Jan 2, 2015

Tu mila hai to yahi khouf laga rehta hai


Kar na duniya-e-gham kay hawalay mujh ko 
MAin tabasum hoon tu honton pe saja lay mujh ko 


Tu mila hai to yahi khouf laga rehta hai 
Mera milna kisi uljhan main na dalay tujh ko 

Is yaqeen par hi andheron main safar jaari hai 
Mil hi jayein gay kisi roz ujalay mujh ko 

Teri nafrat ne to majboor kiya jeenay par 
Ab tera pyaar kahin maar na daalay mujh ko 

Be'niazi ka yeh andaaz nahin kuch bhi "Nazar"
Baat to tab hai keh tu dil se nikalay mujh ko

William watson says , I was a smoker


William watson says
I was a smoker
 Once i read
"Smoking is injurious to health"
I quit smoking
I used to drink wine
I read
"Wine is bad for lungs"
I left drinking
I loved someone
Once i read
"Love is an illusion"
You know what i did?
I left "Reading"

Jissay khud se hi nahin fursatein, jissay khayal apnay jamal ka


Jissay khud se hi nahin fursatein, jissay khayal apnay jamal ka

Ussay kiya khabar meray shouq ki, ussay kiya pata meray haal ka

Talaash kar rahay hain log hum se juda honay kay tareeqay


Talaash kar rahay hain log hum se juda honay kay tareeqay

Sochta hoon duniya chor kar sab ki mushkil asaan kar doon

Baarish ki boondon main jhalakti hai us ki tasveer


Baarish ki boondon main jhalakti hai us ki tasveer

Aaj phir bheeg baitha ussay paanay ki chahat main

Sun rahay ho na baadlon ki garj-o-chamak


Sun rahay ho na baadlon ki garj-o-chamak 

Haan kuch is tarah tarapta hai hamara dil aap kay bina

Ae baarish zara tham kay baras


Ae baarish zara tham kay baras

JAb woh ayein to jam kat baras 

Pehlay na baras keh woh aa na sakay 

Phir itna baras keh woh ja na sakay

Bheegi baarish main hum dono hi be'bas thay


Bheegi baarish main hum dono hi be'bas thay 

Woh zulfain na sambhal paye aur hum khud ko

Bhalay wafa ka sila na dena


Bhalay wafa ka sila na dena 
Magar mujhay youn bhula na dena 

Zara sambhaal kay rakhna meray pyaar ko 
Main kaanch ki tarah hoon mujhay gira na dena

Is dil ko teri aahat ki aas rehti hai


Is dil ko teri aahat ki aas rehti hai 
Nigah ko teri surat ki pyaas rehti hai 

Teray bin kisi cheez ki kami nahin 
Magar teray bin zindagi udaas rehti hai

Jaan kar tum mujhay jaan na paye


Jaan kar tum mujhay jaan na paye
Aaj tak tum mujhay pehchaan na paye

Khud hi kar li be'wafai hum ne 
Ta keh tum par koi ilzaam na aaye

Tumhain apni aankhon main nahin rakha


Tumhain apni aankhon main nahin rakha 

Kahin aanso'on kay saath beh na jaye 

Tumhain apnay dil main rakha hai 

Taa keh her dharkan kay saath yaad Aao

Maantay hain sara jahan teray saath ho ga



Maantay hain sara jahan teray saath ho ga 

Khushi ka her lamha teray paas ho ga 

Jis din toot jayen gi saansain hamari 

Us din tujhay hamari kami ka ehsaas ho ga

Main us ki zindagi se door chala jaaon yeh us ki dua thi


Main us ki zindagi se door chala jaaon yeh us ki dua thi 

Aur us ki her dua qabool ho yeh meri dua thi

Hum ne bhi aik aisay shakhs ko toot kar chaha hai Wasi


Hum ne bhi aik aisay shakhs ko toot kar chaha hai Wasi

Jin ko bhulaana hamaray bas main nahin aur paana hamari qismat main nahin

Dukh hota hai usi pal


Dukh hota hai usi pal 
Jab apni pasand koi chura leta hai 
Hum khwabon main 
Hum khwabon main dekha kartay hain us ko 
Aur 
Haqeeqat koi bana leta hai

Kya baat hai jo khoye khoye se rehtay ho


Kya baat hai jo khoye khoye se rehtay ho 

KAhin lafaz-e-mohabbat se mohabbat to nahin kar baithay

Dil kisi se tab hi lagana jab dilon ko parhna seekh lo


Dil kisi se tab hi lagana jab dilon ko parhna seekh lo

Her ik chehray ki fitrat main wafa'dari nahin hoti

Hans kay her musibat ko saha hai main ne


Hans kay her musibat ko saha hai main ne 

Is umeed par keh , aaj se behtar kal ho ga


Yeh shaher zalimon ka hai sambhal kar chalna


Yeh shaher zalimon ka hai sambhal kar chalna 

Log seenay se laga kar dil hi nikaal letay hain

Baray shouq se utar'tay thay hum samandar-e-ishq main


Baray shouq se utar'tay thay hum samandar-e-ishq main 

Ik lehar ne aisa bubaya keh ab tak kinaara na mila

Sirf waqat guzaarna tha to kisi aur ko apna letay


Sirf waqat guzaarna tha to kisi aur ko apna letay 

Tumhain bataya tha na hum pyaar ibadat ki tarah kartay hain

Teri talab ki had ne aisa junoon baksha hai


Teri talab ki had ne aisa junoon baksha hai 

Keh hum neend se uth baithay tujhay khwaab main tanha dekh kar 

Kabhi jo zindagi ki uljhanain tum ko hi uljha dain


Kabhi jo zindagi ki uljhanain tum ko hi uljha dain 
KAbhi jo raaston kay faaslay katay na katein 
KAbhi jo raat ki tanhai main tum saaye ko dhoondo
Kisi apnay ko tum socho
Kisi pyaaray ko tum dhoondo
To phir tum apni ungliyon kay darmiyaan kuch mehsoos kar lena
Apnay haath ki grifat main tum 
Ik haath paao gay
Mujhay tum saath paao gay 
Hamesha saath paao gay

Zindagi yeh meri janay kiya se kiya ho gayi



Zindagi yeh meri janay kiya se kiya ho gayi 
Tu jo bichra jana to meri her ada kho gayi 

Tujhay dekh kar saja kartay thay is gulshan kay phool 
Teri udaasi dekh kar in ki her muskaan toot gayi 

Tera saath tha to her soo bahar thi 
Tu jo rootha to jaisay meri her kushi so gayi

Kiyon tarsaatay ho hum be'qaraaron ko tum 
Keh ab to is dil ki her gali hi veraan ho gayi

Lay kar zanjeer haathon main kuch log tumhari taak main hain


Lay kar zanjeer haathon main kuch log tumhari taak main hain 

Aye ishq hamari galiyon main na aur phiray to acha hai

Teri yaad ki bhool buliyon main gum ho kar


Teri yaad ki bhool buliyon main gum ho kar 

Mujhay aksar chaaye thandi peeni parti hai 

Yeh dil udaas hai bhout koi paighaam hi likh do


Yeh dil udaas hai bhout 
Koi paighaam hi likh do 
Tum apna naam likh do 
Gumnaam hi likh do

Meri qismat main gham-e-tanhai hai magar 
Tamaam umar na likho 
Ek shaam hi likh do 

YEh jaanta hoon keh umar bhar tanha mujh ko rehna hai
PAl do pal 
Ghari do ghari
Mera naam hi likh do 

Chalo hum maan letay hian 
Keh saza kay mustahiq tehray 
Koi inaam na likho
Koi ilzaam hi likh do
 

Chal tujhay dikha doon apnay apnay dil ki veeran galiyan


Chal tujhay dikha doon apnay apnay dil ki veeran galiyan 

Shayed keh tujhay taras aa jaye meri udaas zindagi par 

Mujhay maloom hai main us kay bina ji nahin sakta


Mujhay maloom hai main us kay bina ji nahin sakta 

Us ka bhi yahi haal hai , magar kisi aur kay liye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...