Meray khawabon ke jhrokay ko sajaney wali
Teray khawabon main kahin mera guzar hai keh nahin
Pooch kar apni nigahon se bata de mujh ko
Meri raaton kay muqaddar main sehar hai keh nahin
Chaar din ki yeh rafaqat bhi nahin
Umar bhar kay liye azaar hui jati hai
Zindagi youn to hamesha se parishan si thi
Ab to her saan garaan baar si hui jati hai
Meri ujri hui neendon kay shabistan main
Tu kisi khawab kay paikar ki tarah aayi hai
KAbhi apni kabhi ghair nazar aati hai
KAbhi ikhlaas ki murat kabhi har'jaai
Pyar par bas to nahin mera lakin phir bhi
Tu bata de tujhay pyar karon ya na karon
Tu ne khud apnay tabasum se jagaya hai jinhein
Un tamanaon ka izhaar karon ya na karon
Tu kisi aur kay daman ki kali hai lakin
Meri raatein teri khushbu se basi rehti hain
Tu kahin bhi ho , teray phool jaisay aariz ki qasam
Teri palkein meri aankhon pe jhuki rehti hain
Teray hathon ki haraarat , teri sanson ki mehak
Tairati rehti hai ehsaas ki pinhaai main
Dhoondti rehti hain takhiyul ki baanhein tujh ko
Sard raaton ki sulagti hui tanhai main
Tera iltaf-o-karam ik haqeeqat hai magar
YEh haqeeqat bhi haqeeqat main fasana hi na ho
Teri manoos nigahon ka yeh mohtaat payam
Dil kay khoon karnay ka ik aur bahana hi na ho
Kon janay meray imroz ka farda kya hai
Qurbatein bakhat-e-parishan bhi ho jati hain
Dil kay daman se lipti hui rangeen nazrein
Dekhtay dekhtay anjaan bhi ho jati hain
Meri darmanda jawani ki tanhaiyon kay
Muzmahil khawab ki taqdeer bata de mujh ko
Teray daman main gulistan bhi hain veeranay bhi
Mera hasil ! meri taqdeer bata de mujh ko