Sep 18, 2014

Log log hotay hain


Log log hotay hain

Roshni ki khwaish main

Yahan sadaein lenay ki

Kuch saza to milti hai

Log log hotay hain

Log log hotay hain

In ko kiya khaber jana , aap kay iraadon ki

Khoobsurat aankhon main

Basnay walay khwaabon kay

Rang kaisay hotay hain

Log log hotay hain

Dil ki goad aankhon main palnay walay khwaabon kay

Zakham kaisay hotay hain

Kitnay gehray hotay hain

Kab yeh soch saktay hain

Aisi be'gunnah aankhain

Ghar kay konay khudray main lag kar

Kitna rotay hain

Phir bhi yeh apnay jaisay kisi

Gham zada dil se lag kar ronay lagtay hain

Log log hotay hain

Tohmatain to lagti hain

Roshni ki khwaish main

Toh'maton kay lagnay se

Dil se dost ho jana

Ab ne'dhaal kiya karna

Tohmaton se kiya darna

Mumkin jo agar hota


Mumkin jo agar hota

Hum tum ko bhulaa detay

Yaadon ko

Kafan dy kar

Be'waqat sula detay

Tanhai main jee letay

Tum ko na sadaa detay

Is dil se teray dil tak

Dewaar utha detay

Mumkin jo agar hota

Hum tum ko bhula detay

Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki


Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki

Tum keh takraar kaykhoo gar bhi na thay

Tum hi achay thay

Jo main jumla-e-arbaab-e-nazar rehtay thay

Itnay sadaa thay keh zakhmon ko hina kehtay thay

Shaher-e-pr'hosla main

Siwa-e-ehal-e-hunar par kabhi tanqeed na ki

Itnay be'bas thay keh jab waqat para

Apni bhi taqeed na ki

Hum buray log hain sach kehtay hain

Hum buray log hain , khush'noodi-e-arbaab-e-asr kay baaghi

Kabhi qatray ko samandar na likha

 Kisi zarray ko bhi sehraa na kiya

Qarz-e-aaina chukaanay kay liye aks se mehroom rahay

Aur insaan se mohabbat ka sila ?

Ik saza yaafta mujrim ki tarah zinda rahay

Meray mann ne matti se kaisa khilona banaya


Meray mann ne matti se kaisa khilona banaya

Bana kar ussay tootnay se bachaya

Woh chalta nahin tha

Ussay chaabi dy kar chalaya

Woh hansta nahin tha

Ussay gud'gudi se hansaya

Woh rota nahin tha

Ussay  maara peeta , rulaya

Woh bhooka tha

Us ko chugaya

Woh khamosh tha

Kiya khabar kis tarah baat karna sikhaya

Woh parhta nahin tha

Bari mushkon se parhaya

Woh larta nahin tha

Ussay zindagi se laraya

Sab ehsaan us kay

Keh us ne khilonay ko kiya kiya sikhaya


MAgar shukar tera keh tu ne khilonay ko

Maan se milaya

Gham-e-zindagi teri raah main , shab-e-aarzoo teri chah main


Gham-e-zindagi teri raah main , shab-e-aarzoo teri chah main

Jo ujjar gaya woh basa nahin , jo bichar gaya woh mila nahin

Jo dil-o-nazar ka saroor tha

Meray paas reh kar bhi door tha

Woh ik gulaab umeed ka

Mere shak-e-jaan pe khila nahin

Mera hamsafar jo ajeeb tha

To main bhi hoon ajeeb tar

Ussay manzalon ki khabar nahin mujhay raaston ka pata nahin

Pas-e-karwaan , sar-e-raah guzar main haara hoon to is liye

Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin

Shaam kay paich-o-kham sitaaron se


Shaam kay paich-o-kham sitaaron se

Zeena zeena , utar rahi hai raat

Youn saba paas se guzarti hai

Jaisay keh di kisi ne pyaar ki baat

Sehan-o-zindaan kay be'watan ashjaar

Sar nagoon mehav hain bananay main

Daaman-e-aasmaan pe naqsh-o-nigaar

Saneha-e-baam par damakta hai

Meharbaan chandani ka dasht-e-jameel

Khaak main ghull gaya hai aab-e-najoom

Noor main ghull gaya hai arsh ka neel

Sabz goshon main neelgon saaye

Leh'lahaatay hain , jis tarah dil main

Mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aye

Dil se paihaam khyaal kehta hai

Itni sheerein hai zindagi is pal

Zulam ka zehar ghoolnay wale

Kamraan ho sakain gay aaj na kal

Jalwa gaah-e-wisaal ki shammain

Woh bhuja dil chukay , agar to kiya ?

Chaand ko gul karain , to hum jaanain

Mujh ko bhi baatain kab aati hain


Mujh ko bhi baatain kab aati hain

Main to bas khamosh sa shair

Ulfat chahat kay rangon se

Dil ki khaali tasveeron main

Koi mohabbat likh deta hoon

Aur kabhi dewaar se lag kar

Koi mohabbat ro deta hoon

Aur kabhi aankhon aankhon main

Sari baatain keh jaata hoon

MAin to aik khamosh sa shair

Mujh ko baatain kab aati hain

Mujh ko baatain agar aatiein to

Tum kiya mujh ko chor jaati

Mere sapnay tor kar jaati

Kiya meri aankhon main dukh kay

Itnay aansoo dekh sakti thi

Mera kall sarmaya tha jo

Kiya mujh se woh le sakti thi

Mujh ko baatain agar aatein to

Main tum se woh sab kehta

Jo tum sunanay ki khwaish main

Saray raastay bhool aye ho

Main tehra khamosh sa shair

Mujh ko baatain agar aatein to

Tum hi meray khwaab sajaati

Youn na tanha chor kar jaati

Kaash mujhay bhi baatain aatein

Khwaab martay nahin


Khwaab martay nahin

Khwaab dil hain na aankhain na saansain keh jo

Reza reza huaye to bikhar jayein gay

Jisam ki mout se yeh bhi mar jayein gay

Khwaab martay nahin

Khwaab to roshni hain , nawa hain , hawa hain

Jo kaalay paharon se rukhtay nahin

Zulam kay douzakhon se bhi Phuktay nahin

Roshni aur nawa aur hawa kay aalam

Maqtalon main poch kar bhi jhuktay nahin

Khwaab to to harf hain

Khwaab to noor hain

Khwaab suqraat hain

Khwaab mansoor hain

Ab ki baar mousam main sakhtiyaan bhout hon gi


Ab ki baar mousam main sakhtiyaan bhout hon gi

Din ki roshni main tareekiyaan bhout hon gi

Qeh'qahon kay peechay bhi dard cheekhtay hon gay

Meray dil kay aalam ko

Aur meray her gham ko

Koi poochnay wala , haan , magar nahin ho ga

Hijar ki aziyat main ashk to bhout bahaanay hain

Teri sard'mehri ne yeh bhi dil dikhaanay hain

Rutt bahaar ki ho gi

Aur dil pe patt jhar ka saniha barpa hoga

Koi mil raha ho ga

Aur koi juda ho ga

YEh jo hadsa ho ga is se barh kay kiya ho ga

Apni kushak aankhon main dard kay sailaabon ko

Sabar se chupana hai

Aur teri judai kay zakham bhi chuppanay hain

Teri sard mehri ne yeh din bhi dikhaanay hain 

Dua-e-neem shab


Dua-e-neem shab

Sadaa-e-aarzoo

Wisaal-e-yaar kay

Khyal-o-khwaab main

Jo ho gayi magan

To lafaz kho gaye

Dua-e-neem shab

Adhoori reh gayi

Jo baat thi bhout

Zaroori reh gayi

Chalo yeh farz kartay hain


Chalo yeh farz kartay hain

Keh tum mashriq

Main maghrab hoon

Chalo yeh maan letay hain

Bara lamba safar hai yeh

Magar

Yeh bhi haqeeqat hai

Tumhari zaat ka suraj

Bhout sa raasta chal kar

Meri hasti main doobay ga 

Main rozgaar kay silsalay main


Main rozgaar kay silsalay main

Kabhi kabhi us kay shaher main jaata hoon

To guzarta hoon us gali se

Woh neem tareek si gali

Aur us ki nukar pe mota puraana sa ik khamba

Usi kay neechay

Tamaam shab intizaar kar kay

Main chor aya tha shaher us ka

Bhout hi khasta si roshni ko dekha

Woh khamba aaj bhi kharra hai

Fitrat hai magar

Main us khambay kay paas jaa kar

Nazar bacha kay mohallay walon ki

Pooch leta hoon aaj bhi yeh

Keh

Meray jaanay kay baad bhi

Woh ayi to nahin thi

Woh ayi thi kiya

Sun iltajaa hai itni


Sun iltajaa hai itni

Jab meri saansain

Mera jisam chor dain

Jab aankhain veeraan ho jayein

Jab main thak jaaon aur gir jaaon

Jab main tumhain pukaaron

Aur awaaz na dy paaein jab mujhay jana ho

Loatna ho apnay khuda kay paas

Aisay lamhay tum anjaana ik

Lamhay kay liye hi par dua kay liye

Haath uthaana meri sard

Paishaani pe apna haath rakhna

Taasuf se sar hilaana phir

Meray janazay ko kandha dena

Aur apni duniya se door chor aana

Bas sirf in chand lamhon ka sakoon meri

Zindagi pe tumhara ehsaan ho ga

Keh tumharay haathon ka

Lams qabar main bhi mujh se juda na ho ga

Yeh zindagi ik tishnagi


Yeh zindagi ik tishnagi

Kahin main nahin

Kahin tum nahin

Kahin apna naam-o-nishaan nahin

Isi zindagi kay saraab main

Hamain apna aap mila nahin

Chalay raat bhar ... jalay dhoop main

Magar manzalon ka pata nahin

Raah-e-hayaat ki dhool main

Sab lay liya , kuch diya nahin

Yeh silsala hai hayaat ka

Kahin main nahin

Kahin tum nahin

Kahin apna naam-o-nishaan nahin

Yeh zindagi ik tishnagi

Sochta hoon keh main ne


Sochta hoon keh main ne

Kiyon chaha , kiyon itna eitabaar kiya

Tum ne chor hi to jana tha

Ajab si baat hai

Aankh band ho tumhain sochon

Her dil ki dharkan , tumhain maangay

Is qadar payaar to na paao gi

Is tarah paas koi aye bhi to

Yaqeen hai mujh ko

Dhoondtay raho gi

Lakin , kissay , kahan

Koi nahian hai ab to

Jis ko dhoond paao

Jissay dil ka haal sunaao

Koi nahin hai

Khud hi to torr diya tum ne

Chahton kay sab rishtay

Sab qasmain khud ho tor deein tum ne

Sochta hoon , ab to shayed

Aitabaar kar hi na paaon

Jor liya hai rishta

Is tanhai sy

Jo pal pal ehsaas dilaati hai

Keh woh meri hai

Haan yeh tanhai meri hai

Aur koi nahin

Kabhi nahin

Her gharri dard ki shiddat se siskati aankhain



Her gharri dard ki shiddat se siskati aankhain

Aur ooper se tera wasal kay khwaab ka azaab

Roz aangan main kharray pairr se girtay pattay

Aur sar-e-shaamprindon pe guzarti aafat

Nabaz aur dil ki bagawat se

Tarapti hai hayaat

Is bharray shaher main barhta hua logon ka qehat

Roz hoti hai meray saath dewaaron ki jhrrap

Roz ik saans ko phaansi ki saza milti hai

Ab to aa ja meri jaan kay pyaaray dushman

Ab to aa ja keh teray hijar kay qaidi ko yahaan

Roz is shaher main marnay ki dua milti hai

Tumhain yeh dar hai meri aankhain ro parain gi


Tumhain yeh dar hai meri aankhain ro parain gi

Keh in main tum ho

Tumhari izzat

Tumhari shohrat

Tumhara rutba

Tumhain mubarak

Main apni aankhon se bol doon ga

Tumhain na dekhna

Magar suno to

Mujhay yaqeen hai

Yeh ro parain gi

Yeh ro parain gi

Bhout muddat se aisa hai keh woh khamosh rehta hai


Bhout muddat se aisa hai

Keh woh khamosh rehta hai

Koi gehra hai gham shayed

Jissay chup chaap sehta hai

Youn hi chaltay huye tanha

Koi gham'geen sa naghma

Woh aksar gun'gunaata hai

Doraan-e-guftagoo youn hi

Milain nazron se jab nazrain

To baatain bhool jaata hai

Kisi gum sum si halat main

Ya phir baarish kay mousam main

Faqat itna hi kehta hai

Udaasi be'waja si hai

Bhout boujhal tabiyat hai

Bhala sach kiyon nahin kehta

Ussay mujh se shikayat hai

Architect


Architect

Main architect hoon

Aur naam bhi hai moh'tabar mera

Jadeed andaaz ki takhleeq

Ik pehchaan hai meri

Ba'fazal-e-rab

Khyalon ko kamaal-e-fun muyassar hai

Buland-o-bala meenarain

Imaraat-e-haseen

Bairaaj , pull

Kiya kiya nahin shah'kaar meray

Meri takhleeq par

Hum'asar meray rashak kartay hain

Yeh sab  sach ahi

Magar mujh se kabhi

Ik hospital

Ban nahin paata

Yeh naqsha

Meray haathon se

Mukamal ho nahin paata

Bana leta hoon main sab kuch

Magar woh gosha-e-veeraan

Jo is ka juz-o-laazim hai

Woh mujh se ban nahin paata

Keh meri ungliyon se murda khana ban nahin paata

Rang haye zaat


Rang haye zaat

Safr ki ibtida se hi

Ajab andaaz ki aik tishnagi

Aankhon main raqsaan hai

YEh kaisi arzoo

Angraiyaan leti hai saanson main

Ba her lamha yeh khwaish

Khiltay jayein saray rozan , saray dar aur saari sachai nasal

se

Yeh dariya mujh par khul jaye

Samnadar mujh pe ho afshaa

Ridaye dasht ka

Aik aik zarha mera mehram ho

Pahaaron ki bulandi

Sar'nagoon ho meray qadmon par

Yeh feham-o-fikar se bhi mawraa

Afaaq ki wusat

Hisaar kanj-e-tanhai kay

Daaman main simat aye

Aroos-e-keh'kishaan

Meri hathaili pe ho khaima zan

Khulaasa yeh

Keh bazam-e-aalam-e-imkaan

Meri mutthi main aa jaye


Sar tishna niqaabi

Aaj yeh uqda khula mujh par

Meri aarzo'on kay pas-e-parda

Agar kuch hai to bas yeh hai

MAin apnay aap pe khul jaaon

Apnay aap ko dekhon

Roshni ki khwaish main


Log log hotay hain 
Roshni ki khwaish main 
Yahan sadaein lenay ki 
Kuch saza to milti hai 
Log log hotay hain 

Log log hotay hain 

In ko kiya khaber jana , aap kay iraadon ki 
Khoobsurat aankhon main 
Basnay walay khwaabon kay 
Rang kaisay hotay hain 
Log log hotay hain 

Dil ki goad aankhon main palnay walay khwaabon kay 
Zakham kaisay hotay hain 
Kitnay gehray hotay hain 
Kab yeh soch saktay hain 
Aisi be'gunnah aankhain 
Ghar kay konay khudray main lag kar
Kitna rotay hain 
Phir bhi yeh apnay jaisay kisi 
Gham zada dil se lag kar ronay lagtay hain 
Log log hotay hain 

Tohmatain to lagti hain 
Roshni ki khwaish main 

Toh'maton kay lagnay se 
Dil se dost ho jana 
Ab ne'dhaal kiya karna 
Tohmaton se kiya darna 

Hum tum ko bhulaa detay


Mumkin jo agar hota 
Hum tum ko bhulaa detay 
Yaadon ko 
Kafan dy kar
Be'waqat sula detay 
Tanhai main jee letay 
Tum ko na sadaa detay 
Is dil se teray dil tak 
Dewaar utha detay 
Mumkin jo agar hota 
Hum tum ko bhula detay

Hum buray log hain sach kehtay hain


Tum hi achay thay kisi se kabhi takraar na ki 
Tum keh takraar kaykhoo gar bhi na thay 
Tum hi achay thay 
Jo main jumla-e-arbaab-e-nazar rehtay thay 
Itnay sadaa thay keh zakhmon ko hina kehtay thay 
Shaher-e-pr'hosla main 
Siwa-e-ehal-e-hunar par kabhi tanqeed na ki 
Itnay be'bas thay keh jab waqat para 
Apni bhi taqeed na ki 

Hum buray log hain sach kehtay hain 
Hum buray log hain , khush'noodi-e-arbaab-e-asr kay baaghi 
Kabhi qatray ko samandar na likha 
 Kisi zarray ko bhi sehraa na kiya 
Qarz-e-aaina chukaanay kay liye aks se mehroom rahay 
Aur insaan se mohabbat ka sila ?
Ik saza yaafta mujrim ki tarah zinda rahay

Bana kar ussay tootnay se bachaya


Meray mann ne matti se kaisa khilona banaya 
Bana kar ussay tootnay se bachaya 

Woh chalta nahin tha 
Ussay chaabi dy kar chalaya 

Woh hansta nahin tha 
Ussay gud'gudi se hansaya 

Woh rota nahin tha 
Ussay  maara peeta , rulaya 

Woh bhooka tha 
Us ko chugaya 

Woh khamosh tha 
Kiya khabar kis tarah baat karna sikhaya 

Woh parhta nahin tha 
Bari mushkon se parhaya 

Woh larta nahin tha 
Ussay zindagi se laraya 

Sab ehsaan us kay 
Keh us ne khilonay ko kiya kiya sikhaya 

MAgar shukar tera keh tu ne khilonay ko 
Maan se milaya 

Jo ujjar gaya woh basa nahin , jo bichar gaya woh mila nahin


Gham-e-zindagi teri raah main , shab-e-aarzoo teri chah main 
Jo ujjar gaya woh basa nahin , jo bichar gaya woh mila nahin 

Jo dil-o-nazar ka saroor tha 
Meray paas reh kar bhi door tha 

Woh ik gulaab umeed ka 
Mere shak-e-jaan pe khila nahin 

Mera hamsafar jo ajeeb tha 
To main bhi hoon ajeeb tar 

Ussay manzalon ki khabar nahin mujhay raaston ka pata nahin 
Pas-e-karwaan , sar-e-raah guzar main haara hoon to is liye
Keh qadam to sab se mila liye mera dil kisi se mila nahin

Zeena zeena , utar rahi hai raat


Shaam kay paich-o-kham sitaaron se 
Zeena zeena , utar rahi hai raat 
Youn saba paas se guzarti hai
Jaisay keh di kisi ne pyaar ki baat 
Sehan-o-zindaan kay be'watan ashjaar
Sar nagoon mehav hain bananay main 
Daaman-e-aasmaan pe naqsh-o-nigaar 
Saneha-e-baam par damakta hai 
Meharbaan chandani ka dasht-e-jameel 
Khaak main ghull gaya hai aab-e-najoom 
Noor main ghull gaya hai arsh ka neel
Sabz goshon main neelgon saaye 
Leh'lahaatay hain , jis tarah dil main 
Mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aye
Dil se paihaam khyaal kehta hai 
Itni sheerein hai zindagi is pal
Zulam ka zehar ghoolnay wale
Kamraan ho sakain gay aaj na kal 
Jalwa gaah-e-wisaal ki shammain 
Woh bhuja dil chukay , agar to kiya ?
Chaand ko gul karain , to hum jaanain

MAin to aik khamosh sa shair


Mujh ko bhi baatain kab aati hain 
Main to bas khamosh sa shair 
Ulfat chahat kay rangon se 
Dil ki khaali tasveeron main 
Koi mohabbat likh deta hoon 
Aur kabhi dewaar se lag kar 
Koi mohabbat ro deta hoon 
Aur kabhi aankhon aankhon main 
Sari baatain keh jaata hoon 
MAin to aik khamosh sa shair
Mujh ko baatain kab aati hain 
Mujh ko baatain agar aatiein to
Tum kiya mujh ko chor jaati 
Mere sapnay tor kar jaati 
Kiya meri aankhon main dukh kay 
Itnay aansoo dekh sakti thi 
Mera kall sarmaya tha jo 
Kiya mujh se woh le sakti thi 
Mujh ko baatain agar aatein to
Main tum se woh sab kehta 
Jo tum sunanay ki khwaish main 
Saray raastay bhool aye ho 
Main tehra khamosh sa shair 
Mujh ko baatain agar aatein to 
Tum hi meray khwaab sajaati 
Youn na tanha chor kar jaati 
Kaash mujhay bhi baatain aatein 

Reza reza huaye to bikhar jayein gay


Khwaab martay nahin 
Khwaab dil hain na aankhain na saansain keh jo 
Reza reza huaye to bikhar jayein gay 
Jisam ki mout se yeh bhi mar jayein gay 

Khwaab martay nahin 
Khwaab to roshni hain , nawa hain , hawa hain 
Jo kaalay paharon se rukhtay nahin 
Zulam kay douzakhon se bhi Phuktay nahin 
Roshni aur nawa aur hawa kay aalam 
Maqtalon main poch kar bhi jhuktay nahin 

Khwaab to to harf hain 
Khwaab to noor hain 
Khwaab suqraat hain 
Khwaab mansoor hain

Aur teri judai kay zakham bhi chuppanay hain


Ab ki baar mousam main sakhtiyaan bhout hon gi 
Din ki roshni main tareekiyaan bhout hon gi 
Qeh'qahon kay peechay bhi dard cheekhtay hon gay 
Meray dil kay aalam ko 
Aur meray her gham ko 
Koi poochnay wala , haan , magar nahin ho ga 
Hijar ki aziyat main ashk to bhout bahaanay hain 
Teri sard'mehri ne yeh bhi dil dikhaanay hain 
Rutt bahaar ki ho gi 
Aur dil pe patt jhar ka saniha barpa hoga 
Koi mil raha ho ga 
Aur koi juda ho ga 
YEh jo hadsa ho ga is se barh kay kiya ho ga 
Apni kushak aankhon main dard kay sailaabon ko 
Sabar se chupana hai 
Aur teri judai kay zakham bhi chuppanay hain 
Teri sard mehri ne yeh din bhi dikhaanay hain 

Khyal-o-khwaab main


Dua-e-neem shab 

Sadaa-e-aarzoo

Wisaal-e-yaar kay 

Khyal-o-khwaab main 

Jo ho gayi magan 

To lafaz kho gaye

Dua-e-neem shab 

Adhoori reh gayi 

Jo baat thi bhout 

Zaroori reh gayi 


Tumhari zaat ka suraj


Chalo yeh farz kartay hain 
Keh tum mashriq 
Main maghrab hoon 
Chalo yeh maan letay hain 
Bara lamba safar hai yeh 
Magar 
Yeh bhi haqeeqat hai 
Tumhari zaat ka suraj 
Bhout sa raasta chal kar 
Meri hasti main doobay ga 

Main chor aya tha shaher us ka


Main rozgaar kay silsalay main 
Kabhi kabhi us kay shaher main jaata hoon 
To guzarta hoon us gali se
Woh neem tareek si gali 
Aur us ki nukar pe mota puraana sa ik khamba 
Usi kay neechay 
Tamaam shab intizaar kar kay 
Main chor aya tha shaher us ka 
Bhout hi khasta si roshni ko dekha 
Woh khamba aaj bhi kharra hai 
Fitrat hai magar 
Main us khambay kay paas jaa kar 
Nazar bacha kay mohallay walon ki 
Pooch leta hoon aaj bhi yeh 
Keh 
Meray jaanay kay baad bhi 
Woh ayi to nahin thi 
Woh ayi thi kiya
 

Meray janazay ko kandha dena


Sun iltajaa hai itni 
Jab meri saansain 
Mera jisam chor dain 
Jab aankhain veeraan ho jayein 
Jab main thak jaaon aur gir jaaon 
Jab main tumhain pukaaron 
Aur awaaz na dy paaein jab mujhay jana ho 
Loatna ho apnay khuda kay paas
Aisay lamhay tum anjaana ik 
Lamhay kay liye hi par dua kay liye
Haath uthaana meri sard 
Paishaani pe apna haath rakhna 
Taasuf se sar hilaana phir 
Meray janazay ko kandha dena 
Aur apni duniya se door chor aana
Bas sirf in chand lamhon ka sakoon meri 
Zindagi pe tumhara ehsaan ho ga 
Keh tumharay haathon ka
Lams qabar main bhi mujh se juda na ho ga 

Kahin main nahin kahin tum nahin


Yeh zindagi ik tishnagi 
Kahin main nahin 
Kahin tum nahin 
Kahin apna naam-o-nishaan nahin 
Isi zindagi kay saraab main 
Hamain apna aap mila nahin 
Chalay raat bhar ... jalay dhoop main 
Magar manzalon ka pata nahin 
Raah-e-hayaat ki dhool main 
Sab lay liya , kuch diya nahin 
Yeh silsala hai hayaat ka 
Kahin main nahin 
Kahin tum nahin 
Kahin apna naam-o-nishaan nahin
Yeh zindagi ik tishnagi

Haan yeh tanhai meri hai


Sochta hoon keh main ne 
Kiyon chaha , kiyon itna eitabaar kiya 
Tum ne chor hi to jana tha 

Ajab si baat hai 
Aankh band ho tumhain sochon 
Her dil ki dharkan , tumhain maangay 

Is qadar payaar to na paao gi 
Is tarah paas koi aye bhi to 
Yaqeen hai mujh ko
Dhoondtay raho gi 
Lakin , kissay , kahan

Koi nahian hai ab to 
Jis ko dhoond paao 
Jissay dil ka haal sunaao

Koi nahin hai 
Khud hi to torr diya tum ne 
Chahton kay sab rishtay 
Sab qasmain khud ho tor deein tum ne 

Sochta hoon , ab to shayed 
Aitabaar kar hi na paaon 
Jor liya hai rishta 
Is tanhai sy 
Jo pal pal ehsaas dilaati hai 
Keh woh meri hai 

Haan yeh tanhai meri hai 
Aur koi nahin 
Kabhi nahin

Tarapti hai hayaat


Her gharri dard ki shiddat se siskati aankhain 
Aur ooper se tera wasal kay khwaab ka azaab 
Roz aangan main kharray pairr se girtay pattay 
Aur sar-e-shaamprindon pe guzarti aafat 
Nabaz aur dil ki bagawat se 
Tarapti hai hayaat 
Is bharray shaher main barhta hua logon ka qehat 
Roz hoti hai meray saath dewaaron ki jhrrap
Roz ik saans ko phaansi ki saza milti hai 
Ab to aa ja meri jaan kay pyaaray dushman 
Ab to aa ja keh teray hijar kay qaidi ko yahaan 
Roz is shaher main marnay ki dua milti hai

Main apni aankhon se bol doon ga


Tumhain yeh dar hai meri aankhain ro parain gi 
Keh in main tum ho 
Tumhari izzat 
Tumhari shohrat 
Tumhara rutba 
Tumhain mubarak 
Main apni aankhon se bol doon ga 
Tumhain na dekhna 
Magar suno to
Mujhay yaqeen hai 
Yeh ro parain gi 
Yeh ro parain gi

Udaasi be'waja si hai


Bhout muddat se aisa hai 
Keh woh khamosh rehta hai 
Koi gehra hai gham shayed
Jissay chup chaap sehta hai 
Youn hi chaltay huye tanha 
Koi gham'geen sa naghma 
Woh aksar gun'gunaata hai 
Doraan-e-guftagoo youn hi 
Milain nazron se jab nazrain 
To baatain bhool jaata hai 
Kisi gum sum si halat main 
Ya phir baarish kay mousam main 
Faqat itna hi kehta hai 
Udaasi be'waja si hai 
Bhout boujhal tabiyat hai 
Bhala sach kiyon nahin kehta 
Ussay mujh se shikayat hai 
 
 

Main architect hoon


Architect

Main architect hoon 
Aur naam bhi hai moh'tabar mera 
Jadeed andaaz ki takhleeq
Ik pehchaan hai meri 
Ba'fazal-e-rab 
Khyalon ko kamaal-e-fun muyassar hai 
Buland-o-bala meenarain 
Imaraat-e-haseen 
Bairaaj , pull
Kiya kiya nahin shah'kaar meray 
Meri takhleeq par 
Hum'asar meray rashak kartay hain 
Yeh sab  sach ahi 
Magar mujh se kabhi 
Ik hospital 
Ban nahin paata 
Yeh naqsha 
Meray haathon se
Mukamal ho nahin paata
Bana leta hoon main sab kuch
Magar woh gosha-e-veeraan 
Jo is ka juz-o-laazim hai 
Woh mujh se ban nahin paata
Keh meri ungliyon se murda khana ban nahin paat a

Ajab andaaz ki aik tishnagi


Rang haye zaat 
Safr ki ibtida se hi 
Ajab andaaz ki aik tishnagi 
Aankhon main raqsaan hai 
YEh kaisi arzoo
Angraiyaan leti hai saanson main 
Ba her lamha yeh khwaish 
Khiltay jayein saray rozan , saray dar aur saari sachai nasal 
se
Yeh dariya mujh par khul jaye
Samnadar mujh pe ho afshaa
Ridaye dasht ka 
Aik aik zarha mera mehram ho
Pahaaron ki bulandi
Sar'nagoon ho meray qadmon par 
Yeh feham-o-fikar se bhi mawraa
Afaaq ki wusat 
Hisaar kanj-e-tanhai kay 
Daaman main simat aye
Aroos-e-keh'kishaan 
Meri hathaili pe ho khaima zan 
Khulaasa yeh 
Keh bazam-e-aalam-e-imkaan
Meri mutthi main aa jaye 

Sar tishna niqaabi
Aaj yeh uqda khula mujh par 
Meri aarzo'on kay pas-e-parda 
Agar kuch hai to bas yeh hai
MAin apnay aap pe khul jaaon 
Apnay aap ko dekhon 
 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...