Mar 22, 2015

Hum karein baat daleelon se to radd hoti hai


Hum karein baat daleelon se to radd hoti hai 
Uss kay honton ki khamoshi bhi sanad hoti hai

Saans letay huye insaan bhi hain laashon ki tarah 
Ab dharaktay huye dil ki bhi lahad hoti hai 

Apni awaz kay pathar bhi na un tak ponchay 
Uss ki aankhon kay ishaaray main bhi zad hoti hai 

Jis ki gardan main hai phanda wohi insaan bara 
Sooliyon se yahan paimaish -e-qad hoti hai 

Shuabda gar bhi  pehanatay hain khateebon kay libaas 
Bolta jahan hai badnaam khurad hoti hai 

Kuch na kehnay se bhi chin jaata hai Aizaz-e-sukhan 
Zulam sehnay se bhi zaalim ki madad hoti hai


Taweel karb-o-masaib ka baab kitna hai


Taweel karb-o-masaib ka baab kitna hai 
Bataa , naseeb main meray azaab kitna hai 

Andheri raat main nikal kay dekh kabhi 
Pata chalay ga zamana kharaab kitna hai 

Main jaanta hoon haqeeqat kisi ko kya maloom 
Fiza-e-dil main meri iztaraab kitna hai 

Hamaray zo'af pe mat jaao fikar ko dekho 
Keh is main husn hai kitna , shabaab kitna hai 

Kiya hai qasd keh be'baak kar hi daalein gay 
Zara bataao hamara hisaab kitna hai 

Zameen-o-dil ko meri yeh bhigo nahin sakta 
Pata hai teray karam ka shabaab kitna hai

Hamesha jod-o-karam ka amal raha jaari 
Kabhi na socha keh is main sawaab kitna hai

Azal se parhtay rahay hain kitaab-e-ishq magar 
Pata nahin hai , baaqi nisaab kitna hai 

Bhout qareeb se jo parkha us ko 
Shaidaai hua hai ilam woh izzat muaab kitna hai

Bas teray jism ki khushboo se guzarna hai mujhay


Bas teray jism ki khushboo se guzarna hai mujhay
Thaam lay haath keh us paar utarna hai mujhay 

Meray seenay main jo roshan hai teray paas bhi ho 
Yeh chragh ab teri dehleez pe dharna hai mujhay

Teri aankhon main hi dooba hoon kahin aur nahin 
In hi jheelon se kisi roz ubharna hai mujhay 

Wisaal ki baat kiye jaa, meray jeenay kay liye
Hijar ki baat na kar , kiya koi marna hai mujhay

Ujray huye logon main to hota hoon shumaar 
Tu sudhaaray to kisi roz sudharna hai mujhay 

Aisa be'kaar bhi kya hoon , mohabbat na karon 
Aur karnay ka koi kaam to karna hai mujhay 

Bheeg jaatay hain sama'at teri sargoshi se 
Teri awaaz to behta hua jharna hai mujhay 

Aaina  zang se chamkay hai to main sochta hoon 
Rang matti ka teray noor main bharna hai mujhay 

Waqat ko janay ki jaldi hai magar kya keejiye
Ab teray paas bhout dair thehrna hai mujhay 

Main to hansta huwa jungle se nikal aaya hoon 
Tera matlab hai keh is baat se darna hai mujhay 

 

Kabhi ruk gaye kabhi chal diye


Kabhi ruk gaye kabhi chal diye 
Kabhi chaltay chaltay bhatak gaye 
Youn hi umar saari guzaar di 
Youn hi zindagi kay sitam sahay 
Kabhi neend main 
Kabhi hosh main 
Tu jahan mila tujhay dekh kar 
Na nazar mili 
Na zubaan hili 
Youn hi sar jhuka kay guzar gaye 
Mujhay yaad hai kabhi aik thay 
Magar aaj hum hain juda juda 
Woh juda huye to sanwar gaye
Hum juda huye to bikhar gaye 
Kabhi arsh par kabhi farsh par 
Kabhi un kay dar 
Kabhi dar-ba'dar 
Gham-e-Aashiqi tera shukriya 
Hum kahan kahan se guzar gaye ?

Dil baichnay aaye teray bazaar ki jaanib


Dil baichnay aaye teray bazaar ki jaanib 
Taktay rahay hasrat se kharidaar ki jaanib 

Kya khoob karishma hai teray dast-e-shifa ka 
Phir zindagi loat aayi hai be'maar ki jaanib 

Sehra ki karri dhoop rahi apna muqaddar 
Barhtay rahay saaye teri dewaar ki jaanib 

Kaisa yeh ishaara hai teri shokh nazar ka ?
Inkaar ki jaanib hai na iqraar ki jaanib 

Woh ishq-e-haqeeqi ho keh ishq-e-mijaazi 
Her raasta jata hai dar-e-yaar ki jaanib

Dekh kar ishq Aankh main meray , kehnay laga tabeeb


Dekh kar ishq Aankh main meray , kehnay laga tabeeb 

Afsoos ! haaye afsoos, , , , , , , , , , , , , tu la'ilaaj hai

Zameen kay Aastaano se falak kay chand taaron tak


Zameen kay Aastaano se falak kay chand taaron tak 

Koi ehal-e-wafa dhoondo agar hum be'wafa hain to

Aik umar se tujhay vird main rakha jis ne


Aik umar se tujhay vird main rakha jis ne 
Woh mohabbat main qalandar bhi to ho sakta hai 

Teray koochay main jo aaya hai ghulaamon ki tarah 
Woh apni basti ka sikandar bhi to ho sakta hai 

Silsila'waar agar ashk giraye jayein 
Yeh jo sehraa hai samandar bhi ho sakta hai

Kab talak teray khayalon kay saharay pe jeeyein 
Dil teri yaad se Munkar bhi to ho sakta hai

Be'kaif hain yeh sagar-o-meena teray baghair


Be'kaif hain yeh sagar-o-meena teray baghair 
Aasaan hua hai zehar ka peena teray baghair

Kya kya teray firaaq main ki hain mushaqtein 
Ik ho gaya hai khoon paseena teray baghair 

Jachta nahin koi nigahon main aaj kal 
Be-aks hai yeh deeda-e-beena teray baghair 

Kin kin bulandiyon ki tamana ki ishq main 
Teh ho saka na aik bhi zeena teray baghair 

Tu Aashna-e-shiddat-e-gham ho to kuch kahon 
Kitna bara azaab hai jeena teray baghair 

Saahil pe kitnay deeda-o-dil farsh-e-raah thay 
Utra na paar dil ka safeena teray baghair 

Baaqi kisi bhi cheez kay dil par asar nahin 
Pathar ka ho gaya hai yeh seena teray baghair

Tujh ko bhoolay hain to kuch dosh zamanay ka na tha


Tujh ko bhoolay hain to kuch dosh zamanay ka na tha 
Ab kay lagta hai keh yeh dukh hi thikaanay ka na tha 

YEh jo maqtal se bacha liye hain saro'on ko apnay 
Un main ik shkahs bhi kiya meray ghar'aanay ka na tha 

Her bars taza kiye ehad-e-mohabbat ko ab bas 
Ab khula hai keh yeh tehwaar manaanay ka na tha 

Ab kay be-fasal bhi sehra , gul-o-gulzaar sa hai 
Warna yeh hijar ka mousam teray aanay ka na tha 

Dosh par baar-e-zamana bhi liye phirtay hain 
Masla sirf teray naaz utha'nay ka na tha 

Yaar , kya kya teri baaton ne rulaya hamein 
Yeh tamasha sar-e-mehfil  to dikhanay ka na tha 

Koi kis munh se karay tujh se shikayat jana 
Jis ko tu bhool gaya yaad hi aanay ka na tha

Aaye din ik Aafat chali jaati hai "Faraz"
Ab pashemaan hain keh yeh shaher basaanay ka na tha 

Bikhray wajood, tootay khwaab , sulagti tanhaiyan


Bikhray wajood, tootay khwaab , sulagti tanhaiyan 

Kitnay haseen tohfay de jaati hai yeh mohabbat

Phir palat kar Qasid nahin aaya dekho


Phir palat kar Qasid nahin aaya dekho 

Ho gaya ho ga un pe qurbaan woh bhi

Aaj bhi sochta hoon to meri aankhein bheeg jaati hain


Aaj bhi sochta hoon to meri aankhein bheeg jaati hain 

Ae jaan-e-saba main tum se itna pyaar karta hoon

Uss ne kaha kon sa tohfa main tumhain doon


Uss ne kaha kon sa tohfa main tumhain doon 

Main ne kaha wohi shaam jo ab tak udhaar hai

Meray khoon main agar wafaon ka asar na hota


Meray khoon main agar wafaon ka asar na hota 

Hum bhi tujhay bhool jaatay badaltay mousam ki tarah

Dil chahta hai dhokay se zehar de don


Dil chahta hai dhokay se zehar de don 

Aaj raat khwaishon ki dawat kar kay

Mohabbaton main yehi khouf kiyon musallat rehta hai


Mohabbaton main yehi khouf  kiyon musallat rehta hai 

Kahin meray siwa kisi aur se to mohabbat nahin ussay

Main jab bhi toot'ti hoon tumhain dhoondti hoon


Main jab bhi toot'ti hoon tumhain dhoondti hoon 

Tum ne ik baar kaha tha na ,hum aik hain 

Tum jaisi haseen aankhon walay aatay hain jab saahil par


Tum jaisi haseen aankhon walay aatay hain jab saahil par 

Lehrain bhi shor machaati hain lo aaj samandar doobay ga

Zinda to hoon magar zindagi se door hoon main


Zinda to hoon magar zindagi se door hoon main 
Aaj kiyon is qadar majboor hoon main

Bina jurm kay hi saza milti hai mujhay 
Kis se kahoon keh aakhir be'qasoor hoon main 

Meri khamoshiyon ka sabab hain yeh gham meray 
Phir kiyon yeh duniya samjhti hai keh maghroor hoon main

Mousam badal gaye zamanay badal gaye


Mousam badal gaye zamanay badal gaye 
Lamhon main dost barson puranay badal gaye

Din bhar rahay jo meri dosti ki chahon main 
Woh log dhoop dhaltay hi thikanay badal gaye 

Kal jin kay lafz lafz main chahat thi pyaar tha 
Lo aaj un labon kay taranay badal gaye 

Ek shakhs kya gaya mera shaher chor kar wasi 
Janay kay saray dhang bahanay badal gaye 

Ab woh woh na raha main main na raha 
Saray hi zindagi kay fasanay badal gaye 

Hum yaad nahin kartay to tum gila kiyon kartay ho


Hum yaad nahin kartay to tum gila kiyon kartay ho

Suna hai khamoshi bhi aik ada hoti hai mohabbat nibhanay ki

Ussay kehna qismat pe itna naaz acha nahin hota


Ussay kehna qismat pe itna naaz acha nahin hota 

Hum ne baarish main bhi jaltay huye ghar dekhye hain

Hum ne liya honton se jo naam tera


Hum ne liya honton se jo naam tera 

Dil honton se ulajh para keh yeh sirf mera hai

Jab yaad ka aangan kholon to kuch log bhout yaad aatay hain


Jab yaad ka aangan kholon to kuch log bhout yaad aatay hain 

Main guzray dino ko sochon to kuch log bhout yaad aatay hain 

Ab janay kis nagri main soye paray hain muddat se 

Main raat gaye tak jaagon to  kuch log bhout yaad aatay hain

Kuch baatein thein pholon jaisi kuch khushboo jaisay lehjay thay 

Main shaher-e-chaman main tehlon to kuch log bhout yaad aatay hain

Woh pal bhar ki naraz'giyaan  aur maan bhi jana pal bhar main 

Main khud se jab bhi roothon to kuch log bhout yaad aatay hain 



Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha ?


Bhool jana tha to phir apna banaya kiyon tha ?
Tum ne ulfat ka yaqeen dilaya kiyon tha ?

Aik bhatkay huye raahi ho sahara de kar 
Jhooti manzil ka nishaan tum ne dikhaya kiyon tha

Khud hi toofan uthana tha mohabbat main agar 
Doobnay se meri kashti ko bachaya kiyon tha 

Jis ki tabeer ab ashkon kay siwa kuch bhi nahin 
Khwaab aisa meri aankhon ko dikhaya kiyon tha 

Apnay anjaam pe ab kiyon ho pashemaan pagal 
Aik be'dard se dil tum ne lagaya hi kiyon tha 

Tu ne haseen haseen chehray udaas kiye hain "Ae Ishq"


Tu ne haseen haseen chehray udaas kiye hain "Ae Ishq"

Agar tu insaan hota to tera pehla qatil main hota

Sirf hum hi hain us kay dil main


Sirf hum hi hain us kay dil main 

Lay doobi hamein yeh ghalat fehmi 

Tha bhout khush jo bhula kay mujhay



Tha bhout khush jo bhula kay mujhay 
Aaj roya galay laga kay mujhay 

US se pehla sawal yeh poocha 
Tum ko kaisa laga ganwa kay mujhya

Mujh ko pathar bana kay kehta hai 
Jan , dekho na muskura kay mujhya 

Zindagi ne to azmaya hai 
Tum bhi dekh lo azmaa kay mujhay
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...