Zindagi , jaisay koi zard safar mout zada
Sang , haiwaan ' shajar mout , mout zada
Muskuraein to hansay jati hai
Zakham khaai hui taqdeer ' dagar mout zada
Aur ronay kay liye bethein to rumalon par
Jhar jharata hua emaan sulag uth'ta hai
Jazab honay hi nahin deta kisi aansoo ko
Bheeg jati hai jabeen sadmay ki
Din chamakta hai saro hum tamana
aur phir
Door girti hui peelahat main
Char maraai hui ik shaam latak aati hai
Raat parti hai to kartay hain basar mout zada
Is tarah jaisay saleebon se bandhi be'chaini
Mout se agla koi khouf basar karti hai
Kis farishtay ka giribaan pakar kar poochein
Hanstay bastay huye bazaron par
Kis ne daali hai nazar mout zada
Dil lab-e-dard
Parishaan khayalat ki chokhat se laga baitha hai
Jis tarah se koi pas maanda aziz
Dam-ba-dam doobti yaadon ki saf-e-maatam par
Thaam kar baitha ho , sar mout zada
Zindagi ....
Zindagi , dard ka ghar mout zada
Khirkiyan sard
Dareechay khamosh
Sehan veeran
Shajar mout zada
Rooh sun'saan
Khabar mout zada
Dil biyabaan
Asar mout zada
Bastiyan , gaon , mohalay , chopaal
Adh mari aas , bashar mout zada