Apr 15, 2014

Kis dil main kya chuppa hai



Kis dil main kya chuppa hai
Sirf Khuda jaanta hai 

Dil agar be'niqaab hotay 
socho kitnay fasaad hotay

Dilon main phir se nai chahtain saja baithay



Dilon main phir se nai chahtain saja baithay

Galay milay to sabhi ranjashain bhula baithay

Woh jis ko piyaar ka mafhoom tak nahin maloom

Usi ke dar pe kyn jaan-o-dil luta baithay

Kiya khabar thi keh hawa'ein wafa nahin karti

Unhi ke doosh pe phir kyn diy'ey jala baithay

Hum un ke qurb main be-ikhtiyaar hotay hain

Jo baat dil ne chupai wohi bata baithay

Jo pathron ke hawalay se moh'tabar hai bhout

Hum aisay shaher main sheeshay ka ghar bana baithay





Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga



Guftagoo achi lagi zouq-e-nazar acha laga

Mudaton ke baad koi hamsafar acha laga

Zindagi ki be sar-o-samaniyon ke ba-wajood 

Aaj tu aya to mujh ko apna ghar acha laga

Manzalon ki baat choro kis ne pae'ein manzalain

Ik safar acha laga ik humsafar acha laga

Soch kar chuni hai main ne akhri araam gaah

Main tha matti aur mujhay matti ka ghar acha laga

Baray masoom jazbon se woh apnay shokh haathon par



Baray masoom jazbon se 

Woh apney shokh hathon par

Wafa ki surkh mehndi se

Kisi ka naam likhti hai

Jissay woh piyaar karti hai

Magar woh na samjh larki

Abhi tak yeh nahin janti

Keh sapnay toot jayein to

Bhout barbaad kartay hain

Yeh ujhlay rang hathon par 

KAbhi tehra nahin kartay

Mohabbat to haqeeqat hai

Koi sapna nahin hota

Kisi ka naam likhnay se 

Koi apna nahin hota

Ajnabi shaher hai ajnabi log hain



Ass

Ajnabi shaher hai

Ajnabi log hain 

Phir bhi main

Chal raha hoon

IS ass main keh

koi to apna ho ga

Koi to piyara ho ga

Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar



Tha qalb-e-ilaaj gham-e-zindagi magar 

Jis ki talash thi woh maseeha nahin mila

Qismat ki baat hai ke  'wasi' aaj tak

Dil walay to bhout milay par koi dil se nahin mila

Do chaar baras ka qissa hai jab main ne us ko dekha tha



Do chaar baras ka qissa hai jab main ne us ko dekha tha

Woh chahera na janay kyn mujh ko apna apna lagta tha

Woh jadoo tha un ankhon main Main uljha uljha rehnay laga

Madhosh kiya youn khwaabon ne her shaks hi pagal kehnay laga

Her baat pe main shrmata tha, kuch kehnay se ghabrata tha

Par samney jab woh ati thi , main us ko takta jata tha

MAin us se dil ki baat kahon yeh lamha bhi khuch door na tha

Bas collage main yeh baat uri , main go itna mashoor na tha

Phir aik din shaam dhalay main ne us jaan-e-ghazal ko rok liya

Aur rok ke apni sansson ko iqraar kiya izhaar kiya

Yeh piyaar ki batain sun kar woh kuch der talak khamosh rahi

Uljhya hath main palu woh sharma'ei aur ghabra se gaye

Aur boli suniyae

Main samjha chahat jeet gaye , naadan tha main maloom na tha

Jis shaks se piyaar ki reet gaye

Kuch roz huye kisi se main ne suna

Woh jo chahat ki davi thi

zar walay us ko jeet gaye woh bhi daulat pe marti thi

Yeh manzil agarcha khwaab hui 

Main aaj bhi aik musafir hoon 

Yeh hasil bhi to kuch kam nahin

Main us se bichar kar shayar hoooooon !!!!



Meray be-rabat khyalat main kiya rakha hai



Meray be-rabat khyalat main kiya rakha hai

Main to pagal hoon meri baat main kiya rakha hai

Baandh rakha hai teri yaad ne mazi se mujhay

Warna guzray huye lamhaat main kiya rakha hai

Meri takmeel teri zaat se hi mumkin hai ae ajnabi

Tu alag ho to meri zaat main kiya rakha hai

Youn shab-o-roz teray dam se hi tabinda hain

Warna in gardash-e-halaat main kiya rakha hai

Umar bhar sath nibhayo to koi baat banay

Chand lamhon ki mulaqaat main kiya rakha hai

Jo phisla meray hath se woh pal nahin mila




Jo phisla meray hath se woh pal nahin mila

Mera guzra hua kal mujhay wapis nahin mila

Logon se bhari duniya main dhoonda bhout magar

Farishtay milay bhout mujhay insaan nahin mila

Socha kisi ke dil main ab ghar hi bana loon

Lakin kisi ka dil mujhay sabat nahin mila

Aisa nahin keh mujhay manzil nahin mili

Manzil mili magar kabhi rasta nahin mila

Barson main ne dhoonda lakin mujhay

Is shaher main koi teray jaisa nahin mila


Kuch waqat ki rawani ne hamain youn badal dala 'Mohsin'





Kuch waqat ki rawani ne hamain youn badal dala 'Mohsin'

Wafa par to ab bhi qayam hain magar mohabbat chor de hum ne

Na maang her baat par wazaha'tein ae dil-e-nadaan


Na maang her baat par wazaha'tein ae dil-e-nadaan

Mohabbat main kuch sawalon ke jawaab nahin hotay

Subha ke ujalon main dhoondta hai tabeerain



Subha ke ujalon main dhoondta hai tabeerain

Dil ko kon samjhay 'khwaab' khwaab hotay hain

Ab kiya mashghala hum dil-zada logon ka



Ab kiya mashghala hum dil-zada logon ka

Awargi shamon ki hai ! aur jagna raton ka hai

Kisi ke zarf se barh kar na kar rasm-e-wafa hargiz ae dil



Kisi ke zarf se barh kar na kar rasm-e-wafa hargiz ae dil

Keh is be ja shrafat se Bara nuqsaan hota hai

Jab tari yaad ati hai jee bhar ke mujhay



Jab tari yaad ati hai jee bhar ke mujhay

Tujh se bicharay huye raston pe safar karta hoon

Tum se bhout kuch kehna hai magar


Tum  se  bhout  kuch  kehna  hai   magar

Kabhi tum nahin milaty to kabhi alfaaz nahin miltay

Ik naye duniya basana chah'ta hoon magar

Kabhi neend nahin ati to kabhi khwaab nahin miltay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...