Jul 28, 2014

Juda honay kay mousam main juda hona zaroori tha


Juda honay kay mousam main juda hona zaroori tha 
Na'janay kiyon kisi ka be'wafa hona zaroori tha 

Meray dil ne jo us ko poojnay ki intihaa kar di 
To phir us be'wafa ka bhi, khuda hona zaroori tha 

Kisi se koi bhi shikwa na koi bhi shikayat hai 
Jo meray saath chahat main hua , hona zaroori tha 

Bhout nazdeek thay dil, is liye ab dooriyaan bhi hain 
Dilon kay darmiyaan kuch faasla hona zaroori tha 

Ussay bhi dard denay ka bhout hi shok tha 
Hamain bhi dard-o-gham se ashnaa hona zaroori tha 

Teri nazar ne hum ko apnay liye chunna hai


Teri nazar ne hum ko apnay liye chunna hai 

Pagal se ho gaye hain jab se hum ne yeh suna hai

Ganwa chuka hai to ik din , bhulaa bhi de ga tujhay


Ganwa chuka hai to ik din , bhulaa bhi de ga tujhay 

Keh hosla abhi itna dil-e-tabaah main hai

Ab bhala chor kay ghar kiya kartay


Ab bhala chor kay ghar kiya kartay 
Shaam kay waqat safar kiya kartay 

Teri masrofatein jaantay hain 
Apnay anay ki khabar kiya kartay 

Jab sitaray hi nahin mil paye 
Lay kay hum shams-o-qamar kiya kartay 

Woh musafir hi khuli dhoop ka tha 
Saaye phailaa kay shajar kiya kartay 

Khaak hi awal-o-aakhir tehri 
Kar kay zaray ko gehar kiya kartay 

Raa'e pehlay se bana li tu  ne 
Dil main ab hum teray ghar kiya kartay 

Ishq ne saray saleeqay bakshay 
Hussan se kasab-e-hunar kiya kartay 

Parveen Shakir 

Kainaat Kay Khaliq dekh tu mera chehra


Kainaat Kay Khaliq

Kainaat Kay Khaliq
Dekh tu mera chehra 

Aaj meray honton par 
Kaisi muskurahat hai 
Aaj meri aankhon main 
Kaisi jagmgahat hai 
Meri muskurahat se 
Tujh ko yaad kiya aya 
Meri bheegi aankhon main 
Tujh ko kuch nazar aya 
Is haseen lamhay ko 
Tu to jaanta ho ga 
Is samay ki azmat ko 
Tu to maanta ho ga 

Haan  ! Tera gumaan sach hai 
Haan  ! keh aaj main ne bhi 
Zindagi janam di hai !

Parveen Shakir


Haan mujhay nahin parwah ab kisi andheray ki


Teri Mohni Surat

Haan mujhay nahin parwah 

Ab kisi andheray ki 

Anay wali raaton kay 

Sab udaas raston par 

Aik chaand roshan hai 

Teri Mohni Surat

Parveen Shakir

Meray zard aangan main surakh phool ki khushboo


Mera Laal

Meray zard aangan main 

Surakh phool ki khushboo

Naqraai  kiran ban kar 

Kasni dino ki yaad 

Sabz karti jaati hai 

Parveen Shakir

Kitni sunsaan zindagi thi




Kitni sunsaan zindagi thi 

Sab taaq meray diye se khaali 
Be barg-o-samar badan ki daali 
Khirki pe na aa kay baithay chriya 
Aangan main bhatak sakay na titli 
Sanjoke ki be,namu ruton se
Main kitni udaas ho chali thi 
Awaaz kay sail-e-be'panna main 
Main thi meray ghar ki khamshi thi 

Par dekh to aa kay laal meray 
Is kulba-e-gham main mujh ko teray 
Anay ki naveed kiya mili hai 
Jeenay ka jawaaz mil gaya hai 

Parveen shakir

Jeenay ka jawaaz mil gaya hai


Jawaaz

Kitni sunsaan zindagi thi 

Sab taaq meray diye se khaali 
Be barg-o-samar badan ki daali 
Khirki pe na aa kay baithay chriya 
Aangan main bhatak sakay na titli 
Sanjoke ki be,namu ruton se
MAin kitni udaas ho chali thi 
Awaaz kay sail-e-be'panna main 
Main thi meray ghar ki khamshi thi 

Par dekh to aa kay laal meray 
Is kulba-e-gham main mujh ko teray 
Anay ki naveed kiya mili hai 
Jeenay ka jawaaz mil gaya hai 

Parveen shakir

Khulay gi us nazar par chashm-e-tar ahista ahista


Khulay gi us nazar par chashm-e-tar ahista ahista
Kiya jata hai paani main safar ahista ahista

Koi zanjeer phir wapis wahin par lay kar ati hai 
Khathan ho raah to chuthta hai ghar ahista ahista

Badal dena hai rasta ya kahin par baith jana hai 
Keh thakta ja raha hai hamsafar ahista ahista

Khlish kay saath is dil se na meri jaan nikal jaye 
Kheenchay teer-e-shnasai magar ahista ahista

Hawa se sar kashi main phool ka apna ziyaan dekha 
So jhukta ja raha hai ab yeh sar ahista ahista

Parveen Shakir

Youn hosla dil ne kabhi haara na tha


Youn hosla dil ne kabhi haara na tha 
Sartaan mera sitara kab tha 

Lazim tha guzarna zindagi se
Bin zehar piye guzara kab tha 

Kuch pal ussay aur dekh saktay 
Ashkon ko magar gawara kab tha

Hum khud bhi judai ka sabab thay 
Us ka hi qasoor sara kab tha 

Ab aur kay saath hai to kiya dukh 
Pehlay bhi koi hamara kab tha 

Ik naam pe zakham khil uthay thay 
Qatal ki taraf ishara kab tha 

Aye ho to roshni hui hai 
Is baam pe koi tara kab tha

Dekha hua ghar tha par kisi ne 
Dulhan ki tarah sanwara kab tha

Parveen shakir

Alaam-e-hayat loat ayein


Alaam-e-hayat loat ayein 
Asaishein mujh ko kha na jayein 

Kiya aisa talaash-e-aab-o-dana 
Parwaz la lutaf bhool jayein 

Tu maqtal-e-shab se aa rahi hai 
Ae subha tujhay galay lagaein 

Asaan sahi bichar kay rehna 
Par us ka sa dil kahan se layein 

Jab hum kisi  aur ka huye rizq
Kis kay liye zindagi kamaein 

Maloom keh chorna hai ik din 
Phir bhi yeh lagan keh ghar banaein 

Basti main utar raha hai paani 
Hum aur kahan utar kat jayein 

Paani hai , hawa hai ya khala hai 
Hum apnay qadam kahan jamaein 

Prveen shakir

Firaaq-e-yaar ki baarish ,malaal ka mousam


Firaaq-e-yaar ki baarish ,malaal ka mousam
hamare sheher mai utra kamaal ka mousam

wo ik dua meri jo namuraad loat ayi meri
zaban se rooth gaya phir sawaal ka mosam

bohat dinon se mere zehen key darichon mai
theher gaya hai tmhare khayal ka mousam

jo be-yaqeen ho baharein ujar bhi sakti hain
tu aa k dekh ley mere zawaal ka mousam

mohabtein bhi teri dhoop chaon jesi hain
kabi yeh hijar kabi yeh wasaal ka mosam

koi mila he nahin jis ko soonptay "mohsin"
hum apne khawaab ki khushboo khyaal ka mosam

Poet : mohsin naqvi

Kabhi waqat milay to aa jayo


Kabhi waqat milay to aa jayo
Hum jheel kinaray ja baithain 
Tum apnay sukh ki baat karo 
Hum apnay dukh ki baat karain 
Jo sang tumharay beet gaye 
Aur ehad-e-khizaan ki nazar huye
In sabaz ruton kay daman main 
Hum pyaar ki khushboo mehkaaein 
In bikharay sabz nizaron ko 
hum aankhon main tasveer karain 
Phir apnay pyaar kay jaado se
Hum lamhon ko jageer karain
Kabhi waqat milay to aa jayo 
Hum jheel kinaray ja baithain

Tum aayo to hum bhi eid karain


Tum aayo to hum bhi eid karain 
Hasrat hai tumhari deed karain 

Kuch dair to dil ko chain milay 
Kuch roz to mann kay phool khilain 

Kehtay hain keh eid ki aamad hai 
Hum log bhi kuch taaeed karain 

Tum se ik yeh guzarish hai 
Yeh apnay dil ki khwaish hai 

Ik baar milo, ik baar milo 
Her baar yeh hi takeed karain 

Mana keh hum dewanay hain 
Sab baaton se anjaanay hain 

Jab apnay bhi beganay hain 
Kiya ghairon se umeed karain 

Tum aayo to hum bhi eid karain 
Tum aayo to hum bhi eid karain


Samandar saray shraab hotay , to socho kitnay fasaad hotay


Samandar saray shraab hotay , to socho kitnay fasaad hotay 

Gunnah na hotay sawaab hotay , to socho kitnay fasaad hotay 

Kisi kay dil main kiya chuppa hai ? yeh to bas rab hi jaanta hai 

Dil agar be'niqaab hotay , to socho kitnay fasaad hotay 

Thi khamoshi hamari fitrat, jo chand barson bhi nibh gayi hai 

Hamaray munh main jawaab hotay , to socho kitnay fasaad hotay 

Un ki nazrain na jaan paein , achaeiyaan hamari "Mohsin"

Hum jo sach main khraab hotay , to socho kitnay fasaad hotay 

Her tamashai faqat saahil se manzar dekhta


Her tamashai faqat saahil se manzar dekhta 

Kon dariya ko ulat'ta , kon gohar dekhta 

Woh to duniya ko meri deewangi khush aa gayi 

Teray haathon main wagarna pehla pathar dekhta 

Aankhon main aansoo jaray tahy , par sada tujh ko na di 

Is tawaqo pe keh shayed , tu palat kar dekhta 

Meri qismat ki lakeerain , meray haathon main na thein 

Teray maatay pe koi mera muqadar dekhta 

Zindagi phaili hui thi shaam-e-hijraan ki tarah 

Kis ko itna hosla tha , kon jee kar dekhta 

Doobnay wala tha aur saahil pe chehron ka hajoom 

Pal ki mohlat thi main kis ko aankh bhar kar dekhta 

Tu bhi dil ko ik lahoo ki boond samjha hai faraz 

Aankh agar hoti to qatray main samandar dekhta 

Abhi sooraj nahin dooba zara si shaam honay do


Abhi sooraj nahin dooba zara si shaam honay do 

Main khud hi loat jayon ga mujhay na'kaam honay do 

Mujhay bad'naam karnay kay bahanay dhoondtay ho kiyon 

Main khud ho jaaon ga bad'naam pehlay naam honay do 

Abhi mujh ko nahin karna aitraaf-e-shakist 

Main sab tasleem kar loon ga yeh charcha aam honay do 

Meri hasti nahin anmol phir bhi bik nahin sakta 

Wafaein baich lena par zara nelaam honay do 

Naye aaghaz main hai hosla door baithay ho 

Tum sab kuch jeet jaao gay zara anjaam honay do 

Tumhain mujh se mohabbat hai



Agar tasleem kar lo tum 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Dhanak se rang sab le loon 

Tera anchal saja doon main 

Wafa kay dais main chal kar 

Tujhay ik ghar bana doon main 

Phir is pe chaand taron ka 

Koi pehra bitha doon main 

Agar tasleem kar lo tum 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Agar tasleem kar lo tum


Agar tasleem kar lo tum 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Dhanak se rang sab le loon 

Tera anchal saja doon main 

Wafa kay dais main chal kar 

Tujhay ik ghar bana doon main 

Phir is pe chaand taron ka 

Koi pehra bitha doon main 

Agar tasleem kar lo tum 

Tumhain mujh se mohabbat hai 

Hijr ki pehli shaam kay saye door ufaq tak chaye thay


Hijr ki pehli shaam kay saye door ufaq tak chaye thay

Ham jab us k shahar se nikle sab raste sanwlaye thay

Jane wo kya soch raha tha apne dil mein Pichli raat

Pyar ki baten karte karte us k nain bhar aye thay

Mere andar chali thi andhi thik usi din pat’jhar ki

Jis din apne jure mein usne kuch phul sajaye thay

Usne kitne pyar se apna kufr diya nazrane mein

Ham apne iman ka sauda jis se karne aye thay

Kaise jati mere badan se beete lamhon ki khushbu

Khwabon ki us basti mein kuch phool mere ham-saye thay

Kaisa pyara manzar tha jab dekh ke apne sathi ko

Pair pe baithi ik chiriya ne apne par phailaye thay

Rukhsat kay din bhigi ankhon us ka wo kahna haye "Qateel"

Tum ko laut hi jana tha to is nagri kyun aye thay

Aankhon main koi khwaab utarnay nahin deta


Aankhon main koi khwaab utarnay nahin deta 
Yeh dil keh mujhay chain se marnay nahin deta 

Bichray to ajab pyaar jata'ta hai khatton main 
Mil jaye to phir had se guzarnay nahin deta 

Woh shakhs khizaan rut main bhi mohtaat rahay kitna 
Sookhay huye phoolon ko bikharnay nahin deta 

Ik roz teri pyaas khareeday ga woh gabhro
Paani tujhay panghat se jo bharnay nahin deta 

Woh dil main tabasum ki kiran gholnay wala 
Roothay to ruton ko bhi sanwarnay nahin deta 

Main us ko manaon keh gham-e-dehar se uljhon  
"Mohsin" woh koi kaam bhi karnay nahin deta 

Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam kay baad




Aankh ban jati hai sawan ki ghata sham kay baad
laut jaata hai agar koi khafa sham kay baad

wo jo tal jati rahi sar se bala sham kay baad
koi to tha ke jo deta tha dua sham kay baad

aanhen bharti hai shab-e-hijr yateemon ki tarah
sard ho jaati hai har roz hawa sham kay baad

sham tak qaid raha karte hain dil ke andar
dard ho jate hain saare hi rehaa sham kay baad

log thak haar ke so jate hain lekin janaa
hum ne khush ho ke tera dard saha sham kay baad

chand jab ro ke sitaaron se galay milta hai
ik ajab rang ki hoti hai fizaa sham kay baad

hum ne tanhaai se pucha ke milo gi kab tak
us ne be-chaini se foran hi kaha sham kay baad

tum gaye ho to siyah rang ke kapre pehne
phirti rehti hai mere ghar mai qaza sham kay baad

maar deta hai ujarr jaane ka dohra ehsaas
kash ho koi kisi se na judaa sham kay baad

Kaha main ne kahan ho tum


Kaha main ne kahan ho tum 

Jawaab aya jahan ho tum 

Mere jeevan se zaahir ho 

Mere gham main nihaan ho tum 

Meri to saari duniya ho 

Mera sara jahan ho tum 

Meri sochon ka mehvar ho 

Mera zor-e-biyaan ho tum 

Main hoon lafaz mohabbat hon 

Magar meri zubaan ho tum 
 


Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad


Hum keh tehray ajnabi itni mulaqaaton kay baad 

Phir banain gay aashna , kitni middaton kay baad 

Kab nazar main aye gi be'dagh sabzay ki bahaar

Khoon kay dhabbay dho lain gay , kitnay barson kay baad 

Thay bhout be'dard lamhay , khatam-e-dard-e-ishq kay 

Thein bhout be'mehar subhain , meharbaan raaton kay baad 

Dil to chaha , par shakist-e-dil ne mohlat hi na di 

Kuch gilay shikwye bhi kar letay munajaaton kay baad 

Un se jo kehnay gaye thay , faiz jaan sadqa kiye 

An'kahi hi reh gayi , woh baat sab baaton kay baad 

Mohabbatein jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna


Mohabbatein jab shumaar karna to sazishain bhi shumaar karna 
Ko meray hissay main ayi hain woh aziatein bhi shumaar karna 

Jalaye rakhon gi subha tak main tumharay raastay main aankhain 
Magar kahin zabat toot jaye to baarishein bhi shumaar karna 

Jo harf loh-e-wafa pe likhay huye hain un ko bhi dekh lena 
Jo raigaan ho gayein woh saari ibaadatein bhi shumaar karna 

Yeh sardiyon ka udaas mousam keh dharkanain barf ho gayi hain 
Jab in ki yakh bastagi parakhna , tamazatein bhi shumaar karna 

Tum apni majbooriyon kay qissay zaroor likhna wazahaton se
Jo meri aankhon main jal bujhi hain woh khwaishein bhi shumaar karna



Tum poocho aur main na bataon , aisay to halaat nahin


Tum poocho aur main na bataon , aisay to halaat nahin 
Ik zara sa dil toota hai , aur to koi baat nahin 

Kis ko khabar thi sanwalay badal , bin barsay urr jatay hain 
Sawan aya lakin apni qisamat main barsaat nahin 

Toot gaya jab dil to phir yeh saans ka naghma kiya mahni 
Goonj rahi hai kiyon sehnai , jab koi baraat nahin 

Gham kay andheray main tujh ko apna saathi kiyon samjhon 
Tu par tu hai , Mera to saya bhi meray saath nahin 

Maana jeevan main aurat ik baar mohabbat karti hai 
Lakin mujh ko yeh tu bata de kiya tu aurat zaat nahin

Khatam hua mera afsana , ab yeh ansoo ponjh bhi lo 
Jis main koi tara chamkay aaj ki raat woh raat nahin 

Meray gham'geen honay par ehbaab hain youn hairaan "Qateel"
Jaisay main pathar hoon , meray seenay  main jazbaat nahin 

Bana gulaab to kaantay chubha gaya ik shakhs


Bana gulaab to kaantay chubha gaya ik shakhs
Hua chragh to ghar hi jala gaya ik shakhs

MAin kis hawa main urron kis fiza main lehraon 
Dukhon kay jaal her ik soo bicha gaya ik shakhs

Tamaam rang mere aur saray khwaab meray 
Fasana thay ! fasana bana gaya ik shakhs

Palat sakoon hi , na aagay hi barh sakon jis par 
Mujhay yeh kon se raastay laga gaya ik shakhs

Mohabbatein bhi ajab , us ki nafratein bhi kamaal 
Meri hi tarah ka mujh main sama gaya ik shakhs

Woh mehtaab tha , mehram badast aya tha 
Magar kuch aur siwa dil dukha gaya ik shakhs  

Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha ussay 
Milay woh zakham keh phir yaad aye ga ik shakhs

Khula yeh raaz keh aaina khana hai duniya 
Aur us main mujh ko tamasha bana gaya ik shakhs


Tumharay shaher ka mousam bara sohana lagay


Tumharay shaher ka mousam bara sohana lagay 
MAin aik shaam chura loon agar bura na lagay 

Tumharay bas main agar ho to bhool jaao hamain 
Tumhain bhoolnay main shayed mujhay zamana lagay 

Hamaray pyaar se jalnay lagi hai yeh duniya 
Dua karo kisi dushman ki bad'dua na lagay 

Na janay kiya hai us ki be'baak aankhon main 
Woh munh chupa kay bhi jaye to be'wafa na lagay 

 Jo doobna hai to itnay sakoon se doobo 
Keh aas paas ki lehron ko bhi pata na lagay 

Ho jis ada se mere saath be'wafai kar 
Keh teray baad mujhay koi be'wafa na lagay 

Woh phool jo mere daaman se ho gaye mansoob 
Khuda kare unhain bazaar ki hawa na lagay 

Tum aankh mond kay pe jayo zindagi  "Qaiser"
Keh ik ghoont main shayed yeh bad'maza na lagay

 

Waqat sab kuch cheen leta hai


Waqat sab kuch cheen leta hai 

Khair yeh to ik muskurahat thi

Zara aahista chal ae waqat


Zara aahista chal ae waqat 

Saari qainaat meri baanhon main hai
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...