tum hi se sajay hain 

Mujhe nahin pata keh tumhari muskurahat main koi yaad hai ya nahin 

Lakin meri muskaan tum hi ho 

Na'jane tumhari nazar ko mera intizaar hai bhi ya nahin 

Magar meri nigahain to tumhari muntazir hain 

Kiya khabar keh tumhari duaon main mera naam bhi hai ya nahin 

Magar meri duaein to bas tumhare liye hain 

Mujhe nahin maloom keh tumhari raahain aur manzalain kahan hain 

Lakin meri manzal to sirf tum hi ho 

MAin tum se be'khabar hi sahi magar tumhara muntazir hoon 

Tum se door hi magar saath tumharay hi hoon 

Agar tum socho to


Mujhe gila kisi se nahin hai


Mujhe gila kisi se nahin hai 
Mujh main hi koi kami hai 
Koi dost jab zarb ban kar 
Jigar mera chaak kar de ga
Meri ana ko pal bhar main 
Koi lamha khaak kar de ga 
Kahin koi chot ubraye 
Ilzaam mere sar hi tehra 
Main ghafil kahan hoon khud se
Yeh roshni mili hai jahad  se 
Piyaala labon tak laate laate
Zabat ke sabaq samjh main atay 
Tund hawaon se ghabrana kaisa 
Yeh shamma jali hai jalatay jalatay 
Jab tak koi ungli na uthaye 
Insaan kamal kab hua hai 
Aaiyon ki bhala ab kiya zaroorat 
Us ki aankhon ne yahi kaha tha 
Bhatka karain bhatkaney wale
Apna pata usi se mila hai 
Zindagi , main sharminda nahin hoon 
Yeh meri aagahi ka sila hai  

Judai ho keh milan her ada hamari hai


Judai ho keh milan her ada hamari hai 
Tumhara shaher hai lakin fiza hamari hai 

Shikayatain bhi karain hum to kis zubaan se karain 
Khuda banaya hum ne yeh khata hamari hai 

Hamari jisam ki uriyaanat pe mat hansana 
Keh tum jo oorhay huye ho woh ridaa hamari hai 

Hamare samne zeba nahin ghroor tumhain 
Jahan pe baithe ho woh jaga hamari hai 

Zindagi ne ik youn bhi gham diya mujhe


Zindagi ne ik youn bhi gham diya mujhe

Bichar ke doston se jab rula diya mujhe

Aur woh jo mere aziz thay 
Mere ansoon ko jo ponchtay 
Woh hi manatay woh jab roothtay 
Meri zindagi main bahaar thi 
Meri aankhon ka woh qaraar thi
Mere lab pe baat unhi ki hai 
Mere dil main yaad unhi ki hai 
Main khuda se karta hoon yeh dua 

Keh woh dost mere jahan rahain 

Woh lamha lamha hansa karain 

Bhout khush hua jee aaj hazrat "josh" se mil kar


Bhout khush hua jee aaj hazrat "josh" se mil kar 

Abhi agli shrafat ke namoonay paye jaatay hain

Phirtay hain "Mir" khwaar koi poochta nahin


Phirtay hain "Mir" khwaar koi poochta nahin 

Is aashqui  main izzat-e-sadaat bhi gayi

Aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma saraa


Aamad bahaar ki hai jo bulbul hai naghma saraa

Urtti si ik khabar hai zabani tayour ki

Us ne apna bana ke chor diya


Us ne apna bana ke chor diya 

Kiya aseeri hai , kiya rihaai hai

Sadaqat ho to dil seenon main khinch'nay lagtay hain waa'az


Sadaqat ho to dil seenon main khinch'nay lagtay hain waa'az

Haqeeqat khud ko manwa leti hai maani nahin jati

Wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai


Dar'badar naasiya farsaai se kiya hota hai 

Wohi hota hai jo manzoor-e-khuda hota hai

Hamare paaon main to tum ne zanjeer-e-wafa daali


Hamare paaon main to tum ne zanjeer-e-wafa daali

Tumhare hath se kiyon rishta mehr-o-karam choota

Mat chaho mujhe itna mujh se kuch nahin paao ge


Mat chaho mujhe itna 
Mujh se kuch nahin paao ge
Shohrat 
Izzat 
Waqaar 
NAhin is khail main 
Zillat 
Ruswaiyaan
Tanhaiyaan 
Aur phir
Haar jaao gi
Aansoo lahoo
Zindagi azaab ban jaye gi 
Ajab khyal ayein gy 
Neend bhi kho jaye gi 
Kaanch sa nazuk dil tumhara 
Toot gaya to pachtaao gi
Meri zeest ke warq palto gi to 
Yahi assa'saye  paaoo  gi
Mat chaho mujhe itna 
Mujh se kuch na paao gi

Kiya tumhain meri yeh dharkan sunai de rahi hai


Kiya tumhain  meri yeh dharkan sunai de rahi hai 
Zara is se poocho ke kissay yeh pukaar rahi hai 

Mujhe to yeh kash'makash main ar rahi hai mubtalla
Tum hi is se poocho kiyon mujhe yeh behkaa rahi hai 

Jab bata'ta hoon kisi ko haal-e-dil to khamosh rehti hai 
Ab dekh yeh mujh par muskuraa rahi hai 

Khud main jane is ne kis ko basa liya hai 
Mujh se to yeh apni her baat  chupa rahi hai 

JAb yeh apni hai to ussay bhi apna maan loon ga 
Khurram issay kaho ab kiyon mujhe azmaa rahi ahi 

Tum kehtay ho keh main tumhain bool jaaon


Tum kehtay ho keh main tumhain bool jaaon 
Agar tumhari yahi arzoo hai 
To phir ' meri chand shartein hain 
Agar tum woh poori kar sako to kaho 
Agar tum mujh ko samandar  ki mojon 
Ko taqseem kar ke dikhao
Aur dikhao mujhe falak ki Bulandiyon ko mutthi main qaid kar ke
To phir main tumhain 
Bhoolney ki koshish karoon gi 
Agar tum mujh ko 
Sitaron bhari shab dikhao
Aur dikhao mujhe shab ko 
Ubharta hua suraj
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Agar tum mujhe raangon main 
Gardish karti hui dharkan sunao
Aur dikhaao mujh ko woh zameen 
Jo baarish barsaati hai 
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Aur agar tum aisa kar sako gy 
To phir main khud ko taqseem 
KArney kay liye tayaar hoon 
Aur phir main wada karti hoon 
To phir main tumhain bhoolney ki koshish karoon gi
Jee haan koshish karoon gi 

 

Chahney ki khata bar bar nahin karti


Chahney ki khata 

Bar bar nahin karti 

Main lafzon main kuch bhi izhaar nahin karti 

Is ka matlab yeh nahin keh main tujhe pyaar nahin karti 

Chahti hoon main tujhe aaj bhi par 

Teri soch main apna waqat be'kaar nahin karti 

Tamasha na ban jaye kahin mohabbat main 

Isi liye apne dard ko namu'daar nahin karti

Jo kuch mila hai usi main khush hoon main 

Tere liye khuda se takraar karti hoon main 

Par kuch to baat hai teri fitrat main zaalim 

Warna main tujhe chahney ki khata bar bar nahin karti

Utha ke hath khuda se bas maangi yahi dua


Utha ke hath khuda se bas maangi yahi dua
Naseeb hon khushiyaan tumhain tum khush raho sada 

Tum ko rahat mile , tum ko chahat mile 
Tumhain saray jahan ki mohabbat mile 

JAhan main sab se ache hon tumhare naseeb 
Koi dukh kabhi bhi na aye tumhare qareeb 


Dil ki her aarzo poori khuda kare 
Tumhare chahney walon ko kabhi bhi na juda kare 

Mil jayein tum ko mere bhi naseeb ki khushiyaan 
Dua hai yeh bas tum ko kabhi gham na mile
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...