Sep 23, 2014

Gali kay us konay pe kharri woh akeli si shaam


Gali kay us konay pe kharri woh akeli si shaam

Kitni tanha hai woh

Sisakti hui si shaam

Kitnay aanchal huye be'zameen-o-asmaan

Janay kaisay layi hai yeh paiyaam

Her ghar main ajab hai maatam bicha

Aankhon ka ho jaisay koi toofan utha

Yeh kaandhon pe kis kay hain jisam dharay

Ajab jin kay chehron pe hain

Fasaanay likhye

Poochtay hain yeh nanhay haath hum se

Jin talwaaron se katay hain yeh galay

Rehti hain jin main yeh talwaarain sabhi

Batao kahan rakhi hai aisi niyaam

Dam ghutnay laga hai

Is shaam-e-khoon ashaam se

Chalo ab manayein is

Jalti

Machalti

Bilakti

rooti

Hui shaam ko

Aanso'on se bujhain

Aatish-e-aalam ko 

Dard-e-hijar kiya mila keh


Dard-e-hijar kiya mila keh

Haathon main jaam mila

Hum ko her din bas

Aik naya gham mila

Kehtay hain woh harjai hamain

Nahin dekha kabhi

Unhon ne

KAisay tairagi main jiyaa hamara jala

Jo hoti un ko khabar

Hanstay aur keh jaatay

Ae nadaan ishq main

Tujhay kiya mila

Chalo choro in shikwon ko

Aatish-e-man se

Kisi ka ghar to aakhir roshna hua

Hamara kiya hai

Hamain to her baar

Khaali hi her jaam mila

Koi to ishara ho


Koi to ishara ho

Yaadon se teri jana

Kaisay bhi kinaara ho

Thaknay lagay hain paaon meray

Naseeb main ab nahin

Koi bhi chayon meray

Kab talak is dasht-e-yaad main

Chalta rahoon main

Youn hi shaam-o-sehar jalta rahoon main

Nashtar guzray lamhon kay

Sehta rahoon main

Nikal sakon main is koocha-e-aatish se

Aisa meray Moula

Koi ghaib se ishaara ho

Zindaan-e-mohabbat se

Rehai ka koi ista'ara ho

Zindaan-e-mohabbat se

Rehai ka koi ishaara ho 

Likhtay rahay jis ko wafa


Likhtay rahay jis ko wafa

Milti rahi us se jafa

Sehtay rahay dard-e-hijar

Nikla nahin harf-e-dua

Sajti magar shaam-e-ghazal

Shaan-e-ghazal mil na saka

Kehnay lagi mujh se sehar

Yeh lab teray na hon khusha

Suntay rahay qissay wohi

Jis main likha zikar-e-sar

Zameen-e-dil pe aksar


Zameen-e-dil pe aksar

Asmaan-e-chahat se

Yaadon ki barsaat rehti hai

Qatra qatra girta hai

Zakhm zakhm banta hai

Ashkon ki rawaani hai

Bhout ajab veeraani hai

Ho sakay to loat aana

Wadi-e-mohabbat main

Wasal ki koi shamma

Haathon se tum apnay

Phir se jala dena

Andhera jo chaya hai

Door ussay tum kar jana

Yeh jo hum ne tumhain rulaya hai



Yeh jo hum ne tumhain rulaya hai

Mat samjho keh zulam dhaya hai

Behtay hain jo ashk teray nainon se

Girtay hain meri zameen-e-dil par yeh

Kiya karoon main majboor hoon

Halaat kiyea gaye bhout kamzor hoon

Bina teray meri saans nahin

Par milan ki bhi koi aas nahin

IS liye hum ne khud ko giraya hai

Shabeeh hamari jo teray dil pe ban baithi hai

Us shabeeh ko hum ne youn mitaya hai

Ab jaan to hamari hikmat

Kiyon tum ko hum ne rulaya hai

Sataya na karo hamain youn is tarah


Sataya na karo hamain youn is tarah

Keh hum bhi insaan hain tumhari tarah

Aaj hum hain , kal na ho kissay maloom

Ho sakta hai keh , phir tum pachtaao , kissay maloom

Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo

Keh yeh to hai sheeshay se bhi nazuk

Ek baar toot gaya to jurrna hai mushkal

Ho sakta hai keh , kal tum koshish karo , kissay maloom

Roz ghar ko sanwaarti hoon


 Roz ghar ko sanwaarti hoon

Guldaan main

Phoolon ko sajaati hoon

Naye parday dareechon par lagaati hoon

Aur saleeqay se shelf main rakhti hoon kitaabain

Raat bhar darwaaza

Khula rakhti hoon

Khud ko bhi araasta karti hoon

Aankhon main kajal lagaati hoon

Chooriyon ses baanhon ko

Hathali ko mehandi se

Sajaati hoon

Aur nikharti hoon , bikharti hoon

Tu ne aanay ka sirf aik baar

Wada kiya tha

Sabz madham roshni main surkh aanchal ki dhanak


Sabz madham roshni main surkh aanchal ki dhanak
Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak

Baazo'on kay sakht halkay main koi nazuk badan
Silwatein malboos par aanchal bhi kuch dhalka hua

Garmi-e-rukhsaar se dhunki hui thandi hawa
Narm zulfon se mulaaim ungliyon ki chair chaar

Surk honton pe shraarat ky kisi lamhay ka aks
Reshmi baanhon main choori ki kabhi madham khanak

Sharmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat
Do dilon ki dharkano main goonjti thi ek sada

Kaamptay honton pe thi Allah se sirf ik dua
Kaash yeh lamhay tehar jayein tehar jayein zara

Waaday bhi karta hai


Waaday bhi karta hai

Woh bhout mohabbat bhi karta hai

Ek shakhs hai aisa

Jo shikayat bhi karta hai

Mujhay maloom nahin hota

Woh jaan jaata hai

Her raaz meray dil ka

Ek shakhs hai aisa

Jo phir chahat bhi karta hai

Meri tamana baaqi nahin ab jaana


Meri tamana baaqi nahin ab jaana

JAb se tum milay mujh ko

Zara tum loat aao to

Yahi behtar hai meray dost

Youn roz acha nahin hota

Kisi kay dil main aa kar bhi

Ussay apna na kehna

Chalo main maan leti hoon

Tumhari shaan kaafi hai

Magar

YEh soch to zaalim

Teray kis kaam aye gi

Yeh khushiyaan kuch nahin hotein

Zara kal ka bhi to kuch soch

MAin tujh se ab bhi kehti hoon

Keh youn roz acha nahin hota

Kisi kay dil main aa kar bhi

Ussay apna na kehna

Suna hai log kehtay hain yahan mohabbat naam hai tera


Suna hai log kehtay hain

Yahan mohabbat naam hai tera

Meri ruswai kay aagay

Teri judai ka ghar hai

Suno

Youn acha nahin hota

Kisi kay dil se jana

Yahan ashiyaan roz nahin bantay

Youn hi tum loat jaatay ho

Kabhi wapis bhi aatay ho

Haan mujhay yaad aya ab

Tum wapis bhi aatay ho

Magar jab chor jaatay hain

Saray dost tumharay jab

Tumhain sahara nahin milta

Kisi kay saath ronay ka

Phir tum loat aatay ho

Mujhay bhi khoob statay ho

Suno

Youn acha nahin hota

Kisi kay dil se jana

Mujhay pyaar se shikwa nahin


Mujhay pyaar se shikwa nahin

Meray dil ka yeh jawaab hai

Jo zindagi hai woh guzaar dy

Jo mushkil hai woh sanwaar dy

Tu kiyon udaas hai meri jaan

Yeh kafan mujh ko udhaar dy

Kabhi sochti hoon keh aye dost

Yeh waqat bhi kitna ajeeb hai

Woh paas ho kar bhi door tha

Ab door ho kar bhi paas hai

Shab-e-tanhai ka aalam tha


Shab-e-tanhai ka aalam tha

MAin kharri thi teri raah main

Keh kaash to kabhi loat aye

Mujh ko kabhi tu sada to dy

Baarish bhout tez thi

MAin roti rahi , roti rahi

Meray aansoo kuch khaas thay

Kisi ne aa kay sambhaal liya

Teray kafan ka aik tukra dost

Aj bhi meray paas hai

Jis main tu so gaya

Woh mitti meray paas hai

Na janay kiyon main aaj bhi

Ek umeed lay kar baithi hoon

Tum aao gay

Tum aao gay

Ek roz tum aao gay

Pyaar hua hai jab se mujh ko


Pyaar hua hai jab se mujh ko

Yeh chanchal shokh hawaein tab se

Mujh ko chairti jaati hain

Sab ko bataati jaati hain

Jeena mujh ko aa sa gaya

Rona mujh ko kuch sikha sa gaya hai

Aksar apni tanhiyon main

MAin us ko bulaya karti hoon

Nazmon ka apni unwaan bana kar

Sab ko sunaya karti hoon

Phir achanak se kuch yaad aata hai

Main phir dil ko behlaya karti hoon

Milan ho ga ik roz hamara

Khud ko samjhaya karti hoon

Ab jo karna hai qismat ne

MAin rab se maanga karti hoon

Suno ik baat kehni hai


 Suno

 Ik baat kehni hai

Meray dil main hai kashish ek

Tumhain batlaani hai

Suno

Mujhay choo kar tum

Meri chahton kay geet

Amar kar do

Suno

Ek baat kehni hai

Meri baat sun lo tum

Main dewaani hoon

Pyaar ki maari

Mujhay arzaan na kar dena

Suno

Ik baat kehni hai

Mujhay apna banaye rakhna

Mujhay tanha na kar dena

Suno


Ik baat kehni hai

Mujhay tum se mohabbat hai

Mujhay tum se mohabbat hai

Main ne socha chalo kar lain hum koi samjhota is dil se


Main ne socha chalo kar lain hum koi samjhota is dil se

Magar yeh kiya keh meri dharkan

Bagawat dil se karti hai

Zara dekho tum aa kar

Kiyon hairaan main bhi hoon

Suna hai us ki chahat main

Milawat had se ziada thi

Chalo maana keh yeh inayat

Qayamat phir se karti hai

Meri aankhain meri palkain

Ab nam achi nahin lagtein

Jo pathar tha ab toota

Her sabar bhi us ka

Khushiyon ki yeh baarish

Suno tum jaan lo logo

Ek roz meray aangan main

Phir se jhoom kay ho gi

Youn hi kal raat ko janam


Youn hi kal raat ko janam

Ajab si soch main gum thi

Teri baatain teri yaadain

Ab mujhay tanha nahin kartein

Youn hi hanstay huye aksar

NA janay phir se kiyon ab bhi

Puraani kuch haseen baatain

Mujhay phir se rulaati hain

Yahi dekh kar aksar

Meri aankhain barasti hain

Magar aik baat yeh bhi hai

Teri masoom si baatain

Mujhay phir se hansaati hain

Mujhay ronay nahin datein

Magar ab kiya karoon main bhi

Muqadar main jo likha hai

Khuda hi jaanta bas hai

YAhi samjh kar jaanam

MAin kal raat ko pyaray

Ajab se soch main gum thi

Kal baadlon ki chaon main thandi hawa kay zor se


Kal baadlon ki chaon main

Thandi hawa kay zor se

Mera aanchal jo lehraya

MAin ne bas yahi kaha tha tab

Suno ae baadlo tehro

Mera aik kaam to karna

Meri zindagi main jab

Jo khushiyaan anay wali

Khuda ki rehmat chaanay wali ho

To baarish meray ghar pe bhi

Tum thori barsa kay jana

Yeh qissa ajab hi hai logo

Kal shaam se na janay kiyon

Barish rukti hi nahin hai

Kuch udaas kuch khamosh


Kuch udaas kuch khamosh

Kuch be'bas si lakeerain meray haath ki

Dhoondta rehta hoon aksar in lakeeron main

Aik lakeer teray naam ki

Kuch maloom bhi hai

Kuch dil bhi jaanta hai

Keh in lakeeron main koi lakeer nahin teray naam ki

Phir bhi na janay kiyon dhoondta rehta hoon

Aksar ik lakeer teray naam ki

Aik lakeer

Teray naam ki 

Kitnay aanchal huye be'zameen-o-asmaan


Gali kay us konay pe kharri woh akeli si shaam 

Kitni tanha hai woh 

Sisakti hui si shaam 

Kitnay aanchal huye be'zameen-o-asmaan 

Janay kaisay layi hai yeh paiyaam

Her ghar main ajab hai maatam bicha 

Aankhon ka ho jaisay koi toofan utha

Yeh kaandhon pe kis kay hain jisam dharay 

Ajab jin kay chehron pe hain 

Fasaanay likhye

Poochtay hain yeh nanhay haath hum se

Jin talwaaron se katay hain yeh galay

Rehti hain jin main yeh talwaarain sabhi

Batao kahan rakhi hai aisi niyaam 

Dam ghutnay laga hai 

Is shaam-e-khoon ashaam se

Chalo ab manayein is

Jalti

Machalti

Bilakti 

rooti

Hui shaam ko

Aanso'on se bujhain

Aatish-e-aalam ko  

Ae nadaan ishq main tujhay kiya mila

Dard-e-hijar kiya mila keh

Haathon main jaam mila 

Hum ko her din bas 

Aik naya gham mila 

Kehtay hain woh harjai hamain 

Nahin dekha kabhi

Unhon ne 

KAisay tairagi main jiyaa hamara jala

Jo hoti un ko khabar 

Hanstay aur keh jaatay 

Ae nadaan ishq main 

Tujhay kiya mila

Chalo choro in shikwon ko 

Aatish-e-man se 

Kisi ka ghar to aakhir roshna hua 

Hamara kiya hai 

Hamain to her baar 

Khaali hi her jaam mila

Zindaan-e-mohabbat se rehai ka koi ishaara ho


Koi to ishara ho 

Yaadon se teri jana 

Kaisay bhi kinaara ho

Thaknay lagay hain paaon meray 

Naseeb main ab nahin 

Koi bhi chayon meray 

Kab talak is dasht-e-yaad main 

Chalta rahoon main 

Youn hi shaam-o-sehar jalta rahoon main 

Nashtar guzray lamhon kay 

Sehta rahoon main 

Nikal sakon main is koocha-e-aatish se 

Aisa meray Moula 

Koi ghaib se ishaara ho

Zindaan-e-mohabbat se

Rehai ka koi ista'ara ho

Zindaan-e-mohabbat se 

Rehai ka koi ishaara ho 

Suna hai tumharay haathon se choot kar koi kaanch toota hai


Suna hai 

Tumharay haathon se choot kar 

Koi kaanch toota hai 

Kirchi kirchi woh kaanch 

Bikhra para hai raah main 

Tehro

Ruko zara 

Mat choona un kirchiyon ko 

Ungliyaan nazuk hain 

Lahoo lahoo ho jayein gi 

Suno jana 

Kaanch kay tukron ko 

Smaitnay kay wastay 

Meray haath lay jaao tum 


Nikla nahin harf-e-dua


Likhtay rahay jis ko wafa 

Milti rahi us se jafa 

Sehtay rahay dard-e-hijar 

Nikla nahin harf-e-dua

Sajti magar shaam-e-ghazal

Shaan-e-ghazal mil na saka 

Kehnay lagi mujh se sehar 

Yeh lab teray na hon khusha

Suntay rahay qissay wohi 

Jis main likha zikar-e-sar

Ho sakay to loat aana



Zameen-e-dil pe aksar 

Asmaan-e-chahat se 

Yaadon ki barsaat rehti hai 

Qatra qatra girta hai 

Zakhm zakhm banta hai 

Ashkon ki rawaani hai 

Bhout ajab veeraani hai 

Ho sakay to loat aana

Wadi-e-mohabbat main 

Wasal ki koi shamma 

Haathon se tum apnay 

Phir se jala dena 

Andhera jo chaya hai 

Door ussay tum kar jana 

 


Ashkon ki rawaani hai


Zameen-e-dil pe aksar 

Asmaan-e-chahat se 

Yaadon ki barsaat rehti hai 

Qatra qatra girta hai 

Zakhm zakhm banta hai 

Ashkon ki rawaani hai 

Bhout ajab veeraani hai 

Ho sakay to loat aana

Wadi-e-mohabbat main 

Wasal ki koi shamma 

Haathon se tum apnay 

Phir se jala dena 

Andhera jo chaya hai 

Door ussay tum kar jana 

 


Kiyon tum ko hum ne rulaya hai


Yeh jo hum ne tumhain rulaya hai 

Mat samjho keh zulam dhaya hai 

Behtay hain jo ashk teray nainon se 

Girtay hain meri zameen-e-dil par yeh

Kiya karoon main majboor hoon 

Halaat kiyea gaye bhout kamzor hoon 

Bina teray meri saans nahin 

Par milan ki bhi koi aas nahin 

IS liye hum ne khud ko giraya hai 

Shabeeh hamari jo teray dil pe ban baithi hai 

Us shabeeh ko hum ne youn mitaya hai 

Ab jaan to hamari hikmat 

Kiyon tum ko hum ne rulaya hai

Mat samjho keh zulam dhaya hai


Yeh jo hum ne tumhain rulaya hai 

Mat samjho keh zulam dhaya hai 

Behtay hain jo ashk teray nainon se 

Girtay hain meri zameen-e-dil par yeh

Kiya karoon main majboor hoon 

Halaat kiyea gaye bhout kamzor hoon 

Bina teray meri saans nahin 

Par milan ki bhi koi aas nahin 

IS liye hum ne khud ko giraya hai 

Shabeeh hamari jo teray dil pe ban baithi hai 

Us shabeeh ko hum ne youn mitaya hai 

Ab jaan to hamari hikmat 

Kiyon tum ko hum ne rulaya hai

Keh hum bhi insaan hain tumhari tarah


Sataya na karo hamain youn is tarah 

Keh hum bhi insaan hain tumhari tarah 

Aaj hum hain , kal na ho kissay maloom 

Ho sakta hai keh , phir tum pachtaao , kissay maloom 

Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo

Keh yeh to hai sheeshay se bhi nazuk 

Ek baar toot gaya to jurrna hai mushkal 

Ho sakta hai keh , kal tum koshish karo , kissay maloom

Tu ne aanay ka sirf aik baar wada kiya tha


Roz ghar ko sanwaarti hoon 

Guldaan main 

Phoolon ko sajaati hoon 

Naye parday dareechon par lagaati hoon 

Aur saleeqay se shelf main rakhti hoon kitaabain 

Raat bhar darwaaza

Khula rakhti hoon 

Khud ko bhi araasta karti hoon 

Aankhon main kajal lagaati hoon 

Chooriyon ses baanhon ko 

Hathali ko mehandi se

Sajaati hoon 

Aur nikharti hoon , bikharti hoon 

Tu ne aanay ka sirf aik baar 

Wada kiya tha 


Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak



Sabz madham roshni main surk aanchal ki dhanak 

Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak 

Baazo'on kay sakht halkay main koi nazuk badan 

Silwatein malboos par aanchal bhi kuch dhalka hua 

Garmi-e-rukhsaar se dhunki hui thandi hawa

Narm zulfon se mulaaim ungliyon ki chair chaar 

Surk honton pe shraarat ky kisi lamhay ka aks

Reshmi baanhon main choori ki kabhi madham khanak 

Sharmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat 

Do dilon ki dharkano main goonjti thi ek sada 

Kaamptay honton pe thi Allah se sirf ik dua 

Kaash yeh lamhay tehar jayein tehar jayein zara

Kaash yeh lamhay tehar jayein tehar jayein zara


Sabz madham roshni main surk aanchal ki dhanak 

Sard kamray main machalti garm saanson ki mehak 

Baazo'on kay sakht halkay main koi nazuk badan 

Silwatein malboos par aanchal bhi kuch dhalka hua 

Garmi-e-rukhsaar se dhunki hui thandi hawa

Narm zulfon se mulaaim ungliyon ki chair chaar 

Surk honton pe shraarat ky kisi lamhay ka aks

Reshmi baanhon main choori ki kabhi madham khanak 

Sharmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat 

Do dilon ki dharkano main goonjti thi ek sada 

Kaamptay honton pe thi Allah se sirf ik dua 

Kaash yeh lamhay tehar jayein tehar jayein zara

Woh bhout mohabbat bhi karta hai



Waaday bhi karta hai 

Woh bhout mohabbat bhi karta hai 

Ek shakhs hai aisa

Jo shikayat bhi karta hai 

Mujhay maloom nahin hota 

Woh jaan jaata hai 

Her raaz meray dil ka 

Ek shakhs hai aisa

Jo phir chahat bhi karta hai

Ek shakhs hai aisa


Waaday bhi karta hai 

Woh bhout mohabbat bhi karta hai 

Ek shakhs hai aisa

Jo shikayat bhi karta hai 

Mujhay maloom nahin hota 

Woh jaan jaata hai 

Her raaz meray dil ka 

Ek shakhs hai aisa

Jo phir chahat bhi karta hai

JAb se tum milay mujh ko


Meri tamana baaqi nahin ab jaana 
JAb se tum milay mujh ko 
Zara tum loat aao to 
Yahi behtar hai meray dost 
Youn roz acha nahin hota 
Kisi kay dil main aa kar bhi 
Ussay apna na kehna 
Chalo main maan leti hoon 
Tumhari shaan kaafi hai 
Magar 
YEh soch to zaalim 
Teray kis kaam aye gi 
Yeh khushiyaan kuch nahin hotein 
Zara kal ka bhi to kuch soch 
MAin tujh se ab bhi kehti hoon 
Keh youn roz acha nahin hota 
Kisi kay dil main aa kar bhi 
Ussay apna na kehna 

Mohabbat naam hai tera



Suna hai log kehtay hain 

Yahan mohabbat naam hai tera 

Meri ruswai kay aagay 

Teri judai ka ghar hai 

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana

Yahan ashiyaan roz nahin bantay 

Youn hi tum loat jaatay ho

Kabhi wapis bhi aatay ho

Haan mujhay yaad aya ab 

Tum wapis bhi aatay ho

Magar jab chor jaatay hain 

Saray dost tumharay jab 

Tumhain sahara nahin milta 

Kisi kay saath ronay ka 

Phir tum loat aatay ho 

Mujhay bhi khoob statay ho

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana 

 

 

Youn acha nahin hota kisi kay dil se jana


Suna hai log kehtay hain 

Yahan mohabbat naam hai tera 

Meri ruswai kay aagay 

Teri judai ka ghar hai 

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana

Yahan ashiyaan roz nahin bantay 

Youn hi tum loat jaatay ho

Kabhi wapis bhi aatay ho

Haan mujhay yaad aya ab 

Tum wapis bhi aatay ho

Magar jab chor jaatay hain 

Saray dost tumharay jab 

Tumhain sahara nahin milta 

Kisi kay saath ronay ka 

Phir tum loat aatay ho 

Mujhay bhi khoob statay ho

Suno 

Youn acha nahin hota 

Kisi kay dil se jana 

 

 

Woh paas ho kar bhi door tha ab door ho kar bhi paas hai


Mujhay pyaar se shikwa nahin 

Meray dil ka yeh jawaab hai 

Jo zindagi hai woh guzaar dy

Jo mushkil hai woh sanwaar dy

Tu kiyon udaas hai meri jaan 

Yeh kafan mujh ko udhaar dy 

Kabhi sochti hoon keh aye dost 

Yeh waqat bhi kitna ajeeb hai 

Woh paas ho kar bhi door tha 

Ab door ho kar bhi paas hai

Meray dil ka yeh jawaab hai


Mujhay pyaar se shikwa nahin 

Meray dil ka yeh jawaab hai 

Jo zindagi hai woh guzaar dy

Jo mushkil hai woh sanwaar dy

Tu kiyon udaas hai meri jaan 

Yeh kafan mujh ko udhaar dy 

Kabhi sochti hoon keh aye dost 

Yeh waqat bhi kitna ajeeb hai 

Woh paas ho kar bhi door tha 

Ab door ho kar bhi paas hai

MAin kharri thi teri raah main


Shab-e-tanhai ka aalam tha 

MAin kharri thi teri raah main 

Keh kaash to kabhi loat aye

Mujh ko kabhi tu sada to dy 

Baarish bhout tez thi 

MAin roti rahi , roti rahi 

Meray aansoo kuch khaas thay 

Kisi ne aa kay sambhaal liya 

Teray kafan ka aik tukra dost 

Aj bhi meray paas hai 

Jis main tu so gaya 

Woh mitti meray paas hai 

Na janay kiyon main aaj bhi 

Ek umeed lay kar baithi hoon 

Tum aao gay 

Tum aao gay 

Ek roz tum aao gay 

 

Ek roz tum aao gay


Shab-e-tanhai ka aalam tha 

MAin kharri thi teri raah main 

Keh kaash to kabhi loat aye

Mujh ko kabhi tu sada to dy 

Baarish bhout tez thi 

MAin roti rahi , roti rahi 

Meray aansoo kuch khaas thay 

Kisi ne aa kay sambhaal liya 

Teray kafan ka aik tukra dost 

Aj bhi meray paas hai 

Jis main tu so gaya 

Woh mitti meray paas hai 

Na janay kiyon main aaj bhi 

Ek umeed lay kar baithi hoon 

Tum aao gay 

Tum aao gay 

Ek roz tum aao gay 

 

MAin rab se maanga karti hoon


Pyaar hua hai jab se mujh ko 

Yeh chanchal shokh hawaein tab se 

Mujh ko chairti jaati hain 

Sab ko bataati jaati hain 

Jeena mujh ko aa sa gaya

Rona mujh ko kuch sikha sa gaya hai 

Aksar apni tanhiyon main 

MAin us ko bulaya karti hoon 

Nazmon ka apni unwaan bana kar 

Sab ko sunaya karti hoon 

Phir achanak se kuch yaad aata hai 

Main phir dil ko behlaya karti hoon 

Milan ho ga ik roz hamara 

Khud ko samjhaya karti hoon 

Ab jo karna hai qismat ne 

MAin rab se maanga karti hoon 


Mujhay tum se mohabbat hai




Suno ik baat kehni hai 

Meray dil main hai kashish ek

Tumhain batlaani hai 

Suno

Mujhay choo kar tum 

Meri chahton kay geet 

Amar kar do 

Suno

Ek baat kehni hai 

Meri baat sun lo tum 

Main dewaani hoon 

Pyaar ki maari 

Mujhay arzaan na kar dena 

Suno

Ik baat kehni hai 

Mujhay apna banaye rakhna 

Mujhay tanha na kar dena 

Suno 

Ik baat kehni hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 


Meri chahton kay geet amar kar do



Suno ik baat kehni hai 

Meray dil main hai kashish ek

Tumhain batlaani hai 

Suno

Mujhay choo kar tum 

Meri chahton kay geet 

Amar kar do 

Suno

Ek baat kehni hai 

Meri baat sun lo tum 

Main dewaani hoon 

Pyaar ki maari 

Mujhay arzaan na kar dena 

Suno

Ik baat kehni hai 

Mujhay apna banaye rakhna 

Mujhay tanha na kar dena 

Suno 

Ik baat kehni hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 

Mujhay tum se mohabbat hai 


Teri baatain teri yaadain ab mujhay tanha nahin kartein


Youn hi kal raat ko janam 

Ajab si soch main gum thi

Teri baatain teri yaadain 

Ab mujhay tanha nahin kartein 

Youn hi hanstay huye aksar 

NA janay phir se kiyon ab bhi

Puraani kuch haseen baatain 

Mujhay phir se rulaati hain 

Yahi dekh kar aksar 

Meri aankhain barasti hain 

Magar aik baat yeh bhi hai 

Teri masoom si baatain 

Mujhay phir se hansaati hain 

Mujhay ronay nahin datein 

Magar ab kiya karoon main bhi

Muqadar main jo likha hai 

Khuda hi jaanta bas hai 

YAhi samjh kar jaanam 

MAin kal raat ko pyaray 

Ajab se soch main gum thi

Kal shaam se na janay kiyon barish rukti hi nahin hai


Kal baadlon ki chaon main 

Thandi hawa kay zor se

Mera aanchal jo lehraya 

MAin ne bas yahi kaha tha tab 

Suno ae baadlo tehro

Mera aik kaam to karna 

Meri zindagi main jab 

Jo khushiyaan anay wali

Khuda ki rehmat chaanay wali ho

To baarish meray ghar pe bhi 

Tum thori barsa kay jana

Yeh qissa ajab hi hai logo

Kal shaam se na janay kiyon 

Barish rukti hi nahin hai

Aik lakeer teray naam ki


Kuch udaas kuch khamosh 
Kuch be'bas si lakeerain meray haath ki
Dhoondta rehta hoon aksar in lakeeron main 
Aik lakeer teray naam ki 
Kuch maloom bhi hai 
Kuch dil bhi jaanta hai
Keh in lakeeron main koi lakeer nahin teray naam ki
Phir bhi na janay kiyon dhoondta rehta hoon 
Aksar ik lakeer teray naam ki
Aik lakeer 
Teray naam ki 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...