May 31, 2014

Mohabbat ho bhi sakti hai


Mohabbat ho bhi sakti hai 

Pighal pathar bhi saktay hain

ulat dariya bhi sakta hai

koi awara sa panchi 

palat kar aa bhi sakta hai

jo shab keh

mujh pe hansti hai

wohi shab ro bhi sakti hai

mohabbat ho bhi sakti hai

Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay


Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay

Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay

meri batain bhi ghalat , meray iraday bhi ghalat

be'wafai ka yeh khud'sakhta bohtaan bhi tasleem mujhay 

yeh bhi mana keh gham-e-dehar jawaan tha to

gham-e-jana ko meri aankh ke ansoo na milay

jab zamano ki yeh be'mehar hawain meri sochon ko jala dati hain

main sochta hoon

jab gham-e-dehar ki palkain teri janib meri shid'dat ko ghata deti hain

main sochta hoon

jab kabhi apni jafaein mujhay khud apni nighahon main gira dati hain

main sochta hoon

Tum ne bhi kon sa chaha tha mujhay

Jo bhi daron-e-dil hai woh bahir na aye ga


Jo bhi daron-e-dil hai woh baahir na aaye ga 
Ab Aa'gahi ka zehar zaban par na aaye ga 

Ab kay bichar kay us ko nadamat thi is qadar
Jee chahta bhi ho to palat kar na aaye ga 

Youn phir raha hai kaanch ka paikar liye huye
Ghafil ko yeh gumaan hai keh pathar na aaye ga 

Phir boo raha hoon aaj unhi saahilon pe phool 
Phir jaisay moj main yeh samandar na aaye ga 

Main jaan bulb hoon tark-e-taaluk kay zehar se 
Woh mutmaein keh harf to us par na aaye ga

Qurbaton main judai kay zamanay maangay


Qurbaton main judai kay zamanay maangay 
Dil woh be'mehar keh ronay kay bahanay maangay 

Hum na hotay to kisi aur kay charchay hotay 
Khalqat-e-shaher to kehnay ko fasanay maangay 

Yehi dil tha keh tarasta tha marasam kay liye 
Ab yahi tark-e-taaluq kay bahanay maangay 

Apna yeh haal keh jee haar chukay lut bhi chukay 
Aur mohabbat wohi andaz puranay maangay 

Zindagi hum teray daghon se rahay sharminda 
Aur tu hai keh sada Aainay khanay maangay 

Dil kisi haal pe qaneh hi nahin jaan-e-faraz
Mil gaye tum bhi to kya aur na janay maangay

chalo tum sath mat dena


Adhoora pyaar

chalo tum sath mat dena
mujhay be'shak bhula dena
naye sapny saja lena
naye rishtay bana lena
bhula dena sabhi wade
sabhi qasmain , sabhi naatay
tumhain jana ijazat hai
jo dil chahye woh sab karna
magar ab tum kisi se bhi
adhoora pyaar mat karna...

Judai ke mousam main utarti shaam se pehlay


Judai ke mousam main 

Judai ke mousam main 
utarti shaam se pehlay
meri yak'basta aankhon main
khamoshi raqas karti hai
to is ki yaad ki payal
youn meray kaan main aa kar
musal'sal chan'chanati hai
to phir yak dam khamosi ka 
tasal'sul toot jata hai
phir aisay main koi koyal
baray hi karb se koo'ky
to youn mehsoos hota hai
keh jaisay be'sabab koi 
kisi ko yaad karta hai

Aik raat ujalo meray liye


Aik raat ujaalo meray liye 

Aik raat ujaalo meray liye 
Main so jaaon .. tum jaago
Ik shabnam haath rakho seenay par 
Lams jagay to lab meh'kaao 
Saans main phool khilaao 
Hawa chalay to ...
PAlkon pe sitaray barsaao 
Neend kay par phailay jayein 
Phir khawab samandar jhaago
Ik raat ujaalo meray liye 
Main so jaaon tum jaago

Koi apna hota


Koi apna hota 

Chand sitaron kay shaher main 
Afsano kay nagar main 
Koi apna 
Chahnay wala hota 
Aankhon main basnay wala hota 
Ae zahid 
Koi apna hota 

aik pal main ho zindagi


Aik pal main ho zindagi 

Meray raaston main chamak uthay 
Meri tehra jaan main damak uthay 
Milay ik pal teri deed ka 
To meri nazar main ho roshni 
Wohi khil uthein ! meray chaar su 
Woh jo aarzoo kay gulaab hain 
Keh jo chahaton kay nisaab hain 
Kisi aik pal main ho zindagi 
Teray harf harf ki chaashni 
Teri baat baat ki dil'hari
Mujhay le kay apnay hisaar main 
Kisi da'imi se rukh'maar main 
Wohi ik pal meray gum'shuda 
Mujhay zindagi ki naveed ho 
Zahid wohi ik pal keh Milay 
JAb to meri bhbi Eid ho

Hum dartay hain


Hum dartay hain 

Hum dartay hain 
Hum tumhein rangon se khailna 
Chehron ko parhna 
Sikha to dain 
Magar....
Hum dartay hain zahid 
Phir tum her chehra be'niqaab kar daalo gay 
 

Jab mera zikar ho


Jab mera zikar ho 

Meray marnay kay 12 bars baad bhi 
Gar kahin pe kabhi 
Jab mera zikar ho 
Aur palkein teri 
Tujh ko num si lagein 
Zahid main yeh samjhon ga 
Main ne tujhay paa liya

december ki sard raton main


December ki sard raaton main 

December ki sard raaton main 
Jab dair talak teri yaadon kay jalo main 
Chaltay chaltay thak sa jaata hoon 
Teri judai main kitna badal gaya hoon 
Dil se lahoo ki boondain ris ris kar 
Zameen bos hoti hain 
Aankhon se jab ashkon ki lahu na khatam hoti hai 
Sochta hoon 
MAin to us qareeb-ul-marg shakhs se bhi bad'tar hoon 
Jo marnay ki khwaish main mout ko awaz de aur zahid mout 
Ussay chu kar guzar jaye

dukh yeh hai keh


Yeh dukh hai keh 

Dukh yeh nahin keh 
Tu nahin milta 
Dukh yeh hai keh 
Tu ne milna chor diya hai 
Magar zahid !!!
Tu nahin badla

mujhay tum dua detay ho na


Suno 

mujhay tum dua detay ho na 

keh .....

khuda tumhain hamesha kush rakhay

jahan bhi rakhay

jis ke sath bhi rakhay

par na janey kyn 

is aakhri jumlay par mujhay 

bad'dua ka gumaan hota hai

kabhi zindagi main agar tu akela ho


Ajnabi 

kabhi zindagi main agar tu akela ho

aur dard had se guzar jaye

aankhain teri

baat be baat ro parhein

tab koi ajnabi

teri tanhai ke chaand ka naram haala banay

teri qamat ka saya banay

teray zakhmon pe marham rakhay

teri palkon se shabnam chunay

teray dukh ka maseeha banay

Do aankhon se


Do aankhon se 

Hum ne un ko 
Itna dekha 
Do aankhon se 
Jitna dekha jaa sakta hai 
Lakin phir bhi do aankhon se 
Zahid , kitna dekha jaa sakta hai

Qadm dar qadm kat'tay ja rahay hain


Qadm dar qadm kat'tay ja rahay hain

achanak kisi ajnabi mor par aik lamhay ko ruktay hain

to dekh'ty

na'janay kidher se judai ka ik tez jhonka 

ta'aluq ke saray dia'on ko bujhata 

dilon main gil'on ki faseelain utha'ta 'barh'ha aa raha hai

aur us ki uri hui gard 

lamhon main be'shakal karti

hai umron pe phailay huye faisalon ko ! !

Dosti un se ho gayi hai Adam


Dosti un se ho gayi hai Adam 

Jin ki her baat karo'baari hai

Yeh main hoon jissay tum se mohabbat hai


Yeh main hoon

jissay tum se mohabbat hai

jo tum chayo to is chahat main mita doon khaak kar doon khud ko

jala ke aatish-e-shauq main raakh kar doon khud ko

main khud apni nafi ho kar tum ho jayon

bhula doon apni hasti

fana ki dhool  main gum ho jayon

yah sab mumkin hai meri jaan 

magar yeh bhi to socho

main apny aap ko mita doon to

mohabbat phir karay ga kon tum se

keh ae jan-e-tamana 

yeh Main hoon

jissay tum se mohabbat hai

Ik din aisa ho ga


Ik din aisa ho ga

Meri hatheli se phooti roshni
meray muqadar ke siyah raaton ko 
aik aisa sitara bakhsy gi
jis ki chamak
teri aankhon ko chundhiya de gi
raton ko phir tu so na sakay ga
hath rakh ke aankhon par
kabhi ro na sakay ga

Aankhon main sitaray to kai shaam se utray


Aankhon main sitaray to kai shaam se utray

par dil ki udasi na dar-o-baam se utray

kuch rang to ubhrayteri gali pehrani ka

kuch zang to aaina ayaam se utray

hotay rahay dil lanha ba lamha teh-o-bala

woh zeena ba zeena baray araam se utray

jab tak teray qadmon main frokash hain sabu'kash

saaqi khat-e-bada na lab-e-jaam utray

Poet : Ahmed Faraz

woh chala gaya achanak sabhi rabtay mita kar

woh chala gaya achanak
sabhi rabtay mita kar
sabhi zabtay bhula kar
so koi sabab to ho ga
mujhay hai yaqeen us par
yeh jo dil ke rabtay hain
inhain laakh woh mitaye
hain jo zabtay wafa ke
inhain laakh woh bhulaye
yeh jo dil dharak raha hai
yeh jo gardahein hain khoon main
yeh jo saans chal rah hai
yeh daleel hai keh mujh ko
woh yaad kar raha hai
woh hai meray dil ki manzal
mera hamsafar bhi woh hai
woh nazar ke samney bhi
aur pas-e-nazar bhi woh hai
meray dard ka hai khaliq
mera chara gar bhi woh hai
hai usi ka rang mujh par
meray chaar so wohi hai
meray dil ki raah guzar par
meray ru'baru wohi hai
meri aankh ka hai tara
wohi chaand meri shab ka hai
meri guftagoo main shamil
woh maqaam hai adab ka
yeh jo rabtay hain dil ke
inhain laakh woh mita le
yeh nahin mitaye jatay
ussay kaisay main bataon
woh chala gaya achanak
sabhi rabtay mita kar

Suni larki ! mujhay pehchanti ho kiya


Suno larki 
Mujhay peh'chanti ho kya ?
Wohi hoon main 
Ji sne tumhein peh'chana'nay 
ki justagu main 
Apni pehchaan kho di thi 

Suno larki 
Mujhay tum jaanti ho kya 
Wohi hoon main 
Jis ne tumhein jaan'nanay ki aarzoo main 
Apni jaan kho di thi 

Woh saahilon ki hawa si larki


Ik larki 

Gulaab chehray pe muskurahat 
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Woh jab bhi college ki seerihon se 
Sahaliyon ko liye utar'ti
To aisay lagta keh jaisay dil main 
Utar rahi ho 
Kuch is teefan se baat karti 
Keh duniya us ki aankhon 
se dekhti ho 
Woh apnay rastay pe dil bichaati 
Hui nigahon se hans kar kehti 
Tumharay jaisay bhout se larkon se main yeh baatein 
Bhout se barson se sun rahi hoon 
MAin saahilon ki hawa hoon 
Neelay samandron kay liye bani hoon 
Woh saahilon ki hawa si larki 
Jo kal mili to is tarah thi 
Gulaab chehray pe muskurahat 
Chamakti aankhon main shokh jazbay 
Keh jaisay chandi pighal rahi ho 
MAgar jo boli to us kay lehjay main woh thakan thi
Keh jaisay sadiyon se dasht-e-zulmat main jal rahi ho

Sath to ajnabi bhi chaltay hain


Us ne mujh se kaha
meray sathi 
tum ko mujh se jo gila hai .... kiya hai ?
kabhi fursat milay to yeh socho
minzalain kyn hain ? fasla kiya hai
apny apny safar par nikly log
mushtarik raston par chaltay hain
hamrahi ke hisaar main jitny
din nikaltay hain chraagh jaltay hain
apni apni umeed ke dar-o-baam 
zindagi ke safar main milty hain
mustaqil dard , arzi araam
tum meray hamsafar to ho lakin
hum kahin se bichar bhi saktay hain
der tak ik taveel rastay par 
sath to ajnabi bhi chaltay hain

Poet : Amjad Islam Amjad

Tumharay liye hi lafzon ki yeh bazam sajai hai


Tumharay liye hi lafzonm ki yeh bazam sajaai hai 
Woh lafz jo bikhray huye motiyon ki tarah thay 
Apni jaga mukamal ' magar be'mahni 
Yeh moti meray ird gird bikhray huye thay 
MAin roz unhein youn hi rond'tay huye guzar jaata 
Magar phir achanak tum  mil gayein 
Tumhari mohabbat ghair'mehsoos tareeqay se meri ragon main dor'nay lagi
MAin ne pehli dafa tumhari ba'dolat mohabbat ko mehsoos kiya 
Mohabbat !
Jis kay baaray kehtay hain "zaat ki takmeel hoti hai"
Kaainaat ka khoobsurat tareen jazba 
Aur tum ne mujhay sar se paaon tak mohabbat kar diya 
Main yeh iqraar karta hoon 
keh tum ne , tumhari mohabbat ne mujhay in bikhray motiyon ko pirona sikhaya 
Meray jazbat Apahij thay !
Tum ne qalam kay zariye unhein chalna sikhaya 
Aur is kay baad main ne tumharay sang guzra her lamha tasawur kar liya
JAzbon ko lafzon kay qaalab main dhaal diya 
Woh kabhi nazam ki surat , kabhi ghazal kay roop main dhal gaye 
Tabhi to tum mehsoos kar sakti ho 
Keh meri shairy kay pehlu main tum dil ban kay dha'rakti ho 
Tum ne meray liye itna kiya aur main tumharay liye kuch na kar saka 
Tumharay saath chalnay ki khwaish thi magar na chal saka 
Meri majbooriyan meray paaon ki bairiyaan ban gayi 
Magar mujhay apna wada yaad hai
Keh main lafzon kay motiyon se jitni bhi maala'ein bana'on ha 
Sab tumharay liye hon gi 
Main aaj is Ehad ki tajdeed karta hoon , is iqraar kay saath 
Keh mujhay tum se mohabbat hai 
Woh mohabbat jo zaat ki takmeel hoti hai

Apni aaghosh main ik roz chupha lo mujh ko


Apni Aaghosh main ik roz chupha lo mujh ko 
Gham duniya se meray dost bacha lo mujh ko 

Un ko de di hai ishaaron main ijazat main ne 
Maangnay se na milon to chura lo mujh ko 

Dil main na'kaam tamna'on ka toofan sa hai 
Meri uljhan , meri wehshat se nikalo mujh ko 

Un ko likhna hai kisi roz yeh khat main jana 
Hum to khud kay bhi nahin apna bana lo mujh ko 
 

Hazaron dukh parein sehna mohabbat mar nahin sakti


Hazaron dukh parein sehna mohabbat mar nahin sakti 
Hai tum se bas yahi kehna mohabbat mar nahin sakti 

Tera her baar meray khat ko parhna aur ro dena 
Mera her baar likhna mohabbat mar nahin sakti 

Kiya tha hum ne campus ki nadi pe  ik haseen wada 
Bhalay hum ko paray marna mohabbat mar nahin sakti 

JAhan main jab talak panchi cheh'haktay urtay phirtay hain 
Hai jab talak phool ka khilna mohabbat mar nahin sakti 

Puranay ehad ko jab zinda karnay ka khayal aaya 
Mujhay bas itna likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Agar hum hasraton ki qabar main hi dafan ho jayein 
To yeh kutbon pe likh dena mohabbat mar nahin sakti 

Puranay raabton ko phir naye wadon ki khwaish hai 
Zara ik baar to kehna mohabbat mar nahin sakti 

GAye lamhaat fursat kay kahan se dhoond kay laaon 
Woh pehron haath pe likhna mohabbat mar nahin sakti

Jaan-e-jaan tum kehti thein


Jaan-e-jaan tum kehti thein


Jaan-e-jaan tum kehti thein
jano aap ! meray bachay ho
mujh ko aisa lagta hai keh tum oorh ke meray lahu ko meray badan main soye rahay ho
meri rooh ka nasha pee kar meray andar khoye rahay ho
meray jisam ka hi hissa ho
Jaan-e-jaan tum kehti thein
jano aap meray bachay ho
lakin aisay
jis ko main apney aanchal ke goshon main to chupa kar rakh sakti hoon
jis ko aankh ki putli main phna kar rakh sakti hoon lakin is bachay ko
jano aap ko
duniya ki nazar main lana nahin hai mumkin
bara khathan hai 
is dharti ki zalim rasmain
sab jhagray sabhi masail
kab tasleem nahin hain mujh ko
lakin jana yeh batlayo
kiya koi maa
apney bachay ko sardi main
khuli hui veeran sarak par
raat ki bheegi tanhai main 
san san karti hawa ke jhonkon ke maqtal main chor ke tanha
manzal wali roshan raah par chal sakti hai ?
lakin tum ne yahi kiya 
jaan-e-jaan 

Woh jo shair tha chup sa rehta tha


Woh jo shair tha chup sa rehta tha 
Behki behki si batain karta tha 
Aankhain kano pe rakh ke sunta tha 
Goongi khamoshion ki awazain !
Jamah karta tha chaand ky saaey
Aur geeli si noor ki boondain
Rookhay rookahy se raat ke patay
Aoak main bhar ke khar'khar'ta tha
waqat ke is ghaneray jungle main
kachay pakay se lamhay chunta tha
haan , wohi ,ajeeb sa shair
raat ko uth ke kohniyon ke bal
chaand ki thori chooma karta tha
chaand se gir ke mar gaya hai woh
log kehtay hain khud'kushi ki hai ...!
haan wohi ajeeb sa shair

Betiaan bhi to maa'on jaisi hoti hain


Betiaan bhi to maa'on jaisi hoti hain
Zabt kay zard aanchal main apnay 
rotay rotay hans parti hain
Hanstay hanstay , dil hi dil main ro leti hain
Khushi ki khwaish kartay kartay 
Khawab aur khaak main utt jati hain 
So hisson main bat jaati hain 
Ghar kay darwaze pe baithi 
Umeedon kay resham buntay ....sari umar ganwa deti hain 
MAin jo gaye dino main 
Maa ki khush fehmi pe hans deti thi 
Ab khud bhi to 
Umar ki girti dewaron se taik lagaye 
Fasal khushi ki boti hoon 
Aur khush fehmi ki kaat rahi hoon 
Janay kaisi rasam hai yeh bhi 
Maa kiyon beti ko warsay main 
Apna muqadar de deti hai ....!

Tujhay kiya khabar , dil-e-be'khabar


Dil-e-be'khabar 

Tujhay kiya khabar , dil-e-be'khabar
dil-o-jaan ke rishtay thay kitnay mohtabar
jo chala gaya hai woh chor kar
nahin ab koi tera chara gar
dil-e-be'khabar , dil-e-be'khabar 
teri manzalin to koi aur thein
teri hasratein thein shayed na'mohtabar
tu zameen main koi khwaab tha
us ke samney tha roshan aasman
tabhi tu banta raha hai gard-e-safar
dil-e-be'khabar  
tha andheron main chupa tera ashiyan 
chaand taray thay is kay shreek-e-safar 
phir kaisay loat ke leta woh teri khabar
dil-e-be'khabar , dil-e-be'khabar 
ab dhoond na ussay dar badar 
woh nahin raha ab tera chara'gar
dil-e-be'khabar   , dil-e-be'khabar

Mohabbat dukh nahin deti


Mohabbat dukh nahin deti


Mohabbat dukh nahin deti
agar be'gharz ho jazba
agar manzal banay rasta
agar chahat ke parday main
koi lalich na ho lipta
agar tum sonp do sab kuch
agar silay main kuch nahin mango
agar soda na ho koi
mohabbat bas mohabbat ho
to phir yeh sukh hi deti hai
kabhi dukh nahin deti
mohabbat dukh nahin deti

Tasveer teri dekh ke hota hoon ashk'baar


Tasveer teri dekh ke hota hoon ashk'baar
pani ki motiyon se banati hai aankh haar

dil main chamak rahi hain nigha'on ki bijliyan 
aankhon pe cha raha hai teray pyaar ka khumar

teray bagair zindagi ab to andhera hai
urta hai meray charon taraf dard ka ghubar

sochon ke dairay main tera naam aye ga
chup chup ke dhoondta hon tujhay badlon ke paar

phirta hoon chandani main bhatakta hua hassan
shayed pukaar le kisi janab se boo-e-yaar

 

Sang-e-mar'mar se trasha hua yeh shokh badan


Sang-e-mar'mar se trasha hua yeh shokh badan

itna dilkash hai keh apnanay ko jee chahta hai 

surkh honthon pe thar'rakti hai woh rangeen shraab

jis ko pee pee keh behak janey ko jee chahta hai 

naram seenay main thar'raktay hain woh nazuk toofan

jin ki baharon main utar janey ko jee chahta hai

tum se kiya rishta hai , kab se hai , yeh maloom nahin lakin

is hussan pe mit janey ko jee chahata hai 

hum se behtar hai yeh pazaib jo us paon main hai 

izhaar-e-pazaib main dhal janey ko jee chahata hai

rakh le kal kay liye yeh dosri pazaib

ae dil kal isi pazaib main phir anay ko jee chahata hai

be'khabar loot ke soya hai woh neendein meri

jazba-e-dil pe taras khanay ko jee chahata hai

hum se sotay main jo gustakhiyan kein hain tum ne

tum ko un ki saza denat ko jee chahta hai

Aaj phir dard-o-gham ke dhagay main


Aaj phir dard-o-gham ke dhagay main
hum pro kar teray khyal ke phool 

Tark-e-ulfat ke dasht se chun kar
Ashnai ke maah-o-saal ke phool

teri dehleez pe saja aye
phir teri yaad pe chrha aye

baandh ke aarzo ke paly main
hijar ki raakh aur wisaal ke phool

Woh aik socha hua naaz sa takalum main


Uljhan 

Woh aik socha hua naaz sa takalum main 
Nazar main aik jhij'jhak si bana'i hui 

LAbon pe aik tabasum zara lajaya sa
Jabeen pe bazam-e-murawat saji sajaai hui 

Dhaka dhaka sa takabur woh baar sun'nay main 
Thi us main husan ki nazish kahin chupai hui 

Badan main khouf ki larzish bhi , aur dawat bhi 
Guraiz karti hui aur qareeb aati hui 

Kuch us ko dekh kay khulta na tha keh kya hai 
Faraib deti hui ya faraib khaai hui 

Main tumhein bhool jaaon ga lakin yeh shart hai


Main tumhein bhool jaaon ga lakin yeh shart hai 

Gulshan main chal kar phool ko khushboo se juda karo

Kis liye phir udaas baithi ho


Kis liye ab udaas baithi ho
jab woh ik shakhs dastaras main tha
us se milna tumharay bas main tha
us ki aankhain tumhari aankhain thein
us ki batain tumhari batain thein
us ka chahera tumhara chahera tha 
us ke dil par tumhara pehra tha
us ki her saans main bai thein tum
us ke her lafaz main khil thein tum 
us ke sapno main bhi rachi thein tum
us ki neendon main jagti thein tum
woh jo kehta tha be'qarari hai
meri sari wafa tumhari hai
sirf tum se mujhay mohabbat hai
sirf tum se meri haqeeqat hai
kitni batain main keh nahin sakta
door tum se main reh nahin sakta
tab tum us ke her aik jumlay ko
tab tum us ke her aik jazbay ko
ik hansi main uraya kari thein
us ki aankhon ko dekhti jab woh
be'niazi ke dard sehta tha
bhool jana tumhari aadat thi
phir bhi kitna mallol rehta tha
apni tanhai ke galay lag kar 
saray ansoo woh ro gaya ik din
aik pathar se dil lagi kar ke 
khud bhi pathar ka ho gaya ik din
ab woh tum se kuch nahin kehta 
be'niazi ke dukh nahin sehta
us ki aankhain ab us ki aankhain hain
us ki batain ab us ki batain hain
bhool jana tumhari aadat hai
us ki baton ko bhool jayo na
ab woh aik sakhs dastaras main nahin
us se milna tumharay bas main nahin
kis liye phir udaas baithi ho..???

Tum se milna to bari baat hai jana


Tum se milna to bari baat hai jana 
Tumhari tasawu'raati mulaqaat bhi 
Bais-e-taskeen hai meray liye 
Is mulaqaat se kam az kam 
Itna to hota hai keh 
Hamaray sab gilay shikwaye 
Tum door kartay ho 
Sab ranjishein , sab kaliftein 
Tum khatam kartay ho 
Nahin kartay to bas
Yeh nahin kartay keh 
Hum se milnay ka wada hi 
Efaa kar do lakin 
Phir woh wada hi kya ?
Jo wafa ho jaye
 

Tum se milna to bari baat hai jana


Tum se milna to bari baat hai jana 
tumhari tasawrati mulaqaat bhi
bais-e-taskeen hai meray liye
is mulaqaat se kam iz kam
itna to hota hai keh 
hamaray sab gilay shikwey
tum door kartay ho
sab ranjashain , sab kalfatain
tum khtam kartay ho
nahin kartay to bas
yeh nahin kartay keh
hum se milney ka wada hi efa kar do lakin 
phir woh wada hi kiya ?
jo wafa ho jaye

Hum teray bin ab reh nahin saktay


Hum teray bin ab reh nahin saktay 
teray bina kiya wajood mera
tujh se juda gar ho jayein gy
to khud se hi ho jayein gy juda
kyn keh tum hi ho ,ab tum hi ho
zindagi ab tum hi ho
chain bhi mera dard bhi
meri aashiqui 
ab tum hi ho ....

tera mera rishta hai kaisa
ik pal door gawara nahin
teray liye her roz hain jeetay
tujh ko diya mera waqat sabhi
koi lamha mera na ho teray bina
her saans pe naam tera
teray liye hi jiya main
khud ko jo youn dy dia hai
teri wafa ne mujh ko sambhala
saray ghamon ko dil se nikala
teray sath mera hai naseeb jura
tujhay pa kar adhoora na raha
kyn keh tum bhi ho , ab tum hi ho
zindagi ab tum hi ho 
chain bhi mera dard bhi
meri ashiqui
ab tum hi ho ....!

Ab tum hi ho



Hum teray bin ab reh nahin saktay 
teray bina kiya wajood mera
tujh se juda gar ho jayein gy
to khud se hi ho jayein gy juda
kyn keh tum hi ho ,ab tum hi ho
zindagi ab tum hi ho
chain bhi mera dard bhi
meri aashiqui 
ab tum hi ho ....

tera mera rishta hai kaisa
ik pal door gawara nahin
teray liye her roz hain jeetay
tujh ko diya mera waqat sabhi
koi lamha mera na ho teray bina
her saans pe naam tera
teray liye hi jiya main
khud ko jo youn dy dia hai
teri wafa ne mujh ko sambhala
saray ghamon ko dil se nikala
teray sath mera hai naseeb jura
tujhay pa kar adhoora na raha
kyn keh tum bhi ho , ab tum hi ho
zindagi ab tum hi ho 
chain bhi mera dard bhi
meri ashiqui
ab tum hi ho ....!

kitni muddat baad tunhari yaad ayi hai


Kitni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay dil yeh ruk jaye ga 
Youn lagta hai jaisay aankhein 
Apnay saray aansoo ro kar 
Bilkul banjar ho jayein gi 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam  phir se loat aaye hain 
JAna yeh dil khush rehnay kay 
Tor tareeqay bhool chuka hai 
US par aisay yaad ki dastak 
Youn lagata hai jaisay dil par 
Aik qayamat guzar rahi ho 
Koi toofan aan kharra ho 
Jaisay aik akeli naao 
Beech bhanwar kay aan phasi ho 
Youn lagta hai jaisay sapnay 
Aik haqeeqat ban baithay hon 
Utni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Soch raha hoon kya us ki tazeem karon main 
Palkon par ashkon kay deep jala leta hoon 
Dil kay ujray aangan ko mehkaa leta hoon 
Dil kehta hai phir khud ko taqseem karoon main 
Itni muddat baad tumhari yaad aayi hai 
Youn lagta hai jaisay pichlay mousam phir se loat aaye hon

Woh milnay kay ehad-o-payman sab jhootay niklay ae jana


Ab anazam kahon ya 

Woh milnay kay ehad-o-payman 
Sab jhootay niklay ae jana 
Na tum ayein na pyar kiya 
Na chahat ka izhar kiya 
Na roothay dil ko shaad kiya 
Na sapno ko abaad kiya 
Ik pal bhi na mujhay yaad kiya 
Kya khoob mujhay barbaad kiya 
Ik ehad-e-mohabbat tor diya 
Raahon main kiyon mujhay chor diya ?
In tootay huye armano ko 
Un chahat kay afsano ko 
Sab bhool kay mujh se kehti ho 
Ik nazam koi mujh par likh do 
Kya likhon , kya na likhon ?
Kya hijar ka afsana likhon ?
Ashkon ki kahani likh doon  kya ?
Wehshat ki zubani likh doon kya?
Her baar purani likh doon kya ?
YA aag ko paani likh doon kya ?
Ho zikar tumhari ulfat ka ?
YA sirf fasana wehshat ka 
Kya naam-e-wafa ki baat kahon ?
YA jor-o-jafa ki baat kahoon ?
Tum ko mehboob likhon ya phir 
Tum ko hi Adu keh doon aakhir ?
Likhon keh wafa tum se na hui 
Ya koi khata tum se na hui 
Kuch baat mohabbat ki likh doon 
Keh do to haqeeqat hi likh doon 
Likh doon keh rulaya hai tum ne ?
Haan kitna sataya hai tum ne ?
Furqat main jalaya hai tum ne 
Dewana banaya hai tum ne 
Likh doon keh junoon ka zehar piya 
Par tum ko kabhi ruswa na kiya ?
Jo zakham mila , sehnay pe saha 
Par haal-e-junoon phir bhi na kaha 
Tum se na shikayat ki main ne 
Be'loas mohabbat ki main ne 
Kis dhang se ulfat ki tum ne ?
Kis rang se chahat ki tum ne ?
Ghairon pe inayat ki tum ne 
Apno se adawat ki tum ne 
Haan ! nazar-e-inayat ki tum ne 
Par behar-e-zaroorat ki tum ne 
Is nazam ka unwaan koi nahin 
Ab dard ka darmaan koi nahin 
Ab chaak-e-giribaan koi nahin 
Ab hijar se na'laan koi nahin 
Sun pao to haal-e-dil keh doon ?
Ab nazam kahoon ?
Ya rehnay doon ?
 
 
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...