Apr 17, 2016

Hai faghaan-e-lala-o-gul mast nazaron kay saath


Hai faghaan-e-lala-o-gul mast nazaron kay saath 
Bujh rahi hai tishnagi pholon ki angaron kay saath 

Aye ga shayed aziz-e-misar biknay kay liye 
Aaj khud Yousaf ki dekha hai khari'daron kay saath 

Her qadam par zindagi ki aabru khatray main hai 
Zulmaton kay qaaflay dekhay hain meh'paron kay saath 

Muflison par hans rahi hain azmatein iblees ki 
Aur Khuda ki rehmatein mansoob zar'daron kay saath 

Sar-e-bar'hana Aabida  kam'khawab-o-resham kay baghair 
Naachti hai Aasma Sikon ki jhankaron kay saath 

Naghma-e-bul'bul nahin to nala-e-dil hi sahi 
Miltay jultay hain biyaban bhi chaman zaron kay saath 

 

Gham kay mujrim khushi kay mujrim hain


Gham kay mujrim khushi kay mujrim hain 
Log ab zindagi kay mujrim hain 

Aur koi gunnah yaad nahin 
Sajda-e-be'khudi kay mujrim hain 

Istaghasa hai raah-o-manzil ka 
Rah'zan , rehbari kay mujrim hain 

Meh'kaday main yeh shor kaisa hai? 
Bada'kash bandagi kay mujrim hain 

Dushmani aap ki inayat hai 
Hum faqat dosti kay mujrim hain 

Hum faqeeron ki suraton pe na ja
Khidmat-e-aadmi kay mujrim hain 

Kuch ghazalan-e-aagahi Saghar 
Naghma-o-shairy kay mujrim hain

 

Chandani shab hai sitaron ki rida'ein si lo


Chandani shab hai sitaron ki rida'ein si lo 
Eid aayi hai baharon ki rida'ein si lo 

Chasham-e-saqi se kaho tishna umeedon kay liye 
Tum bhi kuch bada gusaron ki rida'ein si lo 

Her baras sozan-e-taqdeer chala karti hai 
Ab kuch to seena fagaron ki rida'ein si lo 

Log kehtay hain taqadus kay sabu tootein gay 
Jhoomti raah'guzaron ki rida'ein si lo 

Qulzam khuld se Saghar ki sada aati hai 
Apnay be'taab kinaron ki rida'ein si lo

Teri nazar kay isharon se khel sakta hoon


Teri nazar kay isharon se khel sakta hoon 
Jiger faroz shararon se khel sakta hoon 

Tumharay daman-e-rangeen ka aasra le kar 
Chaman kay mast nazaron se khel sakta hoon 

Kisi kay ehad-e-mohabbat ki yaad baqi hai 
Baray haseen saharon se khel sakta hoon 

Maqam-e-hosh-o-khird intiqam-e-wehshat hai 
Junoon ki rah'guzaron se khel sakta hoon 

Mujhay khizan kay bagoolay salam kartay hain 
Haya farosh chinaron se khel sakta hoon 

Sharab-o-shair kay dariya main doob kar saghar 
Saroor-o-kaif kay dharon se khel sakta hoon 

Sham-e-khizan ki gum sum boli


Sham-e-khizan ki gum sum boli 
Jeewan lamhay zehar ki goli 

Meray aansu aur sitaray 
Khail rahay hain aankh macholi 

Do pholon ki khatar tarsein 
Aaj baharon kay hum'joli 

Chand ka saya chatt par utra 
Hum'saye ne khirki kholi 

Tor diya dam dewano ne 
Umar junoon ki poori holi 

Phool bhi hai , kaanta bhi hai 
Mann maila hai ' surat bholi 

Lambi hai taqdeer ki dori 
Kis ne maapi , kis ne toli 

Apni duniya rain basera 
Apni doulat khali jholi 

Jism ka zindaan rozan rozan 
Jab jee chaha sui chubho li 

Meray shairon ka maj'mooha 
Mast kharamon ki toli 

Khaak-e-dar-e-meh'khana hum ne 
Saqi ! paimano main gholi 

Pattay bhi ashjaar kay naghmay 
Saye hain dewaar ki boli 

Cheent gham-e-asiyan ki "Saghar"
Hum ne sharab-e-naab main dho li

Sehan-e-kaaba bhi yahi hai to sanam khanay bhi


Sehan-e-kaaba bhi yahi hai to sanam khanay bhi 
Dil ki duniya main gulistan bhi hain veeranay bhi 

Log kehtay hain ajara hai teray jalwon par 
Itnay arzan to nahin teray dewanay bhi 

Aatish-e-ishq main pathar bhi pighal jatay hain 
Mujram-e-soz-e-wafa shamma bhi , parwanay bhi 

Kuch fasano main haqeeqat ki jhalak hoti hai 
Kuch haqeeqat se bana letay hain afsanay bhi 

Meray ashaar hain tasveer-e-tamana Saghar 
In aagosh main hain dard kay afsanay bhi 

Ae dewaro kuch to bolo jhooti chup kay bandhan kholo


Ae dewaro kuch to bolo 
Jhooti chup kay bandhan kholo 

Shayed koi qulzam niklay 
Sehraon ki jaib ta'tolo 

Un ka wada subha ka tara 
Yeh chingari mann main chubho lo 

Is shab ki majrooh sehar tak 
Jaltay rehna dil kay pha'pholo 

Raat ka punchi kehta jaye 
Din charh aaya aankhein kholo 

Ravi ki lehron pe naacho
Ae punjab kay tapo , dholo 

Phool khilein barsaat main jaisay 
Aaj zara hans hans kar ro lo 

Saqi ! pani may ban jaye 
Saghar kay ashaar ko gholo

Gham-e-hasti ki zanjeeron se insan ko kahan fursat


Yeh duniya hai yahan her lamha taqdeer zaalim hai 
Meray afsana-e-be'naam ki tehreer zaalim hai 

Gham-e-hasti ki zanjeeron se insan ko kahan fursat 
Kabhi halaat zaalim hain , kabhi tadbeer zaalim hai 

Musawer ka qalam rangeeniyon main doob kar ubhra 
Tasawur muskura kay keh gaya  tasveer zaalim hai 

Chragh-e-aarzu ko ik sahara de hi jati hai 
Yahan dhaltay huye suraj ki tanveer zaalim hai 

Palat kar zindagi ko zakham-e-taza de gayi aksar 
Hamaray naala-o-shaywan  ki her taseer zaalim hai 

Chubho kar nashtar baith jatay hain kahin "Saghar"
Shawahid keh rahay hain yeh falak be'peer zaalim hai  

Moj-dar-moj kinaron ko saza milti hai


Moj-dar-moj kinaron ko saza milti hai 
Koi doobay to saharon ko saza milti hai 

Meh'kaday se jo nikalta hai koi be'nasha 
Chasham-e-saqi kay isharon ko saza milti hai 

Aap ki zulf-e-parishan ka tasawur toba !
Nikhat-o-noor kay dhaaron ko saza milti hai 

Jab woh danton main dabatay hain gulabi aanchal 
Kitnay pur kaif nazaron ko saza milti hai 

Meray paymanay main dhal jata hai pholon ka shabaab 
Meray "Saghar" main baharon ko saza milti hai

Nazar nazar be'qaraar si hai , nafs nafs pur'israar sa hai


Nazar nazar be'qaraar si hai , nafs nafs pur'israar sa hai 
Main jaanta hoon keh tum na aayo gay , phir bhi kuch intizar sa hai 

Meray azizo ! meray rafeeqo ! koi nayi dastaan chero !
Gham-e-zamana ki baat choro ! yeh gham to ab saaz'gaar sa hai 

Wohi fasurda sa rang-e-mehfil , wohi tera aik aam jalwa 
Meri nigahon pe baar sa tha , meri nigahon pe baar sa hai 

Kabhi to ayo ! kabhi to baitho , kabhi to dekho , kabhi to poocho !
Tumhari basti main hum faqeeron ka haal kiyon so'gawar sa hai 

Chalo keh jashn-e-bahar dekhein , chalo keh zarf-e-bahar jaanchein 
Chaman chaman roshni hui hai , kali kali pe nikhar sa hai 

Yeh zulf bar'dosh kon aaya , yeh kis ki aahat se gul khilay hain 
Mehak rahi hai fiza-e-hasti , tamaam aalam bahar sa hai 

Bad'nami-e-hayat se ranjoor ho gaye


Bad'nami-e-hayat se ranjoor ho gaye 
Ae yaar ! teri baat se ranjoor ho gaye 

Yazdan kay hadsaat pe hum ne kiya yaqeen 
Apni shakist-e-zaat se ranjoor ho gaye 

Murjhaa kay reh gayi gham-e-dushnaam ki bahar 
Fasal-e-takalufaat se ranjoor ho gaye 

Her rah'guzar pe choor hain insaniyat kay paon 
Sheeshay ki kainaat se ranjoor ho gaye 

Apno ne zindagi main ha'rasan kiya mujhay 
Ghairon kay iltafaat se ranjoor ho gaye 

"Saghar" sakoon de gi dil ki kasak hamein 
Aksar khushi ki baat se ranjoor ho gaye
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...