Jun 25, 2016

Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh


Kya yaqeen aur kya gumaan chup reh 
Shaam ka waqat hai miyan , chup reh 

Ho gaya qissa-e-wajood tamaam 
Hai ab aaghaz-e-daastan , chup reh 

Main to pehlay hi jaa chuka hoon kahin 
Tu bhi jaana nahin yaahan , chup reh 

Tu ab aaya hai haal main apnay 
Jab zameen hai na aasman , chup reh 

Tu jahan tha , jahan jahan tha kabhi 
Tu bhi ab to nahin wahan , chup reh 

Zikar chaira Khuda ka phir tu ne 
Yahan hai insaan bhi rai'gaan , chup reh 

Sara soda nikaal de sar se 
Ab nahin koi aastaan , chup reh 

Ehar man ho , Khuda ho , ya aadam 
Ho chuka sab ka imtihaan , chup reh 

Darmiyani hi ab sabhi kuch hai 
Tu nahin apnay darmiyan , chup reh 

Ab koi baat teri baat nahin 
Nahin teri , teri zuban , chup reh 

Hai yahan zikar haal-e-mo'jooda 
Tu hai ab az-gaz'shat'gaan , chup reh 

Hijar ki jaan kani tamaam hui 
Dil hua Jon-e-be'imaan , chup reh 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...