Oct 31, 2015

Main is khayal ko chootay hi larazta hoon


Main is khayal ko chootay hi larazta hoon 

Magar yeh sach hai keh manzil nahin hai tu meri

Tu ne rasta badal liya warna


Tu ne rasta badal liya warna 

Hum teray saath door talak jaatay

Bichar gaye hum dono anaa ko beech main laa kar


Bichar gaye hum dono anaa ko beech main laa kar 

Ussay mera mujhay us ka khasaara maar daalay ga

Us ko yaad aayi hai ae dharkan zara aahista chal


Us ko yaad aayi hai ae dharkan zara aahista chal 

Dil ki dhak dhak se tasawur main khallal parta hai

Ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi


Ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi 

Hum jissay umar samjhtay thay woh ik pal nikla

Main us ki qaid se azaad kahan hoon Mohsin


Main us ki qaid se azaad kahan hoon Mohsin 

Bana kay rakhta hai sochon main yar-ghamaal mujhay

Yeh jo hum rotay hain chuph kar kabhi tanhai main


Yeh jo hum rotay hain chuph kar kabhi tanhai main 

Rafta rafta tujhay aankhon se nikaal rahay hain

Us kay honton se adaa honay laga hoon ab main


Us kay honton se adaa honay laga hoon ab main

Tehar ae zeest dua honay laga hoon ab main

Tujhay akelay parhon koi hum sabaq na rahay


Tujhay akelay parhon koi hum sabaq na rahay 

Main chahta hoon keh tujh par kisi ka haq na rahay

Inqalaab aaya to youn aaya nigaah-e-yaar main


Inqalaab aaya to youn aaya nigaah-e-yaar main 

Kuch murrawat main izaafa , kuch mohabbat main kammi 

Hum bhi gohar shanaas hotay thay


Hum bhi gohar shanaas hotay thay 

Jab teray paas hotay thay

Baaton kay her jawaab main bas mujhtasir se haan


Baaton kay her jawaab main bas mujhtasir se haan 

Lagta hai meri zaat se uktaa gaya hai woh ..........

Mujh ko maktab main kon rakhaye ga


Mujh ko maktab main kon rakhaye ga 

Ab main mushkil sawaal karta hoon

Teri rukhsat kay be-reham lamhay


Teri rukhsat kay be-reham lamhay 

Dil apahij bana gaye mera

Oct 26, 2015

Ab aur tab


Ab aur tab

kaha us ne
mujhay tab waqai tum se mohabbat thi
kaha main ne
mujhay to aaj bhi tum se mohabbat hai
woh tab ki baat karti hai
main ab ki baat karta hoon
magar jo fasla
tab aur ab ke darmiyan hayel hai 
woh hum se to mil kar bhi sameta ja nahin sakta
woh ab tak aa nahin sakti
main tab ko pa nahin sakta

Poet : Qateel Shfaei

Kheyaal-e-yar mujh ko yon hi madhosh rehnay do


Kheyaal-e-yar mujh ko yon hi madhosh rehnay do
Na pocho raat ka qisaa, mujhy khamosh rehnay do

Sunaya vasal ka qissa to meray yaar yun bolay
Kahan tum or kahan us ki haseen aagosh rehnay do

Mujhy malom hay us nay mera hona nahi lakin
Meri umeed mat toro mujhy purjosh rehnay do

Mohabat jurm hay mera, mujhy iqrar hay is ka
Wafa ilzam hay to phir meray sar dosh rehnay do

Safr-e-wafa ki rah main manzil jafa ki thi





Safr-e-wafa ki rah mainn manzil jafa ki thi

Kaghaz ka ghr bana kay bhi khwahish hawa ki thi



Thi jugnuon k shehr main taron se dushmni

Dost chand tha aur tmanna subha ki thi



Tm ne to ibadat ka tmasha bna dia

Chahat namaz ki thi pr aadat qaza ki thi



Main ne to zindagi ko teray naam likha tha

Shayed magar kuch or he marzi khuda ki thi



Dard he dena tha to pehlay hi bata daitay

Hum ko bhi ap se he tmanna saza ki thi

Oct 23, 2015

Juda hony k sadmy ko Agarchy hanss k sehna tha




Juda hony k sadmy ko
Agarchy hanss k sehna tha
Usey rasmi sahi lekin
Khuda hafiz to kehna tha
Zuban main itni taaqat thi
Magar sehra ki wehshat main
Meri bachpan sy aadat thi
Mujhy khaamosh rehna tha
Wo kachha ghar
Wo barish main
Humaari jaagti aankhen
Humen jaati hui barkha sy
Kuch na kuch to kehna tha
Wafa ki rassm wo hum sy
Nibhata kab talak mohsin
Humary khawab k ghar thy
Humain to un main rehna tha..

Hawa ban kar bikharne sey, usay kiya farq parta hai



Hawa ban kar bikharne sey, usay kiya farq parta hai
Mere jeene ya marne sey, usay kiya farq parta hai

Usay to apni khushiyon se zara fursat nahi milti
Mere gham k ubharne sey, usay kiya farq parta hai

Us shakhs ki yaadon mein hum rotey rahain lekin
Humharay aisa karne sey, usay kiya farq parta hai

Us k to paas rehtay hain hazaron chahne waley mgar
Meray hone na honay se usay, kiya farq parta hai...
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...