Jan 24, 2017

Bhout holy holy , slowly slowly


بہت ہولی ہولی ،سلولی سلولی
وہ آئی لو یو بولی سلولی سلولی

وہ آنکھوں میں گھس کر دل میں اتری
مگر پولی پولی ، سلولی سلوی

ہوئی جیب خالی تو اک اک کر کھسکی
حسینوں کی ٹولی ، سلولی سلولی

کوئیکلی کوئیکلی کرکے گریں سر سے جوئیں
جو زلف اس نے کھولی ،سلولی سلولی

بڑی سخت تھی اس کے سینڈل کی ایڑھی
ہوئی ٹنڈ پولی ،سلولی سلوی

نیولے نے کر لی گلہری سے شادی
روئے اب نیولی، سلولی سلولی

مزہ آگیا سن کے نادان تجھ سے
غزل یہ مخولی ، سلولی سلولی

Bhout holy holy , slowly slowly 
Woh i love you bboli slowli slowly 

Woh aankhon main ghuss kar dil main utri 
Magar poli poli , slowly slowly 

Hui jaib khaali to ik ik kar kay khiski 
Haseeno ki toli , slowly slowly 

Quickly quickly kar kay giri'ein sar se ju'ein 
Jo zulf uss ne kholi slowly slowly 

Bari sakhat thi uss kay sandil ki ehrri 
Hui tind poli , slowly slowly 

Maza aa gaya sun kay na'daan tujh se 
Ghazal yeh ma'kholi , slowly slowly 


Faraz yaron ko azma kay daikh liya



Faraz yaron ko azma kay daikh liya

Parday mein bula kay daikh liya

Mot bhi hum se door bhagti hai mohsin

Car kay neechy aa k daikh liya

Marta nhi ye jarasim-e-ishq Sagar

Safeguard se bhi naha kay daikh liya

Koi sunta nahin faryad-e-ghalib

Radio pe bhi ga kay daikh liya

Dil ka bhi pata nhi chal raha wasi

X-ray bhi karwa kay daikh liya




Hui shadi to paaon main pari hain itni zanjeerain



Hui shadi to paaon main pari hain itni zanjeerain

Idher begum kay nakhray hain udher bachon ki naksirain

Samjh anay lagi iqbal ki tafsirain

Nigah-e-merd-e-moman say badel jati hain taqdeerain


Jis din se meray ghar main woh ayi hai nek bakht



Jis din se meray ghar main woh ayi hai nek bakht

Us din se hain zaban pe talay pare huye

Farmayishon ka aik samandar hai uske pass

Mujh ko hain apni jaan ke lalay pare huye


Zindgi hai mukhtalif jazbon ki humwari ka naam



Zindgi hai mukhtalif jazbon ki humwari ka naam
Admi hai shaljam aur gajar tarkari ka naam

Mlton ik latha hai, momin khan pnsari ka naam
Elm ik almari ka maktab char dewari ka naam

Ishq haar jaye bhi ho tu dard kam hota nahi
Ek zara tabdeel ho jata hai bemari ka naam

Mudaton nadedah nadedah nazar se dekhna
Ishq bhi hai ek tara chor bazari ka naam

Dil ho ya daliya ho danaiy keh balaiy zameer
Zindagi baz ashiya ki khareedari ka naam



Ussi parchay main khabar hai meri ruswaai ki



Ussi parchay main khabar hai meri ruswaai ki
Jis main tasveer chhapi hai teri angrrai ki

Kaisay keh dun keh main leader bhi hoon aur lota bhi
Baat to sach hai magar baat hai ruswaai ki

Meray afsaanay sunaati hai mohallay bhar ko
Ik yehi baat hai achhi meri hamsaayi ki

Do adad video filmon main guzar jaati hai
Sirf itnii hai tavaalat shab-e-tanhaai ki

Aisay milta hai chunariya se hair-band ka rang
Jis tarah suit se matching hai meri tie ki


Neelaam gher ki jaan to tariq aziz hain



Tariq Aziz

Neelaam gher ki jaan to tariq aziz hain
Kuch kuch wo bad-maza hain to kuch kuch laziz hain

Pandra baras jo ho gaye nazim anay huey
Hain misl-e-"kaarmeena" wo hazim banay huey

Qudrat nay unko bakhsha hay jo guftuguu ka dhang
Auron kay rang mein to nahein daltay wo bhang

Shaair bhi hain, adeeb bhi aur compare bhi hain
"neelaam gher" kay shehar kay to wo mayer bhi hain

Wo boltay hain jab kabhi, to toltay bhi hain
Asraar zindagii kay kai kholtay bhii hain

Jitnay prograam thay, record ho gaye
Foker thay pehlay, ab to wo concord ho gaye

"neelaam gher" awam ko be-had pasand hay
Tariq aziz dev hay , jo iss mein band hay




Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan


Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Na bijli na cng na safe kisi ki jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jhootay sachey case bana kay ik doojay ko rolain
Jahan pe common fayda in ka wahan ikathey ho lein
Jail training lay kay niklein bane seyasatdaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Khambey sath khalotey rehnde jo wehle mushtandey
Banda in ko lamyaan pa ke changa phandey
Janjj kisi ki dhol kisi ka aewain e nachhi jaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Har ik match pe satta laga kay har bar hardey
Har ik road pe shokhay one-whieling pe karday
Agli nassal kay hath mein hai sheesha cigerrete paan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aap broiler ban gaye hum kha kha chicken makhini
Sun'yaarey bhi sona chad kay bechne lag gaye cheeni
Paanch rupay ke sikkay jitna paanch rupay ka naan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Jaisay tota mena ranjha mangey apni choori
Waisay her ik file ke andar note zarooori
Warna chakar lagatey ho jayen halkaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Chatting message msn ke peechey kaisay bhaagey
Package karwa ke saari raatain jaagey
Hatam howey in ke parrhan parhaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Ghar araam se bethey hon ge road pe sab ko jaldi
Sabar ka phal jo meetha, nahin hai is ki demand
Chahey hon in ke chaalaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan

Aadat parri dikhawy ki, woh jaan na is se chootey
Masnoooyi se ho gaye sarey sab rishtey tootay
Buray lag'ein sab rishte, zeher lag'ein mehmaaan
Mein sadkay kurbaan mera sohna pakistan


Chalo aao ab mousam ka maza chakhain



Chalo aao ab mousam ka maza chakhain
Tamam dawain bachoon ki ponch say door rakhain

Tum say milny ki ab kia justujo karain
Tabyat ziada kharab ho to doctor say rujo karain

Humari chahat ka kuch to khayal karain
Syrup ko achi tarha hilla ker istamal karain

Dil mara toot gaya uthi jab us ki dolli
Subha dopaher sham aik aik goli

Dil mera ishq karny par razamand rahy ga
Juma kay din clinic band rahy ga


Aaj apni mohabat ko naya morr diya us ne



Aaj apni mohabat ko naya morr diya us ne
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne

Pehlay hansta tha main muh khol kay
Ab to aagay wala hi daant torr diya us ne

Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya
Kaan paas kiya to marorr diya us ne

Sardiyan Aaeen to laya maaltay mehboob kay liye
Malta kha kay chilka ankhon main nichor diya us ne

Bewafai ki had bbi dikha di ik din us zalim ne
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny


Kal ik bachon ki majlis main kaha aik shokh bache ne



Kal ik bachon ki majlis main kaha aik shokh bache ne

Hamari taak mai dushman bare hoshiyar bethe hain

Azeezo ! Saathio ! Mansooba bandi ke zamaane main

Ghaneemat hai keh hum soorat yahan do chaar bethe hain


Biwi pakistan gayi hai


Biwi pakistan gayi hai

Gher kay kamon se ghabra ker
Apni job se aajiz aa ker
6 hafte ki chutti pa ker
Ker kay gher sunsaan gayi hai
Biwi pakistan gayi hai

Sone ky set banwaye gi
Shaan masale bhi laye gi
Suit bohut se silwaye gi
Silk ke le ke thaan gai hai
Biwi pakistan gayi hai

Aish karon gi amma ke gher
Kaam karain ge noker chaker
Car main le jaye ga shofer
Le ke yeh arman gai hai
Biwi pakistan gayi hai

Pannu main rehte hain aakil chacha
Changa manga main taya hai
Sab se mil ker ana hai
Bana ke sare plan gayi hai
Biwi pakistan gayi hai

Boli rehna achay shoher
Dafter se seedhay ana gher
Jatay jatay haath main de
Biwi pakistan gayi hai

Tarah tarah kay khanay paka ker
Bher dala sara freezer
Take main na khaon bahir
Ker kay poora etminan gayi hai
Biwi pakistan gayi hai

Ik din phone kiya us ke gher
Bole us ke mama asgher
Who to le ke sara tabber
Aaj subah hi multan gayi hai
Biwi pakistan gayi hai

Dhoop or germi se aa ker tang
Mela huwa jab us ka rang
Apni ik saheli ke sang
Wahan se kaghan gai hai
Biwi pakistan gayi hai

Aati hai us ki email bara'ber
Kehti hai mujh ko bhejo doller
Phas mushkil main jaan gayi hai
Hoton ki mare muskan gayi hai
Biwi pakistan gayi hai


Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par



Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par

Zindagi honay lagi jab say basar yahoo par
Roze karta hoon naya aik safar yahoo par

Shaam tak rehti hai jaari tag-o-dau rozi ki
Aur phir raat say hoti hai sehar yahoo par

Faaslay abb kahan haayal rahay insaanon mein
Kar hi laitay hain mulaaqat magar yahoo par

Ilm ka aik samandar hai pyaason kay liye
Dekh nadaan koi ilzaam na dhar yahoo par

Sirf duniya hi nahin door khalaaon tak kee
Dhoondnay waalon ko milti hai khabar yahoo par

Yeh alag baat keh awaargiyaan bhi hain bohat
Pakray jaanay ka bhee koi naheen darr yahoo par

Aisa lugta hai keh guzray ga burhaapa kuch yoon
Dhiyaan maazee mein kahin gum to nazar yahoo par


Idher to shaher kay ganjey meri talaash main hain


Idher to shaher kay ganjey meri talaash main hain
Udher tamaam lafangey meri talaash main hain

Main un ka maal ghaban kar kay jab say baitha hoon
Yateem khaaney kay bachey meri talaash main hain

Mila hai nuskha jawaani palat ka jab say mujhey
Tumharey shehar kay Budhay meri talaash main hain

Main jin kay waastey jootey chura lay Jail gaya
Woh lay kay haath mein jootey meri talaash main hain

Diya hai naam kafan chor jab say tum ne mujhey
Puraani qabron kay murdey meri talaash main hain

Patey ki baat jo moonh say nikal gayi pagal
Tumharey shaher kay pagley meri talaash main hain


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...