jaan-e-tamana jaan-e-adaa
tujhe jaisa hai socha paya wohi
sooraj si kirno sa ik chehra
dekha hai tum sa main ne nahi
meri mohabbat ka her lamha
tujh mein hi gumm sa gaya
na main hoon aashiq
na main deewana
keh do mujhey jo piya
tera mera hai pyar amar
tu chahay tu kadmon mein
sar rakh doon
yeh jeevan kya gar maangey tu
meri jaan nazar kar doon
tera mera hai pyar amar
noor-e-jahaan aur noor-e-mohabbat
dono judein tujh se piya
pagal ya jogi mujh ko kaho tum
haan mera ishq sab se judaa
teri hi khaatir
loon 100 janam main
chahey jo ho bhi bhala
na main hoon aashiq
na main deewana
keh do mujhe jo piya
tera mera hai pyar amar
tu chahe toh kadmon mein
sar rakh doon
yeh jeevan kya agar maange tu
meri jaan nazar kar doon
tera mera hai pyar amar
writer :Ahmed Jahanzeb