Samandar main utarta hoon to Aankhain bheeg jate hain
Teri Aakhon ko parhta hoon to Aakhain bheeg jate hain
Tumhara naam likhney ki ijazat chin gaye jab se
Koi bhe lafz likhta hoon to Aankhain bheeg jate hain
Teri yadoon ki khushboain khirkiyon main raqas karte hain
Teray gham main sulagta hoon to Aakhain bheeg jate hain
Main hans kar jhail leta hoon judai ki sabhi rasmain
Gale jab su ke lagta hoon to Aankhain bheeg jate hain
Na janay ho gaya hoon hasaas is qadar main kab se
Kisi se baat karta hoon to Aankhain bheeg jati hain
woh sab guzray lamhat mujh ko yaad atay hain
Tumharay khat jo parhta hoon to Aankhain bheeg jati hain
Main sara din bhout masroof rehta hoon magar jaatay he
Qadam chokhat pe rakhta hoon to Aankhin bheeg jati hain
Her aik muflas ke mathay par alam ki dastanain hain
Koi chehra bhe parhta hoon to Aankhain bheeg jati hain
Baray logon ke Onchay bad numa sard mehlon ko
Ghreeb Aankhon se takta hoon to Aankhain bheeg jati hain
Teray koochay se ab mera taluq wajbi sa hai
Magar jab bhe guzarta hoon to Aankhain bheeg jati hain
Hazaroon mousmon ki hukamrani hai meray dil par
Wasi main jab bhe hansta hoon to Aankhain bheeg jati hain